What Is Juwa???

  • Work-from-home

Arsalan Attari

Regular Member
Sep 7, 2009
55
62
18
33
Q) Juwa ke tareef kya hai?

A) juwa ko arabi mein qemar kehte hai. Har wo khel jes mein yeh shart ho k Maghlob (Yani nakaam hone wale) ke koi cheez galib (yani kamyaab hone wale) ko de dee jai ge yeh "qemar" (yani JUWA) hai. (gheebat ke tabah kariya, pg:188)

Juwa ke aik surat "LOTTERY": es tariq mein lakhoo rupy k inamaat ka lalach de kar lakho ticket sale ke jate hai phir qura'andaaze k zaria kamyaab hone waloo mein kuch raqam taqseem ke jaate hai baqi afraad ke raqam doob jate hai yeh juwa ke surat hai jo haram hai.(gheebat ke tabah kariya, pg:188)

"Mob msgs aur juwa": Mob per mukhtalif sawalat k msgs send keye jate hai jes mein pocha jata hai kon se team jeete gee? ya pakistan kes din bana tha? wageera. Sahi jawabat dene walo k leye inamat bhi hote hai aur shareek hone k leye balance bhi deduct kya jata hai jen ko inaam nahi nikalta unn ke raqam zaya ho jate hai yeh bhi juwa aur haram hai. (gheebat ke tabah kariya, pg:189)
 
Top