TM Debate Contest 2011/12 Round-1

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ASSALAM WALIEKUM

TOPIC KO AAGEY BRAHTEY HUE ME CHUND BATON PER BAAT KERNA CHAHTI HOON
TAYAB NE KAFI IMPORTANT POINTS PE BAAT KI HY ..UN SE KCUH BATON PER ME AGRRE B KERTI HOON:)
aapki kuch baton se mujhe corruption k points b mile..jese k ye duniya nasha aur zehreely dawaon se bhari padihy....mere dost duniya me najane kitne aise shobey hain jahan gair qanooni kaam hotey hain ajakl dekha jaye to bht si cheezon me milwat horhi hy ....magr hm system ko change nahi kerskte ..wel ye baat ko leave kerte hue barhte hain topic ki taraf..
electronic media ajakl js tezi se use horha hy ..bachon me dilchspi aur knowledge b bshaour horha hy,
aik negetive mind se agr hm sochenge to her choti si baat b nigetive lagegi,,but think poositive if tehre could b possitively my frd..
her baat ka control khud hm per hota hy ye baat to hm mantey hain na..manti kuch logon ne media ko ghalat nazrye se liya hua hy ..js se kcuh ghalat kaal smne aarhe hain aur society per bura asar horha hy,,
magr jahan tak achey ki baat hy to aaj zara her city her gaon her country her area me jhank ker dekhen ..lakhaon karaoron log es techonolgy se jur gaye hain....
behte rnzrey se socha jaye to es technolgy se najane kitne good effectss samne aaskte hain..js se na sirf her zindgi per acha tasur balke bachon k liye future me kamiyab hone ka aik behtreen zriya sabit hoskta hy...
khane me agr koi dish kese bani hy ..hmen tab tak pata nahi chalta jab use chakhte nahi hain wese hi agr possative thinking se socha jaye to wo dish hmen yakeenan zayekedar lagegi..
bachon k futire me e.media bht ehem aur kamiyab zirya hy:
 
  • Like
Reactions: Aara'af and Zee Leo

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Waalikum Assalam

Miss Asma ne jis khoobsurati se apna nukta nazer peesh kea woh waqae qabil e tareef hai..... Jis tareeke se unho ne kaha keh hume positively deekhna chahiye jis cheez ko hum negatively dekhen ge woh hume buri he lage gi per mera aik sawal hai jo un ki baat perh ke sub doston ke zehan me aaya hoga keh kya ager hum aag ko positively sochen keh yeah aag hamare room ko garam rakhe gi aur jo ke rakhti bhi hai aur hum room ke under lakrian akhti ker ke aag laga len aur door band ker len to kya hooo ga???

Hum ne to aag positive way me soch ke lagae keh yeah hamare room ko garam rakhe gi lakin yeah aag se peda hone wala dhoan kamre me berh gaya aur dum ghutne laga to hum us waqt aag bhujane nikle per aag bhujate bhujate hum ne haath bhi jala lea aur room ka kuch saaman bhi....

Yeah kya howa???? Kya humare positive sochne se aag ne apni nature badal li??? Aur kya aag ne jo aik baar jala dea aap us ko wapis laa sakte ho..???

Yeah Electronic media bhi us aag se kuch kum nahi hai.... Hum jitna bhi positive soch len is ke nuqsanat se hum bach nahi sakte..... Aik baar aap TV ghar me le aaye to aub aap bachon ko lakh kehte raho ke free time me tv dekho aur perhne ke time perho per perhae tub aik majboori ban jao gi aur tv dekhna ek raahat... Aur I think koi bhi parents bachon ke ser pe twenty four hours nahi reh sakte to bachon ki poori koshish hogi keh perhae ko choro tv pe cartoon or movies deekho... Jis se un ke under kaam choori peda hogi....

