Hajj k masail

  • Work-from-home

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
Asslam o Alikum.

omeed hai sab kheriat se hon.


mere kuch sawal hain jo hajj aur qurbani se related hain.

main mazirat pehle se hi krna chhon gi kiu k ho sakta hai k ye topic already dicsuessed ho.agar hai to on topics k link dijiye warna answers.

mera pehla sawal ye hai k jin logon pr qurbani wajib hoti h on k bare me kehte hai k chand nazar aa jane k bad qurbani krne tak wo log apne baal na katein aur na hi nails.


ab agar esa kisi se ho jata hai to kia os pr dam ho ga?


2nd question is: kia hajj krne wale log hajj k din 9 ko roza rakh sakty hain?
 
  • Like
Reactions: Habib Shah

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

islam me har amal k wajib hone k liye insan ka bulaqat par hona farz hai agar ladka ya ladki balig nahi to phir unpar farz nahi chahe bachpan me wo haj karen unko uska sawab to milega lekin farz baki rahega baliq hone k baad unko phir se isteta't hoto farz aada karna padega

issi tarah se har amal k liye balig hona zaroori hai

non hajees jinhone Qurbani ka irada kiye hain chand dikhne k baad se Qurbani dene tak apne bal nakhun wagaira nahi nikalenge agar galti se aise hojaye to tauba karlen kyun galti se huye gunah Allah maaf kardeta hai jaise Quran me sure bakhra ki akhir aayat me hai ( aye hamare rab agar ham bhul gaye hon ya khata ki ho to hame na pakadna 2:286 ) aur sahi muslim ki hadees hai k Allah ne kaha maine aise kar diya yane bhul k kiye amal ko main maaf kardiya subhan Allah

Haji arafah k din roza nahi rakhenge muttafiq alay hadees me hai k Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne dudh ka glass mangwaya aur usko nosh farmaya taake jinko ye shubha ho wo door hojaye

aur ek ahem baat jo yaad rakhni chahiye 9 tareeq ka roza nahi balke arafa ka roza hai tareeq mulkon k munasibat se alag hoti hai lekin arafa ek hi din hota hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen

baki dalail aur tafseel k liye apa in threads par nazar dalen :)

http://www.tafrehmela.com/hajj/138531-1581-1580-1601-1585-1590-1729-1608-1606-1746-1603-1609-1588-1585-1575-1574-1591-a.html

http://www.tafrehmela.com/hajj/139743-qurbani-k-masaail.html

http://www.tafrehmela.com/hajj/138533-1584-1608-1575-1604-1581-1580-1729-1705-1746-1662-1729-1604-1746-1593-1588-1585-1746-1705-1740-1601-1590-1740-1604-1578-a.html

http://www.tafrehmela.com/hajj/141049-inner-dimensions-hajj.html

http://www.tafrehmela.com/hajj/137318-al-hajj.html
 

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
masha Allah & jazak Allah.buhot hi pyare andaz me aap ne reply kia.

aik aur sawal jo log hajj bhi krna chahtey hain aur qurbani bhi to yahan makkah me hajj se 2,3 din pehle umrah krtey hain to umrah k bad bal katwatey hain to on k barey me kia hukum h?
 
  • Like
Reactions: Habib Shah

Habib Shah

Newbie
Nov 12, 2010
73
41
0
34
Well saviou bhai ne bade tafseel se r payar bhare andaz se aap k sawal ka jawab de diya hai

jis ka mujhe bhi kaffi faida howa hai,

me bs iak bat ka izaffa karon ga k

chand nazar aane k baad jo log qurbani ki istadad nahi rakhte agar wo bhi nakhon na katwayein tu

Allah apne fazal se un ko bhi qurbani ka sawab ata karte hai,

aap k 3rd sawal ka jawab mujhe nahi maloom]

thanx
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
masha Allah & jazak Allah.buhot hi pyare andaz me aap ne reply kia.

aik aur sawal jo log hajj bhi krna chahtey hain aur qurbani bhi to yahan makkah me hajj se 2,3 din pehle umrah krtey hain to umrah k bad bal katwatey hain to on k barey me kia hukum h?
Allahi barik feek :)

jo loog makkah me hain aur Hajj karna chahte hain aur 2 ya 3 din pehle ya phir Hajj k mahine me agar umra kiye hain to unko pehle se Hajj e Tamtto ki niyyat karni chahiye aur uska tareeqa aise hi hai pehle umar karn phir halal hojayen aur phir 8 zil hajja se meena pahunch kar ahram bandhlen Hajj ka
baki tafseel k liye ap Hajj section me hamne kaafi threads banaye hain un par nazar dalen

Jazakallah khair :)


Well saviou bhai ne bade tafseel se r payar bhare andaz se aap k sawal ka jawab de diya hai

jis ka mujhe bhi kaffi faida howa hai,

me bs iak bat ka izaffa karon ga k

chand nazar aane k baad jo log qurbani ki istadad nahi rakhte agar wo bhi nakhon na katwayein tu

