ye ha wo Iqbal ka shaer jo Shahadat Imam Hussain(R.A) ki ahmiyat ko poori tarha wazeh kar deta ha,magar afsos k hum ne aetdal ka rasta nahi apnaya,kuch log matam o noha gari ki taraf chale gae aur kuch ne waqea karbala ko siaasi waqe ya iqtadar ka jhagra qarar dae kar haqaeq se pehlu tahi ki,
ye to haq o batal ka marka tha,jis se musalmano ko batal quwaton aur jabar o astahsal k samne kabi na jhukne aur dat jane ka sabaq mila,iss waqea ne Islami tareekh par gehre asrat muratab kiyay, haq k lie jan qurban karne k jazbe ka naam Hussainiyat thehra aur jabar aur istahsal ki sari shaklain yazeediyat k andar pinhan ho gaien,Hussain ka naam hamesha k lie amar ho gaya aur yazeed ka naam nafrat ki alamat ban gaya..
mit gaya dehar se naam e yazeed
tujh ko hasil hua dawam Hussain(R.A)
bachpan se sunte aaye hain k jab kisi zalim shakhs ka zikar hota tha to log kehte thay k "wo barra yazeed ha"
lekon kuch log yazeed ki muhabat main b giriftar nazar aatay hain,aik waqea yahan code karun ga k Moulana Shafi okarwi marhoom aik mehfal main Shahadat Imam Hussain(R.A) k silsila main taqreer kar rahe thay,ikhtatam par aik shakhs ne jumla kassa k yazeed to kalma go musalman tha to iss tarha to wo janati ho ga?
Moulana Shafi Okarwi sahib ne jawab diya k "mein dua karta hun k mujhe mehshar wale din Hazrat Imam Hussain(R.A) k sath uthaya jaye aur tum dua karo k tumhain yazeed k sath uthaya jaye"
itna sunte he wo shakhs wahan se foran rafu chakar ho gaya.
Qurbani ki ye azeem masaal hum se taqaza karti ha k hum b batal quwaton k samne kabi na jhukain aur haq ki rah main jan qurban karne se b qurez na karain.
qatl e Hussain(R.A) asal main marg e yazeed ha
islam zinda hota ha har karbala k baad