shadi k bad

  • Work-from-home

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
السلام علیکم ورحمتہ اللہ !
اسی طرح کے ایک مسئلہ (شوہر یا والدین میں سے کس کا حکم مانا جائے) پر شہید مولانایوسف لدھیانوی رحمتہ اللہ علیہ نے یہ جواب فرمایا :
آپ کو حتی الوسع ان دونوں فریقوں میں سے کسی کی بھی نافرمانی نہیں کرنی چاہئے، لیکن اگر ایسی صورت پیش آجائے کہ ان میں سے کسی ایک کی تعمیل ہی کی جاسکتی ہے، تو آپ کے لئے شوہر کا حق مقدّم ہے۔ بہتر تو یہ ہے کہ آپ شوہر کو سمجھا بجھاکر جو صورت زیادہ بہتر ہو اس کے لئے راضی کرلیا کریں، لیکن اگر وہ اپنی بات منوانے پر بضد ہوں تو آپ ان کی بات کو ترجیح دیں اور والدین سے بصد ادب معذرت کرلیں

نیز جہاں تک اولاد کے متعلق والدین کی خواہش کا تعلق ہے تو اس کے لئے آپ علماء کرام کو وضاحت سے لکھیں کہ والدین کا اولاد میں وقفہ دینے کی خواہش کی کیا وجوہات ہیں ??? یعنی کوئی میڈیکل مسئلہ ہے یا محض دنیاوی نکتہ نگاہ سے وہ یہ خواہش رکھتے ہیں ۔۔۔ لہذا آپ کے سوال کی وضاحت کی روشنی میں ہی علماء کرام آپ کے مسئلہ کا جواب دے سکتے ہیں
لیکن بظاہر اس مسئلہ پر بھی شوہر کا حق مقدم نظر آتا ہے۔
واللہ و اعلم بالصواب
 
mirza37

Hot Shot
Jul 17, 2010
15,341
7,043
913
49
UAE ABU DHABI

jazakALLAH bohit hi acha reply hay
 
ENCOUNTER-007

Newbie
Feb 10, 2011
516
834
0
Medan e Jihad
hi
my q is
jabke prents lerki ko sath rakhna chahte hen shadi k bad bhi yani gherdamad karna chahte h
اللہ ہمارے حال پر رحم فرمائے
آج کل ایسے ہی مسائل بکھرے نظر آتے ہیں
ہم نے شادی کو ایک مشکل عمل بنادیا ہے

باقاعدہ اب اپنی بچیوں کے لئے گھر داماد کے طور پر لڑکوں کو خریدا جاتا ہے
بزنس کے نام پر، بنگلہ کوٹھی کے نام پر بینک بیلنس کے نام پر
کوئی احساس نہیں ہوتا کہ لڑکے کے والدین بھی ہوتے ہیں ان کی عزت ، اور غیرت کی کوئی قدر نہیں ہوتی۔ پہلے ہم سنتے تھے کہ لڑکا اور لڑکی کا عشق ہوگیا ہے اور وہ بضد ہیں اپنے گھر والوں سے کہ ان کی شادی کی جائے
لیکن اب والدین بھی ضدی ، ہٹ دھرم اور شدت پسند ہوگئے ہیں
شادی کے بعد عورت کی تمام تر ذمہ داری مرد پر آجاتی ہے اب مرد کے ذمہ ہے کہ گھر کا بندوبست کرے اسے وہاں رکھے
لڑکی کے والدین کا اب کیا حق ہے ہاں اگر ان کے پاس گھر نہیں ہے تو اس صورت میں ان کی مدد کی جاسکتی ہیں ان کو اپنے گھر میں رہنے کی اجازت دی جاسکتی ہے لیکن اس میں بھی مرضی اور رضا مرد کی ہوگی
یہ کونسا دستور آگیا کہ شرط رکھی جائے کہ میری بچی سے شادی کے لئے گھر داماد بننا پڑے گا۔

