Mohabbad - Aik Pak Jazba, Aik Rahim Ehsaas!

  • Work-from-home

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-O-alaikum

Meri haal hi thread Mhabbat kay silsilay ko jaari rakhtay huway iss post ko likh raha hoo, jo kay mohabbat kay concept ko mazeed clear karay ga.... umeed hay aap ki basaratoon ko yeh tehreer achii lagay gii, khush rahyeh.

Aaj kal humaray maashray main jo faza qayim hay, yaani jis tarah kay columns hum akhbaar main paRhtay hain, jis tarah kay morning shows main sawaal hotay hain, jiss tarah ki shaayeri hum paRhtay hain, jiss tarah kay afsaanay hum paRhtay hain, jiss tarah ki films hum dekhtai hain, jiss tarah ki guftagoo humaray dost hum say kartay hain....... hum kahin na kahin SACHII MOHABBAT ko ruswa kar rahay hotay hain....!!

Hum aur humara maashra MOHABBAT ki jo manzar kashii kar raha hay woh mujhay zaati tour per bohat takleef daita hay.... hum apnay maashray main jiss mohabbat ka propeganda kar rahay hain woh Mohabbat nahin hay balkay 'khudh-gharzi' aur apni 'hawas' aur 'jinsi khuwahishaat' ki takmeel ka aik sabab hay.... aur isi waja say humaray maashray main bohat see beemariyon nay janam lia hay jo kisi deemak ki tarah humaray culture ko humari soch ko, humari saqaafat ko aur humari religios values ko andar hi andar khoukla kartii jaa rahii hay...!

MOHABBAT ko samajhna koi itna mushkil nahin kay iss per nisaab likhay jaayain, mohabbat ka taqaaza REHMAT hay, agar aap kay dil main REHAM hay tou aap ka dil mohabbat say sar-shaar hay....!! Aik martaba Nabi-e-Karim SAW Shaba-e-Karam kay saath tashreef farma thay kay Hazrat Hassan RZ jo kay choutii umar kay thay wahan say guzray aap nay foran unhain bulaaya aur unn ka 'bosa' lia.... wahan aik badoo sardar jo kay jang-jo sjhaksiyat ka maalik tha wahan baitha tha, uss nay kaha kay meray itnay baitay hain magar main nay aaj tak kisi ko bosa nahin dia, aur Nabi ho kar aisa kar rahay hain... Aap SAW nay farmaya kay jiss kay dil main ALLAH nay REHMAT nahin rakhii main uss ka kia kar sakta hoon!!

Aksar aap nay dekha hay kay hum kehtay hain kay Mohabbat kartay nahin ho jaati hay, kisi ko pehli nazar dekha aur uss kay ishq main griftaar hogaya.... yeh kaun sii mohabbat hay jo shakal ko dekha aur hum girftaar hotay chalay gayay... ASAL mohabbat insaan kay Kirdaar, uss kay ki guftaar, uss kay ikhlaaq say hotii hay..... Mohabbat karnay kay shak-o-surat ka hona zaroori nahi.... aisay log aksar apni mohabbat ko haasil kar kay apni hawas bhuja kar apnay say dour kar daitay hain..... Nabi-e-Karim SAW ki zaat-e-mubaraka ho, Humaray kitnay Azeem-us-shaan Sahab-e-Karam hain, kitnay jangi supashalaar hain, hum nay unn ko daikha nahin magar humara dil unn ki mohabbat main giraftaar hay kiyonki unn kay kirdaar, unn ka ikhlaaq aur unn kay kaarnamay humain unn say mohabbat karnay per majboor kar daitay hain.... More you know about someone personality more you get in LOVE with them.....!!

Islaam kay ibtidayii dinoo main Sahaba-e-Karam aur Taba-Tabiyeen Seerat-un-Nabi SAW apnay bachoon ko paRhaatay thay taakay jitna woh AAP SAW kay baaray main jaanain utna hi unn ki mohabbat main griftaar hoon.

ISLAM mohabbat say nahin roukta, humain fitrii tour per koi acha lag sakta hay, magar aap khudh hi iss ka andaaza lagayain kay aik haseen tareen laRkii hay aur aap ko pehli nazar main dekhtay hii aap ka dil uss per raaghib hogaya, magar agar woh bad-ikhlaaq hay, aur bad-zabaan tou aap main say kitnay ussay apnaanay ki koshish karain gain. Humain MOHABBAT kay sahii ma'anay samajhnay ki zaroorat hay...

