kya ye Muhabbat hai?

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
/hmmmm very nicely written by u annu :)

aaj k muashrey ki bohat si buraiyon may se aik bohat barri burayi ko highlight kiya hay aap ne


aapki story parhtey hue aik choti si kahani yaad aayi muje
main usse share karna chahungi

kisi mulk k badshah ko aik larki se muhabbat ho gai jo bohat khoobsurat thi badshah ne us larki se shadi kar li aur hamesha usse utni hi muhabbat di badshah k haan doosr mulkon k badshahon ka bhi aana jana tha wo apni biwi ko bhi sab se milwata kisi mulk badshah ko uski biwi bohat pasand aayi us badshah ne uski biwi se rah_o_rasam barha li aur badshah ki biwi doosre mulk k badshah k saath chali gai
badshah bohat dukhi hua wo us se sachi muhabbat karta tha wo bohat roya us ne bohat koshish ki k uski biwi wapis aa jaaey

us ne doosre badshah se deal ki k tum meri biwi ko wapis bhijwa do badley may tum jo chaho main tumhe dunga

doosre badshah ne kaha theek hay agar tum waqe hi us se muhabbat kartey ho to apni biwi ki qeemat lgao main apni pasand ki qeemat par tumhari pasand tumhe wapis bhaij dunga
doosri ryasat ki currency "TAKKA" thi

Badshah bola main apni biwi ki qeemat 2 takkey lgata hoon

doosra badshah bohat hayran hua aur bola k tum to us se itni muhabbat kartey ho aur qeemat sirf 2 takkey

to badshah bola "jis aurat ko apne kirdaar aur apni izzat se bhar kar koi cheez azeez ho uski value to aik takka nhi hoti
ye to meri muhabbat hay k amin2 takkey lga rha hun


jo log ye keh rhe hain k q k parents nhi maaney shadi k liye to unhe bhaagna hi tha

to at least aap aik baar ye zaroor soch lo k jo insan 4 din ki mail mlaap ko muhabbat ka naam de kar apne parents apne ghar waalon ki itne ssaalon ki belos muhabbat ka khayal nhi rakhta aur unhe dukh de kar bhaag sakta hay wo kisi se kaise sachi muhabbat ka dawa kar sakta hay
Hoor siso boht achi kahani sunai ap ne..
waike badshah ko esa hi karna chaheye tha..ese log apni qadr-o-qimat kho bethte hain..

"jo insan 4 din ki mail mlaap ko muhabbat ka naam de kar apne parents apne ghar waalon ki itne ssaalon ki belos muhabbat ka khayal nhi rakhta aur unhe dukh de kar bhaag sakta hay wo kisi se kaise sachi muhabbat ka dawa kar sakta hay."

100% THEK KAHA AP NE SIS
 

Babar-Azam

"Be serious" - "I am wild"
TM Star
Jun 27, 2010
4,089
1,482
1,013
Abbottabad

ap ne khanai parhi hai na..
us me main ne ye b likha hai k Hina ki sis use kehti hai k main humare father ko mana lon gi..larke ko kaho izzat se rishta bejhe..lekin woh apne parents ko bataen bageer hi bhaag jate hain..
or yahan ye baat b thi k un k parents ki tarbiyat b achi thi..Sania to boht achi thi..us ki soch parh k andaza ho gya ho ga..
asal me boht selog ese hote hain jo ghalat aur sahi me tameez nhi kar pate..or amuman 16 ya 17 saal me larkiyan khasi jazbati hoti hain..une esa hi lgta hai ..koi khawabon ka shehzada aaye ga..halan'k k esa kuch hota nhi..
ek baat aur jo log zahiri khoobsorati ko ehmiyat dete hain aur usi k peche bhagte hain..un ka injam b esa hi hota hai..
illegal muhabbat ka koi wajood nhi hota..sab jhoot or dhoka hai bas..