hi
my q is
or y bhi k 4 ,ya 5 sal lerki k olad na ho.ager
shadi k bad husband biwi ko apne gher lejana chahe or olad chahe to?
دوسری بات اولاد میں وقفہ کی ہے یہ سراسر ظلم ہے
ایسی سوچ اس لئے پائی جاتی ہے کہ اگر مرد نے اس کی بیٹی کو ایک دوسال میں طلاق دے دی تو بچہ کے ساتھ دوسری شادی بڑا مسلہ بن جائے گی لہذا جب تک دونوں میں ہم آہنگی پوری طرح پیدا نہ ہوجائے اس وقت تک اولاد نہیں ہونی چاہئے
اگر ایسی ہی سوچ ہے تو یہ انتہائی درجے کی جہالت اور ضلالت ہے
ہاں اگر میڈیکل کا کو مسلہ ہے تو علحیدہ بات ہے لیکن اس سوال میں میڈیکل کی کوئی بات نظر نہیں آتی بلکہ میں نے جو خدشہ ظاہر کیا ہے یہی نفسیات پائی جارہی ہے
اللہ تعالی ہمیں سمجھ نصیب فرمائے
 
debator

Regular Member
Mar 20, 2011
103
80
728
UAE
hi
my q is
Q: 1 lerki shadi k bad kis ki bat sune parents ki ya husband ki?
jabke prents lerki ko sath rakhna chahte hen shadi k bad bhi yani gherdamad karna chahte h
or y bhi k 4 ,ya 5 sal lerki k olad na ho.ager
shadi k bad husband biwi ko apne gher lejana chahe or olad chahe to?
1.
Pehla Sawal hai "lerki shadi k bad kis ki bat sune parents ki ya husband ki? “

Shadi sa pehlay ya shadi ka baad , Maa Baap ho ya Shohar dono ki farmanbardari lazim hai us waqt tuk jub tuk woh koi Khilaf-e-Shariat Hukum na dain . Agar Maa Baap ya Shohar Khilaf-e-Shariat Hukum deta hai tu us ko na mana jaae bulkay Allah aur Uskay Rasool S.A.W ki baat hi maani jaae lakin Adab ka daaman haath sa na chootay.

Doosra Sawal hai “jabke prents lerki ko sath rakhna chahte hen shadi k bad bhi yani gherdamad karna chahte ha”

Agar Dono ka Nikah nahi hoa hai tu Larki kay Maa-Baap ya Wali apni Shart Saamnay rakh saktay hain ab dono Larka aur Larki per depend karta hai ka woh kiya faisla kartay hain, agar Larki ki bhi yahi raza mandi hai ka shohar Ghar daamad banay tu phir larkay ko faisla karna hoga ka aya usko yeh shart qabool hai ya phir woh kisi aur jagah rishta karay. Isi tarah Larki ka Maa Baap ko bhi sochna chahiya ka aisi shirt sa ho sakta hia unki beti ka ghar tabah ho jae aur larka shadi sa hi mana karday jo aik na-zaiba baat hai yeh tu thi pehli surat jub Nikah Nahi hoa.

Agar Larka aur Larki ka Nikah ho giya hai aur nikah sa pehlay aisi koi shirt larki kay Wali ki taraf sa nahi thi tu aab Maa Baap yeh demand nahi karsaktay na hi Shohar ko force kar saktay hain kyunka Shadi ka baad Larki kay Naan-Nufqay ki zimdari Shohar per aaed hoti hai na-kay Maa Baaap per aab Shohar chahay usko jahan bhi rakhay Larki ko shohar ki baat hi man-ni chaihya kyunka as per Shariat shadi ka baad Larki kay tamam ikhrajat, rehan sehan , naan-nufqa ki zimadri uskay mojooda Shohar per Aaed hoti hai.

Tu Maa-Baap ki yeh demand NIKAH ka baad Khilaf-e-Shariat Tasawur kee Jaegi agar larki shohar ka saath kisi aur jagah rehnay per raazi hai is liya larki ka liya lazim hai k woh Shohar ki khuwahish ko malhooz-e-Khatir rakhay Illa yeh ka Larka yeh Shirt maan jaae aur ghar tootnay ki nobat na aae.

