Valentine Love Story

  • Work-from-home

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Main kya karti basti ke sare log hi aatish parast theghar jal raha tha aur samandar kareeb tha

Sab jal kar rakh ho gaya tha jo log bach gaye wo jan bachakar bhag chuke the bad me kuch jali hui lashon ko utha kar le jaya gaya. Sahil apni badhali par pahli bar ro raha tha maine sahil se kaha tu aaj ro raha hai main to ibteda se ro rahi hun wo khamosh raha main wahan se chali gayi. Main us jali hui basti ke kuch logon ko talash karne lagi jisme se sirf golu aur kajri ek nale ke kinare pipe line ke niche baithe hue mile. Kayi roz sargardan firne ke bad main wapas sahil ke pas gayi to dekha wo wahan nahi tha dariya to wahin tha lekin sahil ka wajoob khatam ho gaya tha aur wahan thi to pathar ki ek bahut badi imarat jisko 5 star hotel kaha jata hai main golu karjri ki taraf gayi to dekha us ne nale ke kinare ek phoos ki jhopri bana rakhi thi golu mujhe ek oonche makan ke bahar ek larke ke sath khara hua dikha wo dono us ghar ka koora mang rahe the andar se awaz ayi bhago yahan se tum sab chor ho apne ghar ka koora bahar dal do itne me mai tumhare ghar se kya chura lunga golu bola lekin us ko wahan se bhaga diya gaya. Golu bola chal wo badi colony me chalte hain wahan sab bade log rahte hain wahan bahut kabad milega nahi yar ye bade log sara kabad ek kamre me rakhte hain aur saal me ek bar bechte hain dusra bola mere pas rahne ko bhi jagah nahi hai aur in logon ke pas itna bada makan hai ki koora kabad kamre me rakhte hain Golu bola tum jao mai nahi jaunga dusra larka bola aur golu ko akela chorkar chala gaya. Golu ek dusri basti me pahunch gaya usko sarak pe ek phal para hua mila kayi doni ke bhukhe golu ne wo phal utha liye jo puri tarhh se sada hua tha wo usko khane laga tabhi piche ke ghar se usko ek larki ne mana kiya aur khud bahar aakar usko apne sath apne ghar le gayi wo us golu ko niche se upar tak dehh rahi thi jiske kapre bhi sabut nahi the main chor nahi hun didi usko apni taraf dekhta pakar golu bola mujhe pata hai agar chor hote to bhukhe nahi hote wo larki boli us larki ne us ko bahut kuch khane ko diya jis me se golu kuch khata aur kuch bacha kar rakh leta tha jab us larki ne pucha tum bacha kyu rahe ho to wo bola , meri didi bhi bhukhi hai us larki ne pucha tum apni didi ko bahut pyar karte ho haan golu bol tum apni didi ko ye tohfa dena ye kuch kapre hain wo golu ko dete hue boli kyun golu ne pucha. Kyunki aaj valentine day hai aaj jo jis se muhabbat karta hai us ko tohfa deta hai wo boli to tum mujhe kyu de rahi ho kya tum mujh se pyar karti ho? golu bola haan kyun ki tum insaan ho aur insaan ko sab se pahle insaaniyat se mohabbat honi chahiye wo boligolu nam ankhon se wahan se bahut khush hokar chala gaya , main bhi aaj kisi ke jazbaye mohabat par khush hokar royi main sochne lagi ki is larki ki tarah sab ko insaniyat se mohabbat kyun nahi hai kyun sab apne faide ke liye dusre ki jaan ke dushman hain Golu khushi se apni didi ke pas pahunhca aur apne sath laya hua khane ka saman dete hue sari bat batayi , kayi dino ki bhuki kajri ka dil bhai ke pyar par fat para aur wo rote hue bhai ke sath khane lagi Golu bola didi dekho mere pas paise hain aaj us larki ne mujhe bahut kabad diya tha didi aaj tum khana banao hum log bhi aaj pet bhar khana khayenge. Golu bola did ab main roz paise launga fir hum log bhi apna ek ghar banayenge fir tum ko koi nahi marega mujhe koi kyun marega bhaiya wo boli haan didi roz raat ko tum ko yahan se khich kar kuch log marte hain main dekhta hun lekin dar jata hun wo log sharab piye hote hain golu bola kajri rone lagi lekin kuch nahi boli kyunki golu nahi janta tha ki wo log marte nahi balki us ki ghareeb didi ko roz koi na koi bhukha bheriya apni hawas ka shikar banata hai tum ro nahi didi main abhi khane ka saman lekar aata hun ye kahkar golu dukan par gaya jahan dukan wale ne kaha bhag yahan se wo bola mai paise lekar sauda lene aaya hun , ye kahte hue usne usko kuch note dikhaye jise dukandar ne cheen liya aur bola kahan se churakar laya main churakar nahi laya golu bola lekin us ki kisi ne nahi suni aur dhakka dekar usko fenk diya gaya golu rota hua apne ghar ki taraf bhaga aur ek tez rafter se aati hui car ke niche akar hamesha ke liye khamosh ho gaya uske bhukhe shikam ko taskeen ho chuki thi insaaan ek bhukhe insaan ko shikam ser to nahi kar saka lekin uski jan zarur le li dusre din akhbar me likha tha ek larka chori kar ke bhagte hue car ke niche aakar mar gaya. Hath me chai ka cup liye log maze le lekar hanste hue akhbar parhte rahe


Sabhi maze me hain kis ko bhukhe beghar ki fikar thiKabul ho ya mashhad baghdaad yaroshlamAati hai yahi roz khabar sab maze me hain Pista hai bechara ek ghun hi ghareeb Gandum jwar jau aur chana sab maze me hain


Hamesha ki tarah ek bar main fir royi lekin meri girya o zari kisi ne nahi suni. Logon ne valentine day manaya muhabbat ko samajhne ki zarurat bhi nahi samjhi aur apni jinsi khwahishat ko muhabbat ka naam dekar is din logon ne pyar ke naam par nanga naach shuru kar diya apne dilon me nafrat rakhne walon ne ek din muhabbat ke naam se to makhsoos kiya lekin jis valentine ke naam se ye din mansoob tha jis ne insaniyat ki khatir apni qurbani de di us valentine ko kisi ne dil se yad bhi nahi kiya, Kisi ne us ko khiraje aqeedat pesh nahi kiya , kisi ne bhi us ke naam ki ek qandeel tak nahi roshan ki sab ne valentine manaya sab ne manya. Ab aap logon ne meri bat suni ya sunkar bhi ansuni kar di mujhe nahi pata. Acha ab main aap logon ki is khubsurat bazm se ijazat chahungi kyunki Katibe tahreer ki kanpti kalayi aur Bahte hue Ashqo ko main dekh rahi hun. Shayad kabhi mulaqat ho aur aap log mujhe pahchan len ke Main Fizaa hoonMaine tinke uthaaye hue hain paron parAashiyaana nahin hai mera
______________________________
 
Top