G haan mai ne kahani parhi...aur mai ne jo baat ki hai reality ki hai..qn k aksar aisay cases tab hoty hain jab parents aur bary razi na hu....baqi kahani ki agar baat ki jai tu phir bilkul ghalat hai qn k pehly parents ka fesala tu sunna chahiay tha...aur Muhabbat mai illegal aur legal nai hota..Muhabbat muhabbaat hoti hai...jo k ek sacha jazba hai...zarori nai k her larka ya larki ek dosry se koi relation rakhy wo sachi muhabbat hu..aur jo loug jis se sache muhabbat karty hain wo sab se pehly us ki izzat ko daikhty hain...aur zahiri khubsorati ki aap ne baat ki tu mai itna kahun ga k reality yahe hai k aaj kal zahiri khubsorati ko daikhta jata hai...khwa koi apni marzi se kary ya parents ki pasand hu...
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113

G haan mai ne kahani parhi...aur mai ne jo baat ki hai reality ki hai..qn k aksar aisay cases tab hoty hain jab parents aur bary razi na hu....baqi kahani ki agar baat ki jai tu phir bilkul ghalat hai qn k pehly parents ka fesala tu sunna chahiay tha...aur Muhabbat mai illegal aur legal nai hota..Muhabbat muhabbaat hoti hai...jo k ek sacha jazba hai...zarori nai k her larka ya larki ek dosry se koi relation rakhy wo sachi muhabbat hu..aur jo loug jis se sache muhabbat karty hain wo sab se pehly us ki izzat ko daikhty hain...aur zahiri khubsorati ki aap ne baat ki tu mai itna kahun ga k reality yahe hai k aaj kal zahiri khubsorati ko daikhta jata hai...khwa koi apni marzi se kary ya parents ki pasand hu...
han..kbi esa b hota k waldain ki tarbiyat thek nhi hoti..ya woh aana ka masla bna lete hain.phir un ki b ghalti hoti hai..aur baz'ukat bache nhi smjh pate k un k liye kya sahi aur galat hai..
hota hai muhabbat humesha legal hoti hai warna muhabbat nhi hoti..aur jin logo ki muhabbat waike hi sachi hoti hai..woh foran koi faisla karte hain..aur nikah kar lete hain..pasndidigi ho sakti hai,Islam b pasnd ki shadi ki ijazat deta hai..
bas jb insan ko lge k use koi pasnd hai to shadi kar leni chaheye..agar kisi waja se shadi na ho sake to phir us pasndidgi ko dil me hi khatam kar dena chaheye..
pasnd hone ki bajaye b agar phir b taluqat rakhen aur nikah na kren..aur yahi ek mantak pesh karen k Muhabbat to muhabbat hoti hai,yahan kuch sahi aur ghalat nhi hota..
to phir ye hargiz muhabbat nhi hoti..
 
  • Like
Reactions: farhan memon

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Assalam o alaikum anu.
bahot acche topic ka inteqaab kia aur uske saath kaafi hud tak insaaf bhi kia.Allah aapke salahiataon me mazeed izafa farmaye aameen.

mohabbat : jo lafz hai iski sacchayi aur gahrayi ko lafzon me bayan nahi kia jasakta.aajke maujooda daur me jo mohabbat ki jaarahi hai usse main 2 hisson me divide karta hon. 1 . hawas aur khoobsurti. 2 . aqlaaq aur khoobsurti .
hawas aur khoobsurti : aaj k daur ki aksar mohabbaton ko isi me shumar kia jaa sakta hai.har larka jab ksi larki ki khoobsurti ko dekhta hai.to chahta hai k zaroor isse milna chahiye aur isse taluqata istewaar karna chahiye.aur isi tarha ye silsila aage barhta rahta hai hatta k wo ek ghalat fail kar guzarte hain.

aqlaq aur khoobsurti : aur bahot kum log aise bhi hote hain jo ksi larki k aqlaq,khayalat aur uski khoobsurti se mutaasir hote hain aur chahte hain k is larki ko apni zindagi ka humsafar banaya jaaye.

laikin ye dono shaklen deen e islam k lehaz se sarasar ghalat hain.kyunke Allah k nabi (pbuh) ne farmaya k aksar log jab shaadi karte hain to in cheezon ko dekhte hain.1.khoobsurti 2 . maal o daulat 3 . khaandan aur qabila 4 . deeni mizaj wali larki. aur tum apne liye isi aakhir wali larki ko pasand karo.(sahih hadees).

