~bazm-e-sukhan Anaaya Ali K Sath~ *saviou*

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
shairy me mazah ka rang ho to or b maza aata hai..
koi maze ka funny sa shair sunaye:)

jee pehs e khidmat hai mazahiya ghazal
isme kuch haqeeqat bhi hai agar gaur kiya jaye to

kisi ki rat ki nendain chura ker kuch nahi milta
kisi ko phone pe gany suna ker kuch nahi milta

use kehna k sehnoon main na jhanky chaatt k oper se
isharo se muhabat ko jata ker kuch nahi milta

agaer ek aadh larrki ho to yeh acha bhi lagta hy......
hazaroon larrkion se dil laga ker kuch nahi milta....

gali se us k jo guzry to aise jaise hero ho ..........
paraye soute main khud ko saja ker kuch nahi milta........

kahin na hath lag jaye ye us k mumy dade ko
you us k rah main number gira ker kuch nahi milta

ary budhe Khuda ka khoof kha kuch to haya ker le
safeed zulffoon per kala rang laga ker kuch nahi milta...

mujhe ishaq k bemaroon se yahi awaz aati hy .............
ary pagal kisi se bhi nibha ker kuch nahi milta

zamana badla tum bhi khud ko badlo ay mere sahil
suna hy ab wafa ko aazma ker kuch nahi milta
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
khush aamdeed janab nasir sahab aapko yahan dekhkar dil garden garden hogaya.chalen sawalat shru karte hain.

1 . aap english medium se hain laikin aapki urdu qaabil e taareef hai.mera sawal hai k wo kia wajah thi jisse aap urdu seekhne ki koshish ki ?

2 . jab koi faseeh urdu bolta hai to aapko kaisa mahsoos hota hai ?

3 . aapka pasandeeda shayer ?

4 . aapka pasandeeda sher ?

5 . aapka pasandeeda adeeb ?
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
g to aap se agla sawal saviou bhaya

keh rha hay shor_e_darya se sumandar ka sakoot
jis may jtina zarf hay utna hi wo khamosh hay

n

guftagu kijey k ye fitrat_e_insan hay shakeeb
jaaley lag jaatey hain jab band makan hotey hain

ye dono ishaar aik doosre k opposite hain

aap k khayal may haqeeqat k ziada qareeb konsa hay?

masha Allah :)
bohot gehrayee wala sawal puch liya apne
waise dikhne me dono ek dusre ke opposite hi lag rahe hain

lekin hoorain jahan tak ham samjhe hain ye dono do alag halaat ki taraf ishara kar rahe hain
to dono hi zindagi k aur haqeeqat k kaafi kareeb hain lekin apni apni jagah

kuch aisw mawaqe hote hain jahan insan agar khamosh rahe to usko nuqsan hota hai balke ird gird ka mahol bhi zaher bharne lagta hai aur kabhi aise auqaat bhi aate hain jahan khamosh rehna munasib o behtar nahi hota balke usko haq k liye aur halaat ko dekhte huye awaaz uthani parhti hai agar nahi to phir jaaley lag jaate hain

to jahan tak hamne samjha apko bataya ab aap ispar roshni dalen :)
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
khush aamdeed janab nasir sahab aapko yahan dekhkar dil garden garden hogaya.chalen sawalat shru karte hain.

1 . aap english medium se hain laikin aapki urdu qaabil e taareef hai.mera sawal hai k wo kia wajah thi jisse aap urdu seekhne ki koshish ki ?

2 . jab koi faseeh urdu bolta hai to aapko kaisa mahsoos hota hai ?

3 . aapka pasandeeda shayer ?

4 . aapka pasandeeda sher ?

5 . aapka pasandeeda adeeb ?
wahh.boht ache questions hain..:)
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
nasir bhai ab mera ap se ek or sawal baz'uqat hume apne ghr se qaribi logo se esa mahool milta hai k hume shair-o-shairy me dil'chaspi ho jati hai..ya un logo me se koi esa hota hai jis k zoak ki tareef kiye bageer hum reh nhi sakte..
ap bataen ap k ghr ya qareebi logo me esa kon hai? or ap ne un se shaiy k bare me kya sikha ya smjha
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

ahaaaaaan wah wah MASHAALLAH

perfect answer :)
main kia roshni daalun bhaya torch hi aap en pakar liya :p

aap is pariksha may pass huey :-bd :p

chlain abhi agla sawal

apni zaat k baarey may kioi shaer ya koi ghzal btayain
koi aisa shaer jo aapki zaat ko best describe kar sakey aap k khayal may?
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

jee pehs e khidmat hai mazahiya ghazal
isme kuch haqeeqat bhi hai agar gaur kiya jaye to

kisi ki rat ki nendain chura ker kuch nahi milta
kisi ko phone pe gany suna ker kuch nahi milta

use kehna k sehnoon main na jhanky chaatt k oper se
isharo se muhabat ko jata ker kuch nahi milta

agaer ek aadh larrki ho to yeh acha bhi lagta hy......
hazaroon larrkion se dil laga ker kuch nahi milta....

gali se us k jo guzry to aise jaise hero ho ..........
paraye soute main khud ko saja ker kuch nahi milta........

kahin na hath lag jaye ye us k mumy dade ko
you us k rah main number gira ker kuch nahi milta

ary budhe Khuda ka khoof kha kuch to haya ker le
safeed zulffoon per kala rang laga ker kuch nahi milta...

mujhe ishaq k bemaroon se yahi awaz aati hy .............
ary pagal kisi se bhi nibha ker kuch nahi milta

zamana badla tum bhi khud ko badlo ay mere sahil
suna hy ab wafa ko aazma ker kuch nahi milta

ahaaaaaaaaan interesting

aik shaer meri taraf se

aap bazurg ho hmare ye baat ab samajh hi lijey
k masoom bachi ko didi bula kar kuch nhi milta {(laugh)}
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
khush aamdeed janab nasir sahab aapko yahan dekhkar dil garden garden hogaya.chalen sawalat shru karte hain.

