Salam with Non Muslim

  • Work-from-home

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Hey there...

May yeh janna cahta hon k kia hum kissi Non Muslim ko un k religion ka hi hello kar sakte hain.. Jayse k hum log Angreezo(christine) ko Hi ya Hello kehte hain... Isi terhan kissi Sikh ko Saseryakar ya Hindi ko Namaste keh sakte hain ?

Or kia agar koi non muslim hamay Assalam-o-Alykum kahay to kia hum usay Walekum Salam keh sakte hain ?
 
Oct 18, 2009
18,710
9,640
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT
mujay koi khaas idea nhi hay k kiya ham un ko un k mutabiq HI, Hello ker sktay hain ya nhi .

jahan tak salam ka taluq hay may ny aik din Qari Sayed Sadaqat Ali kay programe may dekha...or us programme may guest Mufti thay ab unka naam yaad nhi hy..

Qari Sayed Sadaqat Ali nay un say swaal kiya k.... ""kiya ham non muslims per salam ker sktay hain?? ""
to un Mufti saab ka ye javab tha "" ker sktay hain.."" lekn non muslims ko salam kernay kay waqt dil may ye khayal peda kiya jai k Allah aapko Deen-e-Islam ki taraf anay ki hidayat keray... na kay ye sochna chahiye k tum per salamti ho...

Wala ho Allim... (inaAllah ha Alla kul-e-Shain Qadeer)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
masha Allah bohot hi behtareer sawal kiya apne
bohot se hamare bhaion ko iska ilm nahi hai

sabse pehle salam kya ye ek dua hai jab ham kehte hain Assalamu Alaykum Wrwb iska matlab hota hai aap par Allah ki salamti, rahmat aur barkat ho abhi apko samajh me agaya hoga k isme kitni fazilath hai ham me se aksar salam karte waqt ye sochte bhi nahi k iska maina aur mafhoom kya hai........

khair abhi apki point ki taraf aate hain to Allah swt ne Quran me kaha hai k ham kafiron aur mushriko k liye dua nahi karsakte yane unk liye rahmat ya barkat k liye haan unki hidayat k liye dua karsakte hain.......

aur sahi hadees me aata hai k Allah k Rasul s.a.w ne farmaya gair muslimon k salam me pahel na karo khaas kar yahudi mukhatib the par isme sab aajate hain jab ahle kitab ko hi salam me pahel nahi kar sakte to baki to aur door hogaye.......

ab agar wo hame salam kare to ham kya kahe to hadees me aata hai ek yahudi ne Allah k Rasul s.aw. ko Assamu Alaykum kaha iska matlab tumko maut aaye to Aap s.a.w samajh gaye aur wapas jawab diye Wa Alaykum yane tum par bhi....aur Aap s.a.w ne farmaya jab gair muslim hame salam kare to bas unko Wa Alaykum kahen

ab sawal ye k phir kaise ham unko wish karen to hame ye ijazat hai k jab hame hi pehle wish karna pade akhri waqt pehle to ham intezar karenge unk tarafse agar phir bhi hame karna padhe to ham aise kalimat kahenge jisme shirkiya baten na ho ham ye keh sakte hain good morning hi hello agar hame pehle wish karna padhe to aur sirf non muslims k liye musalam ko to ham salam hi kahen

ab rahi baat Namaste, Saseryakar ya koi aur aise kalimat ki jo unke mazhab se khaas judi hain hame in alfazon ko hargiss nahi kehna chahiye
Namaste : iska matlab apko batate hain ye sanskrit word hai Nam: yane apne sar ko jhukana sajda karna Aste : apke samne Namaste : yane apne sarko jukhana ya sajda karna apke samne yane sajda karna jisko ye kalimat keh rahe ho ye sara sar shirk hai hame isse parhez karna chahiye

wallahu aalam bissawaab

Allah hame deen ki sahi samajh aata ramaye Aameen

Hey there...

May yeh janna cahta hon k kia hum kissi Non Muslim ko un k religion ka hi hello kar sakte hain.. Jayse k hum log Angreezo(christine) ko Hi ya Hello kehte hain... Isi terhan kissi Sikh ko Saseryakar ya Hindi ko Namaste keh sakte hain ?