Shohar kay Haqooq ki babat Hadith ka mafhoom hai kay Allah kay Nabi S.A.W na farmaya kay agar ALLAH kay siwa kisi aur ko sajda karnay ka hukum hota tu ma BV ko hukum deta ka apnay Shohar ko sajda karay.

Baat ghor karnay ki hai ka Sajda woh halath hai jismay Insan Apna tun mun samnay walay ko sonp deta hia aur uski bandagi ma aajata hia isi tarah samjhanay ka maqsad yeh hai ka BV shohar ki attat karay jub tuk ka Shohar Khilaf-e-Shariat Hukum na dai.

Teesra Sawal hai“or y bhi k 4 ,ya 5 sal lerki k olad na ho.ager shadi k bad husband biwi ko apne gher lejana chahe or olad chahe to?

Jub Nikah ho giya tu aab BV kay tamam Naan-Nufqa Shohar ki zimadari hai isi tarah Aulad ka paida karna ya na karna iska faisla Miya-BV hi kar saktay hain ismay Maa-Baap ka koi dakhal nahi hota.

Haan Agar Larki ma koi aisi Beemari ho ka Aulad ki wajah sa woh aur barh jaae ya Jaan leva saabit ho tu Maa-Baap ko chahiya ka woh Shohar ko is sa aagah karain.

Lakin agar koi Sharae Uzur nahi hai aur dono normal hain tu is tarah ki demand Khilaf-e-Shariat hai jiski surat ma Larki ka liya yeh lazim nahi hai ka woh Maa-Baap ki baat ko maanay usko is maamlay ma Shohar ki Itaat hi karni hai.

Aulad ki Kifalat and Hasab-Nasab Baap sa chalta hai aur usi ki zimdari hai agar woh Aulad ki Khuwahish rakhta hai tu siwae uski bv ka usko is haq sa koi nahi rok sakta aur aisa karnay wala Gunnah ka murtaqib hoga.

Hadith ka Mafhoom hai ka agar shohar apni bv ko bister per bulae aur who na aae tu raat bhar Allah ka Farishtay usper LANAT kartay hain.

Samjhanay ka phir maqsad yeh hai ka jis tarah BV apnay shohar per HAQ rakhti hai usi tarah Shohar ka bhi Haqooq hai aur Aulad un Haqooq ma sa aik hai jisko baghair kisi sharae Uzur ka taala nahi ja sakta jubkay Shohar razamand ho yeh kufran-e-naimat ma shumar hoga.

Jis tarah Uper arz kiya ka Agar nikah nahi hoa hai tu Maa-Baap Beti ko ghar rakhnay ki demand kar saktay hain but agar NIKAH ho chuka hai aur yeh demand pehlay nahi thi tu aab larki ka tamam naan-nafqa Shohar ki zimmay hai aur Shohar jahan chahay usko rakh sakta hai yeh uska Sharae Haq hai.

Aakhir ma yahi arz hai Maa-Baap and Shohar dono ki Farmanbardari Lazim hai per agar dono ma sa koi aik Khilaf-e-Shariat hukum dai tu Uski Farmanbardari Lazim nahi aisi surat ma Allah aur Uskay Rasool S.A.W ka hi hukum mana jaae per adab ka daman haath sa na chootay.
 
nena

Newbie
Sep 13, 2010
28
5
0
34

lakin lerke ko akele shadi k bad biwi ko apne sath goomane k lye baher lejane ki ijazet nhi di jae gi .sath m lerki wale bhi hon g .ye shert bhi rakhi gai h
or lerka 1 bar bhi biwi ko apne gher nhi l k jasakta .y bhi shert h.
lerka chahta h k kabhi kabhi wo biwi ko kuch din k liye apne gher le jae.

asa wo apni her bety k shadi k waqt sherte rakhte hen.
lakin her bety ak sa dimag k nahi hoty us lerki ko ye sherten agib lagty hen.mager wo parents k nafarmani nhi karna chahty.
mager wo shadi k bad apna gher bi khrab nhi krna chahty
ab kiya choose kiya jae apna gher ya parents

---------- Post added at 08:27 PM ---------- Previous post was at 08:21 PM ----------

mujhe janna h k islam kiya kahta h?

