ok
1) kiya ap mustaqil mezaaj ho ? upto which extent u can bear monotony ?
2) agar aap life kai ek aisai mor par phonch jaao jaha aap ko family aur islam mai se ek ko chunna parai to kiya choose karoge ?
3)agar kabhi koe book lekna chaho to us book ka title kiya hoga ?
4)aap kisi insaan ko kin baato pai judge karti hai?
5) agar aap pechlai dor mai wapis chali jaayai to kis shakhsiyat se melna chahenge aur kiya sawal karenge un se ?
6) agr kisi larki pai susral mai zulm ho raha ho ,uski dil shikni ki jaa rahi ho ,us ki egoes us ki ana us ki respect sub ko smash kiya jaa raha ho ,,aur us larki kai parents bhi sirf talaq kai dar se apni baiti ko support na kar rahai ho ..us situation mai aap ka us larki kai leyai kiya mashwara hoga ???
7) har insaan mai ALLAH ne ek khoobi rakhi hai aur hum usai dhoond kar sari duniya ko fatah karsaktai hai kiya abi tak aap wo raaz jaan paye hai khud mai ?
8) nature se kitna lagaao hai ,??
9) ALLAH ki ebadat keyo karti ho ?
10) agar aap kai parents aapka khayal raktai hai to ye unka ahsaan hai aap par ya farz ?
filhaal to mairai zehen mai yahi sawal thai ..agr soch buchaar kalaita to kafi acha muraqqa khainch sakta ta aap ka