Hazrat Yusuf (A.S) & Zulaikha Ki Shadi.

  • Work-from-home

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
Asslam o Alikum.hope sab members theik & apni life enjoy kar rahe hon ge.

mera sawal ye hai k kafi logon ka kehna hai k Hazrat Yusuf (a.s) ki shadi Zulaikha se hoi thi Aziz-e-Misr ki wafat k bad.
aur kuch kehte hain k nahi hoi thi.

kia aap bta sakte hain k kon si bat sahi mani jae gi?

aur plz jo bhi bat ki jae with reference ki jae.kia Quraan me bhi ziker aya hai is ka?ya kisi hadees me?
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

ji bohot se loog kehte hain k Hazrath Yusuf a.s ne zulekha se shadi ki thi

aap aur ham sab ek baat zahen me rakhen kisi k kehne se koi baat haq nahi hoti jab tak k wo Quran aur hadees se sabit na ho...hamare liye asaas aur buniyad Quran aur Hadees hai

ibne katheer apni tafseer me likhte hain k Hazrath Yusuf a.s ne zulekha se shadi ki thi aur wo isse sau fisad sahi nahi kehte balke wo daleel ye pehs karte hain ki talmud me iska zikar hai israili riwayat me isko lekar thore olama bhi kehte hain....

par Quran me jaise k zikar hai wo aurat fahash nazar se Yusuf a.s ko dekhti thi aur batkari bhi karne ki koshish ki to ye kaise mumkin hai k koi aisi aurat se Nabi ki shadi hojaye.......

almuhim na to hame Qurna se saboot milta hai na Hadees se to hame is mamle me ulajhna nahi chahiye

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
savio bhai Jazak Allah khair..
aap ne mera thread dekha,read kia aur phir reply kia os k lie main aapki shukar guzar hon....

aur ab main aap ko Quran ka hawala deti hon jis se ye sabit hai k Hazrat Yusuf (a.s) ki shadi hoi thi.
Marf ul Quraan me Surat Yusuf ki tafseer me likha hai.jis se sabit hai k onki shadi hoi h.Surat k End me likha hai.Marf ul Quraan jo k Quraan-e-pak ki tafseer hai.

ji haan Hazrat Zulaikha phle buhot hi buri aurat thi.phir jab in k pehle sohar ka inteqal hoa to os k bad Allah tala ne inhe hidayat de di thi aur inhu ne apne gunnahon ki muafi bhi mangi thi.aur buhot hi naik ho gai thi is k bad in ki shadi Hazrat Yusuf (a.s) se hoi.aur in k do bete bhi hoe.
 
Allahi barik feek :)

shayad apne hamara jawab bagaur nahi padha

hamare liye asaas aur buniyad Quran aur Hadees hai
aap jo hawala de rahe ho usme marf ul quran jo k Quran ki tafseer hai wo tafseer karne wale musnnif ne ye baat kahi hai aap hame ye quote karke batayen k unhone usme kya hawala diya hai kya wo koi hadees pesh kiye hain iski dalalat me agar aisa hai to phir aap wo hadees batayen.....

agar ye sirf inka qaul hai to phir hamare liye hujjat nahi hoga kyun k hujaat sirf Allah aur uske Rasul s.a.w ki baat hogi

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
kisi sahih sanad se sabit nahi hai ke yusuf alaihissalam ki shadi zulaikha se hui hai
ibne kaseer ne likha hai unki kitab qisasul anbiya main hai wo kahte hain ke kaha jata hai to is se pata chala ke unko khud yaqeen nahi hai bas waise hi zikir kiya hai albatta israili riwayaat main hoga isliye kuch loug kahte hunge

lekin jab tak sahih sanad se sabit na ho jaye jab tak Rasul s.a.w se hame daleel na mil jaye ham usko nahi maan sakte

wallahu Aalam

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
jaise k hamne pehle kaha ye bas qaul o qayal hai koi wazhe daleel nahi....

yato in cheezon ko israeeli riwayat se liya gaya hai ya phir khud ki soch hai jo ke islam me aisa karna haram hai

yahi baat qisasul anbiya main likhi gaee hai, ibne katheer ne khud likha hai ke kaha jaata hai aur kaha jata hai ko ham kaise manenge jab tak Rasul s.a.w se sabit na hojaye agar aisi cheezon ko manne lagenge to har koi apni baat manwane me apni daleelen leke aayege ham to bas Qala Allah aur Qala Rasul s.a.w chahiye

sahih sanad se saabit nahi hai isliye isko ham nahi maan sakte

aur agar waisi baat hoti to Allah tala quran main bayan karte ke jis aurat ne yousuf a.s ko bahkaya tha baad main ham ne usi aurat se shadi karadi

lekin aisi koi baat hame nahi milti wallau aalam

apse aur tamaam doston se guzarish hai aap motabar tafseer padhen aisi tafseer na padhen jisme loog apne mazhab apne firqe ya phir apni jamat k aqaid ko gadhne ki koshish ki hai aur mumkin ho to aap Ibn Katheer ka mutal karen jo k behtareen tafseer hain usme unhone agar israeeli riwaya laye bhi hain to wazhe kardiye hain k ye israeeli riwayat hai aur agar koi hadees zaeef ho to wo bhi bata diye hain

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Top