laikin aksar yaani 97% logon ko apni zindagi me ksi na ksi se mohabbat hojati hai.bahot se log isse chupaate hain aur bahot se log isse zahir kardete hain.laikin jab aapko ksi se mohabbat hojaaye yaani k aap us larki k khayalaat se mutaasir hon aapko lagta hai k wo deeni mizaaj ki haamil ho to aapko mazhabi taur par ye haq banta hai k aap apna paighaam uske ghar walon ko pahunchaaye aur isteqaara karlen agar ye larki aapkeliye mufeed hogi to Allah isko aapka muqaddar banadega aur ye aapkeliye sahih nahi to iska qayal aapke zahan se hata dega.kyunke Allah hi aalim ul ghaib hai.
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
subhan Allah :)

bohot hi umdah aur sabak amoz tahreer hai
phir se apne haqeeqat ke ek pehlu ko apni tahreer me bayan kiya hai

aur ye zaher aaj hamare gharon me phail chuka hai iski badi wajhe ye drama filme aur azaadi ke naam par ladke ladkion ko khuli chut jo di jaati ha wo hai

ham musalman hain to hame Allah ke bataye huye kanoon ko apnana chahiye ussi me hamare liye behtari hai izzat hai aur kamiyabi hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
sum Ameen

boht shukria tehreer pasnd karne ka Mihdbinqasin & saviou aur apne khayalat ka izhar krne ka..
 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
awsum sharing annu...........bohat bohat accha likha hai{(thx)}..
tumhare qalam main jadooo hai waqai
n mohabbat aur dhokay main kaafi farq hai, ye kismat ki baat hai k kis ko mohabbat milti hai aur kis ko dhoka
but hamen kismat aazmane se ziyada sab ALLAH pe chor dena chaiye aur apne parents pe:) taa k agar baad main halaat kharab hon ya hum dhoka khayen, tou at least poori zindagi ki nadamat aur pachtawe se tou bach jayenge na
agreed
Well said Nelli
 
  • Like
Reactions: Nelli and ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
اللہ رحم فرمائے یہ برائی واقعی ہمارے معاشرے میں ایک حقیقت کا روپ ڈھار چکی ہے، یہ محبت نہیں دیوانگی اور جہالت ہے،
محبت ایک عظیم رشتہ کا نام ہے، اس کے مختلف روپ ہیں ، اگر محبت ماں سے ہو تو اس کا روپ اور اس کی کیفیت الگ ہوگی، محبت بہن سے ہو تو اس کا روپ اور کیفیت الگ ہوگی ، محبت بیوی سے ہو تو اس کا روپ اور کیفیت الگ ہوگی اسی طرح ہر رشتہ سے جو مھبت ہوگی اس کا روپ اور کیفیت الگ ہوگی، لیکن ایک غیر محرم لرکی اور غیر محرم لڑکے کی دیوانگی ، اس کی نفس پرستی کو محبت کا نام کیوں دیا جاتا ہے، اس دیوانگی اور جہالت کو محبت کا نام کس نے دیا مجھے تو اس نام نہاد محبت کے لفظ سے اختلاف ہے، یاد رکھیں محبت ایک عظیم، اور بلند اور محترم لفظ ہے، اس لفظ کو ایسے دیوانگی اور نفس پرستی پر استعمال کرنا لفظ محبت کی توھین ہے،
ہمارے معاشرے میں اب بے حیائی اور بے راہ روی عام ہوچکی ہے، ایک باپ کی غیرت اور ایک بھائی غیرت مرچکی ہے، اس کی بیٹی، یا بہن کیا کررہی ہے، کس سے مل رہی ہے، کوئی پرواہ نہیں بلکہ بعض والدین خود اپنی بچیوں کو آزاد کردیتے ہیں، کیونکہ وہ سوچتے ہیں اگر یہ چار دیواری میں رہیں تو ان کے رشتے کیسے آئینگے ، لہذا اسے خود گھر سے باہر نکالتے ہیں، اور بچیاں باہر نکل کر کیا کرتی ہیں وہ اندھے ہوجاتے ہیں،
پھر اسی کا یہ نتیجا نکلتا ہے کہ لرکیاں گھروں سے بھاگ جاتی ہیں۔
اس جرم میں سب برابر کے مجرم ہیں،

اللہ رب العالمین رحم فرمائے

beshak..baja farmaya ap ne..
Muhabbat waike hi ek anmol aur achota jazba hai..jis k mani boht wasi aur pakiza hai..agar hum be'hayai aur nafas parsti ko muhabbat ka naam den ge to waike hi is ki tuheen kar rahe hain..
han shyd ab ye sb buraiyan humare mashre me itni aam ho gyi hain k hume ghalat ko sahi kehne me zara b sharmindagi nhi hoti..is ne bhar kr jahalt kya hai.
ek aur baat waldain ko apne beetiyon k sath sath beeton ki tarbiyat pe b boht tawaju deni chaheye..aur khayal rkhna chaheye..k woh humesha sahi raste pe rahen..
Allah hum sb k haal par reham kre
Ameen
 