Or kia agar koi non muslim hamay Assalam-o-Alykum kahay to kia hum usay Walekum Salam keh sakte hain ?
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Mashallah buhut ache se aapne tasfeel k saath bayan kiya
ager humare koi hindu ya non muslim friend ho
toh pahle salam kia hum nahin bol sakte??
 
Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
okay Salam ka to clear ho gaya but what about Allah Hafiz at the end.. coz i have Sikh friend. wo hamesha mujhe Allah Hafiz kehta hai.. or may usually us ko ignore karta tha or sirf bye keh dia karta tha.. but last time us nay mujhe kaha k may Allah Hafiz kiun nahi kehta... and i had no answer...

so I wanna should I say Allah Hafiz(Khuda Hafiz) or not?

and what about Sasreyakar ?
 
Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
okay Salam ka to clear ho gaya but what about Allah Hafiz at the end.. coz i have Sikh friend. wo hamesha mujhe Allah Hafiz kehta hai.. or may usually us ko ignore karta tha or sirf bye keh dia karta tha.. but last time us nay mujhe kaha k may Allah Hafiz kiun nahi kehta... and i had no answer...

so I wanna should I say Allah Hafiz(Khuda Hafiz) or not?

and what about Sasreyakar ?
sasreyakar tu nahi keh saktay is liye Hadith mein nabi kareem ne saaf alfaaz mein farmaya k yahud aur nasara ki copy mat karo.aur hadith mein hei k yahud aur nasara ko dua mat du. aur allah hafiz aur salam yeh sab ek dua hein. allah hafiz ka matlab hei k allah ki hifazat mein allah hifazat karnay wala hei aur woh allah k mujrim hein kesay hum un ko allah ki hifazat mein de saktay hein.
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Allahi barik feek
jazakallah
Jazakallah khair sabah

haan hame non muslim se wish karne me pahel nahi karni chahiye.....jaise k upar hamne kaha hai agar majbooran hame hi wish karna hai pehle to aap koi aam alfaz istemal kar sakte hain mornin ya phir kaise hain aap kya haal hai is tarah se......wallahu aalam

Mashallah buhut ache se aapne tasfeel k saath bayan kiya
ager humare koi hindu ya non muslim friend ho
toh pahle salam kia hum nahin bol sakte??
Allah hafiz bhi kehna durust nahi hoga....aur sasreyakar bhi nahi kahenge jaise k ahmed ne apko hadees daleel k taur par bataye hain....haan hamare naqis ilm se ham ye keh sakte hain Allahi yahdeek jo ke ham aksar kehte hain iska matlab hai Allah apko hidayat de to ham ye muslim aur non muslim dono k liye istemal karsakte hain kyun k isme hidayat ki dua hai...wallahu aalam

agar apk dost apse sawal karlen k aap kyun nahi kehte to ap unhe samjhayen ahsan andaz me k aap sasreyakar k matlab batayen ya koi hindu namaste kare to usse puche apko kya iska matlab pata hai........

ek baar chattin par hamare sath ek hindu se baat ho rahi thi jab usne hame namaste kaha to hame bas kaise hain keh kar wish kiya to usne pucha aap namaste kyun nahi kehte tab hamne pucha apko pata hai iska matlab wo kehne laga haan jaise goodmornin hai waise hi tab ham usko samjhaye ye sanskrit word hai aur ye uska matlab wo bola main maloom karke apko bataunga phir jab se wo abhi tak gayab hi hai iska matlab unko khud iska ilm nahi hai......

