na tera KHUDA koi aur hai na mera KHUDA koi aur hai...

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Entertainer

Senior Member
Jul 10, 2008
536
564
1,193
34
Mera to Bas yehi Kehna tha, k jo Chatroom mein Islamic guftago hoti rahi he, yan ho rahi he aajkal woh na ho, Kyun Sub mukhtalif firqon k log moujod hein , , Mein Yeh Chahta hoon k Kissie ki Dilazaari na ho.
Par Halakoo ne kaha k jo Islaam ke Dushman hein Unhien Bura Bhala kehne mein Koi Burrai naien,
Aur Dushman Mazaraat jaate hein . . . aur mazaar par duaayein mangte hein . . .phir mughey unhon ne
yeh link diya aur yahan aane ki dawat di ,,.. aur kaha k Aap jo bhi kehna chaho Aap apni Rai yahan batao .
To Vaade k Mutabik mein aaj yahan moujood hoon. . . .

Mazaraat ka COncept, Niaaz ka Concept, Aur Gihyaarvein Sharif ka Aaj se Nahein Sadiyon se yeh Riwayaat challi aa rahi he . .
Woh Kehtey heina k Allah Talla Jissey Chahe Deita he . . . . Woh Aayaat bhi he . .. Wato Ezzo Mantashao , Wato Zillo MantaShao...
Allah Talla Ezzat Deita he jissey Chahey, Aur Zillat Deita he Jissey Chahey ... . ..
Dhoodne ne Se to Allah bhi Mill he jaata he . .Jin mein Zouq-e-Talab hota he ,,, , Allah Tallah ko Paane ka . . . Jinpar Allah Tallah ki Khaas Meharbaani hoti he . . . Woh log Ebadaat karte kartey Dhoondne Niqal partey hein . . Be-Shak All Powers belongs to God.
Bohat hein Allah Loki . Yan God gifted persons . jo Allah Tallah ko Paatey hien . .. Apne Kareeb . . . Be-Shak Allah Tallah Hamari Shehrug k Kareeb hein . . ..
Allah k Naik Bande . . . . Apni saari Zindagi sacrifice kartey hein . .. apni nabz par kaabo paatey hein . ..Wohi Log Islaam ko Farog deitey hein . . . aur Generation to Generation unke Silsiley bhi chaley aarahay henin . . .
jo Allah Tallah ki Ebadat mein Masroof hein . .
Allah Tallah ne Hazrat Aadam A.S . . . ko Banaya aur Farishton se kaha k Sajda karo . . .yeh Baat, yeh Waqia Sub ko Maloom he . . . .
Aur phir Iblees ne Sajda karne se inqaar kardiya . . . aur uska jo hashar huwa woh bhi sub ko maloom he . .. .
Be-Shak Allah Tallah jissey chahey jitni Ezzat de .
Baar Baar Mein Allah Tallah ka Naaam es liye dohra raha hoon . . . . Kyun k Unhon ne mughey zabaan di he . . Apna Naam leiney k liye, aur Apne Mehboob ki Tareef karne k liye . ..
Unke Mehboob Hazrat Mohammad Mustafa Salalaho Alehe Wa Aale Wasalum hein . . . .
Eik Waqia Suniye . . . .
Aik Din 1 Khatoon ne Apne Ghar Biryaani ka Ahtamam kiya: aur Us par Surah Fatiha parhi aur Allah Aur Uske Muhammad ka Naam Par kar Khatum Dilwaya.. . . ..
Aur Apne Bachon ko Khilaya aur chand Mohaley k Bachey bhi Bulwa kar unhein bhi Khilaya . . .
Jub us khatoon k Shohar Ghar par aaye .. . To Us Khatoon ke Sohar ko Patta Challa k Ghar mein NIaz Dilwai gaye he . . .
