TM Debate Contest 2011/12 Round-1

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Asslam o Alaikum Ab intezar khatam tm ka aik new dhamake dar aur zaberdast contest tm debate start hogaya hei, hum ne is contest ko dilchasp banane k liye is k 2 groups banai hein, aur dono groups ko aik unique naam diya hei, group ki detail neeche mulahiza karein:

Super Star Group
1. Hansmukh (c) captain
2. Sweet Maha
3. Asma 24
4. Ssafi
5.S_Chiragh
6. Khushi


Bright Star Group
1.
Aaraaf (c) captain
2. Faari
3. Hooria
4. SHB
5.
Sabah
6. Mashriki Larka

Super Stars
VS Bright Stars

In ka Debate question ye hei,

Q. Kya Electronic Media Hamare bachon(kids) ki taleem aur terbiyat pe bura aser dalta hei ya nahi? Note: Electronic media se murad tv, tv shows, computer etc tamam cheezein is sawal mein shamil hein.


Super Star Group
is debate k topic ka favor lein ge, wo ye explain karein ge k Electronic media bachon ki taleem o terbiyat pe bura aser nahi dalta.

Bright Star Group is debate k topic k against jain ge, wo ye explain karein ge k Electronic media bachon ki taleem o terbiyat pe bura aser dalta hei.

Captain apne hisab jese chahein apne group ko guide karein, and ager question mein problem ho to mujhse ya Zee se pm k zerye rabta karein. wese is questoin mein confusion ki koi baat nahi.


Rules

Member k kisi bhi gheir ikhlaqi alfaz k istemal ki soorat mein us member ko pehle warn kiya jai ga aur dobara ghalat herkat ki soorat mein us member ko 2 weeks k liye contest se bahir ker diya jai ga, is k group mein se 1 point *-(minus) kiya jai ga.

Contestant Ke Out of Topic post ko bhi delete kya jaye ga Jis ki surat main un ke Group ke points bhi katey ja sakte hain

Contestants ke ilawa baqi members Thread pe post nahi karenge aisa karne ki surat main unki post delete kar di jaye gi woh apni pasand ka izhaar Thanks ke button pe click kar ke kar sakte hain

Caption ke Kisi waja se busy aur out of TM hone ki surat main Caption pe lazmi hai ke woh Thread pe ghaieb hone se pehle apne Kisi partner ko Wise Caption Ship ki command de kar jayega


Points System

Jeetne wali team ko 10 points milein ge aur harne wali team ko sirf 2 points milein ge.

Jis team k members ne Golden words (yani aise alfaz jo judges ko sab se zyada pasand aye) point hasil kiye use 3 points milein ge, yaad rahe Golden words k liye zaroori nahi k sirf jeetne wali team k member ko mile balke harne wali team bhi is opportunity se faida utha sakti hei, ye points team points mein add honge.

Man of the match ki team ko 1 point mile ga.

Is Debate Round ki Last Date 25th December hai so now ur time start from now
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Asslam o Alaikum Ab intezar khatam tm ka aik new dhamake dar aur zaberdast contest tm debate start hogaya hei, hum ne is contest ko dilchasp banane k liye is k 2 groups banai hein, aur dono groups ko aik unique naam diya hei, group ki detail neeche mulahiza karein:

Super Star Group
1. Hansmukh (c) captain
2. Sweet Maha
3. Asma 24
4. Ssafi
5.S_Chiragh
6. Khushi


Bright Star Group
1. Sabah (c) captain
2. Faari
3. Hooria
4. SHB
5. Aaraaf
6. Mashriki Larka


Super Stars
VS Bright Stars

In ka Debate question ye hei,

Q. Kya Electronic Media Hamare bachon(kids) ki taleem aur terbiyat pe bura aser dalta hei ya nahi? Note: Electronic media se murad tv, tv shows, computer etc tamam cheezein is sawal mein shamil hein.


Super Star Group
is debate k topic ka favor lein ge, wo ye explain karein ge k Electronic media bachon ki taleem o terbiyat pe bura aser nahi dalta.

Bright Star Group is debate k topic k against jain ge, wo ye explain karein ge k Electronic media bachon ki taleem o terbiyat pe bura aser dalta hei.

Captain apne hisab jese chahein apne group ko guide karein, and ager question mein problem ho to mujhse ya Zee se pm k zerye rabta karein. wese is questoin mein confusion ki koi baat nahi.


Rules

Member k kisi bhi gheir ikhlaqi alfaz k istemal ki soorat mein us member ko pehle warn kiya jai ga aur dobara ghalat herkat ki soorat mein us member ko 2 weeks k liye contest se bahir ker diya jai ga, is k group mein se 1 point *-(minus) kiya jai ga.

Contestant Ke Out of Topic post ko bhi delete kya jaye ga Jis ki surat main un ke Group ke points bhi katey ja sakte hain

Contestants ke ilawa baqi members Thread pe post nahi karenge aisa karne ki surat main unki post delete kar di jaye gi woh apni pasand ka izhaar Thanks ke button pe click kar ke kar sakte hain

Caption ke Kisi waja se busy aur out of TM hone ki surat main Caption pe lazmi hai ke woh Thread pe ghaieb hone se pehle apne Kisi partner ko Wise Caption Ship ki command de kar jayega


Points System

Jeetne wali team ko 10 points milein ge aur harne wali team ko sirf 2 points milein ge.