Aur issi tarah computer la ke de dea keh bache computer seekh ke apne aap kod dunya ke level pe le aaen ge lakin aap ka bache ka zehan abhi kaam se zyada tafreeh se zyada tafreeh ki janib zyada mutwajah ho ga aur computer games me aik baar lag gaya to perhae me utni mehnat nahi ker paye gaa jitni woh us ki ghair maujudgi me kerta thaa... Plus internet ke zarea students ko herinformation bina dimagh khapae mil jati hai bane banae notes her tarah ki help mil jati hai jis se un ke ander book perhne ka shooq aur apne notes khud banane ka talent kum se kum ter aur bila aakhir khatam ho jata hai..... Aur video games khailne se bachon jismani tor pe waise fit nahi rehte jaise physical games se ho sakte hain aur plus chashme alag bonus ke tor pe miltey hain nanhe nanhe bachon ko.....

So hum positively soch ke Electronic media ke side effect se apne bachon ko kabhi bhi nahi bacha sakte....
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
janab tayab i agree with ur pointsss{(thx)},,,ab zara hamri baat pe b gour karen,ye sach hy k bewaqt aur fuzul using of net bachon k liye theek nahi hy ..hmne kab kaha k her waqt betho ya daily lagey raho ,,bachon ki age studies k liye most important hoti hy ,,hm b to use baat ko bar bar duhra chukey hian k e meida b aik zariya hy jahan bachey bht kuch ssekh skte hain..
aap dekho ajakl private schools,tutions and privates insitutess per computer ka use kitna common hogya hy parents khud bachon ko institutes bhej rahe hain ta ke unka typing power unki learning and knowledge barh ske ..ye techonology hi to hy js se tarha trha ke softwares,learning cds wagera dastyab horhi hain ta ke media se bachon ko aisi facility mili js se bache aur mazeeskuch behter practical aur activites seekh saken...u know why teachers aur school k poora staf kun es baat ko favour kerta hyk schoolon me ye tehnoligical cheezen farahim ki jaye ..coz unki soch b yehi kehti hy k barhti duniya ko agr aik kamiyab zriya support ker rah hy to wo elctronic media hy:)
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
janab tayab i agree with ur pointsss{(thx)},,,ab zara hamri baat pe b gour karen,ye sach hy k bewaqt aur fuzul using of net bachon k liye theek nahi hy ..hmne kab kaha k her waqt betho ya daily lagey raho ,,bachon ki age studies k liye most important hoti hy ,,hm b to use baat ko bar bar duhra chukey hian k e meida b aik zariya hy jahan bachey bht kuch ssekh skte hain..
aap dekho ajakl private schools,tutions and privates insitutess per computer ka use kitna common hogya hy parents khud bachon ko institutes bhej rahe hain ta ke unka typing power unki learning and knowledge barh ske ..ye techonology hi to hy js se tarha trha ke softwares,learning cds wagera dastyab horhi hain ta ke media se bachon ko aisi facility mili js se bache aur mazeeskuch behter practical aur activites seekh saken...u know why teachers aur school k poora staf kun es baat ko favour kerta hyk schoolon me ye tehnoligical cheezen farahim ki jaye ..coz unki soch b yehi kehti hy k barhti duniya ko agr aik kamiyab zriya support ker rah hy to wo elctronic media hy:)
Assalam o alaikum wrwb lecturer saheba :)
main aapki baat se muttafiq hon k bacchon ko school me computer ki taleem di jaarahi hai taake aage chal kar unki typing speed aur unki maloomaat me izafa ho.laikin kia aapne ye baat ghaur ki k bright star group me se ksi ne electroni media ki mukhalifat nahi ki.laikin bus ye kaha k usse ek hadd tak hi rahna chahiye aur iskeliye maine aur mere ahbaab ne bhi kaafi acche dalayel bhi diye.