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen

okay Salam ka to clear ho gaya but what about Allah Hafiz at the end.. coz i have Sikh friend. wo hamesha mujhe Allah Hafiz kehta hai.. or may usually us ko ignore karta tha or sirf bye keh dia karta tha.. but last time us nay mujhe kaha k may Allah Hafiz kiun nahi kehta... and i had no answer...

so I wanna should I say Allah Hafiz(Khuda Hafiz) or not?

and what about Sasreyakar ?
Jazakallah khair

sasreyakar tu nahi keh saktay is liye Hadith mein nabi kareem ne saaf alfaaz mein farmaya k yahud aur nasara ki copy mat karo.aur hadith mein hei k yahud aur nasara ko dua mat du. aur allah hafiz aur salam yeh sab ek dua hein. allah hafiz ka matlab hei k allah ki hifazat mein allah hifazat karnay wala hei aur woh allah k mujrim hein kesay hum un ko allah ki hifazat mein de saktay hein.
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

سرفروش

Senior Member
Sep 18, 2009
655
851
93
Karachi
جزاک اللہ ناصر بھائی
آپ نے اچھے انداز میں اس مسلے پر قیمتی الفاظ کا استعمال کیا
دعائیہ کلمات کا استعمال غیرمسلموں کے لئے نہیں ہونا چاہئے
حتی کہ میں نے اخبارات رسائل وغیرہ میں اکثر مرنے والے غیر مسلم کے نام کے ساتھ مرحوم لکھا دیکھا ہے یہ بھی ایک دعا ہے کسی غیر مسلم جو مرچکا اس کے آگے مرحوم نہیں لکھا جانا چاہئے
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Allahi barik feek Janab
bilkul kisi gair musalman ya phir muslaman jo mar chuke hain uke liye MARHOOM kehna durust nahi hai
MARHOOM : yane jin par raham kiya gaye
ab zaher si baat hai jo halat e kufr me mare us par kaise rahem hoga
aur jo musalmaan hain ham unke bare me bhi ye nahi keh sakte k marte hi un par raham hoga unke khatao ki saza bhi hosakti hai aur Allah chahe to apne fazl se unhe maaf bhi kar sakta hai isliye behtar hai faut shuda logon k liye MARHOOM lafz na istemal karen....wallahu aalam

Allah hame sahi deen ki samajh aata farmaye Aameen

جزاک اللہ ناصر بھائی
آپ نے اچھے انداز میں اس مسلے پر قیمتی الفاظ کا استعمال کیا
دعائیہ کلمات کا استعمال غیرمسلموں کے لئے نہیں ہونا چاہئے
حتی کہ میں نے اخبارات رسائل وغیرہ میں اکثر مرنے والے غیر مسلم کے نام کے ساتھ مرحوم لکھا دیکھا ہے یہ بھی ایک دعا ہے کسی غیر مسلم جو مرچکا اس کے آگے مرحوم نہیں لکھا جانا چاہئے

---------- Post added at 07:35 PM ---------- Previous post was at 07:32 PM ----------

Allahi barik feek
bohot shukriya apka

jazaakAllah Khair saviou bhai..

for such a nice reply with explanation..

expecting the same from your side
 
Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Or agar ghalti say kissi non muslim k lie end may Allah Hafiz keh dein to ? coz I got some Hindu friends.. and akser jab may jaldi may hota hon to mere mon say Allah Hafiz nikal jata hai... Or wo hindu friend akser Inshallah/Mashallah kehta hai or akser mujhe Khuda Hafiz bhi kehta hai... I m pretty sure, that he never meant to make fun or anything.. he is just beleive in God, he is actually SIKH not hindu .. So let me know.. k kia ghalti say bolnay ka koi Gunnah hai....?
 
Jaise k hamne upar hi kahe hain ki Allah hafiz bhi kehna durust nahi hoga....haan ye keh sakte hain Allahi yahdeek jo ke ham aksar kehte hain muslim aur gair muslim dono k liye iska matlab hai Allah apko hidayat de to ham ye muslim aur non muslim dono k liye istemal karsakte hain kyun k isme hidayat ki dua hai...wallahu aalam

aar galti se Allah hafiz ya kuch aur dua unkliye nikal jaye to galti se ki gayi cheez Allah maaf kardeta hai agar jaan bujh kar ya phir wo kya samjhega aise soch kar kahen to isse parhez karna chahiye hame Islam ahem hai aur tauba bhi karni chahiye

ager koi gher muslim aap ko" assalam-o-alykum" kahe to aap usko sirf"walekum"keh sakte hain
ji bilkul ham Wa Alaykum kahenge
 
  • Like
Reactions: Don and Tariq Saeed
Top