na tera KHUDA koi aur hai na mera KHUDA koi aur hai...

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

سرفروش

Senior Member
Sep 18, 2009
655
851
93
Karachi
as salam alaikum

baad hamd o sana parvardigar e aalam kahna ye hai k mujhe mere bhai anwar ne aisa javab diya k tishnagi bakhi rahi...
mera 2ra sawal tha k sajde k sharayet kya hain not shateeyat...bhai ji mei ne sajde k liye conditions puchi hain....baraye meher baani plzz plzz meri baat ka mufasil javab den to navazish hogi...
anwar bhaijan aapka bahut bahut shukrya k mujh jahil ko apne ilm se mustafeed kiya...
mere bhai iska javab bhi marahmat farmaye to ain nawazish hogi...

w salam...
میری بہن پاءل
میں نےآپ كے سوالات كا مختصرا اور مددل جواب دیا ہے اور یہ جواب كوءی تنقیدی نہیں
بلكہ آپ كا حق ہے پوچھنے كا
میں نے شریعت ہی لكھا ہے شتی یت نہیں لكھا آپ پرنٹ نكال كر دیكھ لیجۓ گا
آپ كے پڑھنے میں غلط فہمی ہوءی ہے
آپ نے اپنے آپ كوجاہل لكھا ہے اس طرح نہیں لكھنا چاہۓ آپ كا سوال ایك علمی مسلہ ہے اور آپ كے علم میں اس كا جواب نہیں تو آپ كا حق ہے بعض اوقات ایسے مساءل بھی پیش آتے ہیں كے بڑے بڑے علماء كو بھی اس كا جواب معلوم نہیں ہوتا علم ایك سمندر ہے كوءی مكمل علم كا دعوی نہیں كرسكتا آپ بات مثبت انداز میں لیا كریں
 

HaLaKOO

Newbie
Aug 18, 2009
812
485
0
Karachi
Shuru karti hun Allah k naam se jo bada Rahman aur Raheem hai

As salam Alaikum khatoon o hazraat..

Apni baat ka aghaaz mei apne Rab khuda o bartar o buzurg ki hamdo sana se shuru karti hun k jiske khabza e qudrat me saari kayenaat hai,jiske hukum k bina patta apni jagah se na hile,Wp jise chahe neki ki taufeeq ata kare jisko chahe apne azab me mubtela rakhe,,jise chahe acchai ki taraf raghib karde jise chahe jahanum me jhonk de....jise chahe ilm ka shaher banade aur jise chahe us shaher ka darwaza banade aur jise chahe taa qayamat tak jahil rakhe..

Meine yeh mazmoon ko padhne k baat yeh andaza lagaya hai k MashAllah jisne bhi yahan apni aqle saleem se apni raai ka izhaar kiya hai,,bahut hi aala aur bahut hi sabak amoze..mujhe khushi hui k yahan par itne ilm o fazeelat rakhne itni sadaqat itni firasat k hamil log maujood hain k waqey mei aqal hairan hai k kya itni acchi tareeqe se koi baat bhi samjhayi jaati hai...

Is mazmoon ka mauzu kya tha aur baaten kahan ki kahan pahunch gayin..javab dar javab,,,bahes dar bahes...laa hasil guftagu...
mujhe toh nazar nahi aya dosto k kisi ne Quran aur hadees ki roshni mei saheb e qalam ki tanqeed ki ho???
Sirf safhe siyah kiye gaye,,inki misale unki gavahi,,,kya hasil hai isse???meine tumhare samne kya kaha tha ,,tumne uske samne kya kaha tha??
Kisi ko shaksi tanqeed ka nishana banane k bajaye kya hi accha hota k sirf aur sirf topic p guftagi ki hoti..khair..

HUm bat karahe the mazaarat aur sajde ki....