---------- Post added at 08:29 PM ---------- Previous post was at 08:27 PM ----------

1.
Pehla Sawal hai "lerki shadi k bad kis ki bat sune parents ki ya husband ki? “

Shadi sa pehlay ya shadi ka baad , Maa Baap ho ya Shohar dono ki farmanbardari lazim hai us waqt tuk jub tuk woh koi Khilaf-e-Shariat Hukum na dain . Agar Maa Baap ya Shohar Khilaf-e-Shariat Hukum deta hai tu us ko na mana jaae bulkay Allah aur Uskay Rasool S.A.W ki baat hi maani jaae lakin Adab ka daaman haath sa na chootay.

Doosra Sawal hai “jabke prents lerki ko sath rakhna chahte hen shadi k bad bhi yani gherdamad karna chahte ha”

Agar Dono ka Nikah nahi hoa hai tu Larki kay Maa-Baap ya Wali apni Shart Saamnay rakh saktay hain ab dono Larka aur Larki per depend karta hai ka woh kiya faisla kartay hain, agar Larki ki bhi yahi raza mandi hai ka shohar Ghar daamad banay tu phir larkay ko faisla karna hoga ka aya usko yeh shart qabool hai ya phir woh kisi aur jagah rishta karay. Isi tarah Larki ka Maa Baap ko bhi sochna chahiya ka aisi shirt sa ho sakta hia unki beti ka ghar tabah ho jae aur larka shadi sa hi mana karday jo aik na-zaiba baat hai yeh tu thi pehli surat jub Nikah Nahi hoa.

Agar Larka aur Larki ka Nikah ho giya hai aur nikah sa pehlay aisi koi shirt larki kay Wali ki taraf sa nahi thi tu aab Maa Baap yeh demand nahi karsaktay na hi Shohar ko force kar saktay hain kyunka Shadi ka baad Larki kay Naan-Nufqay ki zimdari Shohar per aaed hoti hai na-kay Maa Baaap per aab Shohar chahay usko jahan bhi rakhay Larki ko shohar ki baat hi man-ni chaihya kyunka as per Shariat shadi ka baad Larki kay tamam ikhrajat, rehan sehan , naan-nufqa ki zimadri uskay mojooda Shohar per Aaed hoti hai.

Tu Maa-Baap ki yeh demand NIKAH ka baad Khilaf-e-Shariat Tasawur kee Jaegi agar larki shohar ka saath kisi aur jagah rehnay per raazi hai is liya larki ka liya lazim hai k woh Shohar ki khuwahish ko malhooz-e-Khatir rakhay Illa yeh ka Larka yeh Shirt maan jaae aur ghar tootnay ki nobat na aae.

Shohar kay Haqooq ki babat Hadith ka mafhoom hai kay Allah kay Nabi S.A.W na farmaya kay agar ALLAH kay siwa kisi aur ko sajda karnay ka hukum hota tu ma BV ko hukum deta ka apnay Shohar ko sajda karay.

Baat ghor karnay ki hai ka Sajda woh halath hai jismay Insan Apna tun mun samnay walay ko sonp deta hia aur uski bandagi ma aajata hia isi tarah samjhanay ka maqsad yeh hai ka BV shohar ki attat karay jub tuk ka Shohar Khilaf-e-Shariat Hukum na dai.

Teesra Sawal hai“or y bhi k 4 ,ya 5 sal lerki k olad na ho.ager shadi k bad husband biwi ko apne gher lejana chahe or olad chahe to?

