~Bazm-e-sukhan Anaaya Ali k sath~ *Amreen*

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalm u alaikum wrwb
umeed hai Alhamdulillah ap sb khush hon ge..:)
Bazm-e-sukhan ka jo silsila humne shuru kia tha ..use aage barhate huve humari dosri mehman ko bula rhi hon..
to is week ki mehman hain sb ki jani mani humari boht pyari dost or behan Amreen..jo shairy section ki mod b hain or boht hi sweet nature ki hain,har ek se in ki achi dosti hai..mashAllah se doctor b hain:)
chalen ji is dafa hum ek dostor ka shairy ka zoak dekhte hain.:p

Gulon me Rang bhare baad-e-no Bahaar chale..
chale b aao k Gulshan ka karo'bar chale..!!!


ye rahe chand sawalaat ..umeed hai ap humare sath bazm-e-sukhan ko enjoy kren gi..



ap sb b Amreen siso ko khushamdeed kahen..
khush rahe:)
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam ji hum khairiyat se hain aur is baar to pichhli baar se
zyada maza aayega aakhir mod of shayari section se baat chalegi shayari ke
baare mein hmmm to ur most welcome here Amreen ji


 
  • Like
Reactions: Amreen and ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Wa'alaikum assalam ji hum khairiyat se hain aur is baar to pichhli baar se
zyada maza aayega aakhir mod of shayari section se baat chalegi shayari ke
baare mein hmmm to ur most welcome here Amreen ji


hmmm..
pichli dafa b boht maza aaya tha..:)
bs maza lene wale ly gaye..:)
is dafa yahan se geer'hazir na rahe ga..ok..:)
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
[SHADOW=5]Walikum Salam.....

Khush Amdeed Amreen sahiba
Hum Aapko Apni Is Khoobsurat Bazm Main Dil Ki Gehraiyon Sey KhushAmdeed Kehtey Hain Or Umeed Kertey Hain K Aap Ka Sath Hum Sab K Liyey Khoobsurat Rehey Ga
Aur ye umeed bhi karte hain ki yakeenan aapka safar iss dariya-e-sukhan mein bahut hee khushgavaar guzregaa...
[/SHADOW]



 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and Amreen

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
ek waqt tha hamare siva yeh colur koi or use kar hi nahi sakta tha
baned kya hoye logon ne colur per hi qabza krlya bina font colur ke hi ghomna phir rha hai
 
  • Like
Reactions: Amreen and ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Acha ok.....Udaasi acchi anhi hoti....Humne just select kiya tha wo color but kisi ki dilaazaari k liye nahi..
abb nahi karenge...khush..
 
  • Like
Reactions: Amreen

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
yahan phir off the topic baten shuru hogayi...
aap apna pasandeeda color use kar sakte ho...topic se related hi baat karen..
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
hum dil ki sunne walon main se hain topics ki nahi ek kaam karen aap hawaon se hi baaten karlen baat agr topic se related hi krne ki hai
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Assalm u alaikum wrwb
umeed hai Alhamdulillah ap sb khush hon ge..:)
Bazm-e-sukhan ka jo silsila humne shuru kia tha ..use aage barhate huve humari dosri mehman ko bula rhi hon..
to is week ki mehman hain sb ki jani mani humari boht pyari dost or behan Amreen..jo shairy section ki mod b hain or boht hi sweet nature ki hain,har ek se in ki achi dosti hai..mashAllah se doctor b hain:)
chalen ji is dafa hum ek dostor ka shairy ka zoak dekhte hain.:p

Gulon me Rang bhare baad-e-no Bahaar chale..
chale b aao k Gulshan ka karo'bar chale..!!!


ye rahe chand sawalaat ..umeed hai ap humare sath bazm-e-sukhan ko enjoy kren gi..



ap sb b Amreen siso ko khushamdeed kahen..
khush rahe:)


han ji annu hum sawalat ke jawab de rahe hain...wese sawalat bohat ache hain...


