قسمت کا حال (must Read)

  • Work-from-home

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
jazakAllah khair mohsin bhai..

nd ameen summa ameen
 

Mughal1

Regular Member
Dec 12, 2010
126
36
328
bahot hi kaam ki baaten hen magar agar ham ghor se sochen to yeh sab kuchh musalmaanu main islam ke naam par jo aqeede phelaaye ge hen un ki wajah se ho raha hai. agar jaadu ko islam ka aqeedah is lihaaz se na banaaya jaata keh yeh koi fitrati quwat se alag cheez hai to log is wehm main mubtila hi na hote aur yun har bemaari ko kisi dushman ka karwaaya huwa jaadu na samajhte aur yun apni bemaariyun ka ilaaj ghalat tareequn main na dhoondte. kyunkeh log jaadu ko aik maawaraaye asbaab cheez maante hen isi liye woh samajhte hen is ka ijaab bhi koi aisa shakhs kar sakta hai jis ke paas maa waraaye fitrat quwat ho.

Mullah log is aqeede ko quran se aik aisi bunyaad fraham karne ki koshish karte hen jo quran main hai nahin. Quran main lafze sehr istemaal huwa hai jis ka tarjama jaadu kiya jaata hai aur jaadu ke lafz ko aik bebunyaad tasawur diya jaata hai. Lafze sehr ka maada SEEN, HAA aur RAA hai. is ka thos bunyaadi matlab hai kisi shai ka kisi doosri shai main badal jaana. misaal ke tor par sach ka jhoot main badal jaana yaa din ka raat main badal jaana.

Agar aap ghor karen to lafze sehri sehr hi se nikla hai, yani sehr ko sehr is liye kehte hen ke yeh raat ko din main badalne ka waqt hota hai. quran main ambiya par kufaar sehr ka ilzaam is liye nahin lagaate the ke woh koi maawaaye asbaab kaam karte the balkeh is liye ke woh un ka apne khitabaat se deen badalne ki koshish karte the aur yeh baat un logoon ko pasand na thi jo un ke waqt ke chaudhari aur un ke mullah the. warna agar ambiya jaadu us andaaz se karte keh woh har kaam maawaraaye asbaab karte to isi ka to woh log asraar karte the keh ham ko koi jaadu toone ka khel dekhao agar tum khudaa ki taraf se aaye ho. aisa koi kaam na koi khudaa parast aur musalmaan kar sakta hai na hi koi gher muslim agarche ke woh shaitaan ko pooje.

kyunkeh mullah logoon ne aisa aqeeda phelaaya keh jo log khudaa ki taraf se aate hen woh ajeebo ghareeb kartab dikhaate hen mawaraaye asbaab isi liye logoon main aisi cheezen zor pakad gayin. khudaa ne ambiyaa sirf aur sirf logoon ko aqal sikhaane ke liye bheje the na keh jaadu ke kartab dikhaane ke liye.

mullah ke mutaabiq agar un logoon ko paighambar aisi mawaraaye fitrat cheezen na dikhaate to woh imaan na laate. aisi baaten bilkul ghalat hen. quran main aisi baaten hen jin ke zor par quran apna min jaanibillah hona manwaata hai. is main aisi aqli baaten hen jin ko log aaj bhi sun kar dang reh jaate hen. aik zamaana tha log aur to aur padna likhna bhi nahin jaante the to woh aisi kitaab kahan likh sakte the. yani jin ko khud aqal nahin woh kisi aur kia aqal sikhayen ge? aaj ke dor se bhi qurani ilm bahot hi aage hai. quran ko samjhne ke liye har tarah ke aloom par dastaras darkaar hai. aakhir ghor to karen kia naqaais se paak insaani maashre ka program ilm ki baat nahin? insaan isi duniya ki zindagi ko sanwaarne ke liye hi to maara maara phirta hai. agar log quran ko samajh jaaye to un ki duniya aur aakhirat dono hi sanwar jaayen gi.

jo quran khudaa ke wajood ko yun saabit kar sakta ilm ki bunyaad par us ko kisi aur tareeqe se apne wajood par daleel mohiya karne ki kia zaroorat ho sakti hai? phir agar ham maan len khudaa ne ambiyaa ke zariye bahot se aise kaam dikhaaye jo insaan nahin kar sakte the kyunkeh woh maa fokal fitrat the to phir sawaal peda hota hai keh us dor main yaa us jaga khudaa ke deen ki sachaaye ka kiya saboot tha jahan koi nabi kisi waqt yaa kisi jaga mojood hi na tha? agar mojzaat ke bager khudaa par imaan laana mumkin hi nahin to phir aaj mojzaat kahan hen aaj ke logoon ke liye? aur agar mojzaat ke bagher imaan laana mumkin tha to phir mojzaat kis liye?

