Misyar & Mutt'ah (Temporary Marriage) Me Kia Fark Hai?

  • Work-from-home

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
Asslam o Alikum.

main Misyar ki detial jan'na chahti hon.kia koi meri help kar sakta h?jab k Mutt'ah (arzi shadi) krna jaiz nahi.siwaey Shia mslk k.to ab sun'ne me ye ata hai k Saudi Arabia me ise kafi muftiyon ne jaiz qarar de dia hai.aik naey nam k sath.

kia aap samjhte hain k ye theik hai.kia Misyar & Muttah me buhot fark h?

jab k aik zamaney me Muttah bhi jaiz tha ,sahabah karaam RA ki aksariyat (jinhain baaz aqliati masaalak k log nahi maantay) ki roy yehi hai k 'muttah' ka jo hukm dia gaya thaa, woh makhsoos time-period k lie tha, jo bad maiN mansookh kardia gaya....

acttualy mojhse ye sawal kie gae h.to mojhe is ki detial nahi malom.
 
  • Like
Reactions: kool~nomi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

masha Allah apne bohot ahem sawal kiya jiska janna behad zaroori hai

misyar aur mutaa me kya fark hai
muta k talluq se islam kya kehta hai
daleel k sath apke samne hazir hain

nikah mutah ka meaning ye hai ke shadi karne wala kahta ke main ek mahine ya ek saal keliye tum se shadi karna chahta hoon...shuru islam main nikah mutah halal tha uske baad nikah mutah ko haram qarar diya gaya

uski daleel ye hai jo muslim ki hadees hai

عن النبي عليه الصلاة والسلام أنه قال : « إني كنت أذنت لكم في الاستمتاع من النساء وأن الله قد حرم ذلك إلى يوم القيامة ، فمن كان عنده منهن شيء فليخل سبيلها ، ولا تأخذوا مما آتيتموهن شيئا » (1) ، وثبت من حديث علي رضي الله عنه ، وسلمة بن الأكوع

uska tarjuma ye hai Rasul s.a.w farmate hain ke maine tumko aorton se mutah karne ki ijazat di thi, aur Allah tala ne usko haram kardiya hai qiyamat ke din tak keliye agar kisi insan ke paas mutah wali aorat ho to usko chor dain aur usko jo mahar diya gaya hai use wapas na lain

hazarat Ali r.a ki bhi hadees hai ke Rasul s.a.w ne mutah ko haram kiya hai uske bawajood shiya sab mutah ko jaaiz samjhte hain

عن علي بن أبي طالب : أن النبي صلى الله عليه و سلم نهى عن متعة النساء وعن لحوم الحمر الأهلية زمن خيبر ال الشيخ الألباني : صحيح

ye hadees tirmizi ki hai aur imam tirmizi ne isko hadees hasan bataya hai aur albani sahab ne sahih bataya hai

aur hazarat Ali r.a ki hadees bukhari main bhi hai
uska tarjuma ye hai ke Allah ke Rasul s.a.w ne mutah ko aur paltu gadhe ke gosht ko jange khaibar main haram qarar diya

misyar kya hai
misyar main hota ye hai ke aurat kuch shuroot par shadi karti hai
misaal ye ke mard aurat par paisa kharch na karega ya rahne keliye ghar nahi dega
aur iska maqsad sirf lutf andoz hona hai

to kya ye jayaz hai
kuch log usko jaiz kahte hain lekin ye sahih nahi hai
hamare liye kisi bhi cheez ko manne us par amal karne k liye ya to Kitabullah se daleel chahiye ya phir Rasul s.a.w k farman se to in dono me kahin bhi misyar ka zikr nahi hota aur ham khud saudi me rehte hain aaj tak kahin hamne nahi dekha aur nahi suna aur agar kuch loog jaiz kehte bhi hain to unki baat hamare liye hujjat ya daleel nahi hogi jab tak wo sabit na karen sahi ahadees se wallahu aalam