Jub Nikah ho giya tu aab BV kay tamam Naan-Nufqa Shohar ki zimadari hai isi tarah Aulad ka paida karna ya na karna iska faisla Miya-BV hi kar saktay hain ismay Maa-Baap ka koi dakhal nahi hota.

Haan Agar Larki ma koi aisi Beemari ho ka Aulad ki wajah sa woh aur barh jaae ya Jaan leva saabit ho tu Maa-Baap ko chahiya ka woh Shohar ko is sa aagah karain.

Lakin agar koi Sharae Uzur nahi hai aur dono normal hain tu is tarah ki demand Khilaf-e-Shariat hai jiski surat ma Larki ka liya yeh lazim nahi hai ka woh Maa-Baap ki baat ko maanay usko is maamlay ma Shohar ki Itaat hi karni hai.

Aulad ki Kifalat and Hasab-Nasab Baap sa chalta hai aur usi ki zimdari hai agar woh Aulad ki Khuwahish rakhta hai tu siwae uski bv ka usko is haq sa koi nahi rok sakta aur aisa karnay wala Gunnah ka murtaqib hoga.

Hadith ka Mafhoom hai ka agar shohar apni bv ko bister per bulae aur who na aae tu raat bhar Allah ka Farishtay usper LANAT kartay hain.

Samjhanay ka phir maqsad yeh hai ka jis tarah BV apnay shohar per HAQ rakhti hai usi tarah Shohar ka bhi Haqooq hai aur Aulad un Haqooq ma sa aik hai jisko baghair kisi sharae Uzur ka taala nahi ja sakta jubkay Shohar razamand ho yeh kufran-e-naimat ma shumar hoga.

Jis tarah Uper arz kiya ka Agar nikah nahi hoa hai tu Maa-Baap Beti ko ghar rakhnay ki demand kar saktay hain but agar NIKAH ho chuka hai aur yeh demand pehlay nahi thi tu aab larki ka tamam naan-nafqa Shohar ki zimmay hai aur Shohar jahan chahay usko rakh sakta hai yeh uska Sharae Haq hai.

Aakhir ma yahi arz hai Maa-Baap and Shohar dono ki Farmanbardari Lazim hai per agar dono ma sa koi aik Khilaf-e-Shariat hukum dai tu Uski Farmanbardari Lazim nahi aisi surat ma Allah aur Uskay Rasool S.A.W ka hi hukum mana jaae per adab ka daman haath sa na chootay.
lerki ka nan nafqa lerkr ki zimme hoga gher bhi lerka khud bnaen ga mager lerki parents k sath rhe gi
 
debator

Regular Member
Mar 20, 2011
103
80
728
UAE
Aap pehlay is cheez ko waazeh karain ka Aaya LARKAY aur LARKI ka Nikah ho giya hai k nahi ??

Jesa ka ma na uper kaha ka dono ki situation alug hain.

1- Agar Nikah nahi hoa hai tu Larki ka Wali/Maa-Baap shadi sa pehlay demand kar saktay hain (Sharae Hadood ka Ander) aab yeh Larkay per munhasir hoga ka aaya who in sharaet jo usko pehlay hi bata di gae hain unko acpt karta hai aur Nikah ka liya razamand ho jata hai.

Agar Larkay ko yeh sharaet manzoor na ho tu phir usko nikah nahi karna chahya aur kisi doosri larki sa nikah karna chahaya.

2- Agar Nikah ho giya hai aur Larkay ko Nikah sa pehlay yeh Sharaet Batae gae thi aur usna Acpt kee thi tu ab usko yeh sharaet puri karnay ki puri koshish karni chahya kyunka yeh AEHAD ka zumray ma aata hai aur AEHAD ka pura karna Musalman ka liya zaroori hai.

Ab ismay yeh dekha jaega ka Aaya Larkay na Jub in Sharaet ko mana tha us waqt uski Maali Haisyat kiya thi kya uskay paas who maal-o-asbab tha jinsay woh yeh taqazay puray kar sakay jesay ka puri family ko saath bahar lekar jana etc etc. Agar ab woh Maali haisyat nahi rakhta tu zahir hai woh is shart ko bhi pura nahi kar sakta jo kay maa baap ko samajhna chahya.