agar jaadu aur mojzaat main kuch faraq hi nahin kyunkeh dono maa fokal fitrat cheezen to phir logoon ko kaise pata chale ga yeh jaadu hai aur yeh mojza hai? isi liye aaj bahot hi ziyaada log har aamil ke paas bhaag rehe hen aur shadeed uljhanu ka shikaar hen apni jahaalat ki wajah se. in main maulana kehlwaane waale bhi hen aur peer kehlwaane waale bhi. isi liye ilm ka seekhna ashad zaroori hai ke ilm hi insaan ko har jhoot aur fareb aur makaari se bachaa sakta hai.

yeh sab jahaalat ka hi nateejah hai keh log kiis ko bazurg mashoor kar dete hen apne gande maqaasid ke liye phir us ki karaamte mashoor kar dete hen aur phir bahot jald us ka mazaar bhi banaa dete hen aur yun pooja paat shuru ho jaati hai. insaan ko ashraf al makhluqaat banaaya gayaa hai aur sab jahan ki quwaten is ke liye musakhar kar di gayee hen basharte ke yeh in chhoti chhoti bebunyaad baatun se nikle. jin cheezun ko hamaare qabze de diya gayaa hai ajeeb baat hai ham unhi se dar dar kar jee rehe hen to un ko musakhar kab karen ge aur kab un insaaniyat ke faaide ke liye istemaal main laayen ge?

is ka sab se ziyada nuqsaan unhi logoon ko hota hai bahesiyate qowm. kyunkeh jis ghar ke log jahil hun woh ghar tabahi se bach nahin sakta, jis gaoun ke log jahil hun yaa jis shaher ke log jahil hun yaa jis mulak ke log jahil hun woh barbaadi se kaise bach sakta agar apni rawish na badle. khudaa kiis qowm ki haalat khud aa kar nahin badalta us ne ilm de diya hai us ko seekhne se log badal sakte hen aur yun apni zindagiyan achhi banaa sakte hen.

is tarah ki baatun se yeh jaan lena qatan mushkil nahin hai ke jaadu toone maa fokal fitrat kuchh bhi nahin hote mehz logoon ki phelayee hui bebunyaad baaten hen jin se jahil log dar jaate hen aur un ko tod nikaalne ke liye dar dar ki thokren khaate hen. yani jab jaadu huwa hi nahin to tod kaisa. yeh to aisi baat hui keh do dost apas main baaten kar rehe the, aik aqalmand aur doosra bewaqoof. aqal mand ko soojhi aaj main apne bewaqoof dost ko bewaqoof banaun. itne main aik kutta bhaa aaya aur un dono ke paas se guzar gayaa. aqalmand ne bewaqoof se kaha, dost tera kaan to kutta le bhaaga hai. us ne na aao dekha na taao aur kutte ke peechhe bhaagna shuru kar diya. bas chalaak log nasamajh logoon ko yun hi bewaqoof banaate rehte hen is liye apna difa ilm haasil kar ke kijiye. momin na kisi ko dhoka deta hai na kisi se dhoka khaata hai.

jinnu ke baare main bhi logoon ne ajeebo ghareeb tasawuraat peda kiya huwe hen jin ka qurani taleemaat se door ka bhi waasta nahin hai. magar woh baat phir kabhi sahi.
 

Mughal1

Regular Member
Dec 12, 2010
126
36
328
jaadu ke mutaliq logoon ko ujhan is liye bhi hoti hai kyunkeh har woh shai jis ka shuru se aakhir tak ka silsila yani us ki har aik kadi hamaare saamne ho woh to ham jaante hen magar jahan kahin kisi shai ka shuru yani ibtadayee amal to pata ho aur aakhir yani nateeja bhi hamaare saamne aa jaaye magar us ke darmiyaan ki koi kadi yaa kadiyan posheeda hun to ham us ke mutaliq tohamaat ka shikaar ho jaate hen.

misaal ke tor par insaan gaadi yaa hawayee jahaaz banaata hai aur yeh aik ajeeb cheez hai magar ham ajeeb is liye nazar nahin aati kyunkeh ham dekh rehe hote hen insaan aik aik cheez ko jod kar in cheezun ko kaise banaata hai. magar jab ham bemaar pad jaate hen aur phir theek ho jaate hen to to ham us cheez ki tarah apni sehtyaabi ko mansoob karte hen jis ne hamaare zehn ke mutaabiq ham ko shifaaa di. jaise agar aap bemaar huwe aur aik dactor ke paas ge aur us ne aap ko dawaa di aur kuchh din baad aap sehtyaab ho ge to aap doctor ki tashheer karte hen keh falaan dr sb bahot achhe doctor hen. bilkul isi tarah agar aap bemaar hun aur aik aamil ke paas jaayen phir woh aap ko kuchh jantar mantar se theek karne ki koshish kare aur phir aap khud ko sehtyaab mehsoos karen to aap us aamil ki tashheer karen ge. yahee amal aap ka kisi molvi yaa peer waghera ke mutaliq ho ga. agar kisi tarah aap ko yeh maloom ho sake ke aap bemaar kyun huwe aur theek kyun huwe jo tohmaat aap ke zehn main mojood hen sab ke sab khudbakhud khatam ho jaayen ge.