Allah apne fazal se un ko bhi qurbani ka sawab ata karte hai,

aap k 3rd sawal ka jawab mujhe nahi maloom]

thanx
Jazakallah khair janab
jo loog Qurbani nahi kar rahe hain wo agar nakhun baal agar nikalen to koi harj nahi lekin na nikalen to iska sawab milega wallahu aalam
bas Allah se dua hai k wo hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen :)
 

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
aik aur question.

jab hum Shaitan ko kankriyaan marte hain to kia marne se pehle onhe dhona behtar h?
ya esa krna theik nahi.
Hajj to khtam ho gya lekin ye sawal abhi baqi h.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
aik aur question.

jab hum Shaitan ko kankriyaan marte hain to kia marne se pehle onhe dhona behtar h?
ya esa krna theik nahi.
Hajj to khtam ho gya lekin ye sawal abhi baqi h.
jee shaitan ko bhi ap saaf dhokar kankarian marenge kya
nahi ye amal bilkul durust nahi jo bhi aisa karte hain unhone mana kijiye
kyun k aisa amal bida'at me shumar hoga

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
lekin Saviou bhai hum marte waqt os pr Bismillah Allah-o-Akbar parh kr parte hain to agar wo kankar paleed hoe to kia ye theik hai?kisi paleed chez pr Allah ka nam lia jae ye theik hai?:-?
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
lekin Saviou bhai hum marte waqt os pr Bismillah Allah-o-Akbar parh kr parte hain to agar wo kankar paleed hoe to kia ye theik hai?kisi paleed chez pr Allah ka nam lia jae ye theik hai?:-?
jee bilkul ham bismillah padhte hain lekin wahan aisi koi gandagi nahi rehti jisse kankar paleed hojayen
jaise hamre india aur pak me aam taur par raston me gandagi miljati hai apko janwar phirte rehte hain aur loog bhi kachra aise hi daldete hain

lekin saudi me apko ye sab dekhne ko nahi milega aap bhi wahan rehti hain isko bakhubi jante honge aap aur haramain aur hajj k sare maqamat par to kaafi safai rehti hai aur khud wahan k intezam karne wale kankar lake pehle se daldete hain taake hajion ko dhundne me takleef na ho to insha Allah wo koi paleed nahi honge :)
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley


jee bilkul ham bismillah padhte hain lekin wahan aisi koi gandagi nahi rehti jisse kankar paleed hojayen
jaise hamre india aur pak me aam taur par raston me gandagi miljati hai apko janwar phirte rehte hain aur loog bhi kachra aise hi daldete hain

lekin saudi me apko ye sab dekhne ko nahi milega aap bhi wahan rehti hain isko bakhubi jante honge aap aur haramain aur hajj k sare maqamat par to kaafi safai rehti hai aur khud wahan k intezam karne wale kankar lake pehle se daldete hain taake hajion ko dhundne me takleef na ho to insha Allah wo koi paleed nahi honge :)

beshak...lekin aik dil ki tassali to hai na.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313



beshak...lekin aik dil ki tassali to hai na.
hmm isme kya hota hai ek agar koi aisa amal karne lagta hai to uska dekha dekhi sab shuru kar dete hain aur yehi cheez aage chal kar bida'at hojati hai kyun k kankari marna hajj ke wujoobat me se hain aur hame aisi koi daleel nahi milti k Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne kankarian dhoye the ya kisi sahabi ne ya kisi ko koi hukm hi diya ho aur agar kankarian gandagi me hon to unhe lena hi nahi chahiye

aur sukhi jagah se ham kuch uthayen usko gandagi bhi lagi ho jo shukh gayi ho to usko jhatak den to wo saaf hojati hai
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley


hmm isme kya hota hai ek agar koi aisa amal karne lagta hai to uska dekha dekhi sab shuru kar dete hain aur yehi cheez aage chal kar bida'at hojati hai kyun k kankari marna hajj ke wujoobat me se hain aur hame aisi koi daleel nahi milti k Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne kankarian dhoye the ya kisi sahabi ne ya kisi ko koi hukm hi diya ho aur agar kankarian gandagi me hon to unhe lena hi nahi chahiye

aur sukhi jagah se ham kuch uthayen usko gandagi bhi lagi ho jo shukh gayi ho to usko jhatak den to wo saaf hojati hai
main is lie keh rahi thi kiu k wahan Hajj k dinu me hi log bath na hone ki waja se ya buhot ziyada rash ho jane ki waja se nahi ja sakte.aur kuch out of control bhi ho jate h.kuch omer raseeda bhi ese hote u know main kia kehna chah rahi hon.

to is waja se hume ehsas hota hai k Allah ka nam jis chez pr lia jae wo saf suthri ho.
 
Top