  • Like
Reactions: Qalandar

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
aah so shweet anu , bicul sai kahani hai , hamary muashray men aesay hazarOon kahanian bikhri pari hain , Jinko dekh kr k naseehat li ja sakti hai , Allah Pak sab to sirat-e-mustakeem par chanle ki taufeq dy ..{(thx)}
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
achi story hai annu... aajkal ye bimari bhi hamare muashre me bohat zyada phaili huwi hai...teenagers iska shikar hote hain...bus jazbat me aakar wo qadam utha lete hain jo unhe barbadi ke siwa aur kahi nahi le ja sakta...
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

mirza37

Hot Shot
Jul 17, 2010
15,341
7,043
913
48
UAE ABU DHABI
Wow annu pannu bohit hi ahem mozoh per qalam uthaya hay ap nay ,,,
yeh sub kay liy sochny wali bat hay kabhi bhi aysa koi qadam na uthaya jay jis kay bad pachtawa or ruswai hi mily ,,, sub allah or waldain per chorna chaye woh apny olad kay liy behter hi fisla kerty hain,,, allah sub ko maan baap ka fermaberdar hi rakhy aamin,
 

(åйĵΰ)

Newbie
Aug 10, 2011
88
62
0
piYa GheR
اللہ رحم فرمائے یہ برائی واقعی ہمارے معاشرے میں ایک حقیقت کا روپ ڈھار چکی ہے، یہ محبت نہیں دیوانگی اور جہالت ہے،
محبت ایک عظیم رشتہ کا نام ہے، اس کے مختلف روپ ہیں ، اگر محبت ماں سے ہو تو اس کا روپ اور اس کی کیفیت الگ ہوگی، محبت بہن سے ہو تو اس کا روپ اور کیفیت الگ ہوگی ، محبت بیوی سے ہو تو اس کا روپ اور کیفیت الگ ہوگی اسی طرح ہر رشتہ سے جو مھبت ہوگی اس کا روپ اور کیفیت الگ ہوگی، لیکن ایک غیر محرم لرکی اور غیر محرم لڑکے کی دیوانگی ، اس کی نفس پرستی کو محبت کا نام کیوں دیا جاتا ہے، اس دیوانگی اور جہالت کو محبت کا نام کس نے دیا مجھے تو اس نام نہاد محبت کے لفظ سے اختلاف ہے، یاد رکھیں محبت ایک عظیم، اور بلند اور محترم لفظ ہے، اس لفظ کو ایسے دیوانگی اور نفس پرستی پر استعمال کرنا لفظ محبت کی توھین ہے،
ہمارے معاشرے میں اب بے حیائی اور بے راہ روی عام ہوچکی ہے، ایک باپ کی غیرت اور ایک بھائی غیرت مرچکی ہے، اس کی بیٹی، یا بہن کیا کررہی ہے، کس سے مل رہی ہے، کوئی پرواہ نہیں بلکہ بعض والدین خود اپنی بچیوں کو آزاد کردیتے ہیں، کیونکہ وہ سوچتے ہیں اگر یہ چار دیواری میں رہیں تو ان کے رشتے کیسے آئینگے ، لہذا اسے خود گھر سے باہر نکالتے ہیں، اور بچیاں باہر نکل کر کیا کرتی ہیں وہ اندھے ہوجاتے ہیں،
پھر اسی کا یہ نتیجا نکلتا ہے کہ لرکیاں گھروں سے بھاگ جاتی ہیں۔
اس جرم میں سب برابر کے مجرم ہیں،

اللہ رب العالمین رحم فرمائے

aGree wIth U...

BhT Khoob Annu ... Bht Khoob story...sabq amooz
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
asalam o alikum,

today i read ur story anno...
hamesha ki tara bht khoob likka...2nd u ki obzevatiob bht ache hay apnay ird gird k halat r waqiyat ki taraf say...

well is topic par shaied darjano kahaniya likki ja choki hay...lakin pir b hamaray ird gird roz he asa koe na koe waqiya pesh ajata hay..

ab ye pata nae k hamare apni badbakte hay ya waleden ki tarbiyat ki kami...
but yahamay waliden ko ziada ilzam nae donge...q k jo b larkia apni nafsani khowahishat k lie mun andheray gar say bahir qadam nikalte hay,wo itne ba shor hote hay k usay ye pata hay k mah baap k sar may khaak kasay dalni hay,but ye nae pata hota k gar say bahir bannay wala har rishta kitna saffaq or bay etabar hota hay......{(angry)}
jis ki misal kabe hina jeso ki sorat may hamay milte hay to kabe kise or nam or moqam say.....

