Khawaten k masle

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Assalam alaikum sister
aisi koi sahih hadees ya quran ki koi aisi daleel hame nahi milti jinse ye sabit ho k aurton aur mardon ki namaz aur wazu ka tareeqa ek dosre se mukhtalif ho.balke ek martabe Allah k nabi(pbuh) membar par namaz ki imamat farmaayi qayaam aur rukoo membar par kia neeche utar kar fir sajda kia fir membar par charh gaye aur namaz se faarigh hokar farmaya "maine ye kaam isliye kia taake tum namaz ada karne me meri iqtedaa karsako aur meri namaz ki kaifiyat maloom karsako.(sahih bukhari-al juma-baab alkhutba ala membar 917).

aur isi tarha sahih bukhari ki hi dosri hadees me farmaya "sallu kamaraitumuni usalli" tum is tarha namaz parho jis tarha mujhe namaz parhte hue dekhte ho.(sahih bukhaari).

in sahih aahadees me kahin aisa nahi likha hai k ye mardon keliye khaas hai aurton keliye main dosra tareeqa bataunga etc.isme qitaab aam hai jisme mard aur aurtein sabhi shaamil hain.kyunke Allah k nabi(pbuh) k zamane me aurtein bhi masajid jaaya karti thin.

umeed k inshaAllah tasalli baksh jawab mila hoga.:)
 

Sweet-doll

Senior Member
Dec 6, 2011
652
401
363
karachi
bilkul theek...

---------- Post added at 05:31 PM ---------- Previous post was at 05:22 PM ----------

well said bhai :)
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
hmmmm...mn b yehi share krne lagi thi bhai..bt apki pos parhi tu laga yehi thk hai.......mardon r aurton ki namaz ya wazu mn koi diff nai milta ahadees ki ru se......so try to act good....
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Kuch kehne se pehle main members se kahon ga ke aap yahan section hone ki waja se aise sawal pochte hain magar behtar ye hai ke aap kisi aalim se is hawale se discus karen toe zyada behtar hoga

@ Aaraaf Bro Main aap ki post se 100% disagree karon ga aap ne jo 2 ahadees quote kari hain un ka mafhoom aap ne sahi se bayan nahi kara hai is ka kaheen se bhi belong wazoo se nahi hai aur wazoo aur namaz k 2 alag different tareeka kaar hain . aap ke kehne ke mutabik mard aur aurtoon ke namaz ka tareeka kar aik haii . wazoo ke hawale se meri knowledge nahi itni siwaye ye ke mard sir ka pora massa karte hain jab ke shayad auraten pora nahi karti nisf sir tak karti hain maybe i m wrong ye koi larki behtar bataye gi

magar namaz ke hawale se main aap ke in point of views ko members ke lye clear kar don ke mard aur auratoon ka namaz ka tareeka aik dosrey se different hain

1. Takbeer-e-Tehreema ke waqt mard hazraat kanoo tak hath uthatey hain Jab ke auraten sirf shoulders tak

2. Takbeer-e-Tahreema ke baad mard naaf se neeche hath bandhtey hain Jab ke auraten seene ke oper

3. Mard ruko main is terha se jhuka karen ke sir aur pusht yani peeth barabar honi chaye jab ke aurten sirf itna sir jhukayen ke hath ghutnoo tak pohanch jayen

4. Sajdey ke dauran mard hazrat apni kohniyan zameen se uthi huwi rakhen jab ke aurtain zameen pe bicha kar mean laga kar

5. Mardoon ki shalwar takhnoo se oper hoti hai jab ke aurtoon ki nahi .

ye thay kuch imp points jis se tareeka kar ki changing ka pata chalta hai Allah sahi ilm ata farmaye AAMEEN
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
very infortmaive sharing zeee..thanxx for sharing
 

Sweet-doll

Senior Member
Dec 6, 2011
652
401
363
karachi
zee ap ne jo kaha ap k hawale se right hoga par ap kis baat ko follow kr k ye keh rahe hen koi hadees??
koi ayat??
Allah ne humen namaz parhne ka hukum dya hai par kitni namazen parhni hen ye humen hadees se pata chala hai..
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
zee ap ne jo kaha ap k hawale se right hoga par ap kis baat ko follow kr k ye keh rahe hen koi hadees??
koi ayat??
Allah ne humen namaz parhne ka hukum dya hai par kitni namazen parhni hen ye humen hadees se pata chala hai..
doll koi bhi namaz ki book utha ke parhloo us main jawab mil jaye ga . hadees ki baat karti ho toe Aurat ki haya pe beshumar hadees hain jin ka mutala karlo 2nd baat ye ke kitni namazen parhni hain ye Topic ka hissa nahi hai aur na he maine namaz ke mutalik kuch kaha hai ke kitni parhni hain ye toe har koi he janta hai DIN main 5 waqt namaz parhte hain aur sath kitni rakaat hoti hain is ka ilm bhi sub ko hai. maine apni post main Namaz ka tareka kaar bayan farmaya hai. mard aur aurat main farq bayan farmaya hai

aap larki ho mera aap se aik sawal hai apne paienchey takhnoo se oper kyon nahi rakhti namaz parhte waqt aur seene pe hath kyon bandhti ho? koi jawab?

Shukrya :)
 
  • Like
Reactions: Pari

Sweet-doll

Senior Member
Dec 6, 2011
652
401
363
karachi
dhekye zee aurton k liye zarori hai k wo apne takhne or sir dhanp k rakhe jb k mardu k liye nae hai baki namaz men koi fark nae,
zee bat barhi gi tou bht dour jaye gi ye bat is lye ise yahin khatam krte hen agar ap namaz men changing krte hen its up 2 u hum wese kare gen jese hamare piyare nabi ne farmaya...
or hum ye namaz ki kitab dhek k hi keh rahe hen...
koi or kitab hai tou wo b plz humen bata djye..
shukrya
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Allah ka shukar hai main bhi sunnaton pe amal karta hon aur maine namaz parhne ka tareeka change kar ke nahi bataya maine woh tareeka bataya hai jo mard aur aurat ka zahiri toor pe numaya hota hai aur in 2fark ke ilawa 3 fark aur batayen hain.. main bhi mazeed kuch kehna nahi chahta Allah aap ko hidayat de Aameen
 

Sweet-doll

Senior Member
Dec 6, 2011
652
401
363
karachi
Ap ne namaz men aurat k parde ki baat ki wo har jaga hai khair Allah apko or baki jo jo rah se bhatke hoye hen un sab ko hidayat dai.
ameen..
n sorry humari koi baat buri lagi ho tou..
Allah mjhe b hidayat dai...ameen
 

horia_asad

Newbie
Feb 3, 2012
8
6
0
35
zee bhai ne bohut achi baatain share ki hain humare sath in ko parh k meri namaz b kuch had tak darost ho gayi thx zee bro
 

Fitna e Dil

Newbie
Apr 22, 2012
47
46
318
عورتوں اور مردوں کی نماز میں فرق کے بارے میں اس کتاب کا مطالعہ سود مند ہوگا۔
ڈائنلوڈ کرنے کے لیے یہاں کلک کریں

 

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
عورتوں اور مردوں کی نماز میں فرق کے بارے میں اس کتاب کا مطالعہ سود مند ہوگا۔
ڈائنلوڈ کرنے کے لیے یہاں کلک کریں

bht si jgah hawale ny hy sirf qaul hy or bht si jgah zaeef hadees hy
isme tu sb qalat malat hy
 
Top