20 sadi k humen sellers

  • Work-from-home

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Hmm sorry kiya hain aaj kal kafi busy hote hu toh
mai khud bhi bhol gaye the k mujhay yeh story complete kerni hain
but aap itne intrested hain toh mai try kerungi k jald se es story ko climax tuk phunchau Inshallah...
next reply mei aapko baki ka thora sa story ka bayan kerte hain...
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
koi baat nahi aur aap masrufiat me bhul gaye par hame intezar hai.....insha Allah umeed hai aap jald isko takmeel tak pahunchayenge

Hmm sorry kiya hain aaj kal kafi busy hote hu toh
mai khud bhi bhol gaye the k mujhay yeh story complete kerni hain
but aap itne intrested hain toh mai try kerungi k jald se es story ko climax tuk phunchau Inshallah...
next reply mei aapko baki ka thora sa story ka bayan kerte hain...
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
yeh sub sun ker hum hairan ho gaye k khala humare sath aisa kaisay ker sakti hain,aur itna bara dhoka aur fareb kaisay ker sakti hain, hum ko kuch samagh nahin arahi thi k hum kiya karain, aur yeh sab kiya ho raha hai humare sath, ab karain to kiya karain aur akhir kahan jayen, tab hum dono ne jana k akhir khala hamein yahan kyun lana chahti thin, woh itni zid kyun ker rahi thin.

........................................................Story ka bakiya hesa.................................................

humein sab kuch samajh agaya tha, tabhi hum bhagna chahtay thay k unki nazar hum per pari aur woh samajh gaye k hum nay sab kuch sunlia hai ,hum nay bhagnay ki koshish ki per badnaseebi say unho ne hum ko paker lia aur qaflay main dal dia aur wahan say rawana ho gaye , hum nay bohat awaz di k koi humari madad karo hamein bachao.............

gari ki awaz bohat onchi thi to baher humari awaz koi bhi nahin sun saka , aur khala to bus wahin say ghayab ho gain aur humko in zalimon k pas chor dia, uske baad humain ek sunsan jagah per laya gaya aur kaha k tumhari khala nay tum dono ko hamein bech dia hai, humein to bilkul apnay kanon per yaqeen nahin araha tha.
hum bohat roye aur unse kaha k khuda k liye humein chor do humein kahin na lejao humare Maan BaBa mer jayengay agr humaray saath kuch hua to,

apki bhi koi behen, beti hogi kia apko ehsaas nahin, kuch Allah k qeher say daro aur hum dono ko chor do apko kiya hasil hoga hum dono say, humein janay do,
" unho nay kaha k yeh to humara kaam hai k hum tum jaison ko khareed ker bechtay hain agr humnay her kisi per rehem kia to hum kiya karen gay aur paisa kahan say hasil karain gay".

humein ehsaas hua k inko jo b kaho sab bekaar hoga kyun k in logon ko koi farq nahin paray ga,jab un logon ka dehaan hum say hata to, tabhi Maliha nay mera haath pakar ker kaha k Badria chalo bhago, tabhi bina kuch sochay samjhe hum dono wahan say bhag gaye.
jab un logon ne dekha k hum bhag rahe hain to woh humara pecha krne lage bohat door tak hum bhagtay rahe per hum thak gaye aur un logon k haath phir say agaye tabhi un duno nay hamein bohat shiddat say mara yahan tak k mere sir say khoon behnay laga aur humaray haath aur pairon ko rassi say bandh dia aur gari k under dal dia

aur wahan say dosray sheher k liye rawana hue, us sheher ka rasta humare gaon say guzerta tha , jab humaray gaon k rastay say guzer rahay thay to wahan per akhri baar main nay apni gali ko dekha aur wahan say guzernay k baad mujhay ehsaas hua k main nay apne Maan aur BaBa ko hamesha k liye pechay chor dia hai aur ab main bohat door ja rahi hon. aur uskay baad main behosh ho gai .........................

aur jab hosh aya to dekha k subha ho gai thi aur hum kisi aur sheher pohanch gaye thay wahan per unho ne thori dair k liye gari ko ek darya k kinare rok di aur hamein kaha k tum dono wahan ja ker apnay haath aur moon dho lo to hum dono darya k kinaray k pas gaye aur apne sir aur haath ko jo zakhmi hue thay, pani say saaf kia
humein to kuch samajh nahin araha tha k yeh sab ek sapna hai ya haqeeqat ek pal main itna kuch badal gaya pata hi nahin chala, tabhi mujhay Humayun ki yaad agaye kyun k jisay woh itna pyar kerta hai usay pata bhi nahin hoga k mere saath kiya ho raha hai aur main apne ansuon ko rok nahin payi..aur mere saath Maliha bhi ro pari.
wahan per bhi humnay bhagnay ki koshish ki per pehle ki tarha hum phir nakaam ho gaye.

aur is baar to unho ne itni berehmi say mara hum ko k itni bhi taqat nahin thi hum main k gari tak ja patay bas ek zinda lash ki tarha humein gari tak lejaya gaya aur wahan say phir rawana ho gaye,
kahan ja rahay hain kuch bhi pata nahin tha humein, pohanchte pohanchte raat ho gai aur raat guzarnay k liye humein ek gher main le gaye jahan per ek aurat bhi thi. humein wahan per chor ker wo khud kahin aur chalay gaye aur kaha k " hum yahin per hain, tum log yahan per aram karo subha phir say hum apni manzil ki Ore rawana hon gay"

wahan per humaray liye khana bhi laya gaya per humari to jaisay bhook aur pyas mit hi gaye thi, na main nay khana khaya aur na hi Maliha nay, bus ro rahay thay hum, hairan thay k akhir hum is musibat say kaisay chutkara payen kaun hoga jo humein is musebat say nikalay ga.