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
jazak Allah..aap ne meri buhot bari mushkil asaan kr di.wese saudi arab k "Sheikh abdul mohsen" jo k saudi justice k vice minister heiN arabic daily news paper "Asharq al-aswat" meiN saudi muftiyan ki jaanib se ahl e islaam k lye "misyar" k halal hone ka fatwa officially jaari kia.
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
jazak Allah..aap ne meri buhot bari mushkil asaan kr di.wese saudi arab k "Sheikh abdul mohsen" jo k saudi justice k vice minister heiN arabic daily news paper "Asharq al-aswat" meiN saudi muftiyan ki jaanib se ahl e islaam k lye "misyar" k halal hone ka fatwa officially jaari kia.
Allahi barik feek :)

aap jis shekh ka zikar kar rahe hain iska to hame ilm nahi lekin tahqeeq zaroor karenge insha Allah

rahi baat unke fatwon ki to bohot se olama ye daleel lete hain ki soda r.a jo k umar daraz hogai thi Allah k Rasul s.a.w unko talaq dena chahte the to unhone apni bari hazrat Ayesha r.a ko dedi aur Allah k Rasul s.a.w k nikah me rehna pasand kare......

to olama is hadees ko daleel banake kehte hain ki agar koi aurat ye shuroot par shadi kare ki khawind us par kuch kharch nahi karega aur nahi ghar dega mahine ek baar ya hafte me kuch ghanto k liye aayega uske paas aur phir Nikah shariat k mutabik ho jaise gawah hon aur maher aada kiya jaye to jaiz hai......

lekin bohot se olama isse ittefaq nahi rakhte

almuhim hame Allah k Rasul s.a.w se ye cheez nahi milti nahi unke sahab ikram se aur nahi khair ul quroon se to kisi k fatwe ki wajhe se ye shariat me dakhil nahi hosakta

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
well said...

re: "Rasul s.a.w farmate hain ke maine tumko aorton se mutah karne ki ijazat di thi, aur Allah tala ne usko haram kardiya hai qiyamat ke din tak keliye agar kisi insan ke paas mutah wali aorat ho to usko chor dain aur usko jo mahar diya gaya hai use wapas na lain"

aik aur sawal ye k Hazrat Mohammad (S.A.W) kabhi khod se kisi chez ka hukum nahi dete th to pehle Mutt'ah ka hukum kese dia jo k bad me Allah tala ne ise haram qarar de dia to ye kese?is me mojhe kuch confusion ho rahi h.plz clear my confusion.aur mazeed sun'ne me ye ata h k Mutt'h kki shorowat Iran se hoi thi.kia ye sahi h?
aur ye bhi k Mutt'ah ko bad me Hazrat Omer Farooq (r.a) ne mansookh kia tha.

jab k aap ne likha k jange khaibar se ye shoro hoa.
 
masha Allah kaafi gehre sawal aarahe hain apko good
har cheez ko clear karlena chahiye taake dil me koi khatak naho
Allah apki ilm me mazeed barkat de Aameen

ye bilkul haq hai k Allah k Rasul s.a.w deen k mamle me apni marzi se kabhi nahi bolte the ye ham nahi keh rahe hain ye Allah ka kehna hai

وَمَا يَنطِقُ عَنِ الْهَوَى http://quran.al-islam.com/Recite/CRecite_g2.asp?s=53&f=3&Reciter=1
53.3 . Nor doth he speak of ( his own ) desire .

Rasul apni khwahish se apni marzi se nahi kehte

إِنْ هُوَ إِلَّا وَحْيٌ يُوحَى
53.4 . It is naught save an inspiration that is inspired ,

wo to sirf wahi hai jo utari jaati hai

abhi baat wazhe hogayi k Allah k hukm k baad hi wo bolte hain aur Quran me aur hadees me kabhi takrao nahi hoga ye to bas hamare samajhne me hota hai ya phir loog zayeef mauzu hadeeson ko Qurani aayat se milane ki koshish karte hain

mutaa ke baare main shuru main koi hukum nazil nahi hua tha isliye jaaez tha jaisa ke sharab bahut se sahaba ikraam peete the aur aahista aahista usko haram kiya gaya

umar farooq r.a ne mansookh nahi kiya balke kuch sahabah ko is hukum ke bare main pata nahi tha isliye wo sahaba jaaiz hone ka fatwa dete the to unhone apne zamane khilaafat main kaha tha ke agar koi mutaaa karte pakda gaya to use rajam kiya jaaega

umeed hai abhi apko wazahat hogayi hogi
Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
thanks 4 your reply.Allah tala aapko jazaey khair de.

aur plz mojhe in ahadees ka full reference chahiye.means page number,vol number etc etc...(sorry bar bar tang krne par)