To Sahib ne Apni Biwi se Kaha ::: . . . Tum Mughey Haram Khilana Chahti ho . ... To unki Biwi ne Kaha k Meine to Bus Surah-e-Fatiha Parhi he . . . Aur Allah aur Uske Mehboob ka Naam liya he, Be-Shak Rizk Allah Deita he .
Es mein Kaissie Bidat . . . .? . . Mein Allah aur Uske Mehboob Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ki Bandi hoon . . . mein to Unse Mansoob hoon . . .. Yaani k Unke Naam ke Saath Bandhi hoon . .. to Yaani Tumpar Haraam hui . . Agar Yeh Rizk Haram he to.. yeh baat Samaghne ki he . . . .
Please Surah Fatiha Par kissie ko Objection nahein hona Chahiye . .. agar he to woh Musalmaan nahein . . .
Mein Phirse Allah Tallah ke Naik Bando ka Zikar Karna Chahonga . . . .. Bcoz Har Dour mein . jub jub . . . Islaam par kissie ne buri nazar ki . .. us us waqt . . .
Allah ke Naik Bando ne Ussey Bachane k liye Apni Zindagion ko Qurbaan kiya . . . Allah Tallah ne Kaha k Mein Apne Deen aur Apne Quraan ki Khud Hifazat Karunga . . . . . Woh kaisey kareinge . .. yeh Allah Tallah aur unke Nabi jaante hein . ..
MaShaAllah se yeh Hamara Khitta . . Bar-e-Sagheer . Sufism ka Gar Raha he . .. Aur Allah Tallah ne Hamein Nawaza he Sufia Karam se . . Faiz Paane k liye . .. . Yah Hamari khuskismatti he . . . Ham Unse Faiziyab hote aa rahey hein .. . Yeh mein unke liye kehra raha hoon jo Sufism ka hissa hein . .
Yahan koi Naibon ko Thaam Leita he to Koi Direct Maangta he . . . . .
Aap Deikhtey honge Galion mein Aawara Kuttey Goomte rehtey hein . . . Aur Koi koi Kuttey Paal laita he . . . Usko Saaf Suthra Rakhta he . . . Uski Khud hifazat karta he. . .. Uske Galley Mein "Belt" patta baandhta he apna . . .
Aur Jub bhi koi chahey us Aawara Galli ke Kuttey ko, jo chahey Pathar yan Eint maar sakta he . ..aur shayed sharati bachey kartey bhi he . .
mere kehne ka sirf yeh matlab he k jub bhi koi chahey galli k kuttey ko maar sakta he . . . (mere lafzon ki gehrai ko samghein . . . koi bhi chahey maar sakta he . . ) kyun k woh aawara kutta kissie ki jaagir nahein . .
aur woh khutta jisske galley mein . . ... uske maalik ka patta he .. .. . ussey marna . . . heheheaaaheee .eh .
Sochiyega bhi nahein .. . bcoz . .. Uska maalik aapko nahien choreiga . . . Woh Kutta apne maalik ki jaagir he . . . . to Chunachey ..
JO Insaan Allah Tallah k Mehboob se . . .. Yan Allah Tallah ke Nabiyon se, yan Unke Naibon se masoob yan Nisbat Haasil karleita he . ....Yan Masoob hojaata he . . . pus woh uska "patta" bandh leita he .. .
To phir uski mushkilaat bhi. . . ghoom kar aati he Unse jinse woh masoob hojaata he . .balke kabhi kabhi to wahein un tak he ruk jaati hein . . . . . Mushqilaat hhehheheh . .
This is called Ishq ka Rung . .. jo Rung jaata he. . . . bas .. Sub kuch paa leita. . .
Bohat he Azeem Log Ghuzre hien Yahan, Es Duniya se . .. Jo Allah Loki they, . . .
jinse Log Faiziyaab huwey , . .. aur Aaj tak Faiz Pa rahay hein . .. directly aur indrectly . . .
yani wasiley se aur baghair wasiley se . .. .