Jis team k members ne Golden words (yani aise alfaz jo judges ko sab se zyada pasand aye) point hasil kiye use 3 points milein ge, yaad rahe Golden words k liye zaroori nahi k sirf jeetne wali team k member ko mile balke harne wali team bhi is opportunity se faida utha sakti hei, ye points team points mein add honge.

Man of the match ki team ko 1 point mile ga.

Is Debate Round ki Last Date 25th December hai so now ur time start from now

Wa'alaikum assalam bhai jan bada hi achha sawaal hai aur dilchasp debate hai masha'a'ALLAH
aur mere saathi bade qabil tareen hain iske saath saath mukhalif debate wale dost bhi behetereen
hain maza aane wala hai bohot bohot sach mein
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Walaikum assalam wrwb :)
Alhamdulillah jo topic aapne choose kia hai.wo general hai laikin accha hai.ispar acchi bahes i jasakti hai.har cheez k do pahlu hote hain ek accha aur ek bura.to main umeed karta hon k super star group se bhi acchi posts aayengi.aur is silsile me ilm me mazeed izafa hoga inshaAllah main apni poori try karta hon.
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Hey Guys kya aap logoon ne Contest ke rules read nahi kye hain? aap logoon ko kaha gaya hai sirf contest se related jo debate chal rahi hai us pe he comments karen aur woh bhi apne caption se coordinate kar ke.. abhi phr se remind karwa raha hon ke rules ko theek se read kar len takey next time agar aap main se kisi ki koi post delete ho aur team ka point minus ho toe koi aitraz na karey aur kisi ko debate main kisi ki post pe aitraz huwa bhi toe woh mujhe ya waqas bhai ko pm kar ke inform karey .. thread pe kisi kism ki out of topic behas allowed nahi hai. so becarefull for next time aur contestant ke ilawa baqi members bhi rules ko follow karen next time se un ki post bhi delete hogi woh sirf thanks ka button use kar sakte hain no more post. now apni debate start karen pehle Super Stars ki team ko kaha jata hai ke woh apne debate ka aghaz karen

Kindly follow rules

Regards

Zee
 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
Aslamoalikum

muaziz dosto aaj mujhy jis mozoo pr lb kushae ka moqa mila hai us ka unwaan hai

kia electronic media hmary bchon ki taleem pr asr andaz hota hai k nahi....

to main kehti hoon k electronic media hmary bachon ki taleem pr asr andaz hota hai lakin negatiive nahi positive.....

kion k computer to aaj kal taleem ka aham hissa bn chuka hai is k bagher koi b kaam nahi kia ja skta...

this age is called as the era of IT and we can not imagine a world without computer...

computer bohat say mushkil kaam asaani say or tezi say kr deta hai....

or hmaary bachy is era ka hissa hain or un ka future bright dekhny k liye computer is very important....

kion k bachy computer k zariye asaani say apni taleemi mushkilaat ko hul kr skty hain....


bchon ko agr course main koi mushkil pesh aati hai to asaani say apni mushkil ka hul net say nikaal skty hain..

achi achi cheezen achy achy projects and courses net say download kr k apni taleem ko behtar bna skty hain...

yahan tk k doosry countries k course b asaani say hasil kr skty hain or apni taleem ka myaar brhaa skty hain...

jo bchy tution waghera afford nahi kr skty wo net say mustafeed hoty hain....ghar bethy bohat c sahooliaat is aik adad computer say hasil ki jati hain to main kaisy keh doon k is say hmaary bchoon ki taleem pr bura asr prta hai.....

computer to hr shoby ka aham juz bn chuka hai or agr bchon ko is say door rkha jaye is say faida hasil na krny dia jaye to wo aagy kaisy bren gay?

bchy hi Pakistan ka future hain to ye bchy hi doctor bnen gay...yahi teachers hon gay...journalist,officer,pilot,engeeniers,business man,cashiers etc to in sb main electronic media k bagher kaam nahi hota....

aisy hi TV main b bchoon k liye bohat kuch seekhny ko miilta hai....

specially Quraan Paak prhaya jata hai....islam k mutaliq information di jati hai....

or agr hmaary bchy TV say islam ko Quraan ko seekhty hain to is main kia bura hai?

aaj kal to cartoons k zariye hi bchon ko bohat kuch sikhaya jata hai...

aik to din bhar ki thkaan ko door krny ka zariya bnta hai k bchon ka mind fresh ho jata hai thora enjoy kr lety hain 2nd kuch na kuch seekhty hain....


or khaas baat ye k ghar say bahir na jany k liye Electronic Media aham kirdaar ada krta hai....aaj kal ka mahol aisa hai k bchy ghar say bahir qdm nahi rkh skty....

lakin agr unen ghar main hi sb kuch muyassar ho to wo khud ba khud bahir jaany say gurez kren gay....

jaisy ye duniya fast chl rahi hai us k liye hamen b fast hona pry ga wrna hmary bchy bohat peechy reh jayen gay....

or mera yahi kehna hai k electronic media bchon ki taleem pr gehra asr krta hai lakin negative nahi positive :)
 
Status
Not open for further replies.
Top