pasand ki shadi

  • Work-from-home

horia_asad

Newbie
Feb 3, 2012
8
6
0
35
mera sawal ye hain k aj kal net pe larka larki apni marzi se nikah kar laite hain online nikah bina ghar walon ki marzi k or bina kisi gawah k meri aek dost ne b aek online molvi se aisay hi nikah parha liya tha to kiya aisay karne se nikah ho jata hai k nahi
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
mera sawal ye hain k aj kal net pe larka larki apni marzi se nikah kar laite hain online nikah bina ghar walon ki marzi k or bina kisi gawah k meri aek dost ne b aek online molvi se aisay hi nikah parha liya tha to kiya aisay karne se nikah ho jata hai k nahi
Assalamu Alaykum Wrwb :)

wali ke bagair shadi jayez nahi agar koi aisa karta hai to wo galat hai gunehgaar hai wo shadi najayez hai

Allah ke Rasul sallellahu alayhi wasallam ne farmaya : jis aurat ne wali ki ijazat ke bagair nikah kiya, iska nikah batil hai, iska nikah batil hai, iska nikah batil hai, ( Ahmed, Ibn Dawood, Tirmidi, Ibn Maaja )

aur bhi kayi sahi ahadees hain lekin ye ek kaafi hai
umeed hai apke sawal ka jawab mil gaya hoga inshAllah :)

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

horia_asad

Newbie
Feb 3, 2012
8
6
0
35
nikah to wali hi karte hain par mera sawal ye tha maa baap ki ijazat k bina apni marzi ka nikah wajid hai?
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
nikah to wali hi karte hain par mera sawal ye tha maa baap ki ijazat k bina apni marzi ka nikah wajid hai?

mohtarma ladki ka wali to pehle baap hi hoga agar baap nahi to chacha ya bhai jo qareebi ho aur maa baap ki marzi ke khilaf aur unki maujoodgi me kisi aur ko wali bana kar shadi karna ye to galat hai shariat ke khilaf hai

haan agar maa baap kisi mushrik se ya gunehgaar se jo sharabi ho juwari ho aise ladke shadi karna chahte hain to aap inkar karsakte ho wagarna acha rishta thukrana muashre me fitna fasad paida karna jaise hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

GULSHI

Newbie
Mar 18, 2014
2
1
1
sir mera sawal hai k agr waldain humari shadi us jaga karain jahan humari marzi na ho to us sorat me hume kia krna chae.? or kia hum bhag k shadi kr skte hai us sorat me.?
mere waldain jahan se meri shadi krna chate hain mera wahan per dill nai mutmin to mujhe kia krna chae mere waldain meri bat b nai mante please sir koi mahkool sa answer dain shukria
 

Umm-e-ahmad

Super Star
Feb 22, 2010
11,352
5,314
1,313
home

mohtarma ladki ka wali to pehle baap hi hoga agar baap nahi to chacha ya bhai jo qareebi ho aur maa baap ki marzi ke khilaf aur unki maujoodgi me kisi aur ko wali bana kar shadi karna ye to galat hai shariat ke khilaf hai

haan agar maa baap kisi mushrik se ya gunehgaar se jo sharabi ho juwari ho aise ladke shadi karna chahte hain to aap inkar karsakte ho wagarna acha rishta thukrana muashre me fitna fasad paida karna jaise hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
Nice replies bhai
maa baap olaad ka bura nahi soch skte hmesha acha hi sochte hain
 
Top