jin mein Hazrat Lal Shehbaaz Qalandar, Hazrat Shah Abdul Latif Bhittai, Hazrat Baba Farid Gunj Shakar aur Khuwaza Mueen-ud-din Chushti, Barey Naamon mein Shamil hien . .
Aur bhi Countless Naam hein .. jo mein es waqt na le Sakun . . Woh hein Es dunia mein . . .
jinse Log Faiz pate aarahey hien . . . . Aur Apni Muradeen Wasiley se . . .Pa Rahey hein .
Waasta aur Waseela . .. . . 1 waasta to Hazrat Aadam A.S ne bhi Diya tha . . .. Yaad Aaya ? . . .
jub Gandum ko Kha kar jannat se niqale gaye they,,, .. Kayee Saal tak touba kartey rahey . . . .
Aur phir unhein yaad aya tha k . .. unhon ne Jannat k Dawaze par kalima Tayab Parha tha . . . to Unhon ne: Lailaha Illaho Muhammad dur Rasoollullah . .ka Wasta diya,
to phir Amma Hawa unki Pasliyon se laayein gayein . . .
Allah Talla ne Apne Mehboob ko Elm ka Shaher Banaya he . . .
Aur Phir Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ne khud wazahat ki . .. .
Mein Elm ka Darya hoon Aur Ali(A.S) es ka Darwaza . . .
Koi Bhi Darwaze ke Binna kissie bhi Shaher mein Nahein Jaasakta . . . To Bas Kari se Kari he . .
kari se Kari Milatey jaao . .
Allah Tallah ki Chah Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) hein . .
Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ki Chah Ali (A.S) ,,,..
Hazrat ALi ki Chah Unka Gharana . . . . jinhein Aal-e-Muhammad kehtey hein . .
To Bus jo Aal-e-Muhammad ko Paa leiga . . to Samgho Khudda ko Paa leiga . .. .
1 Choti si Misaal . . . .
D.C.O kehtey hein Deputy Commsioner Officer . . ok . ..
Aapka ka Ghar D.C.O k Ghar k Barabar mein he . . Uske Ghar aapka Aana Jaana he . .
Bohat he Achi Dosti he . .
aur D.C.O . . . . Aap bhi D.C.O k bohat baar kaam aachukey ho . .. .
Aur woh aapka kaha nahien taalta . . . .
Mein bhi Aapka Dost hoon . .. .. aur Mughey D.C.O se kaam he . . aur mein directly gaya par D.C.O ne mughey inqaar kar diya . . .
phir meine socha k Apna Dost he, jo D.C.O k Kareeb he . . .
to Mein aapke pass aaya aur apna problem disscuss kiya . . . .
to Aapne mughse kaha k mein hoona u don't worry . . .
mein Unse kahonga woh mughey manna nahein karsakta . .
Tum be-fiqar hojao mein karwadonga. .
to Meine Apna Kaam tumhein diya . . . aur wohi huwa jo hona tha . . .
Tumne mera kaam aasaani se karwadiya . .
Ab mughey direct D.C.O se Milney ki zaroorat he nahein ...
jubke meraa kaam to mere dost ne karwadiya . . . . hehehehehe . ..
To Bus Allah ne Khana-e-Kaaba mein Ali A.S ko Paida Farmaya . . . . Sub Aoliyon par Afzal Ali A.S ko rakha . . Aal-e-Muhammad Allah ke Kareeb hein .
Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ko Apna Mehboob banaya . . . . Hazrat Fatima Jannat ko Sardaar hein . . .
Hum Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ke Ummati hien . . . Jannat Hamara Mukaqar he . . .
Hum Mazharon par jaatey hein . . . aur Kehtey hein k Hamari Baat Aage Pohancha di jaaye. Aur Aoliya Aage Pohanchate hein . . . .
Bas Dil mein Aqeeda hona chahiye . . . . .
kuch baaton ka jawab nahien . . .. jaisey Hum Allah Tallah ko Baghair Deikhey Unpar Eimaan Laye hein . . ..
Yeh Hamaray Eimaan ki Mazbooti he . . . Hamara Aqeeda he . . . .
Baghair Deikhey Eimaan Lana . .. . Yahi Sachay Musalmaan ki Nishani he . ..

Phir BHi Mein Aakhir mein Yahi kehna Chahonga k . ..
Na Tera Khudda Koi Aur He Na Mera Khudda Koi Aur He . . . . Yeh Jo Raaste hein . .. Judda Judda Yeh Muamlaa Koi Aur he . . .
 