tabhi us aurat per meri nazar pari jis k gher per hum us raat thehray thay, main nay socha k is aurat se madad mangni chahiye.
ho sakta hai k yeh humari madad kare ...............

toh madam mangne k lie hum us aurat k paas gaye
aur un se kaha k '' Hum buhut bari musibat mei per gaye hain
hume dhuke se yaha laya gaya hain aap hume en zalmu se chutkara de laskte hain toh hume humare gher jane de mere Ammi aur Baba humare raah dheck rahi hunge aap humare madad kerskate hain ''
tabhi us aurat ne kaha k tum logu ka demagh kharab hugaya hain kiya hum khud bhi es kaam ka ek hessa hain tum loug toh wapas jane ka sochna bhi mut...

Badria: Phir mai ne kaha k kaise Aurat hain aap joh ek dusre aurat k derd ko nahin smaajh sakti hum kessi k gher ki izzat hain humare Ammi abbu hain joh shayed abhi tuk humare raah dheck rhai honge zindagi mei kabhi aapko bhi madad ki zaroorat hue hugi shayed tub aapko koi madad kerne wala na tha pher aaj aap humare madad kersakte hain

Khuda k lie hume yaha se jane de hum zindagi bher aapka yeh ahsan nahin bholenge...
mere es baat se voh aurat Mutasir hugae aur uske ankho mei ansoo agaye aur us aurat ne kaha k haa ek wakt tha jub mujhay bhi madad ki zaroorat the mai ne bhi buhut israr kiya tha pher kessi ne bhi mere madad nahin ki jess k wajah se mai aaj yaha tuk phunch gaye.....

pher tumhare es baatu ne mere us guzre hue wakt ko mere samne laya hain mere us derd ko jagay hain jess k wajah se mai insaniat bhi bhol gaye pher tum loug fikur na kero mai kessi bhi haal mei tum logu ko yaha se azad keraungi aur tumhe tumhare gher tuk phunchaungi..."

Badria: hum donu buhut he khosh hue us aurat ki es baato ne humare dil mei umeed jagaye k hum phir se aapne gher jayenge....

To be continoued
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
subhan Allah.....kahani ka har ek pehlu me dard hai bohot hi gaur se hamne isko padha aur khaas kar ye padh kar to ankhen nam hogayiin

aur wahan say dosray sheher k liye rawana hue, us sheher ka rasta humare gaon say guzerta tha , jab humaray gaon k rastay say guzer rahay thay to wahan per akhri baar main nay apni gali ko dekha aur wahan say guzernay k baad mujhay ehsaas hua k main nay apne Maan aur BaBa ko hamesha k liye pechay chor dia hai aur ab main bohat door ja rahi hon. aur uskay baad main behosh ho gai .........................

baki kahani ka intezar rahega
thanx sabah
 
Thank you Dear...
yeh story such mei buhut he heart touching hain aur buhut painful bhi...
yaha se Badria k mushkele shoro hurahe hain and buhut se hadse bhi hute hain donu sahlio k sath
so Iam just confused k aise jagah ko mai kaise bayan kero pata nahin munaseb hoga bhi mention kerna ya nahin....
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Aafwann....sabah
haan ye to padhte hi dil ko dhugayii aur kaafi dard bhi hai isme...aap zaroor puri karen is story ko aur koi cheez na chore sab bayan karen koi baat nahi ek haqeeqi waqaya hai aap sab sunayen....bilkul munasib rahega koi baat nahi ham muntazir hain insha Allah

Thank you saviou
Soon I will post next part Inshallah....
 
St0rm

Hot Shot
Jan 28, 2009
23,678
5,392
1,313
very nice and heart touching story hai ****..........

thanks for shairing ........

baqi kahani ka intezar rahega......
 
skamaan

Newbie
Apr 12, 2010
5
2
3
kuwait
salam sabah G maine kuch din pahele hi TM ka hissa bana houn our aj maine apki abhi tak ki kahani padli hai ap nahin janti ke kitni bechaini se apke agle post ka intezar karsaha hovn
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
salam sabah G maine kuch din pahele hi TM ka hissa bana houn our aj maine apki abhi tak ki kahani padli hai ap nahin janti ke kitni bechaini se apke agle post ka intezar karsaha hovn
hmmm thank you :)
sorry mai toh bhol he gaye the that I should complete this
soon I will post next part do check it as well...
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
aap khud bhul gaye ham to kabse intezar kar rahe hain

hmmm thank you :)
sorry mai toh bhol he gaye the that I should complete this
soon I will post next part do check it as well...
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Ooops aapko yeh yaad kaise aya...
waqt he nai mela esay wapas likhne ki...
abhi baki sab kaam arrange ho tu eska likhna shoro kerungi InshAllah
thanks for reminding.. :)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Ooops aapko yeh yaad kaise aya...
waqt he nai mela esay wapas likhne ki...
abhi baki sab kaam arrange ho tu eska likhna shoro kerungi InshAllah
thanks for reminding.. :)
bas ji yaad rehta hai hame par kehna bhul jaate hain /:)
intezar rahega isko mukammal parhne ka inshAllah
 
Top