ab aate hain firse aapke jawab ki taraf jitne bhi school aapne dekhe honge un sabme bacchon ko computer ki classess ka aaghaaz 8th standard se kia jaata hai.us waqt bacche ki umr 11or 12 saal to hoti hi hai.is umr me unhe jo classess di jaati hain wo basically hoti hain naake totally.aur aisa nahi hota k bacche ko net service aur dosri deegar filmen ya isi tarha ki aur cheezein provide ki jaati hain.aur ye mahdood waqt keliye hota hai.jisme unke teachers unki nigraani karte hain.taake koi problem create hoto bacchon ki rahnumayi ki jasake.

laikin kia humne ye ghaur kia k agar hum bacchon ko jinhe sahih aur ghalat me farq karne ki tameez naho.aisi cheezen thama den jinke baare me hame imkaan ho k iska ghalat istemal bhi kia jasakta hai.to kia hum usse denge.nahi na.ab maa baap hain kahan tak uski nigraani karenge.chalo agar ghar me hoto maan lete hain laikin agar wo ghar se bahar hoto kia karenge.isliye bacche ko ghiza utni hi dena chahiye jitni k wo hazam karsake.

main ye baat isliye kah raha hon k bacchon me apni zummedaari ka ehsaas badaon ki banisbat kum hota hai jab wo games ya aur dosri cheezon me mashghool hojayenge to unhe apni parhayi ya ghar k kaam ya dunya ki koi parwah nahi rahti.aur is tarha wo taleem k maamle me nakaam hojayenge.jaisa k mere bhayi tayyab ne kaha k jab har cheez unhe ready made milne lage to unhe ye pata nahi chalega k 2+2 kitne hote hain.wo jhat se clculator nikalega aur usi par apna claculation karlega.halanke clculator ka istemal bahot mufeed hai jiki wajah se ghanton ka kaam minton me hota hai.laikin ye tabhi sahih hai.jab koi aadmi business man ho ya aur ksi field me ksi ohde par kaam karta ho.
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ASSALAM WALIKEUM
HAZRREN AUR NAZREEN
HAZIR HOON APNE TOPIC K LOYE NAYI SUBHA K SATH{(thx)}

mere bhai arshad ne bht achi daleel di hy...khas to rper mere point spe mazeed roshni dali hy,well bhai school life wale bache kya bache nahi hote.11,12 age k bachey mashallah apni study aur activites me tez aur fastest hote hian.unki es age me parents mazeed unk liye pareshan rehte hain...mene kab kha k schoolon me dosri cheezon ka khulasa hota hy computer per,,but jahan mene apni bateein batayi hain un per b gour karlen:)

aik aur khas baat janab shb ne elctronic media ko aag ka example dekar aik ghalat tarha se define kiya hy,,we dont belive k e media aik aag hy..ye point to bilkul ajeeb aur gareeb hua:-/e media se related ache use b hain janab..

jo muda hy usi per baat karen ab bateyn bhai arshad ye point favour hua ya against?aap keh rahe ho k bright star ne koi khilafat ki baat nahi hy..
tayab ne jahan examples diye hain i agree unke points kabil ittefaq hain..magr bhai aik baat me batana chahti hoon

jo log ye soch rahe hain k 24 hours bache e media per lagey rehte hain ..aisa to shayed kabhi ddekha b nahi mene..
coz zimedar maan baap apne bachon ko aisa qatan nahi krene denge ...bachey subha school jatey hain tutions jatey hain aur quran pak parhne jatey hain es bech agr unko thora time milta hy to wo games khelne me bzi hojatey hain ,phr conputer jese invention ka just use kerte hain..ache games khelne me unka iq tez hota hy aur ghar per tv dekh ker wo apni knowldege me b izaaf kerte hain...

hm ne b esi baat ko favour nhi kiya hy bhai k e media per her ghanta betha nahi ja skte no one can use it aur phr to bachon k liye ye namumkin baat hy...
e media is not bad for kidsss
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Assalam o alaikum dosto.
jaisa k hum dekh chuke hain k electronic media bacchaon par kis tarha asar andaz hota hai.unki taleem aur unki sahat par main is par tawwajeh chahunga k aajke daur me bacche games khelte hain to kaunse aur kahan?ye nayi nasal keliye ek bahot bada masla bangaya hai.pahle wasi maidanon ki itni ahmiyat thi k governament ko bazabta games keliye stadium banane parte thei.jisme bacchon ko schools k zarye games khilaye jaate thei.jiski wajah se bacchon ki sahat bhi mashaAllah theek rahti thi aur wo tarha tarha ki aane wali bimariaon se mahfoos rahte thei.

