Ajnabi Rehna Par Kissi Ka Intezar Mat Karna,

  • Work-from-home

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Binaa Juurm-o-Khataa khood ko Koi aisi sazaa dena.
Bohut mushkil hay meri jan tumhe yaksar bhula dena.

Mere Mawlaa agar tu ne Doobaara Zindagai bakhshi.
Bass Itni guzaarish hay mujhey Pathar banaa dena.

Main zehni tawar par khood kho zara tayaar karlongi.
Bicharr jane se kuch Pehle hamdam mujhe bata dena.

Tumhaari ye Sharaarat aaj tak hay Naqsh darrkan pe.
Dabbey Pawoon chaley aana Mera Jhoomka Hila dena.

Phir Iss ke baad jiss key Paas Bhi jaawo Ijaazat hay.
Mujhey Aik Baar Apney Naam ki Mehendi Lagaa dena.

Faqat Itnaa kaha tha Naa? mujhe kuch roshni dedo.
Tumhey kiss ne yeh Bolaa tha meri basti Jalaa dena.

Jisey Baarish ke Paani Main Bahaa kar muskurate the.
Mujhe Kaghaz ki wo Kishti Zaraa phir sey Banaa dena.

Umar bhar Phir tumhara Rasta Takhney se behtar hay.
Ke tum Jane se Kuch Pehle Meri Ankhein Bujhaa dena.

Tumhe Iss baar Chitti main Faqat Yeh baat likhni hay.
Ke Saawan Lowt Aaya hay... Mujhe joolah julaa dena.



_________________
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Ishq to ab khel hua berozgar nojwaani ka,
Lagi naukri na to chalo dil hi sahi..
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Qissa-e-gham mein tera naam likha hai
Ashk k katro se ye kalam likha hai

Uff humain chednay ki yeh ada to dekhiye
Ghair k khat main hamain salaam likha hai

Ek nigah is taraf k tishnagii bhujji nahi
Phir qabool sab aap nay jo anjam likha hai

Koi padh na le meray gham ke afsanay ko
Aap ki ankhoon main sab tamaam likha hai

Kiya karein taar'ruf apna tum se dosto
Humnay to Takhallus apna ‘nakaam’ likha hai
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Muntazir huN tera khat teri khabar aaye,
Rasta bhi keh raha ke kab tu ghar aaye.

Manaa ke teri baat ghalat nahi hai magar,
Ye bhi sach hai ke sab gunah mere sar aaye.

Mile sukuN agar mujhe use bhulaane me,
Khayal jab bhi aaya k ashk bhar aaye.

Tujhse bhi kya umeed rakhuN aE WASIM,
Pani nahi gira Bahut abr aaye.
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Qarya-e-jaan mein koi phool khilaaney Aaye
Woh meray dil pay naya zakhm lagaaney Aaye

Mere weeran dareechon mein bhi khushboo jaagey
Woh merey ghar k darr-o-baam sajaaney Aaye

Us say ek baar to roothun main uski manind
Aur meri tarha se wo mujh ko manaaney Aaye

Isi koochay mein kayee uskay aashna bhi to hain
Woh kisi aur se milnay ke bahaaney Aaye

Ab na poochoonga main khoye huay khwabon ka pata
Woh agar ayee to kuch bhi na bataaney Aaye

Zabt ki sheher panaahon ki--meray maalik! khair
Gham ka sailaab agar mujh ko bahaaney aayee
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Naama-e-barr apna hawaon ko banane wale
Ab na aayenge palat kar kabhi jane wale

Kya milega tujhe bikhre Huey khawabon ke siwa
Rait pe chaand ki tasweer banane wale

Sab ne pehna hai badey shoq se kaghaz ka libaas
Jis qadar log they barish mein nahane wale

Marr gaye hum to ye kutbey pe likha jayega
So gaye aap zamane ko jagane wale

Dar-o-deewar pe hasrat si barasti hai
Jaane kis Des gaye pyar nibhane wale
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Niyyat hi Agar Theek Zamane ki Nahi Hai
Jaldi to Mujhe Bhi Kahin Jaanay Ki Nahi Hai

Jin Khwabon Ki Taabir Per israr Hai Tum ko
Un Khwabon Ki Tabeer Batane Ki Nahi Hai

Jis Baat Ko Phirte Ho Chupaye Howay Dil Main
Wo Baat Kisi Se Bhi Chupane Ki Nahi Hai