Dosto abb tak k sabke comments padhne k bad mei is nateeje p pahunchi k waqay me yahan per ilm o firasat ka darya ravaan hai aur meine socha k kyun na mei khud aap logo se mustafeed ho jaaun...
mera ek chota sa sawal hai aap bade bade danishwaro se..baraye meherbaani mujhe apne javab se zarur faiz pahunchayen...
AAp log mera sawal padhker zarur shak me balke 100 % mujhe islam se kharij kardenge k yh kaisa sawal hua...lekin mei naaqisul aqal aur aap log daana o firasat k azeem martabe p faiez ho lehazza aap sabse adban guzarish hai .k mere chote se sawal ka javab de den..
kHuda aap sabke ilm mei aur izafa kare aur logo ko yunhi raahe rast p laane ki taufeeq ata farmaye..Ameen..

mera sawal hai...

1...Sajda kise kahte hain??
2...Aur Sajde k sharayet kya hain???

Umeed k aap log zarur is naqhisul aqal bandi ko apne ilm o fazl ki roshni me javab se sarfaraz farmayenge

App sabke javabat ka intezaar rahega...

W salam...
Assalamu Alaikum Warahmatullahe Wabarakatohu

sab se pehle to yeh kehna chahoonga k yehan koi aalim aur faazil nahi hai lekin bahasiat musalman hame yeh knowledge honi chahiye k Allah talah ham se kia chahte hain aur hamare deene kaamil islaam ki taleemat kia hain aur hame kis tarah apni zindagi guzaarni hai yeh char roza kyun k agar yeh basic knowledge hame nahi hui aur ham bhair aur bakrion ki tarah zindagi guzaarte rahe to hamare wajood aur is dunya mai aane ka maqsad hi bekaar rah jaaega kyun k Allah talah Quran majeed furqane hameed mai irshaaad farmate hain.

Wama khalakhtul jinna wal insa illa liyabodoon
Translation: aur hamne inso jin ko apni ibadat k liye paida kiya hai

aur agar ham is maqasade azeem ko hi thukra baithe aur apni man maani ki zindagi guzaar di to ham mai aur kuffar mai koi farq nahi rahta isliye is dunya faani mai kaamyabi k liye aur roze mehshar surkhroo hone k liye apne deen ko jaanna aur behtar andaaz mai jaanna aur haq aur such ki tahqeeq ham sab k liye be intehaa zaroori hai.

Jahan tak baat hai yeh mazoon kia tha aur kahan se kahan pohonch gaya, laahaasil guftugu aur safe siyah kiye gaye wagairah wagairah aapki ittela k liye arz hai k jab koi shaks jis base par yeh mazmoon shuru kar rha hai aur keh rha hai k mai apne wade k mutaabiq yahan mojood hoon to usko yeh bawar karana hamari zimme daari thi k janab apka wadaa yeh to nahi tha aur gawahon ki mojoodgi mai jo baat hui thi wo kuch aur thi aur aap nay yeh aik naya mahaaz kis khushi mai khol dia hai is baat ka jawaab matloob aur maqsood tha lekin sahabe qalaam abhi tak is par khamosh hain k unhon ne yeh thread kyun banai hai aur giyarhween par abhi tak aik jumla bhi saadir nahi kia unhon ne to jab koi khud hi patri se hat rha hoo to usay patri par charhana aur yeh bawar karana k janab aap jo kar rahe hain wo ghalat hai yeh zimme daari banti thi jo ham ne ahsan tareeqe se anjaam di hai. aur topic par guftugu k liye to ham har post mai koshish kar rahe hain lekin is thread k baani sahib hi idher udher ki batain shuru kar dete hain aur apni har new post mai aik naya mahaz khol dete haini aur pataa nahi kia kehna chahte hain wo unhain khud hi pata nahi hota.

Answer of Ur Questions:

1...Sajda kise kahte hain??
2...Aur Sajde k sharayet kya hain???


