aapka Manzar ,aapki kahani!! 3 march-2012 to 10-march 2012

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam o ALaikum {(popcorn)}

AIk naye silsile ka aaghaz karte hain..Jis tara aksar manazir daikh k shayri dimagh may aati hay aur barmala insan koi na koi Shaer parhta hay..
Issi tara kuch log aik manzar pe poori kahani tarteeb daine ka hunar bhi rakhte hain..yahan har hafte aik image diya jaayega us pe sab ko Kuch na Kuch likhna hoga par kahani ki soorat may hona chahiye jo ussi manzar k mutabiq ho....(ye bilkul aisa hoga k aik jaamid image may apne alfaz se aise dikhana hay k parhne waale k dimagh may wo manzar harkat karey ,,
jis k alfaz ziada pur asar hon gaye aur parh k ziada maza aayega wohi us week ka winner hoga)Kuch arsa ye silsila aise hi chlaate hain jab aap sab ki practice ho jaayegi to is pey aik contest rakhain gaye INSHAALLAH!
AUr susti ya nakhrey dikhane ki koi zarurat nhi /:)
image pe aap kuch bhi likh sakte hain apni marzi se,, chahey to tanz-o-mazah ho ya sanjeeda sab chalega....

RULES:
Manzar likhne se pehle uska Mozu bhi bnayain gaye,,, Mozu jitna pur kashish ho manzar utna hi jaandar lagega...

poori kahani sirf Urdu may ho....

agle jumma 12:00 Pm tak is image pe likh sakte hain aap us k baad monday ko next image diya jaayega...Is hafte ka IMage deti hun.....

Aap k mind may kuch bhi aaye image daikh k jaise bhi tarteeb de k kahani bnaaye ...but participate zarur karain bohat maza aayega{(popcorn)}
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
mahsa Allah bohot acha silsila shuru kiya hai mohtarma aap ne /:)
inshAllah ham bhi zaroor kuch likhne ki koshish karenge

waise roman me likhne ki ijazat nahi hai kya ?
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hahaha zmana badal gya hay ab aisi qurbaniyan aksar choto ko deni parti hain mohtaram :p
 
Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
walaikum assalam ji
subah ka pur noor manzar hai, thandi thandi hawa chal ri hai, sooraj chachoo ahista ahista tashreef laa re hain:p pind de log v munh khole, jamayian lete jaag rahe hain aur kaam pe lag rahe hain

to b continued.....:D

lol, nice contest sis:) will try to participate
{(popcorn)}

  • Like
Reactions: hoorain

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)
abhi tak kisi ne kuch share nahi kiya /:)
chalen is susti ko door karne ke liye ek sust ki kahani hi suna dete hain
waise kahania to ham likhte nahi lekin hoor didi likhna sikha diye akhir
umeed karte hain ap sab ko pasand aaye ye tooti phooti kahani

Main Sust Tha/:)

roz ki tarah aaj bhi suraj mujh se pehle tulu ho gaya jab bahar aaya to manzar bhi roz ki tarah hi khush gawar tha thandi dhoop thi chirion ki gungunahat bhi, sab apne kaam me khushi khushi lage hue the dada ji bailon ko pani pila rahe the baba kunwe se pani nikal rahe the maa chote padu ke liye ghans la rahi thi jo ghar ka naya rukn hai aur choti bhi ussi ke liye bartan me kuch bana rahi thi, chotu to padu se chimta hua khush tha usse sehla raha tha aur baki janwar bhi roz ki tarah unke apne mashgale me the, raha main ek jo roz ki tarah sust aur nikamma tha/:) lekin pata nahi is baar kya hua mujhe ajeeb lagne laga dil me ye baat baith gayi ke nahi mujhe bhi subha subha uthna hai aur sab ki tarah ghar ka kaam karna hai aur ammi abbu ki madad karni chahiye unka kaha maan na chahiye phir ye soch kar mere andar ek khushi ki lehar daudh parhi:) aur main sochne laga jab kal ko koi ye manzar dekhe to in sab ke sath unhe main bhi kaam karta hua nazar aana chahiye:)

ab mujhe kal ki subah ka intezar hai aur ab main keh sakta hun ke main sust tha lekin ab nahi hun :)
 
waalaikum assalam WRWB
hahahaha amazing ;))

maire liye to aap aaj bhi pehle waale hi saviou bhaya hain ahem ahem samajh gaye na :p

BOhat zabardast likhi maze ki hay :-bd

Title to lajwab hay :p

lesson bhi bohat acha hay k Sooraj se pehle uthna chahiye :-bd

friday k baad issi image may aapko bhi add kar dungi sab k saath :p

TM k Baqi k sustuzzz kidar gaye /:) :p

Thanx for sharing bhaya :-bd
 
bohot khush ho rahe ho /:)
haan ji samjh gaye hain lekin ye saviou ki kahan nahi hai

bohot shukriya pasand karne k liye
jee title hi pehle soche phir us par ye kahani likhe :p
shukar hai logon ko naseehat to mil rahi hai jo suraj se pehle nahi uthte

hame nahi balke is kahani wale shaqs ko add kardo ya phir pf ko :p
umeed hai ye parh kar baki logon ki susti door ho jaye :)

ek baar phir shukriya is tarah ke naye naye idea ejaad karke masoom bachon ko pareshan karne k liye :)/:)
 
  • Like
Reactions: hoorain
Status
Not open for further replies.
Top