Adil Khan

Senior Member
Jun 21, 2009
793
621
993
Aankhoon Main
Janab apki batain mujhe bhot achi lagi per mujhe aik baat shi nhi lagi....
ap ne Insano ko samjhane k lye kutte ka hawala diya hai... I think ye galat hai bcz
"HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA (S.A.W.W)" ki Ummat 'ASHRAFUL MAKHLUQAT' hai or ap ye bhi jante honge k ye Darja Farishto se bhi buland hai to esa nhi kehna chahye agr esa hota to "ALLAH RAB-UL-IZZAT" khud ye lafz insano ko de deta..
Han ye zaroor keh sakte hain k hum to Wali ULLAH k pao k dhul bhi nhi hain...

Meri kisi bhi baat se agr apko taklif hui ho to "ALLAH" ki raza k lye maaf kijyega..

"ALLAH" hum sab ki gunha'oon ko maaf farmye aur hum sab ko naik r aik banade (AMEEN)

JAZAK "ALLAH"
 
  • Like
Reactions: <different_person>

سرفروش

Senior Member
Sep 18, 2009
655
851
93
Karachi
mera na tera khudda koi aur he na mera khudda koi aur he . . . . Yeh jo raaste hein . .. Judda judda yeh muamlaa koi aur he . . .
بھای السلام علیكم
آپ نے رومن اردو میں بہت بڑا مضمون لكھدیا میں مختصرا جواب سے آپ كے ذہن میں موجود غلط فہمیوں كو دور كرنے كی كوشش كرون گا
آپ نے درست فرمایا اسلامی موضوعات پر براہ راست گفتگو سے احتراز كرنا چاہیۓ بعض اوقات غلط لفظ استعمال ہوجاتا ہے جس سے ایمان میں فساد آجاتا ہے بلكہ مضمون كے ظور پر حوالہ جات اور تحقیق كے بعد جامع جواب دینا چاہۓ اولیاء كرام كے مزارات پر جانامنع نہیں بلكل جانا چاہۓ بلكہ بار بار جانا چاہۓ لیكن اسلامی تعلیمات كو ملحوظ خاطر ركھنا چاہۓ قبرستان میں جانے میں یہ بات زیر نظر رہنی چاہۓ كہ ہم خود عبرت حاصل كریں اور قبر و آخرت كی فكر اور تیاری كریں حضرت عثمان رضی اللہ عنہ قبرستان سے گذرتے تھے تو ان كی داڑھی آنسووں سے تر ہوجاتی تھی یہی كیفیت ہر مسلمان كی ہونی چاہۓ
اس میں كوی شك نہیں انبیاء و رسل اور اولیاء اللہ اللہ كے محبوب اور پسندیدہ بندے ہیں اللہ رب العزت نے جو مقم عظمت اور شان انہیں عطافرمای ہے ان كو اچھا یا برا كہنے سے ان كی شان عظمت میں ذرہ برا بر فرق نہیں پرتا بلكہ گستاخی كرنے والا خود اللہ كی لعنت كا مستحق ٹھہرتا ہے
اللہ انسان كی سہہ رگ سے زیادہ قریب ہے بات اللہ كے ملنے یا نہ ملنے كی نہیں اسلام كے زریں اصولوں اور تعلیمات پر عمل كركے اللہ كی معرفت اور اس كی رضا حاصل كرنا ہے یہی تعلیمات انبیاء ورسل اور صحابہ تابعین تبہ تابعین اور اولیاء اللہ سے ہم تك پہنچی ہیں جو ان تعلیمات پر عمل پیراں ہوگا نجات پاۓ گا اور جو نفس كے بہكاوے میں آۓ گا وہ خسارے میں ہوگا
نذر و نیاز كا مسلہ آپ سمجھ نہیں پاۓ اللہ كے علاوہ براہ راست اس عقیدہ كے مطابق كہ یہ پیران پیر رحمتہ اللہ علیہ كے نام كا كھانا كركے بھوكوں كو كھلاوں گا تاكہ پیران پیر رحمتہ اللہ علیہ ہم سے را ضی ہوجاءیں وغیرہ وغیرہ ایسے الفاظ كا استعمال شرك كو پیدا كرتا ہے جو اللہ كی ذات وصفات كو خالص بندہ كی طرف كردے یہ شرك كہلاتا ہے بدعت نہیں بدعت وہ عمل كہلاتا ہے جو اسلام كے نام پر كیا جاۓ اس عمل كے كرنے پر ثواب اور نہ كرنے پر نكیر كی جاۓ اور اس عمل كا قرن اول میں كوی ثبوت نہ ملے بدعت كہلاتا ہے آپ كے سمجھنے كۓ لۓ مختصر جامع الفاظ استعمال كۓ ہیں ورنہ بدعت كے موضوع پر بڑی بڑی كتابیں لكھی گءیں ہیں گیارھویں بدعت اسلۓ ہیں كہ وقت دن متیعن كیا گیا ہے اور ایصال ثواب كے لۓ ایسا كو ی نظام متعین نہیں كہ آپ ایك دن مخصوص كر كے بھر پور ایصال ثواب كرو اور پھر ایك سال كی چھٹی اسلام نے تو ہمیں یہ تعلیم دی ہیں كہ ہم روزانہ اپنے محبوبوں پیاروں اور عزیزوں كو یاد ركھیں اور ان كا ایصال ژواب كرتے رہیں اب آپ خود فیصلہ كرلیں كہ عشق ومحبت كی تعلیم كس كی زیادہ موثر ہے