Answere of Question number 1:
Sajde k lafzi maani han aajzi o khaaksaari se jhukna-ibadat mai peshani aur naak zameen par rakhna

Answere of Question number 2:
Sajda khud aik sharai ibadat hai jis mai Allah rabbul alameen k saamne apne maathe aur naak ko zameen par lagaya jata hai jo sirf us wahdahoo lashareek k liye khaas hai jis k qabze mai sabki jaan hain.

yeh debate aik thread mai chal rahi hai isliye is behas ko yahan na chera jaaye behtar hoga short mai answer Anwer aur mai ne kar diye hain lekin detail mai yeh wahin baat hogi is topic par kyun k is tarah ham yahan topic se haat jaaeinge jo Different person chahte hain isliye stick to the topic plzz.

Allah Talah hame sirf apne dar par jhukne ki taufeeq Ata farmaiye Aameen
 

سرفروش

Senior Member
Sep 18, 2009
655
851
93
Karachi
sorry spelling ghalt thi shateeyat nahi balke shareeyat hai
میری بہن نے دوسرے سوال میں لفظ شراءط استعمال كیا ہے كیونكہ یہ لفظ رومن اردو میں تھا اس لۓ میں نے لفظ شریعت سمجھا اگر اردو میں ہوتا تو غلط فہمی نہ ہوتی معذرت
سجدہ كی شراءط وہی ہیں جو آیت سجدہ كی ہیں یعنی پاك ہونا اور باوضو ہونا قبلہ رخ ہونا دونوں گھٹنوں كو زمین پر ركھ كر اپنی پیشانی زمین پر لگانا اور ناك كا بھی زمین پر لگانا
اس كے بعد چاہے حمد و ثناءكرے یا دعا مانگے
 

payal

TM Star
Apr 12, 2009
1,246
672
113
A salam Alaikum...

Us Allah k naam se shuru karti hun jo intehaayi meherban aur Raheem hai
Us Allah ki hamd o sana jiske alawa koi Allah nahi,Wo zinda hai saare jahan ka asli sahara,bakhi rahnewala ,noorani haq(deen) ka malik..Wo mudaabir o muntazim jiska na koi wazir hai na apni makhlooq me kisi bande se mashvera leta hai..Wo awwal hai magar awwal se judagana andaz me,Wo fana k baad bhi bakhi rahnewala hai..Banda parvari me sabse buland,asmano zameeno ki raunakh aur dono ka moajjid o khaaliq e be misaal..
Khuda vande Rahman arsh per ekhtyar ki was a ten phailaye hue hai,,zameeno asmano me jo kuch hai wo sab isi Khuda ki milkiyat hai...in dono k darmiyan aur zameen k neechay jo kuch hai wo bhi Isi ka hai..
Mei iqrar karti hun k mabood tu hi tu faqat wo khuda hai jise tu past karde usay koi uuncha na kar sakta,,jise tu sarfaraz karde usay koi aur gira nahi sakta,jise tu izzat de usay koi zaleel aur jise tu zaleel kare usay koi izzat nahi desakta..Jise tu ata kare usay koi roknewala nahi aur jise tu na de usay koi denewala nahi...Aur tu hi Wo wahadahu lashareek Allah hai jo us waqt tha jab yeh tana hua aasman na tha na bichi hui zameen thi,na chamkta suraj tha na andheri rat na noorani din tha na toofani samandar tha na jama hua pahad tha na chalta phirta sitara tha na roshan chand na chalti hava na barasta badal na kadakti bijli,na jandar o zinda rooh,na udte parind the na aag bhadakti thi na bahta hua pani tha..Tu her cheez se pahle tha ,Tu ne hi her cheez ko paida kiya,Tu her cheez per khader bana,Tu hi ne mohtaj kiya Tu hi ne ghani,Tu hi ne maara tu hi ne jilaya..
Khudaya Tu hi arsh per muheet hai,Ya Allah Tu hi buzurg o bartar hai.TU hi Wo laa shareek mabood hai jiske alawa koi Allah nahi,Tu hi her cheez ka khaliq aur her nukte se waqif hai..Tera hukum her cheez p jaari hai ,Tera ilm her cheez p haavi hai,Teri tadbeeren khareeb,Tere wade barhaq,Teri baaten sacchi,Tera hukum insaf,Tera kalam hidayat,Teri wahi noor,Teri rahmat badi wasee,Teri maafi bahut badi,tera fazl bahut zyada,Tera atya bada ,Tera sahara mazbut,Teri quat afreeni her waqt madadgar,Tera ghazab bahut sakht...
Parvardigara Tu her faryad ki bargah hai,her raaz ka dekhnewala,her bazm me moujood,her zarurat ki inteha,her ghamgeen ka gham door karnewala,her zaruratmand aur tahi dast ka sarmayaher panah lemewale ka sahara ,her khaufzada ki panahgah,musibat ko door karnewala,,alimon ka madadgar..
Meherbano se zyada meherban,,bakhashne walo se accha bakhshne wala,momino ki hajaton ko pura karnewala,nek amal logo ka faryad ras..Faqat Tu hi wo Allah hai jiske alawa koi Allah nahi,,
HUm makhlooq Tu maalik hai,Tu palnewala aur hum Tere bande,Tu rozi deta hai hum rozi pate hain,Tu ata farmata hai aur hum mangte hain,Tutaqat ka malik aur hum natavan
 