Is Bheer Main Saaye Se Bicharta Howa Saaya
Kahta Hai Yahan Saath Nibhane Ki Nahi Hai

Jaltay Howay Shahron Main izafa Hi to Hoga
Jab Rasm Koi Aag Bujhane Ki Nahi Hai

Chehron Say Parho Jabr-e-Mah-o- Saal Ki Tareekh
Ye DaastaN Duniya Ko Sunanay Ki Nahi Hai

Sab Log Khazanay Ki Taraf Dore Rahay Hain
Chabhi to Kisi k Pass Khazanay Ki Nahi Hai

Jo tere Liye WaQt Se Lartay Hain Abhi tak
Un ko to Khabar Hi Tere Aanay Ki Nahi Hai

Dukh ye Hai tu Sach Sunne Ka Aadi Nahi Warna
Ye Umr Tujhe Khwab Dikhanay Ki Nahi Hai
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
dil se dhadkan khoon se azm-e-safar le jaayegaa
vaqt ik din chiin kar saare hunar le jaayegaa

Haan duaa mangi thi lekin ye to sochaa bhii na tha
mausam-e-barasaat sab diivaar-o-dar le jaayegaa

aaj is Titli ko in phoolo pe udne diijiye
kal koi jhonka havaa ka is ke par le jaayegaa

Tu kisii andhe kuey mein jaaye to ye jaan le
saath saath apne ye meri bhp nazar le jaayegaa

duusaro k ghar mein patthar phekne vaale ye soch
Tu bachaa kar kis tarah Sheeshey ka ghar le jaayegaa

Sheher ki sadki pe mere saath mat niklo abhi
jo bhi dekhegaa Uda kar ye Khabar le jaayegaa

sar-bulandii jis kaa manasab hai vo jhuk sakata nahi
dast-e-qaatil us kaa Khud neze pe sar le jaayegaa
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Mushkil hua hai rehna humain is deyaar mein,
Barson yahan rahe hain, yeh apna nahin hua..
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Jo tum ikhlaas chaho to,
Farishton se nibah kar lo,
Main aadam ki nishani hon,
Mujhe insaan rehne do,

Tumhari keh-kashaaon mein,
Meri koi jagah kab thi,
Main ek ujrra jazeera hoon,
Mujhe veeran rehne do,

Jo hota hai wohi karna,
Na badlo rasm dunia ki,
Wo tum thy ya koi apna,
Mujhe hairaan rehne do,

Mera dil yoon shikasta hai,
Koi ujrra sa mandir ho,
Mujhe wehshat hai ronaq se,
Mujhe sunsan rehne do,

Khuda ke kaar-khaany mein,
Bura kuch bhi nahi hota,
Khudara hosh me aao,
Koi imkaan rehne do..
 
  • Like
Reactions: whiteros

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
hum apne aap ki pehchan le ke aye hain
naye sukhan naye imkan le ke aye hain

hawa ne waar kiya to jawab payegi
ke hum charag bhi toofan le ke aye hein

charag qurb se kar dijye inhen roshan
bujhe bujhe se kuch imkan le ke aye hain

jawab de na sakega hamari baton ka
ke aap Aaina Hairan le ke aye hain

in Ansuo ka koi qadardan mil jaye
ke hum bhi Meer ka diwan le ke aye hain

hamare paas faqat dhoop hai khayalon ki
jhulaste khwabon ki dukan le ke aye hain

Inhi pe sare masaib ka bojh rakha hai
jo tere shahar mein iman le ke aye hain
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
moti nahi hu rait ka zarra to main bhi hu
dariya tere wajood ka hissa to main bhi hu

ae qehqahe bakherne waale tu khush bhi hai?
hansne ki baat Chhod k hansta to main bhi hu

Mujhme aur us mein sirf muqaddar ka farq hai
werna wo shakhas jitna hai,utna to main bhi hu

us ki to soch duniya main jis ka koi nahi
tu kis liye udaas hai tera to main bhi hu

aik aik ker ke doobte taare sujha gaye
mujh ko bhi doobna hai,sitara to main bhi hu

ik aaine mein dekh ke aaya hai ye khiyal
main kyu na is se keh du k tujjsa to main bhi hu
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Kal raat tanhaa chand ko dekha tha mene khawb mein,
Mohsin, mujhe raas aaye gi shayed sada’aa awaargi…
 
Top