غلط بلكل غلط آپ صرف اور صرف اللہ تعالی كے بندے ہیں اور صرف اسی كی بندگی كرنی ہے كیونكہ صرف اللہ ہی ہمارا خالق وپروردگار ہے ان كے نام كے ساتھ بندھی ہوءی ہوں سے كیا مطلب بھای ایسے ہی الفاظ ہوتے ہیں جن میں تمیز كرنی چاہۓ ورنہ انسان ایمان كی حلاوت سے محروم ہوجاتا ہے
میرے بھای یہ آپ كیا مثال دے رہے ہیں اللہ تعلی پیغمبر اسلام صلی اللہ علیہ وسلم شان علی كرم اللہ وجہہ شان فاطمہ الزہرہ رضی اللہ عنہما اور شان اولیاہ كرام اور اس كے محبوب بندوں كء درمیان تعلق پر كتوں كی مثال پیش كی جارہی ہے العیاذ باللہ ثم العیاذ باللہ
كیا كتوں كے علاوہ آپ كے ذہن میں كوی دوسری مثال نہیں آءی بہت سی مثالیں دی جاسكتی ہیں جیسے باغبان كی ایك مالی باغ میں بہت سے پھول اگاتا ہے ہر پھول كی خوشبو الگ مہك الگ اور رنگ الگ او وہ مالی بھرپور طریقے سے اس كی نگہداشت اور حفاظت كرتا ہے ایك بچہ باغ میں آیا اور ایك پھول توڑنے كی كوشش كی تو مالی ناراض اور غصہ ہوا لیكن پھولوں كے ساتھ چند جھاریاں اور كانٹے بہی تھے بچہ اسے پاوں سے لتارتا گیا لیكن مالی كچھ نہ بولا
جناب یہ كیسی خوبصورت مثال ہے اگر آپ كو مثال دینا نہیں آتی تھی تو نہ دیتے اس میں مثال دینے كی كیا ضرورت پڑگءی تھی یہ بات تو سب جانتے ہیں
ایسی ناقابل برداشت گستاخیاں آپ لوگ كریں تو ایمان میں كوءی فرق نہیں پرتا اور زبردستی بدنام تو وہابی اور دیوبندیوں كو كیا جاتا ہے
آپ نے جن اولیاہ اللہ كے ناموں كا ذكر كیا ہے میری درخواست ہے كء آپ ان كی كتابوں اور ان كی تعلیمات كا مطالعہ كریں انشاء اللہ شرك و بدعت سے آپ كو گھن آۓ گی اور اسلامی روح كا نور آپ كے دل میں راسخ ہوگا
آپ نے مختلف افعال كا جیسے اگیارویں وغیرہ ذكر كر كے لكھا ہے كہ یہ سلسلہ صدیوں سےچلا آرہا ہے بھاءی جان عیساءیت نصرانیت اور ہندو مذہب كی تعلیمات دین اسلام سے بھی پہلے سے راءج ہیں كیا ہم ان پر بھی عمل شروع كر دیں یہ تو كوءی دلیل حجت نہ ہوءی كء جو عمل صدیوں سے چلا آرہا ہے اسے دین كا حصہ بنا دیا جاۓ اور اپنے عقاءد میں شامل كرلیا جاۓ یہودیوں اور عیساءیوں نے اپنے پسند كی چیزیں اپنے دین میں داخل كرلیں اور جو باتیں ان كی خواہش كے مطابق نہ تھی دین سے نكال دیا جناب ہم بھی یہی طریقہ اور روش اپنے دین میں اختیار كریں
آگے آپ نے كیا باتیں كیں ہیں اس كا اسلام سے كوءی تعلق نہیں
میرے بھاءی اسلام ایك ضابطہ اور نظام كا نام ہے اس كی روح كو سمجھیں آپ نے اللہ كی بندگی اور رسول خدا صلی اللء علیہ وسلم كی اتبع اور اولیاء اللہ كی روشن تعلیمات پر عمل كیا تو كامیاب ورنہ زبانی طور پر كوءی جتنے عشق رسول كے دعوے كریں یا علی علی علی كا رات دن صرف نعرہ لگا تا رہے نجات ممكن نہیں اولیاء اللہ نے اللہ كی معرفت حاصل كر نے كے لۓ بڑی بڑی ریاضتیں اور جدوجہد كیں ہیں اور مشقتیں اور تكلیفیں اٹھاءیں ہیں اور ہم گستاخ نہ نماز پڑھیں اور نہ ہی دیگر اسلامی احكامات پر عمل كریں اور صرف بزرگان دین كے خالی نام اور نعروں پر جنت كے ٹھیكیدار بن جاۓ ایسا ہرگز ممكن نہیں عیساءیوں نے عقیدہ بنایا كہ عیسی بن مریم نے صلیب پر چڑھ كر ہمارے گناہوں كا كفارہ ادا كردیا لہذا مرضی اب ہم جو كریں اور ہم نے عقیدہ بنالیا علی علی كہو بیرہ پار كہو ہر دم علی علی میری كشتی پار لگا دینا اے مولا علی شیر خدا
اللہ تعالی ہمیں صراط مستقیم پر استقامت عطا فرماۓ
 

