Poetry by topic (Ashk )

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Assalam O Alaikum Frnds....:)

Aaj main aapke liye ek aur dilchusp shayri game le ke hazir huwi hoon...

Ye game hai Poetry By Topics ... {(laire)}

Is game me aapko her week ek topic diya jayga....aur us topic pe aapko koi sher ya poetry yaha post karni hogi...ek member ek hi poetry ya sher yaha post ker sakta hai....{(order)}

ek week bad RR posted poetries me se ek select karengi aur use best poetry announce karengi... v{()|aw

us poetry ke post kerne wale member ko RR ki taraf se ye khoobsoorat Trophy as award di jayegi...{(goodluck)}

Umeed karti hoon ke ye game aaplogo ko pasand aayega aur aap sab is game me participate kiya karenge....:)

her monday ko main ek topic diya karoongi aur friday tak members yaha posting karenge aur final result sunday ko RR announce karengi...:)

Is week ka topic hai...

:)... ASHK...:)

as a example main ek sher post ker rahi hoon... :)

Toofan e nooh lane se aye chashm e fayeda
Do ASHK bhi bohat hain agar kuch asar karen

umeed hai frnds ke aap sab ko samajh aa gaya hoga ke is game me kya karna hai...:)
so let's start...

Sare members monday - friday tak yaha sharing kar sakte hain & sunday ko result announce ker diya jayega

Note - Agar koi member yaha poetry image post karna chahta hai to use image me apna user name & tafreehmela ka naam mention karna hoga warna image accept nahi ki jaygi...{(order)}

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
waalaikum assalam amreen :)
bahot acche topic ka inteqaab kia aapne main zaroor share karunga inshaAllah.
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia

ye lijiye main apni slected poetry k saath hazir hon umeed k aapko pasand aaye inshaAllah

Ashk

Sochta hon k usey neend bhi aati hogi
Ya faqat meri tarah ashk bahaati hogi

Woh meri shakal mera naam bhulane wali
Apni tasveer se kyaa aankh milaati hogi

Sham hote hi wo chaukhat pe jalaa kar shammaein
Apni palkon pe kaii khawaab sajaati hogi

Us ne silwaa bhi liye honge siyaah rang libaas
mere jaane ke baad woh naye rang se ghabraati hogi

hoti hogi mere bosay ki talab main paagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajaati hogi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Juhin tasveer ka kona wo jalaati hogi

Roop de kar mujhe is main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahaani woh sunaati hogi…
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah bohot acha topic hai mohtarma
inshaAllah ham bhi hissa lene ki koshish karenge
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

ye lijiye main apni slected poetry k saath hazir hon umeed k aapko pasand aaye inshaAllah

Ashk

Sochta hon k usey neend bhi aati hogi
Ya faqat meri tarah ashk bahaati hogi

Woh meri shakal mera naam bhulane wali
Apni tasveer se kyaa aankh milaati hogi

Sham hote hi wo chaukhat pe jalaa kar shammaein
Apni palkon pe kaii khawaab sajaati hogi

Us ne silwaa bhi liye honge siyaah rang libaas
mere jaane ke baad woh naye rang se ghabraati hogi

hoti hogi mere bosay ki talab main paagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajaati hogi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Juhin tasveer ka kona wo jalaati hogi

Roop de kar mujhe is main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahaani woh sunaati hogi…
waah mahsa Allah
bohot umdah sharing janab
 
Masha Allah bohat hi umdah poetry select ki hai aapne arshad bhai...best of luck...:)
 
mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI

ye lijiye main apni slected poetry k saath hazir hon umeed k aapko pasand aaye inshaAllah

Ashk

Sochta hon k usey neend bhi aati hogi
Ya faqat meri tarah ashk bahaati hogi

Woh meri shakal mera naam bhulane wali
Apni tasveer se kyaa aankh milaati hogi

Sham hote hi wo chaukhat pe jalaa kar shammaein
Apni palkon pe kaii khawaab sajaati hogi

Us ne silwaa bhi liye honge siyaah rang libaas
mere jaane ke baad woh naye rang se ghabraati hogi

hoti hogi mere bosay ki talab main paagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajaati hogi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Juhin tasveer ka kona wo jalaati hogi

Roop de kar mujhe is main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahaani woh sunaati hogi…
Bht koob , wasi shah ki khubsurat ghazal..:)
 
mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Aslam-O-aliekum TM , here's my sharing ..{(thx)}

Na jaane ashk se aankhoon mein kyon hai aaye hue

Na jaane ashk se aankhoon mein kyon hai aaye hue
Guzar gayaa hai zamaanaa tujhe bhulaaye hue

Jo manzilein hain to bas raharavan-e-ishq kii hain
Wo saans ukhadii huii paanv dagmagaaye hue

Na rahzanoun se ruke raaste mohabbat ke
Wo kaafile nazar aaye lute lutaaye hue

Ab is ke baad mujhe kuchh khabar nahiin un ki
Gham aashanaa hue apane hue paraaye hue

Ye iztiraab saa kyaa hai ki muddatein guzarii
Tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Aslam-O-aliekum TM , here's my sharing ..{(thx)}

Na jaane ashk se aankhoon mein kyon hai aaye hue

Na jaane ashk se aankhoon mein kyon hai aaye hue
Guzar gayaa hai zamaanaa tujhe bhulaaye hue

Jo manzilein hain to bas raharavan-e-ishq kii hain
Wo saans ukhadii huii paanv dagmagaaye hue