laikin jab hum aajke daur me dekhte hain to hame pata chalta hai k 90% bacche computer ya ksi paly station aur isi tarha dosre aise games khlene ko tayyar nazar aate hain jinme unhe jismani mehat na karni pare aur ek jagah baithe hi ye saare kaam poore hojayen.jinki wajah se bacchon ki sahat par bhi qaatir qawah asar parta hai aur unki sahih nashonuma nahi ho paati.isiliye hum dekhte hain.aajke bacchon me wo tandurusti ziada dekhne me nahi aati jo pahle daur k logon me dikhaayi deti thi.isliye hame chahioye k hum apne bacchon ko in open door games ka aadi banayen taake unki sahat aur nashonuma sahih dhang se ho paaye.

waise elcetronic media me bus ye do cheezein hi nahi rah gayi hain jiske hum bure asraat yahan bayan kar rahe hain.unme ek mobile fone bhi hai.jahan iske kayi ek fawayed hain wahin iske nuqsanaat bhi bahot ziada hain.jabse net ki sahulat hogayi hai.iske nuqsanaat me pahle se ziada izafa hogaya hai.bacche tarha tarha k ghalat kamon me mulawwis paaye gaye hain.jo cheez keliye inhe pahle chund ek mushkilaat ka samna karna parta tha ab wo cheez inhe apne hathaon me dastyab hogayi hai.isiliye ab fone ka ghalat istemal pahle se kahin ziada barh gaya hai.aur hamara muashera ghair aqlaqi taur par pasti ki taraf gaamzan hota chala jaa raha hai.ab ye bacchon me itni samajh kahan hoti hai k iska sahih istemal karen.wo to yahi chahenge k hamara timepas ksi tarha aisi cheezon me hojaye.
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ASSALAM WALIEKUM

MOIZIZ HAZREEEN AUR NAZREEN
DEBATE KO AGEY BARAHTE HUE ME KUCH AUR TAFSEEL BAYAN KERNE KI IJAZAT CHAHTI HOON {(thx)}
AHEM AHEM..HMM hamre dear brother arshad bhai ne khoob wazahat ki but ene me unhon ne wohi points share kiye hain jo already unke team members bayan ker chukey hain bhai kuch naya aur khasta exmaple b den...:)
mafi bhai agr kuch bura laga ho to71.gifwell e.medai se related jitni b inventions hain unka sab estimal agr zaruri tareeke aur ehtiat k sath kiya jaye jo yakinan wo bilul moaser hoga bachon k liye..
aj k dour per bhai aapn ne kush khulasa diya hy .to me ye batana chahti hoon k ,,agr hm ghoom phir ker dekhen to aaj be ground games me sabse ziayada ehmiat bachey circket ko dte hian ..ass pass aap dekhogye to ye wo game hy jo mostly sab jaga khela jata hy..phr aap kese keh sakte hain k estrha ki games kam kheli ja rahi hian.
bhai bachey to bachey hain unka jab dil karega wo circket kheleney ya computer per aker vidio games khelnege..
mene to dekha hy aksar bachey 3d games b khelte hain pc per ..jo ke zehni tor per aik moral support kerti hain unkee mind ko jese k game me hero apni manzil tey keerta hy .ab bachey sochenge ese kese paar karenge...hehe
ye to aik chota sa example hy ...tiny miny sa,,well mind ka ziyada use mind aur strong kerta hay.....trha trha ki tachnique ese hi hi to kehte hain..
schoolon me bachon k liye trha trha k sports hote hain....jese k footbal,wliball,cirket wagera ..es k sath agr bachey thora sa entertainment aur pc per game khel liye aur tv dekh liye to kya bura hy es me bhai..:)
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Asalam-o-alaikum Wrwb!
Well I dont know k itne choti se topic ko itna lengthy kio bana ja raha hain, baat electronic media se play ground game tuk kaise aa phaunche hain yaha pe baat ager serf kids+electronic media ki hurahe hain so we should intend to talk about these subjects guys... yaha waha k baat add kerna and topic and replies ko zyada bana ne se I dont think so sahi ghalat and ghalat sahi mei badal jaate hain so yeh kaam chahe humare group ki member kerte hain ya pir oposition groups k members... baat choti ho but logical ho tu kuch sahi hain awie kuch bhi kahne ka kia maksad...

