Ajnabi Rehna Par Kissi Ka Intezar Mat Karna,

  • Work-from-home

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Mein yeh da’awey se kehta hoon kabhi nakaam na ho ge,
Kabhi mohabbat ko pehchaan lo jo kabhi badnaam na hoge..
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
بَھری دُنِیا میں جی نہیں لَگتا ...
جانے کِس چِیز کی کَمی ھے ابھی
 

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163

Itni Shiddat Se Na Kar Tark-E-Talluq Ke Sawaal
Ye Na Ho Ke Humsay Teri Baat Na Taali Jaaye..
Jo meray zabbt ka sheeraaza muntashir kar day mohsin
teray sitam ko abhi woh adaa nahin aati......................!
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Kaash Us Se Mera Furqat Ka Hi Rishta Niklay
Raasta Koi Kisi Tarha Wahan Ja Niklay

Lutf Lautayengay Ab Sookhtay Honton Ka Usay
Ek Muddat Se Tamannaa Thi Wo Pyasa Niklay

Phool Sa Tha Jo Tera Saath Teray Saath Gaya
Ab To Jab Niklay Kabhi Shaam Ko Tanha Niklay

Hum Faqeerana Mijaazon Ki Na Poocho
Hamnay Sehraa Main Pukara Hai To Dariya Niklay

Pehlay Ek Ghaav Tha Ab Sara Badan Chalni Hai
Ye Shifa Bakhshi Ye Tum Kaisay Maseeha Niklay

Mat Kuredo Na Kuredo Meri Yaadon Ke Alaav
Kya Khabar Phir Wo Sulagta Hua Lamha Niklay

Hamnay Roka To Bahut Phir Bhi Yun Niklay Aansoo
Jaisay Patthar Ka Jigar Cheer Kar Jharna Niklay...!!!
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
ہر پل دھیان میں بسنے والے، لوگ فسانے ہوجاتے ہیں
آنکھیں بوڑھی ہوجاتی ہیں،خواب پرانے ہوجاتے ہیں
ساری بات تعلق والی،جذبوں کی سچائی تک ہے
میل دلوں میں آجائے تو ،گھر ویرانے ہوجاتے ہیں
منظر منظر کھل اٹھتی ہے ،پیراہن کی قوسِ قزاح...
موسم تیرے ہنس پڑنے سے اور سہانے ہوجاتے ہیں
جھونپڑیوں میں ہر اک تلخی پیدا ہوتے مل جاتی ہے
اس لیئے تو وقت سے پہلے طفل سیانے ہوجاتے ہیں
موسمِ عشق کی آہٹ سے ہی ہر اک چیز بدل جاتی ہے
راتیں پاگل کردیتی ہیں،دن دیوانے ہوجاتے ہیں
دنیا کے اس شور نے امجد کیا کیا ہم سے چھین لیا ہے
خود سے بات کیئے بھی اب تو کئی زمانے ہوجاتے ہیں
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Gham-E-Dauran Ko Sada Mujh Se Shikayat Hi Rahi
Meray Alfaaz Mai Dhalti Teri Soorat Hi Rahi

Zehan Kehta Tha Teri Shakal Bhula Kar Rakh Do'n
Par Meray Dil Ko Sada Mujhsay Shikayat Hi Rahi

Dushman-E-Jan Bhi Mujhay Jaan Se Mehboob Raha
Teri Ulfat Ki Meray Dil Par Hukumat Hi Rahi

Yun To Jo Chaha Zamanay Main Mila Mujhko Phir Bhi
Dil-E-Nadaan Ko Meri Jaan Teri Zaroorat Hi Rahi�!!!
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Doob Kar Jisnay Mohabbat Main Adakari Ki
Dil-E-Saada Ne Bahut Uski Tarafdari Ki

Jaib Main La Ke Umeedo'n Ke Khanaktay Sikkay
Hamnay Mohabbat Ke Jazeero'n Main Khareedari Ki

Matami Rang Ka Malboos Pehen Ke Dil Ne
Raat Ujaray Hue Khwabo'n Ki Azadari Ki

Theek Hai Dil Ko Lagaya Tha Kabhi Bhoolay Se
Iski Qeemat Bhi Ada Hamnay Bahut Bhari Ki

Dil Ke Sehra Main Ugaaye Hain Mohabat Ke Gulaab
Mausam-E-Ishq Main Hamnay Bhi Shajar Kari Ki...!!!
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Dil K Ufaq Main Gum'Shuda Sitara Mil Jaye,
Shab-e-Gham Main KOi Jeeny Ka Sahara Mil Jaye,

Wo Jo Aik Shakhs Bohat Kam Hai Muyaser Humko,
ArzU Hai K Kisi Roz Wo Sara Mil Jaye,

Ain Mumkin Hai K Tabeer Bhi Aik Jesi Ho,
Tre Khabon Sy Agr Khaab Hmara Mil Jaye,

Usy Kehna Wo Mulaqat Adhoori Thi Hmari,
Usy Kehna K Kabi Aa K Dobara Mil Jaye..!!
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Har Kaam Bigarta Hai Hum Jaiso Ka Ho Ho Ke
Un Ko Bhi Koi Poochay Bethay Hain Jo Ro Ro Ke

Hum Jagnay Walon Ko Zindon Main Samjhtay Hain
Hum Jaagnay Walon Ko Zindon Main Samajhtay Hain

Mar Jatay Hain Kitnay Hi Meri Tarha So So Ke
Daaman To Hai Daaman Phir, Phailana Hi Parta Hai

Ye Saaf Nahi Rehta Dekha Isay Dho Dho Ke
Jis Cheez Se Qurbat Ho Ajati Hai Doori Bhi
Ik Shakhs Ko Paaya Hai Ik Shakhs Ko Kho Kho Ke

Aey Saad Chalo Choro Kuch Dair Ko Susta Lo
Ye Bojh Hai Sochon Ka Mar Jaogay Dhho Dhho Ke...!!!
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Urr Jayengay Tasveer Ke Rangon Ki Tarha Hain
Hum Waqt Ki Tehni Pe Parindon Ki Tarha Hain

Tum Saahil Pe Kharay Hue Phoolon Ki Tarha Ho
Hum Rait Pe Likkhay Hue Harfon Ki Tarha Hain

Tum Aaj Bhi Aainda Zamanon Ki Jhalak Ho
Hum Aaj Bhi Guzray Hue Lamhon Ki Tarha Hain

Tanhayi Ke Yakh Lamhon Main Ayengay Teray Kaam
Ashaar Meray Sardi Main Shaalon Ki Tarha Hain

Ek Umr Tarastay Hain Kisi Ek Khushi Ko
Hum Log Bhi Banjar Si Zameenon Ki Tarha Hain

Duniya Ke Liye Kuch Bhi Sahi Teray Liye Hum
Muhkhlis Kisi Maa Ki Duaon Ki Tarha Hain

Tareekh Ki Nazron Main Hum Ek Umr Se
School Se Bhagay Hue Bacchon Ki Tarha Hain..
 
Top