payal

TM Star
Apr 12, 2009
1,246
672
113
Continued from last...
Tu sahebe izzat aur hum zaleel,Tu sardar hai hum ghulam,Tu Alim hai hum jahil,Tu rahem karnewala hai aur hum mustahekhe rahem,,,,,Aur mei yakeen rakhti hun k Tu hi Allah hai aur Tere siva koi Allah nahi,Tu apne bandon ko be mange dene wala hai,aur gavahi deti hun k TU yagana o ekta hai.Teri bargah me sabko hazri deni hai....Mohammad e Mustafa s.W.w aur unki zurriayt e paak o tahir per Allah ki rahmaten hon
Ya Allah hume bakhsh de,humare aibon ko chupa de,apni bargah se hum sab ke liye apni rozi k wasee darwaze khol de...Aiye maherbano se sabse zyada maherban..parvardigar e Alam ki hamd,hume Allah kafi hai,wahi bahtreen madadgaar hai,her taqat o quat khudaye buzurg o bartar k zarye hi hai....

anwar bhai ki sabse pahle mei shukar guzaar hun k aapne mujh na ahel ko javab se sarfaraz farmaya...haan beshak urdu aur arabic k kuch alfazz roman english me samjh se balatar hote hain,,lekin mere paas urdu tahreer ki facility maujood nahi hai warna mei bhi urdu me likhker khusnudgi hasil karti hun,,zahmat k liye mazrat talab karti hun...

Aapke javab se mei bahramand hui aur mujhe samjh bhi agaya ...aapne yh kaha k mei jahil nahi hun to yh aapki zarra navazi hai kyun k mei ek haqeer talib e ilm hun aur aap hazrat jaisi danishwar nahi...

Anwar bhaijaan ne jo mukhtaser sa javab sajde k mutaliq diya hai uski tafseel misalo aur dalayel k saath aage jaker bayan karungi...
mujhe aur bhi sahibe ilm hazrat k javab ka intezar hai jo k yakeenan yahan per hume faizyab karenge..Aur jahan tak is topic SAJDE ka talluq hai wo isi mazmoon se mulhaq hai aur mei mazmoon se na hi hat rahi hun aur na khilaf warzi..baat isi p qayam rahegi inshAllah...

mei phir aap logo se isteda karti hun k sirf aur sirf mauzun p qayam rahiye na k kisi per shakshi tanqeed,,warna hum isse mustafeed na ho payenge..

Chun k yh roman english me hai to hosakta hai k ghaltiyan hui hon,,barahe karam mujhe nishandahi farma den toh aien nawazish..

Ws salam..
 