Na rahzanoun se ruke raaste mohabbat ke
Wo kaafile nazar aaye lute lutaaye hue

Ab is ke baad mujhe kuchh khabar nahiin un ki
Gham aashanaa hue apane hue paraaye hue

Ye iztiraab saa kyaa hai ki muddatein guzarii
Tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bohot umdah sharing hai janab
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka

NamaL

Super Star
Nov 18, 2010
8,506
3,891
1,313

Kuch ASHK Hamare Behne Do

Humain dared ke mosam sehne do

Humain KHISHION ka idraak nahi

Humain PEHLE jesa rehne do

Ik pyar ka SAPNA dekha he

Is sapne ko SUCH hone do

Ik umar hoi TAKTE howe tum ko

Per aj LABOO ko kehne do

Hum tum se MOHABAT karte hain

Humain TOOT ke CHAHAT karne do

  • Like
Reactions: mashraki.larka

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Us raah pe jaane se pahle asbaab sanbhaal ke rakh lena
Kuchh ashk firaaq se le lena kuchh phool visaal ke rakh lena

Ek umr ki mahroomi apne seene meN chhupaana mushkil hai
Jab hadd E wazaahahat aajaaye, yeh teer nikaal ke rakh lena

Ek hairat dil meN jhaNkegi, aaNkhoN meN sitaare TaaNkegi
Jo aaNsoo tum par bhaari hoN daaman me uchhaal ke rakh lena

Ek aisi chup taari karnaa jaise goyaayi se ‘aari ho
Khaamoshi ke gahwaare me aawaazeN paal ke rakh lena

Chehre se khushi saabit karna jaise har dukh se ghaafil ho
HaaN baab E takhatub aaye to alfaaz malaal ke rakh lena

Woh shaam bahut jald aayegi jo tum ko tum se milaayegi
Us shaam tum apni aahoN se kuchh naGhme dhaal ke rakh lena

Is kaar E jahaaN ki wahshat par jab koi dastaawez likho
Sab se aakhir meN kuchh safhe apne ahwaal ke rakh lena

Taa’eed ke sannate se uTho, tardeed ke shor meN aajaao
Ek talkh jawaab se behtar hai ilzaam sawaal ke rakh lena

Ye khaboN, zakhmoN, daaGhoN ki tarteeb munasib hai lekin
Is zaad E safar meN ‘Azm’ kahiN kuchh sadme haal ke rakh lena

  • Like
Reactions: mashraki.larka

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Palkon Pe Ruki Boond Bhi Ronay Ko Bohot Hai
Ek Ashk Bhi Daman Ke Bhigonay Ko Bohot Hai

Yeh Waaqia Hai Dil Main Mere Teri Muhabbat
Hone Ko Bohot Kam Hai Na Hone Ko Bohot Hai

Phir Kya Ussi Tareekh Ko Duhrao Gay Qatil?
Neeze Pe Mera Sar Hi Pirone Ko Bohot Hai

Har Shaakh Se Utren Gay Samar Dushmaniyon Ke
Nafrat Ka Bas Ek Beej Hi Bonay Ko Bohot Hai

Kis Tarha Se Baatin Pe Charhi Mail Utaaren
Jo Zakhm Badan Per Hai Woh Dhonay Ko Bohot Hai

Ab Saamna Tughyaani e Dariya Ka Hai Mohsin
Ek Leher Bhi Kashti Ko Dabonay Ko Bohot Hai..

  • Like
Reactions: mashraki.larka

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India

Kuch ASHK Hamare Behne Do

Humain dared ke mosam sehne do

Humain KHISHION ka idraak nahi

Humain PEHLE jesa rehne do

Ik pyar ka SAPNA dekha he

Is sapne ko SUCH hone do

Ik umar hoi TAKTE howe tum ko

Per aj LABOO ko kehne do

Hum tum se MOHABAT karte hain

Humain TOOT ke CHAHAT karne do

Masha Allah bohat hi umdah poetry share ki hai aapne...best of luck...:)
 
Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Us raah pe jaane se pahle asbaab sanbhaal ke rakh lena
Kuchh ashk firaaq se le lena kuchh phool visaal ke rakh lena

Ek umr ki mahroomi apne seene meN chhupaana mushkil hai
Jab hadd E wazaahahat aajaaye, yeh teer nikaal ke rakh lena

Ek hairat dil meN jhaNkegi, aaNkhoN meN sitaare TaaNkegi
Jo aaNsoo tum par bhaari hoN daaman me uchhaal ke rakh lena

Ek aisi chup taari karnaa jaise goyaayi se ‘aari ho
Khaamoshi ke gahwaare me aawaazeN paal ke rakh lena

Chehre se khushi saabit karna jaise har dukh se ghaafil ho
HaaN baab E takhatub aaye to alfaaz malaal ke rakh lena

Woh shaam bahut jald aayegi jo tum ko tum se milaayegi
Us shaam tum apni aahoN se kuchh naGhme dhaal ke rakh lena

Is kaar E jahaaN ki wahshat par jab koi dastaawez likho
Sab se aakhir meN kuchh safhe apne ahwaal ke rakh lena

Taa’eed ke sannate se uTho, tardeed ke shor meN aajaao
Ek talkh jawaab se behtar hai ilzaam sawaal ke rakh lena

Ye khaboN, zakhmoN, daaGhoN ki tarteeb munasib hai lekin
Is zaad E safar meN ‘Azm’ kahiN kuchh sadme haal ke rakh lena

Zabardust sharing nasir bhai...kya kehne...best of luck...:)
 
Status
Not open for further replies.
Top