1. annu is sawal ka jawab dena bohat mushkil hai mere liye...kyunki khud mujhe nahi pata ke shayri me meri dilchuspi kab aur kese paida huwi...shuru se mujhe zara si bhi dilchuspi nahi thi sher o shyri se...lekin jab main Masters kar rahi thi to hamare ek sir the wo apni her bat ke ikhtetam per koi sher zaroor parhte the...bus unke sher sunte sunte achanak se hi meri shyri me dilchuspi jagne lagi...mera bhi dil chahne laga ke unke sher ka jawab main sher se hi doon...bus isi khuwahish ne shyri ki taraf mere zehen ko mor diya...aur khud ba khud shayri me dilchuspi barhne lagi...to bus yehi kahani hai mere shayri me dilchuspi lene ki aisa kabhi nahi raha ke main hamesha se hi sher o shayri me interest rakhti thi ye interest to achanak se hi develove ho gaya...


2. Jis tarah khwaab mere ho gaye reza reza
Is tarah se na kabhi toot ke bikhre koi
3. han kabhi kabhi...baz dafa aisa hota hai ke hum her bat jaban se nahi keh pate...wo baat hamare dil me hi dabi reh jati hai...per kabhi agar koi sher hamari nazar se guzarta hai aur use parh ke lagta hai ke ye to hamare hi dil ki awaz hai jo hamare dil me hi dabi reh gai kabhi zaban se ada nahi ho saki ye to wohi bat hai....to is lehaz se shayri sach bolti hai....



4. badalte mausamo me mausam ke hisab se dil kabhi khush to kabhi udas huwa jata hai...per barish aur sardi dono hi mere pasandeeda mausam hain...barish me bheegna mera pasandeeda shaghal hai...tab tak bheegti rehti hoon jab tak ammi se dant na par jaye...



dicember ki thithurti sardiyon me dhundh ki chadar me lipta zard sa chand dekhna aur dhundh me door tak chalte chale jana dhundh ke wajah se aage kuch na dikh raha ho per chalte hi chale jana mera pasandeeda shaghal hai....

5. han sunaya to hai...aur wo main aapko sunati hoon...:)

Chup ke aalam me wo tasweer si soorat uski
Baat karne me badal jati hai rangat jiski

Jo parh sako to un aankhon ki wo tehreer parho
Moo se iqraar na karna to hai aadat uski

6. han na...;;)

aarzoo sabar talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karoon khon e jigar hone tak
Hum ne mana ke taghaful na karoge lekin
Khak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak....:D

ye maine apne beqaraar qism ke dost ke liye parha tha aksar mazaq mazaq me ye shair parh ker use chera karti hoon...:p

7. nahi khud se to kabhi shayri nahi ki...bus ache shayron ko hi parha karti hoon... :)




 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
masha Allah bohot hi umda jawab diye apne Amreen :)
lekin pehle sawal k jawab me apne kaha k apko khud pata nahi shayari me dilchaspi kabse huyi phir sath hi apne kaha k jab ap masters kar rahe the ye dilchasp shuru huyi /:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
han sach hi to kaha hai ke pehle zara bhi dilchuspi nahi thi...bus sir ko hi sher parhte dekh kar ye khwahish huwi ke main bhi unke sher ka jawab sher se hi doon...bus isi khuwahish se maine sher o shyri me dilchuspi lena shuru kiya bus ek bar shuru kiya to dilchuspi barhti hi gai...aisa nahi tha ke main hamesha se hi sher o shyri ki deewani rahi thi...wo to bus ab ja ke ho gai hoon...:)
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
baz cheezen khud ba khud ho jati hain aapko pata bhi nahi chalta to bus aisa hi kuch huwa tha nasir bhai...:)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
masha Allah :)
sahi kaha apne kuch cheezen aisi hoti hain jo khud ba khud hojati hain aur pata bhi nahi chalta

acha hame batayen kya kabhi apne shayari khud se likhne ka nahi socha
ya phir ap likhna chahte hain
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
nahi kabhi khud se shayri nahi ki maine aur na hi kabhi aisa koi khyal aaya hai...ye sab to bare zaheen fateen logo ka kaam hai mujh adna si bandi me kaha itni salahiyat hai jo khud se shayri karne ka sochoon...:)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
nahi kabhi khud se shayri nahi ki maine aur na hi kabhi aisa koi khyal aaya hai...ye sab to bare zaheen fateen logo ka kaam hai mujh adna si bandi me kaha itni salahiyat hai jo khud se shayri karne ka sochoon...:)

array aap to bohot gehrai me chale gaye
waise apne khayalat ko qalam k zariye kagaz par shakal deni hai aur kuch nahi
aur kuch upar niche ho to dagh dehelwi sahiba hai hamare paas

balke ham to apko sujhao denge k aap ek baar koshish zaroor karen :)
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~
Top