ab sawaal peda hota hai kia aap ko in cheezun ka ilm ho sakta hai? is ka jawaan yeh hai insaan hamesha se aise tareeqe daryaaft kar raha hai tajarbaat ke zariye jin se bahot si baatun ka saheeh tor par pata chal sakta hai. misaal ke tor par jab aap bemaar hote hen hospital waale aap ka pishaab yaa khoon laboratory main chek karte hen yeh baat jaananae ke liye keh aap ke jisam main koee muzir cheez to nahin hai jaise zahir yaa koi jarsooma waghera. agar kuchh mil jaaye to un ko dowayee ka ilm hota hai kon si dowayee kis zahir yaa jarsoome ko khatam karne main madad de sakti hai. ab doctor ko koi bhi jaadugar nahin kehta kyunkeh logoon ko pata chal chuka hai doctor ke ilaaj ka tareeqa. ab agar aap kisi aamil ke paas jaate hen to woh aap ko apni bemaari ki kuchh bhi tafseel nahin de sakta ke aap ko bemaari kia hai ya kyun hai aur us ke ilaaj se aap theek kaise hun ge. bas chand bani banayee baaten aur amliyaat hen aur aap hen aur aap ka aamil baba. agar kaam ho gayaa to theek na huwa to heela bahaana banaa liya jaata hen ke amal ke karwaane main aap se kuchh ghalatiyan ho gayee hen.

misaal ke tor par aap ko sar dard tha aur aap aamil baba ke paas ge aur us ne apni taraf se jhaad phoonk ki aur aap khud ko theek samajhne lage. yahan tak to koi haraj nahin magar jab aap ehtqaadan is baat ko maan len ge ke yeh baaba bahot hi pohnche huwe bazurg hen tab baat aur ho jaaye gi. isi liye amliyaat par is tarah se barosa karna aur shakhsiyat parasti main mubtila ho jaana khatarnaak hai. isi wehm se logoon ko nijaat dilaane ke liye ham ko kuchh baaten jaanani laazmi ho jaati hen warna ham nuqsanaat ka shikaar ho sakte hen. yahee waja hai aise baabun ki shakhsiyat se parda uthaana az bas zaroori ho jaata hai ta keh awaam ko ghalat baatun se bachaaya jaa sake. ab sawaal peda hota hai is ghalat fehmi ko door kaise kiya jaaye keh babaa main maa foqal asbaab koi taaqat nahin hai.

yeh aisa kiya jaa sakta hai keh baaba ko aik aise shakhs par amal karne ki daawat di jaaye jis ka jisam ka koi hissa judaa ho gayaa ho jaise accidents main hota hai. ab agar baaba ke paas waaqe hi koi taaqat hai maa foqal asbaab to woh zahir ho jaaye gi. abhi tak kisi mazhab ke kisi bhi perokaar baaba main aisi taaqat saabit nahin ho saki kisi bhi mulk main. jahan jahan sansdaanu ne baabu ko dawat di hai. jo log bhi saamne aaye beroopiye saabit huwe. loogun ko bewaqoof banaa kar lootne waale. is par bahot bada inaam bhi rakha huwa hai karodoon rupee ka. is bare main youtube par video dekhiye.

phir sochne ki baat yeh bhi hai keh agar in logoon ke paas aisi maa foqal asbaab taaqaten hotin to phir insaanu ko itna padhne likhne ki zaroorat hi kia thi aur aaj tak insaan ne jo kuchh seekha apne tajarbaati ilm se seekha siwayee wahee ke ilm ke jo khudaa ne insaan ko diya. wahee ka ilm aisa hai jo har sahibe aqal se khud manwaata hai keh yeh insaani ilm nahin hai. misaal ke tor par aap main se kitne log doosrun ko apne se ziyaada hoshyaar yaa chalaak dekhna chahte hen? kon hai jo itna ilm kisi ko muft main de har koi kuchh karta hai to copyright karwaata hai. aur insaan to itnak ahmaq hai chhoti chhoti cheezun se darta hai jahan main aur quran is ko sahaara deta hai miyan tun bade kaam ki cheez ho yeh kaainaat tamaare muqaabil kuchh bhi nahin hai. tunapne ilm se is par ghalba pao ge.