any way anno thx 4 sharing dear...
i hope u ki is kahani say agar kise 1 nay b apnay galat qadam rook diye to ye sare umar k lie sadqa jarya hoga u k lie..
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
mashallah bht achi story share ki hai, or moral bhi hain is me,is me bht sari batein samne ati hain,or sab k apne nazariyae muhaabbat hain, sab se pehle ye bat kahunga k gher se bhagna jo ek trend sa ban gaya hai me is k khilaf hun, chahe parents mane ya na mane, gher chorna solution nai.dosri taraf gher me parents me se kam se kam ek ko frank hona chaiye bachu se ager gher me sab ap ko darae dhamkae, to banda ese mamlat lazmi chupata hai or agey chal k apne lie nuksan uthata hai, to is me kuch had tak parents ki bhi ghalti dekhi jati hai, per story k lihaz se dekha jae to hina ne parents se bat kerne ka wait hi nai kia to ye bat ghalat thi.or me ye nai manta k parents jo marriage kare ya hum apni marzi se jo marriage karein is me koi fark hota hia,
do tareeke hain,
ek ye k ap marriage karein or phir love hojae, to life kamiyab hojati hai.
dosri sorat-e-hal ye k ap ko muhabbat ho parents man jae shadi hojae, ye life bhi kamiyab hojati hai.
per humesha nai...
chahe love marriage ho ya arrange, humare mashre me bht se ese manzar dekhne ko milte hain jaha aurat per tehzab phek dia jata hai ya use zinda jala dia jata hai, to me is love marriage or arrange ka masla nai hai is me masla hai ek dosre ko samjhne ka, ager mard aurat ko sare hakook de jo humare mazhab me hain or aurat bhi mazhab k lihaz se apne shohar k sath rahe, to life me koi prob nai hoti, understanding per bat hoti hai. baki such to ye hai k aj tak muhabat ko koi samaj hi nai saka.
jis ki life kamiyab hojati hai us ki muhababt ko sacha kehdia jata hai or jis ki life barbad usey jhoti muhabbat. muhabbat sirf muhabat kerne wala hi jan sakta hai muhabbat to muhabbat hia ye ek jazba hai. jhota sacha sahi ghalat in sab ka matlab muhabbat me nai milta. per muhabbat ko apne mashre or mazhab k sanche se guzara jae to wo ek pakeeza rishta ban sakta hai. baki zindagi kamiyab hona ya nai ye to Allah k hath hai ya us ne jo naseeb me likha ho. :)
wonderful story n beautifuly written :)
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
wese humare yaha bhi arrange marriage ka riwaj hai. mere sis ki or teeno bros ki shadi arrange hui, ammi ki pasand se. abi jin ki hone wali hai wo bhi arrange marriage hai.per humare khandan me bht se ese couple hain jinhu ne love marriage ki or kamiyab bhi hui. khush bhi hain. even mere ek cousin ne ek shadi wali site se larki dhund ker shadi ki n wo to kuch had se zada hi khush dikhte hain, wo bat alag hai sab unhe juro ka ghulam kehte hain lols. just kidding :)
kher ese bhi log hain jo arrange marriage ker k bhi khush nai. too it depends.

mere khayal me shadi me parrents ka or jin ki shadi ho unka razii hona sab se zada zaroori hota.ager dono taraf k parents or couple razi ho. tab hi shadi kerni chaiye.
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
muhabbat kya hai?

Muhabbat kia hai, dil ka dard say mamoor ho jana
mata-e-jan kisi ko soonp kar majboor ho jana...

my simple reply
humesha kamiyab hone wali muhabat to sirf,

Allah or us k bande k bich hosakti hai,
jo ek bar hojae to kamiyabi hi kamiyabi ho
kisi insan se muhabbat ki umeed rakhna
koi danish mandi ki bat nai,
insan to ghaltio ka putla hai,
aj ager kuch sahi lage kal wo ghalat bhi ho sakta hai,
is lie umeed sirf or sirf Allah rub ul izzat se rakhna chaiye.

be shak Allah rab-ul-izzat 70 maon se zada apne bando ko chahta hai :)



 
  • Like
Reactions: Nelli

MAQSURAH

Regular Member
Aug 11, 2012
64
22
58
Qabl-e-Tehsiin !!

aaghaz, anjam sab k sath insaf kr dala .bht khoob !

Aik sabaq aamoz aur umda Kawish.
 
  • Like
Reactions: Qawareer
Top