1 . aap english medium se hain laikin aapki urdu qaabil e taareef hai.mera sawal hai k wo kia wajah thi jisse aap urdu seekhne ki koshish ki ?

2 . jab koi faseeh urdu bolta hai to aapko kaisa mahsoos hota hai ?

3 . aapka pasandeeda shayer ?

4 . aapka pasandeeda sher ?

5 . aapka pasandeeda adeeb ?

khush aamdeed janab nasir sahab aapko yahan dekhkar dil garden garden hogaya.chalen sawalat shru karte hain.

bohot bohot shukriya mohtaram hamara dil bhi baagh baagh hogaya apka andaaz e isteqbal dekh kar :)

1 . aap english medium se hain laikin aapki urdu qaabil e taareef hai.mera sawal hai k wo kia wajah thi jisse aap urdu seekhne ki koshish ki ?

jee bilkul ham english medium se hain
aur bohot shukriya k apne hamari tooti phooti urdu ko itna sarah aur tareef ki
asal me janab insan ko jis cheez se mohabbat hoti hai wo uske kareeb pahunchne ki koshish karta hai to hame urdu se mohabbat hai to ham bhi iske kareeb aane ki koshish kar rahe hain aur sath hi hame pehle se shayari ka shauq tha aur phir jab saudi aaye to Quran ko tarjuma tafseer se padhne ka shauq bas issi shauq ne hame urdu sikha diya ye Allah ka karam hain lekin abhi bhi ham urdu me mahir nahi hain jis tarah aap sb loog hain :)

2 . jab koi faseeh urdu bolta hai to aapko kaisa mahsoos hota hai ?

faseeh urdu to nahi bolte bas achi urdu bolne ki koshish karte hain aur hame bohot khushi hoti hai acha lagta hai dil karta hai bas issi lehje me hamse bhi har koi baat kare phir us guftugu ka lutf hi alag hota hai :)

3 . aapka pasandeeda shayer ?

Allama Iqbal

4 . aapka pasandeeda sher ?

ye to hamne pichle page me bata diye hain ap dekh sakte hain :)

5 . aapka pasandeeda adeeb ?

adeeb to khaas koi nahi bas koi mauzoo acha lage to padh lete hain
khaas kar hamara mutala deeni kutub se hi rehta hai :)

bohot bohot shukriya apke sawalon ka
Jazakallah khair
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and Aara'af

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
nasir bhai mere b sawalon k jawab dy den..
main b hon yahan..{)^})

:)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
nasir bhai ab mera ap se ek or sawal baz'uqat hume apne ghr se qaribi logo se esa mahool milta hai k hume shair-o-shairy me dil'chaspi ho jati hai..ya un logo me se koi esa hota hai jis k zoak ki tareef kiye bageer hum reh nhi sakte..
ap bataen ap k ghr ya qareebi logo me esa kon hai? or ap ne un se shaiy k bare me kya sikha ya smjha
hmm waise sawal to bohot hi acha hai lekin jahan tak hame shairy ka shauq hua ya ham iske kareeb aye to isme ghar walon ka ya phir koi kareebi ka koi itna asar nahi raha haan ham kabhi apni ammi ko dekhte hain unki mamta ko to uspar qalam uthane ko dil karta tha aur kayi baar mamta k upar likhne baithe lekin abhi tak mukammal nahi kar paye aur sath hi apni behno ke pyar ko bhi ham shayari k dhage me peerona chahte hain aur inshaAllah fursat k lamhat me ispar zaroor kuch likhenge :)
 
  • Like
Reactions: Aara'af and ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113

hmm waise sawal to bohot hi acha hai lekin jahan tak hame shairy ka shauq hua ya ham iske kareeb aye to isme ghar walon ka ya phir koi kareebi ka koi itna asar nahi raha haan ham kabhi apni ammi ko dekhte hain unki mamta ko to uspar qalam uthane ko dil karta tha aur kayi baar mamta k upar likhne baithe lekin abhi tak mukammal nahi kar paye aur sath hi apni behno ke pyar ko bhi ham shayari k dhage me peerona chahte hain aur inshaAllah fursat k lamhat me ispar zaroor kuch likhenge :)
acha..mashAllah..:)
ap ne jo apni walda muhartma k liye likha us me se agr ap k pas kuch hai to share kren..
acha ye bataen ki apki rafiq-e-hayaat ki dil chaspi hai shairy me..un k liye ap ne kuch likha?:)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

ahaaaaaaaaan interesting

aik shaer meri taraf se

aap bazurg ho hmare ye baat ab samajh hi lijey
k masoom bachi ko didi bula kar kuch nhi milta

haha waah kya baat hai :p

maan gaye ap ko mohtarma isliye to ham apko didi kehte hain
ab chahen aap chote bhai ko buzurg kahen lekin kuch nahi mila

lagta hai ye bhi share ban gaya /:)
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hahahaha..{(moc)}
ap dono ki shairy pe to koi shayer sadme se qurab jaye:p
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

haha waah kya baat hai :p

maan gaye ap ko mohtarma isliye to ham apko didi kehte hain
ab chahen aap chote bhai ko buzurg kahen lekin kuch nahi mila

lagta hai ye bhi share ban gaya /:)
hahah nhi maire wala ziada acha bna :p

doosre sawal ka jawab to diya nhi aap ne :-?
 
Top