and now comming to the topic and replying to my sister Asma:
aap ne kaha k kabhi kabhi kids pc mei video games bhi khelte hai
zahni taur per yeh ek moral support kerti hain but I'm not agree jaha tuk mai ne suna hain and mere khud ki knowledge hain, kids zyada se zyada voh kaam jaldi seekh jaate hain jes pe voh aapna mind and hath donu use kare, means koi creativity kare jaise k schools mei arts zyadater kids k subjects mei shamil hote hain and khaas ker Marshal arts jho khud he mei ek physical strength and power generating game hain so such games are more reliable and worth playing than video games, because ager ek baar aap ne bache ko tv mei cartoon and PC mei video games and playstation pe games khelne de then yeh loug addicted hujayenge and padhaye ko bye bye kahenge uske baad serf yeh cheese honge and kids so unke future and ek ache mustaqbel k lie hume unhe aise cheeze frahem kerne chahye jes se voh kuch seekh sake future mei kuch ban sake baki computer se shinasi tu InshAllah teen age mei zaroor hugi jub enke perfect time hugi... so thats All we can say and we have to make them do..
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam doston :)

Games ko aur electronic media ko najaane kyun ghalat view se dekha jaa raha hai
agar bacha apne time ke hisaab se kheile to hi sahi hoga zyada kheilna kya eik
saath zyada parhne se bhi insaan ko nuqsaan pohnchta hai to parhaiy buri?
yaa parhne wale ki ghalti.???

PAKISTAN sameit dunya bhar mein bache games kheil kar sharp minded ban rahe hain
aaj ki tareekh mein jinke paas PC games available hain wahi top positions lete hain
mera apna chhota bhai 1st-4th pozition har exam mein laata hai he is free to use net
he iz free to play games when he wants exam dayz bhi kaam yaad karne ke baad agar
bache ke entertanment ke liye use PC use karne ke liye diya jaaye to uska bhi mind yunhi
set hoga ke pehle kaam karwaya ab meri marzi mein bhi ghar walon ne raza milaiy hai???
agar bacha sirf games ya cartoons se hi aapki baat na maanne lage to bacha pehle se
corrupt minded hai tab to aap zaroor sub se pehle yeh tarbiyat dein ke woh aap ki
baat na taalein agar eik bacha ghar mein rahe uar un cheezon ko istemaal kare jinse
walidein waaqif hain to yeh cheezein walidein ke anjaan doston se kaafi achhi hain
eik jageh mere azeez dost Aara'af bhai ne kaha tha ke jin schools mein computer
classes lagti hain wahan 8th class se start hotin hain to mein kehna chahoonga ke
yahaan to 1st class se hi PC classes start ho jaati hain aur parents per
teachers is hi baat ka zor de rahe hote hain ke bache ko ghar mein PC muhaiya karo
taake yeh jald az jald iska istemaal seekhe

janaab taiyab bhai ne second last point per meri hi baat ki ke taqreeban walidein
ka yehi shikwa hai ke bache nahin sunte unki to iski wajah electronic media nahin
iski wajah aap khud hain