عن النبي عليه الصلاة والسلام أنه قال : « إني كنت أذنت لكم في الاستمتاع من النساء وأن الله قد حرم ذلك إلى يوم القيامة ، فمن كان عنده منهن شيء فليخل سبيلها ، ولا تأخذوا مما آتيتموهن شيئا » (1) ، وثبت من حديث علي رضي الله عنه ، وسلمة بن الأكوع

uska tarjuma ye hai Rasul s.a.w farmate hain ke maine tumko aorton se mutah karne ki ijazat di thi, aur Allah tala ne usko haram kardiya hai qiyamat ke din tak keliye agar kisi insan ke paas mutah wali aorat ho to usko chor dain aur usko jo mahar diya gaya hai use wapas na lain

hazarat Ali r.a ki bhi hadees hai ke Rasul s.a.w ne mutah ko haram kiya hai uske bawajood shiya sab mutah ko jaaiz samjhte hain

عن علي بن أبي طالب : أن النبي صلى الله عليه و سلم نهى عن متعة النساء وعن لحوم الحمر الأهلية زمن خيبر ال الشيخ الألباني : صحيح
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
thanks 4 your reply.Allah tala aapko jazaey khair de.

aur plz mojhe in ahadees ka full reference chahiye.means page number,vol number etc etc...(sorry bar bar tang krne par)

عن النبي عليه الصلاة والسلام أنه قال : « إني كنت أذنت لكم في الاستمتاع من النساء وأن الله قد حرم ذلك إلى يوم القيامة ، فمن كان عنده منهن شيء فليخل سبيلها ، ولا تأخذوا مما آتيتموهن شيئا » (1) ، وثبت من حديث علي رضي الله عنه ، وسلمة بن الأكوع

uska tarjuma ye hai Rasul s.a.w farmate hain ke maine tumko aorton se mutah karne ki ijazat di thi, aur Allah tala ne usko haram kardiya hai qiyamat ke din tak keliye agar kisi insan ke paas mutah wali aorat ho to usko chor dain aur usko jo mahar diya gaya hai use wapas na lain

hazarat Ali r.a ki bhi hadees hai ke Rasul s.a.w ne mutah ko haram kiya hai uske bawajood shiya sab mutah ko jaaiz samjhte hain

عن علي بن أبي طالب : أن النبي صلى الله عليه و سلم نهى عن متعة النساء وعن لحوم الحمر الأهلية زمن خيبر ال الشيخ الألباني : صحيح
Aameen
Allahi barik feek :)

nahi ham bilkul bhi tang nahi hain apse na kabhi honge insha Allah
apko hadees no k sath batate hain phir aap usko dekhlena

عن النبي عليه الصلاة والسلام أنه قال : « إني كنت أذنت لكم في الاستمتاع من النساء وأن الله قد حرم ذلك إلى يوم القيامة ، فمن كان عنده منهن شيء فليخل سبيلها ، ولا تأخذوا مما آتيتموهن شيئا » (1) ، وثبت من حديث علي رضي الله عنه ، وسلمة بن الأكوع

عن علي بن أبي طالب : أن النبي صلى الله عليه و سلم نهى عن متعة النساء وعن لحوم الحمر الأهلية زمن خيبر ال الشيخ الألباني : صحيح​

- باب نِكَاحِ الْمُتْعَةِ وَبَيَانِ أَنَّهُ أُبِيحَ ثُمَّ نُسِخَ ثُمَّ أُبِيحَ ثُمَّ نُسِخَ وَاسْتَقَرَّ تَحْرِيمُهُ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ

ye sahih muslim mai hai is ke baab ka naam hai

muslim main hadees number 3779-3485

ye arabi wali muslim hai

hazrat ali ki hadees ka number 3497 hai

number urdu main alag hosakta hai

hazrat ali ki hadees bukhari muslim dono main hai

aap urdu main nikah mutaa ke baab main jaaeye aapko sab hadees miljaaengi

imaam muslim ne bees se ziyada mutaa ke silsile main hadees bayan kiya hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
JAZAK ALLAH KHER NASiR BHAi... apne bht hi shaistana andaz me samjhaya...bht khoob Allah apko or ilm de tak ap logu ki confusion duur ker sake.Allah apko is ka ajer de ,JAZAK ALLAH BRO :)
 
Top