سرفروش

Senior Member
Sep 18, 2009
655
851
93
Karachi
<different_person>; Na Tera Khudda Koi Aur He Na Mera Khudda Koi Aur He [RIGHT said:
السلام علیكم
[/RIGHT]
میں یہاں شركاء فورم سے ایك گذارش كرنا چاہتا ہوں ازراہ كرم واہ واہ جزاك اللہ سبحاناللہ وغیرہ لكھنے سے پہلے آپ مضموں كو لازمی پڑھ لیا كریں اور سمجھ بھی لیا كریں اس كے بعد اپنے منتخب كلمات لكھا كریں
پہلے مضمون میں میرے بھای نے اللہ اور اس كے برگزیدہ بندوں پر كتوں كی مثال پیش كی ہے لیكن شاءد آپ لوگوں نے اس كے آخری متاثر كن جملہ
Na Tera Khudda Koi Aur He Na Mera Khudda Koi Aur He
خود متاثر ہوكر ؤاہ واہ كردی یا یہ سمجھ كر كے یہ اپنا بندہ ہے اس كی فورا واہ واہ كردو
آپ نے اس مضمون كی واہ واہ كر كے اس مثال كی تاءید كردی
اللہ تعالی ہمارے ایمان كی حفاظت فرماۓ
 

haroonbaig

Newbie
Jun 28, 2009
682
275
0
41
Brothers n Sisters of Islam Assalam-o-Alaikum!
aap nay bazurgun, auliya, mazarat, sufiism, nazro nayaz, waseela ki bohot c baten keen. aur isi discussion k doran aap nay Hazrat Adam (ES) ki misal di. meray bhai Hazrat Adam (ES) nay Hazrat Muhammad (SAW) ka waseela diya likn ye Quran ki kon c ayat men hai ya Hadees (SAW) ki kis kitab men hai ye aap nay nahen bataya. kindly jab aap Islamic point per discussion kar rahay hotay hen to aap ko bohot hi careful hona parta hai. aisay hi gali, chokoon aur mahalay ki bateen kisi reference k baghair yahan aik international forum per likhnay say perhaiz kya karen.