  • Like
Reactions: haroonbaig

سرفروش

Senior Member
Sep 18, 2009
655
851
93
Karachi
<different_person>;283308 Assalam-o-Aliekum! Anwar Bhai mein es baat se agree karta hoon . . . k chalo Lout ka bazaar he [RIGHT said:
اسلام علیكم ورحمتہ اللہ وبركاتہ
میرے بھای ڈفرنٹ پرسن كو خراج تحسین پیش كرتا ہوں [/RIGHT]

اور شكریہ ادا كرتا ہوں كہ انہوں نے اس بحث كا اختتام اچھے انداز اور اچھی روایت كو قاءم كركے كیا ہے
بھای نے تسلیم كیا ہے كہ اولیاء اللہ كے مزارات پر آج كل ایسے افعال ہورہے ہیں جن كا اسلامی تعلیمات سے كوءی تعلق نہیں ہے ظاہر بات ہے
اچھے انسانوں كے علاوہ برے لوگ بھی ہوتے ہیں كسی ایك كے برا ہونے سے ہم سب كو برا نہیں كہ سكتے میں بھی مزاروں پر جا تا ہوں لیكن ان افعال میں شریك نہیں ہوتا اس بحث میں ہمارا یہی ایك مقصد تھا كہ ہم براءی كو ختم نہیں كر سكتے تو كم از كم اس كی حمایت نہ كی جاۓ میرےبھای نے اچھی روایت قاءم كی ہے میں تمام اختلافات كو ختم كركے انہیں مبارك باد پیش كرتا ہوں
یہ اختلاف كسی كی ذات سے نہیں بحث سے تھا بحث ختم ہوجانے كے بعد اختلاف بھی دفن ہوجانا چاہۓ
میرے خیال میں مزید اس موضوع پر بحث كی ضرورت نہیں
اللہ تعالی ہمیں اپنی طرف رجوع كرنے والا بناۓ اور صراط مستقیم پر چلاۓ آمین
شركاۓ فورم سے گذارش
میری آپ شركاء كرام سے درخواست ہے كہ آپ نے كسی بھی ماخوذ نام سے فورم پر رجسٹریشن كرای ہو ازراہ كرم اپنا نام ضرور لكھا كریں تا كہ آپ كۓ پیارے نام سے آپ كو مخاطب كیا جاسكے شكریہ
میں دوست كی شادی میں آبای گاوں جارہا ہوں چند دن فورم سے غیر حاضر رہوں گا اللہ نگہبان
 
  • Like
Reactions: <different_person>

Entertainer

Senior Member
Jul 10, 2008
536
564
1,193
34
Assalamu Alaikum Warahmatullahe Wabarakatohu

Different Person yaar aap se baat karne ka to ab dil hi nahi chah rha hai kyun k aap ko samajh hi nahi aata hai k baat kia karni hai aur jawab kia daena hai aur itni na samjhi aur nadaani aur bachon wali batain kar rahe hain k agar kisi materic k student ko bhi aapki aur hamari posts parha dain to wo bhi kuch samajh lay lekin aap kuch samajhne k lyie tayyar nahi hain aur hamesha apni post ko taweel zaahir karne k liye pata nahi kyun itne ful stops aur dots lagate hain aur aadhi line likhte hain aur phir new line mai chale jaate hain taakay lagae k mai ne bhi lamba jawab dia hai yeh kia hai mere bhai. jab kay asal mai baat to taweel nahi hone chahiye baat to sirf haqaeq par mabni honi chahiye to wo choti baat bhi bara gehra asar daal deti hai parhne walon par lekin aap ki baat hai janab zabardast…

Different person aap ne jo bhoke ko khana khilane wali misaal di hai Astaghfirullah aap ne to bande k ikhtiarat aur Allah Talah k ikhtiaaraat ko mila diya hai mere bhai jaise Allah khana deta hai raaziq hai to bande ne bhi kisi ko khana khila dia to banda bhi raaziq ho gaya yaa phir wo waseela ban gaya is liye ab kyun k yeh zinda banda bhi khana khila sakta hai isliye qabar wale bhi bandon ki sun sakte hain aur un k waseele se dua maangi jaa sakti hai waah kia misaal di hai aap nay janab aik zinda, chalte phirte aur wo banda jiska amaal ka khata abhi band nahi hua jo apne ache bure ka abhi maalik hai aur uski naiki aur buraion ki abhi register continue hai aise bande ko aap ne qabar walon se mila dia hai jo ab hamari duaon k mohtaaj hain aur unki life end ho chuki hai means unkey register ab close ho chuke illa k jo sawabe jaaria k amal hain wo sirf chalte rahte hain aur qabar mai bhi sawab phonchta rahta hai aise banda jo kisi k bhale aur bure ka kuch nahi kar sakta dono aik ho gai hain waah….