Yaha per aik imp pehlu aap na yeh bataya hai ka LARKI in sharaet ko bura samajhti hai aur woh larkay ka saath uskay ghar bhi janay ko tayar hai .

Aisi surat ma jesay ka ma na uper arz kiya ka NAAN NUFQA ki zimdari shadi ka baad Shohar per aaed hoti hai aur agar Larki razamand ho tu shohar usko kahi bhi rakh sakta hai regardless ka maa baap kiya chahtay hain kyunka jesa pehlay arz kiya ka Maa-Baap ki Naa Farmani Sharae baato ko na maanay ma hoti hai na kay Khilaf-e-Sharae Baato kay Na Maan nay per.

Jesa ka yeh Shart bari hi ajeeb maloom hoti hain jo zahir hai shareat ki roo sa Makrooh hain aur in ka na maan na hi behtar hai kyunkay in kay maan nay sa doosray haqooq ma kotahi aae gi.

Shirt No. 1- lakin lerke ko akele shadi k bad biwi ko apne sath goomane k lye baher lejane ki ijazet nhi di jae gi .sath m lerki wale bhi hon g .ye shert bhi rakhi gai ha?

Larkay ko Nikah kay baad Larki ko Bahar lejanay bulkay kahi bhi lejanay ka liya Kisi ki Ijazat ki zaroorat nahi , Shariat and Qanoon dono usko pura Haq deti hai ka jub chahay aur jahan chahay apni BV ko leja sakta hai , apnay ghar rakh sakta hai yeh Uskay Haq ma shamil hai aur aisa taqaza karna Khilaf-e-Sharae hai jiska Maan na larkay per zaroori nahi aur agar larki bhi apnay shohar ka saath degi tu woh maa baap ki na farmani ma shumar nahi hoga InshaAllah kyunkay Farmanbardari sirf Sharae ahkaam k ander hai khilaf-e-Shariat per nahi.

Shirt No.2: or lerka 1 bar bhi biwi ko apne gher nhi l k jasakta .y bhi shert ha.lerka chahta h k kabhi kabhi wo biwi ko kuch din k liye apne gher le jae.

Yeh shirt bhi intihae ajeeb hai k BV larkay ka ghar nahi ja sakti iski koi sharae haisyat nahi hai aur jesa uper arz kiya larka NIKAH ka baad larki ko jub chahay aur jahan chahay le ja sakta hai.

Secondly agar larkay apnay maa baap ka saath rehta tha aur ab uski bv zindagi bhar uskay maa baap sa hi nahi mila gi tu zahir hai larka bhi kum kum hi milay ga jis sa larkay ka Maa-Baap ka haqooq puray nahi hongay aur Larka aik Azeem gunnah ka murtaqib ho jaiga jiski Deen-e-Islam ijazat nahi deta is liya larkay ka kisi bhi aisi shirt ka maan naa jaez nahi jis sa uskay apnay maa baap ka haqooq per farq paray.

Larka chahta hai aur larki raazi hai baat khatam ho gae shadi ka mamlay ma larka aur larki ki razamandi zaroori hai larki koi shirt chahay tu rakh sakti hai per jub larki ko hi aitiraz nahi tu baaki tamam sharaet maanay nahi rakhti aur larka kabhi bhi aur kahi bhi larki ko lejakar rakh sakta hai usko kisi ki ijazat ki zarroorat nahi hai.

Shirt No-3 asa wo apni her bety k shadi k waqt sherte rakhte hen.
lakin her bety ak sa dimag k nahi hoty us lerki ko ye sherten agib lagty hen.mager wo parents k nafarmani nhi karna chahty.
mager wo shadi k bad apna gher bi khrab nhi krna chahty
ab kiya choose kiya jae apna gher ya parents

lerki ka nan nafqa lerkr ki zimme hoga gher bhi lerka khud bnaen ga mager lerki parents k sath rhe gi

yeh bari hi ajeeb baat hai jo zahir hai kisi bhi aqal mand , parhay likhay ko ajeeb hi lagay gi Allah jaanay ab unkay is mutalbay ka peechay kiya logic hai.