let me tell u all guyz, What Quran says about the repentance (toba) of Prophet Adam (ES) in Surah Aaraf, Ayat # 23:

OUR LORD: WE HAVE SINNED AGAINST OURSELVES, AND UNLESS U GRANT US FORGIVENESS AND BESTOW YOUR MERCY UPON US, WE SHALL MOST CERTAINLY BE LOST.

DONON ARZ KARNAY LAGAY (HAZRAT ADAM AND BIBI HAWA (ES)) K AE PARWARDIGAR HAM NAY APNI JANOON PER ZULM KYA AUR AGAR TO NAY HAMEN NAHEN BAKHSHAY GA AUR HAM PER RAHAM NAHEN KARAY GA TO HAM TABAH HO JAEN GAY

this is the reference for the Glorious Quran.
aap ki bat Quran k against hai. aisa koi reference aap Quran aur Hadith men nahen dikha saktay jis men Hazrat Adam (ES) nay waseela manga ho.

app nay bazurgun ki bat ki k wo hamari bat pohonchatay hen, ye kafi lambi behas hai k kya murday suntay hen, aur ager suntay hen to kya unhon nay ye msg transfer facility shoro ki howi hai ya nahen. men kuch pochna chahoon ga k in bazurgu say pehlay bhi to duniya basti thee, wo kis say mangti thee, off course Allah say. jab wo Allah say mangti thee to Allah (NauzBillah) in bazurgun k anay say retire nahen ho gaya. Allah ab bhi wohi hai apni puri shan-o-shokat, jaho jalal aur taqatoon k sath. men pochna chahoon ga k jab koi insan kisi bazurg kisi wali ki qabar per kuch kehta hai, wali pehlay suntay hai ya ALLAH. off course ALLAH pehlay suntay hai, to ALLAH TALLAH farmatay hen k jab mera banda mujhay pukarta hai to MEN us ki pukar ko sunta hon. mazaroon per to aik waqt men kai log hotay hen joi mukhtalif mulkoon say atay hen, jo kai zabanoon men boltay hen. kya bazurg sab ki zabaneen samjhtay hen? aur kai duaeen insan dil men mangta hai to kya bazurg ye sab suntay hen? jab k Quran men Allah farmatay hen k Allah hi hai jo diloon k hal ko janta hai. mazaroon per to har waqt log dua mang rahay hotay hen. jab k bazurg to insan honay k natay jagtay aur sotay bhi hon gay, to phir koi time muqarar kyon nahen hota mazaroon per, agar bazurg har waqt suntay hen aur unheen neend nahen aati to Allah Quran men farmatay hen Allah hi hai jis ko na oongh (yawn) aati hai na neend.

listen my brother, mera maqsad kisi per tanqeed karna nahen hai, ham sab bhai hen Alhamdulillah. sirf maqsad ye hai k agar mera koi bhai koi ghalti kar raha hai to men uska bhai honay k natay us ki islah karon. Oliya Allah ko ham bhi ahtaram kartay hen aur un k baray men bura kehnay walay ko ham bhi bura jantay hen, un ki mehnatoon say hi aaj ham jo arab sar zameen say kosoon door hen Islam ki nemat k sath hen Alhamdulillah. likn ham jo yay sab kartay hen kya kisi Oliya Allah nay aisa kuch apni zindagi men kya hai, ya kisi ko aisa karnay ka Hukum diya hai? naheen kabhi nahen, bcoz jo Allah k wali hotay hen wo kabhi Allah aur us k Rasool (SAW) ki bataii howi taleemat k khilaf na koi hukam detay hen aur na koi amal kartay hen.

JazakAllah Khair
 
Status
Not open for further replies.
Top