Mere bhooley bhaalay bhai aap Bait k muzoo par baat to karte hain par aap ko pata hi nahi hai k bait kehte kisay hain aur phir bait ko aap nay ahle bait se mila diya hai matlab intehaa ho gai hai jahalat ki bhi kahan ahle bait aik bilkul alag baat hai aur bait wo bhi baite rizwaan aik alag isko mix kar k khud hi confuse ho rahe hain aur apni knowledge ka level show kar rahe hain k kitni information hai aapkay pas.

Wo Bait jisay Haroon aur Anwar bari achi tarah define kar chuke hain wo Baite Rizwaan thi janab sahib jo Huzur Sallallaho alaihi wasallam ne lit hi. apne aap ko confusion ka shikar mat karain kyun k ham to in dono maslon par clear hain aur aap khud hi pareshani aur pashemani utha rahe hain aisi batain kar k…


Mazaraat par jo kuch bhi hota hai aur wahan jis qism ka mahol paya jata hai wo kisi se bhi Dhaka chupa nahi hai janab Diff Person aap pata nahi kis ki ankhon mai dhool jhokna chah rahe hain mere bhai qabr walon se mangna kahan likha hai yeh zara proof karo mujawiron k karobaar ka saath mat do yeh hamre pyare aur mukammal deen mai aisi koi riwayaat nahi miltin k Suhaba karam rizwanullahe ajmaeen kabhi huzur SAWW ki qabar par jaa kar kuch manga ho yaa wahan par nazro niyaaz banti ho yaa phir mannat maang kar chadar charhai ho yeh sab amal ajkal mazaraat par chal rahe hain to yeh sab ghalat hue k nahi jiska quroone oola se koi door door tak ka waasta nahi hai. aap bohot jagah to kehte hain k Quran aik mukammal zaabta hayat hai lekin apni in baton ko saabit nahi karte…

Different Person aap ne abhi tak Hazrat Adam AS ka waqia ki daleel nahi di aur sirf yehi kehte rahe k bohot riwayaaton mai hai, saabit hai, Quran mai hai aur pata nahi blah blah. lekin abhi tak koi authentic proof nahi mila apko apni baat ko manwane kaa phir kehte hain k bacha bhi meri baat samajh jaaega haan janab apki yeh naadaani wali batain bacha kam aqal to samajh sakta hai waise ajkal k bache bhi itne bewakoof nahi rahe k aap se koi proof na mangain isliye bachon se bhi aisi batain karne se parhaiz kijiye ga…

Allah Talah hame sahi baat ko sun kar manne ki taufeeq ata farmaye Aameen
----------------------

Shukriya Halakoo Bhai . . .. . k Aapne ne Es bande ko "Nadaan" ka khitaab diya . . . . .
aur mein es khitaab se kaafi khush bhi hoon . .. . woh es liye . . . k agar mein nadaan hon . . .. to sahi he . . . . agar aap jaisey akal mand ,,,.. hein to . . . .

Meri Aakhri Post ko Doubara read kar k . .. . Anwar bhai ne meri baat se itefaaq kiya he . . . . . . Aur Bohat he Dilkash Alfazon se . . . . Apni Baat ko paish kartey huwey . . . . . Apna Message chod gaye hein . .. . Now u tell me , . . . what do u want ?
es thread ko khoobsoorat sa mor dei kar chorna he yan . . . . continue kartey rehna he . . . . . ??????
 

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
thread Closed!!!

bilawaja ki behas khatam karo....aur rules ko follow karo

thread Closed!!!
 
Status
Not open for further replies.
Top