shariat ki misaal qanoon ki si hai yane shariat islamia ko ham qanoon islamia keh sakte hain. aur qanoon lagoo zahir par hota hai kyun ke qaazi ya judge ya hakim ke samne zaahir hota hai aur batin poshida hota hai. jab batin tak rasaai mumkin nahi hai to is par qanoon lagoo kaise hoga ? yane batin ko maloom nahi kiya jaa sakta issi liye to wo batin keh lata hai. jab isse maloom nahi kiya jaa sakta to is par kisi shai ka itelaaq lagoo karna kaise mumkin hai. misaal ke taur par kisi jurm ke irtekaab mein kisi insaan ki niyat ka muamla hai. ab agar mujrim ye dawaa kare ke meri niyat to is qadar neik ya saleh thi to is ke is dawaa ka etebar nahi hoga kyun ke is ki niyat ka ilm janne ke liye hamare paas meyar nahi hai isliye ham iske zahiri amal par hi koi saza jaari kardenge.
kisi shaqs ne apni biwi ko talaq dedi aur ab wo ye kehta hai ke main ne talaq ke alfaz talaq ki niyat se nahi kahe to zaahir ye hai ke is ne talaq ke alfaz hole hain aur batin ye hai ke is ne talaq ki niyat nahi ki. ab is surat mein iske batin ko maloom karna mushkil hai illa ye ke is ke kuch qarain hon koi saboot ho wallahu aalam bisawaab
jazakumullahu khairan
JAZAKALLAH ,,bohat achi misal di aap ne