Per jesa aap na kaha Naa Nufqa bhi larka uthae ga , Ghar bhi Larkay banae ga lakin larki phir bhi Maa baap ka saath rahay gi … yani larka agar apna ghar khareed ley lakin uskay liya lazim hai ka who apni bv ka saath bv ka maa baap ko bhi rakhay ….

Agar larka maali asbab rakhta hai tu isma koi harj nahi hai ka larki ka maa baap ki bhi kifalat karay per as per Sharae yeh uska farz nahi hia uskay zimaay wife ka naan nufqa hai .. agar larkay bv ka maa baap ko bhi rakhay apna ghar ma aur apnay ma baap ko bhi tu kiya larki ka maa baap ko koi aitiraz hai ya woh siray sa hi nahi chahtay ka larki apni saas susar sa milay.

Aap ka sawal ma confusion hai , aik taraf aap na kaha ka larka , larki ka maa baap ka ghar ma rahay ga aur larki larkay ka ghar nahi jaigi… doosri taraf aap na kaha ka larka apna ghar banae ga per larki maa baap ka saath hi rahay gi tu phir larka ghar kyu banae ga?????

Well in sub confusions ka aik conclusive answer yeh hai ka deen-e-Islam ma Nikah ka liya Larka aur Larki ka razamand hona pehli shirt hai jubkay woh baligh and aqal mand ho.

Larki chahay tu sharaet rakh sakti hai sharae hadood ka ander jesa ka HAQ MEHAR waghaira jo larkay ki Maali Haisyat ko dekh kar rakhi jaegi.

Koi bhi khilaf-e-Sharae shirt nahi rakhi ja sakti na hi unka pura karna zaroori hai aur na hi unka Na Maan na Na-farmani ma shumar hoga.

Maa baap ki naa farmani us waqt hoti hai jub who koi aisa kaam kahain jo sharae aitibar sa jaez ho aur aulad usko pura na karay.

Per maa baap agar koi khilaf-e-Sharae kaam kahain tu usko pura karnay ka hukum nahi hia jesa ka maa baap kahain ka deen Islam chor kar koi aur mazhab ikhtiyar karlo tu aisi surat ma Allah aur Uskay Rasool S.A.W ka hi hukum mana jaiga yeh maa baap ki nafarmani nahi hai kyunkay taqaza khilaf-e-Sharae hai jiskay pura karnay sa Allah aur Uskay Rasool S.A.W ki na farmani hoti hai jo us sa bara gunah hai .

Tu agar Larki ko yeh sharaet Ajeeb lagti hai tu woh apna Shohar ka saath dey uskay saath uskay ghar jakar rahay aur waha sa apna maa baap sa rabta rakahay aur unkay haqooq pura karti rahay yahi afzal aur behtar hai.
Larkay ko nikah ka baad apni bv sa milnay , usko kahi lejanay usko kahi rakhnay ka liya kisi ki ijazat ki zaroorat nahi hia woh qanoonan and Shariatan dono surto ma iska HAQ rakhta hai.

Deegar rishtadaro ko larki ka maa baap ko samjhana chahiya ka aap ka taqazay ghair sharae hain jin ka maan na aap ki beti and damad ka liya zarooori nahi hain aur agar aap apni beti ka ghar bachana chahtay hain tu behtar yahi hai ka Larka aur Larki ki life ma interference na karain aur dono ko aik doosray ka haqooq puray karnay dein.

Wallahu Aalam Bissawab
 
  • Like
Reactions: nena and cute bhoot

nena

Newbie
Sep 13, 2010
28
5
0
34
shadi abhi nhi huwwi
larka sharte nhi mane ga to shadi nhi hogi isliye wo khamosh he filhal .