agar electronic media hi wajah hai nafarmaan aulaad ki to kya aulaad ka nafarmaan
hona aaj ke din ki baat hai.??? yaa ibtida se bohot se bache aise hote hain
aur aaj kki tareekh mein bohot se bache aise bhi hain jo apne walidein ki tahe dil
se qadar karte hain aur unhein games cartoons muhaiyya hain hatta ke walidein
keh dein ke falan show tumhein nahin dekhna to aainda kabhi nahin dekhte

muazrat chaahoonga Taiyab bhai aapke last point se aisa lagta hai jaise saari behaiyaiy
E media laaya hai jabke mein is point ke khilaaf hoon

kya jab E media yeh dikha raha tha ke aurat ki sundarta saadgi mein hai aur achhe izzatdaar
kapre pehenna achhi baat hoti hai aur aur bahu ko aise show karte the ke bohot achhi hai
aur kehti thi ke saas ki har baat maanni chahiye us doar mein kya be hayaiy nahin thi.???
thi bilkul thi kuch bachon mein be hayaiy E media ki taraf aane se pehle hi hoti hai per
nikharti hai baad mein so is tarah bechaara E media bad naam kar diya jaata hai
aur mein pehle bhi keh chuka ke agar films se bacha bigarne wale nuqte nikaalta hai
to pehle aap ne use samjhaya kyun nahin ke kounsi cheez inme se amal mein laani
hai koun si nahin kyunke agar walidein ne yehi bachon ke nahin sikhaya to bacha
kuch bhi dekhega aur same dohraane mein laga rahega tab to ban gaiy baat

aaj ki tareekh mein to students ke rezults bhi FB pe upload ho jaate hain aur unhein
kaha jaata hai wahin ikhatti rakh di hain jaa ke dekh lijiyega apna rezult

aakhir mein kehna chahunga

its not badness in what you use the badness is in how you use

 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Asalam-o-alaikum Wrwb!
Well I dont know k itne choti se topic ko itna lengthy kio bana ja raha hain, baat electronic media se play ground game tuk kaise aa phaunche hain yaha pe baat ager serf kids+electronic media ki hurahe hain so we should intend to talk about these subjects guys... yaha waha k baat add kerna and topic and replies ko zyada bana ne se I dont think so sahi ghalat and ghalat sahi mei badal jaate hain so yeh kaam chahe humare group ki member kerte hain ya pir oposition groups k members... baat choti ho but logical ho tu kuch sahi hain awie kuch bhi kahne ka kia maksad...

and now comming to the topic and replying to my sister Asma:
aap ne kaha k kabhi kabhi kids pc mei video games bhi khelte hai
zahni taur per yeh ek moral support kerti hain but I'm not agree jaha tuk mai ne suna hain and mere khud ki knowledge hain, kids zyada se zyada voh kaam jaldi seekh jaate hain jes pe voh aapna mind and hath donu use kare, means koi creativity kare jaise k schools mei arts zyadater kids k subjects mei shamil hote hain and khaas ker Marshal arts jho khud he mei ek physical strength and power generating game hain so such games are more reliable and worth playing than video games, because ager ek baar aap ne bache ko tv mei cartoon and PC mei video games and playstation pe games khelne de then yeh loug addicted hujayenge and padhaye ko bye bye kahenge uske baad serf yeh cheese honge and kids so unke future and ek ache mustaqbel k lie hume unhe aise cheeze frahem kerne chahye jes se voh kuch seekh sake future mei kuch ban sake baki computer se shinasi tu InshAllah teen age mei zaroor hugi jub enke perfect time hugi... so thats All we can say and we have to make them do..
ab kia batayen main bhi is baat ka qaayel nahi hun laikin ek hi baat ko baar baar jo dohrana par raha hai.to zahir si baat hai topic se hat kar baat shru hojayegi.isliye meri aap debate administration se request hai k ksi bhi topic keliye sirf 3 din hi den.taake baat topic par aur logical ho sake.:)
 
Status
Not open for further replies.
Top