A Special Tribute To V I P ( Hoorain)

  • Work-from-home

Ichigo

Active Member
Sep 12, 2014
202
47
328
Dear Friends

Jab b kisi member k naam k sath VIP likha dekhtaa hoon tu aisa lagta hai jaisey kisi name plate

pe name k agey MARHOOM (LATE) likha hoaa ho..... X_X

Especially hamari latest Marhoom hoeny wali ( X_X ) I mean VIP Miss @Hoorain k naam k

samney jab VIP likha dekhta hoon tu klaija moonh ko ata hai, Dil ghabraney lagta hai aur Sar

chakraney lagta hai. Tu majboor ho k Ghaalib ki yeh ghazal gungunaaney lagta hoon ( a special tribute to @Hoorain and other VIP's )

sab kahan kuch lala-o-gul mein numayan ho gain
khak mein kya suratein hongi k pinhan ho gain

yad thi hamko bhi ranga rang bazm aaraiyan
lekin ab naqsh-o-nigar-e-taaq-e-nisiyan ho gain

thin banatunnash-e-gardun din ko parde mein nihan
shab ko un k ji mein kya ai k uriyan ho gain

qaid mein yaqub ne li jo na yusuf ki khabar
lekin ankhein rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain

sab raqibon se hon nakhush, par zanan-e-misr se
hai zulaikha khush ke mahw-e-mah-e-kanan ho gain

ju-e-khun ankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq
main ye samjhunga k shamaen ho farozan ho gain

in parizadon se lenge khuld mein ham intaqam
qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain

nind usai hai, dima uska hai, ratein uski hain
teri zulfein jiske bazu par parishan ho gain

main chaman mein kya gaya, goya dabistan khul gaya
bul-bulein sun kar mere nale, gazalkhwan ho gain

wo nigahein kyun hui jati hain yarab dil k par
jo meri kotahi-e-qismat se mizshgan ho gain

bas k roka main ne aur sine mein ubhaen pai ba pai
meri ahen bakhiya-e-chak-e-gariban ho gain

wan gaya bhi main to unki galiyon ka kya jawab
yad thi jitni duain, sarf-e-darban ho gain

janfiza hai bara, jis k hath mein jam a gaya
sab lakirein hath ki goya rag-e-jan ho gain

ham muwahihad hain, hamara kesh hai tark-e-rusum
millatein jab mit gain, ajza-e-iman ho gain

ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj
mushkilein mujh par pari itni ke asan ho gain

yun hi gar rota raha 'Ghalib', to ae ahl-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki wiran ho gain


Aap sab apney dili jazbaat ka azhaar ker sakty hein ..Da'awat e aam hai :)
Aik shair mein apney jazbaat ka izhaar kerna hai ..


@Hoorain ;))
 
Top