---------- Post added at 11:27 AM ---------- Previous post was at 11:24 AM ----------

shadi k bad lerka ko puri izjazt hogi biwi se milne ki .jasa sab miyan biwi rahte he asa hi rahen ge .
 
debator

Regular Member
Mar 20, 2011
103
80
728
UAE
Jub Nikah/Shadi nahi hoi tu Larki ka wali apni demand rakh sakta hai agar demand Khilaf-e-Sharae hai tu Larkay ko zahir hia nahi maan ni chahiya .

Really its very funny ka Larkay ko shadi ka baad puri tarah milna ki ijazat hogi ........ yeh haq tu us sa koi cheen hi nahi sakta after nikah he is fully commanded to live with her , meet her, do any thing he desires as per sharae teachings.

so ab ya totally larkay pa depend karta hia ka woh sharaet ko manay ya na manay but offcourse buhat si sharaet ismay ghair sharae and munasib nahi hian.
 
  • Like
Reactions: masoom_se_chahat

ShahzadFaiz

TM Star
Jul 25, 2010
1,319
324
783
45
Multan, PK
hi
my q is
Q: 1 lerki shadi k bad kis ki bat sune parents ki ya husband ki?
jabke prents lerki ko sath rakhna chahte hen shadi k bad bhi yani gherdamad karna chahte h
or y bhi k 4 ,ya 5 sal lerki k olad na ho.ager
shadi k bad husband biwi ko apne gher lejana chahe or olad chahe to?
Shaadi krna Hamare Nabi Paak (PBUH) ki sunnat hai.
1st baat jab shaadi ho jae tu larki per khawnd ka haq hota hai, agar larki ke waldain jesa apne kaha wesa chahte hain tu is se behtar hai wo larki ki shaadi hi na karin...
2nd baat larki ki 4ya 5saal tak olaad na ho, ye b islaam k khilaf hai. q k Allah k nabi bachon se baht pyar krte the...
or yeh b hadith pak hai k Hamare Nabi Paak ko apni ummat k kaseer taadad hone pe fakhar hoga.
ap hi batain! agar bache hi kam peda kye jaien tu wo ummat ki tadaad kese bareh gi.?
or ALLAH ne kaha k jo b jandar is dunya mai aata hai wo apna rizq sath le kar aaata hai, is lye hame chahye k ham bachoon ka qatal-e-aam na karein.
chahe wo hakoomat ki mansooba bandi ho ya koi oor harbaa...

Wallah o Aaalam
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
masha Allah yahan bhi is masle pr bohot baat hochuki hai
nasirnoman aur encounter saheban ne bohot hi maqool jawab diye hain
jazakallah khair

biwi ki upar lazim hai k wo shohar ki itaat kare illa ye k wo shariat k khilaf keh raha ho
agar maa baap ghar damad rakhna chahte hain to ye inki baad shariat k khilaf hai to yahan inki baat nahi maani jayegi

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan
lakin sab jante hen k moosa alehslam ko un k suser jo k khud nabi the gher damad ki shert p rishta diya tha or kaha tha k 8 sal sath rahna he ap ne 10 sal rahe to ap ka ihsan
 
ShahzadFaiz

TM Star
Jul 25, 2010
1,319
324
783
45
Multan, PK
lakin sab jante hen k moosa alehslam ko un k suser jo k khud nabi the gher damad ki shert p rishta diya tha or kaha tha k 8 sal sath rahna he ap ne 10 sal rahe to ap ka ihsan
us wqt moosa A.S k sussar jo k khud b nabi the, naam unka zehn mai nai aa rah wo bazurg the, yaha tak ki gar k baher k kaam kaaj unki beti krti thi, tu ye b 1 shar'ee masla tha. k jab shaadi ho jae gi tu beti chali jae gi, or baap akela reh jae ga. is lye daamaad k hote hoe. beti b gar ma ba parda rahe gi & baher k kam daamad kr lain ge.. Wallah o ALLAm
 
  • Like
Reactions: cute bhoot
Top