ALLAH SWT Shohar aur biwi kay darmiyan mohabbat paida farma hi daita hay, aap khudh sochay kay aik laRkii jo apnay shohar ki adatoon say waqif nahin hoti aur uss ka khandaan alag, shehar alag, qabeela alag, magar srif chand dinoon main woh aapas main itni mohabbat karnay lagtay hain kay apnay waldain aur ghar waaloon ki mohabbat bhi uss mohabbat per haawii ho jaatii hay, yeh hay woh REHAM ka tazkara jo ALLAH SWT insaani diloon main paida kar daita hay!

Humain chayeh kay hum MOHABBAT kay iss azeem rishtay ko unn baazaari mohabbat ka shikaar na honay dain, jiss ka aaj har taraf charcha hay, har film, har gaanay main, har kahani, har afsaanay main zikar hay... SACHII MOHABBAT dilooo ko RAHIM banaatii hay Hawas ka pujaari nahin!! May ALLAH SWT light and guide our ways

AMEEN Aap ki duwaoon ka talabgaar, ek khaaksaar.

Fi amaan ALLAH

@h@!der @Seap @Shizu @NailaRubab @Rubi @AM_ @Hoorain @fouziakhan @Hira_Khan @Fanii @Shiraz-Khan @fatimanoor
 
  • Like
Reactions: Shizu and Rubi

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
Walaikum slam. Bohat achi. Tehreeer h ran ji waqi vary beniaz hen hmary nabi or sahaba ki. Koi barabri nhi mohobbat pak ho to Allah nhi sath hoty hen mohobbat ka ek nhi Kaye drang Kaye chehry hen. Maa baap bhen bhayi sy mohobbat Allah or us zikar sy mohobbat doston sy mohohbbat husband and wife. Even kudrat ka har zarra. Shamil by log WO taleem bhol gaye Jo Allah or Quran kehta by sub apny ustaddd khud hen. Yeah mohobbat nhi shirk karty hen or. Isy mohobbat ka name dety hen shaklo sSurat to ek din khatam ho jati by kirdar wwaqt k sath or roshan hora hy nikhar jata hy brain wash hrn sub k do din k logo ko taj pehnaty hen or jin sy barskn k taluq ho bhool jaty hen Allah agar mohobbat sy rokty q k. Khud unho NY nabi ki mohobat me dunia na bnaty. Thanks for sharing bohat khubsurat hy tehreer sub reality by about ppl. Bus Allah Waly to Allah k ehkam par chalty hen
 
  • Like
Reactions: thefire1

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Walaikumassalam..
Ameen @ all dua !
 

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Walaikum slam. Bohat achi. Tehreeer h ran ji waqi vary beniaz hen hmary nabi or sahaba ki. Koi barabri nhi mohobbat pak ho to Allah nhi sath hoty hen mohobbat ka ek nhi Kaye drang Kaye chehry hen. Maa baap bhen bhayi sy mohobbat Allah or us zikar sy mohobbat doston sy mohohbbat husband and wife. Even kudrat ka har zarra. Shamil by log WO taleem bhol gaye Jo Allah or Quran kehta by sub apny ustaddd khud hen. Yeah mohobbat nhi shirk karty hen or. Isy mohobbat ka name dety hen shaklo sSurat to ek din khatam ho jati by kirdar wwaqt k sath or roshan hora hy nikhar jata hy brain wash hrn sub k do din k logo ko taj pehnaty hen or jin sy barskn k taluq ho bhool jaty hen Allah agar mohobbat sy rokty q k. Khud unho NY nabi ki mohobat me dunia na bnaty. Thanks for sharing bohat khubsurat hy tehreer sub reality by about ppl. Bus Allah Waly to Allah k ehkam par chalty hen
pasandeedgi kay liye bohat bohat shurkiya @Seap... aap nay iss tehreer ko bohat hi behtreen tareeqay say samajha aur uss per comment kia, jiss kay liye khiraj-e-tehseen qubool kijyey, khush rahyeh/
 
  • Like
Reactions: Seap

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
pasandeedgi kay liye bohat bohat shurkiya @Seap... aap nay iss tehreer ko bohat hi behtreen tareeqay say samajha aur uss per comment kia, jiss kay liye khiraj-e-tehseen qubool kijyey, khush rahyeh/
nawazish khush rahiye :)
 
Top