kia yeh baat ajeeb nahin hai keh sab log aik doosre ko bewaqoof banaane ke chakar main hen aur quran sab ko in chakarun se nikaalna chahta hai? yani log khud aik doosre ke sakht dushman hen aur quran un ko apas main dost banaana chahta hai. quran agar insaan ka kalaam hota to duniya waalun ko chakar deta kyunkeh yahee duniya waalun ka ilm hai. aik doosre ko chakar dena. insaan jahil hai aur quran ilm ka mumba. to yeh kaise mumkin hai is kitaab ko sadyun pehle aik unpad shakhs se likh liya ho jo aaj ka unpad insaan nahin kar sakta?

isi liye quran main jis sehr yaa jaadu ka zikar hai woh khud quran hi se saaf saaf saabit hai. yani woh koi gher maree maa foqal asbaab quwat nahin hai. bas kufaar ka khadsha tha keh paighambar un ko chaklar de kar apna matlab nikaalna chahta hai. yeh khadsha un ke dilun main un ke baadshahun aur molavyun ne daala tha apni rawish ko qaaim rakhne ke liye. yun un logoon ne khudayee sach ko jhoot ke libaas main dhaal diya. us ke khilaaf propaganda kar ke nafraten phelayen khudaa hi ke naam par. haq phir bhi ehle ilm par zahir raha jaise ke aaj hai. yani is main paighambar ka apna zaati faaida kahan hai logoon ko nuqsaan de kar? woh kehta hai islam ke liye kaam karta hun kyunkeh yeh mission mujhe khudaa ne diya hai insaaniyat ki bhalayee ke liye. kia quran main is ke siwaa bhi kuchh hai? nahin hai na to phir kufaar ka yeh kehna kahan tak drust hai keh islam amano amaan ko tabah karne ka hokam deta hai? yahee wajah hai quran kehta hai haq jhoot ka bheja nikaal deta hai. sach ke sach hone ka saboot khud quran main hai.

quran ke mutaabiq cheezun ke badalne ka yahee matlab hai keh log sach ko jhoot aur jhoot ko sach banaa kar pesh karne ki koshish karte. jo jahil log hen is main dhoka khaa jaate hen magar ehle ilm jaante hen apne ilm ki bunyaad par ke sach kia hai aur jhoot kia. yeh baat hamesdha yaad rakhen cheezun ki fitri haqeeqat nahin badalti. insaan insaan rehta hai aur gadha gadha. kisi bhi jaadu, karaamat, mojze se aisa kabhi nahin ho sakta ke insaan gadha banaa diya jaaye. is ki wajah khud khudaa ka yeh elaan hai ke is jahan main wohi ho ga jo khudaa ne chaha aur jesaa us ne chaha waise hi woh is jahan ko chalaa rahaa hai. usi ne is jahan ko nazmo zabt diya aur aik khaa tareeqe aur qanoon ke mutaabiq is ko chalaa rahaa hai. woh apne nizaam aur qanoon ko khud kis liye tode ga? jo khud qanoon tod de apni taaqat nke nashe main woh aadil kaise ho sakta hai? phir khudaa ka kehna hai woh raheem hai kareem hai aur apne waade ke khilaaf kabhi nahin jaata. isis liye qawaneene fitrat atal qawaneen hai. aur kyunkeh jahan un qawaneen ka paband hai isi liye is main aisi baatun ko islam maanana bikul ghalat hai jo khudaa ki shaan main nuqs peda karen. khudaa hikmat waala hai aur taaqat waala hai magar woh apni taaqat hikmat ke saath istemaal karta hai ehman pan nahin dikhaata.

is liye aise mullah se bakhabar rehen jo islam aik mazhabi hesiyat se pesh karte hen. sir syed ko isi waja se in logoon ne kufar ke fatwun se nawaaza tha aur iqbal aur jinnah ko bhi. in logoon ki to mat maari gayee hai keh aik doosre ko din raat kaafiro mushrik kehte rehte hen aur inhi baatun main musalmaanu ko aapas main ladwaate rehete hen. in logoon ke peechhe chal kar ummat ne apna beda gharq kar liya hai. aaj log zindagi se tung hen kisi musalmaan ki koi izzato waqaar nahin hai duniya main na aik doosre ki nazar main. har taraf afra tafree ka aalam hai. qowm ko hosh karna chahiye aur aqal seekhna chahiye aur in pastiyun se nikalne ke liye mil baithna chahiye. ummat ke hamdard ulemaa ko pehchaane aur un ka saath den ta ke ham log islam ko duniya main saheeh tarah se rooshnaas karwaa saken. sir syed, iqbal aur jinnah jaise logoon ke nazriyaat ko hamen samjhne ki koshish karni chaiye. iqbal ki nazar main mullah har woh shakhs hai jo khud ko aalim kehlwaata hai magar baaten jahaalat ki karta hai aur unhi par data huwa hai.
 
Top