TM Debate Contest 2011/12 Round-1

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
sabse pehle mera naam aasma nahi asma hy tayab...:)
hmmm bilkul baat itefaq ki hy tayab,,aajkal ki masrrofiat ko mad e nazar rakhet hue net basaholat dastiyab hy ..js per najne kitni sites aviaable hian..practicalyy agr dekha jaye to eska use bht kamiyab raha hy wrna jadeed saholat aaj hamre gharon me na hoti..beroni mulk se ba asani hm related hain ..duniya bha ki educations unke cultures aur unke bare me news ba asani mil jati hain hamen net per...

zara socho net se tafreeh k sath sath important knowledge b to milta hy..bache apni study aagey aur mnazeed seekh ker apni class me as a good student perform kerskte hain..good performancesss are very hard to acieve but just ail click se wo masla hal b hota hy ...suppose agr kisi subeject me koi dufficulty aarhi ho to use net k through aapke samne aane me dair nahi lagti...tutorss ki bajey net se agr help len to es me kya bura hy
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Assalam o Aliakum hazirainy Majlss

App sub nay apnay apny views paiskiya aur sub nay apny apnay hissab ju be likha acah likha hay hay

now come to sis sabah point, inhon nay kaha k aj kal 10-15 yrs k bachay mobile, internet, TV aur wagaira wagiara use ker rahay hay

tu is ma sub say bara kasoor un parents k hay ju khud apnay bacho ku yah cheezay buy ker k detay hay, ager parents chahy tu bacho ku esily payar say smajha saktay hay k abhi app ki omer nahi n sub cheezo ku use kernay ki, jub hum smjhay gay k app is qabil ho gaye hay tu hum khud app ku dil day gay is liye zidd nahi kertay

aur aik aur baat ju meri qabaly mohtaram sister nay kahi k larkiya 15-20 age ki TV per modeling shows dhaikti hay tu aur phir un ma modeling k shouk paida hota hay aur wo gher say hijab pehna ker jati hay aur studio ja ker sub kuch utar deti hay, tu meri behan pehli baat tu yeh k aisy larkiyon ku pehlay tu studio walay accept he nahi kertay jin ki koe jaan pehchaan na hoo aur dossri baat larkiyon ku bhigarany ma be un k parents k he kasoor hay jis ma un ki maa k role sub say xiada hota hay q k ager Maa chahay tu aisy progrma dhiaknay say rok sakti hay aur un ku un channel per terjeeh day gi jo un ki islah k liye banaye gaye gaye hay

aur phir electronic media itna tarqi ker chuka hay k app easily in channels ku khud gher per bhaith ker lock ker sakti hay aur wohi channel use ker sakti hay jis say un k bacho ku fayeda hoo, becz in this time everything is possible, app chahay usay galt use karay yeah phir achy ma

yeh tu thi chand islaah k liye advices

now lets come to our main point k kiya ajj k media bacho per bura asra daal raha hay yeah fayeday mund hay

tu janb her cheez k do rukh hotay hay , jaha kisi cheez k fayeda ho to waha nuqsaan be hota hay but nuqsaan us surat ma hota hay ager app us ku galt kamo k liye use karay

ager app apnay bacho mobile, internet, yeah koe aisy cheez lay ker detay hay jis k taluk social life say hoo aur app usay apnay fayeday k liye is tarh use ker saktay hay jaisy mobile per app app apnay bacho k liye number fix kerwa day ta ka wo apnay gher walo k elawaa kisi say baat na ker sakay bu can receive from every one , aur internet per be app security provide ker saktay hay jin say koe aisy site open hony ka daarr ju app k bacho k liye achi na hoo aur yeah sub kuch bohat easy hojata hay aur is k sub say bara fayeda yeah hoga k app k bacha maloomat k sath sath zamany walao k sath be chalany k qabil ho jata hay
Hmmmmm I agree with you, yaha pe baat parents k neglection ki bhi hain per Parents apnay bacho ko advice desakte hain per voh unhe majbor tu nai kersakte... aap internet and TV k facility apnay bache ko do and pir kahna k beta mis use mut kerna and pura ek lecture bhi diye...yeh sub kahna asan hain bache esay kitna serious lete hain yeh baat tub koi rukh legi...
yeh tu vohi baat hue na k kids k hath remote control bomb thama do and usay pir kaho k beta eske buttons press na kerna es se bomb explude hujayega :p sorry its funny but aap usay aise chees use kerne kio de k us se itne nuksaan ho and khud aapko bhi sakoon na ho k pata nahin us se kaise use karenge, yaha pe tu parents ager 24 hrs bacho pe nazar rakhenge tu kia unhe yeh feel nai hoga k unke parents un pe nazar rak rahe hain and jaise k voh koi qaid khane mei rah rahe ho aisa bhi nai hota hum kids pe na tu itna burdan daal sakte hain na he unhe itna freedom de sakte hain so the scale should be balanced from both right and left side... aap electronic system use kerne k huk mei ho per saath mei parents ko bacho k samjhane ka bhi kah rahe ho and un pe nazar rakne ka bhi, so first step yahi so tu shoro huti hain k aap unhe aise cheese farahem kero jes se unhe koi nuksan na ho jes se voh padhaye k bejae bekaar kamo mei involved na ho... yeh baate mei koi khudse na kah rahe balke humare gher mei same mere chote bhai k situation ko define ker rahe hu... before he was so intelligent and genius too ab bhi hain per ab school mei unke buhut kharab marks athe hain TV pahlay dekhta tha per ab unhe laptop mela hain with internet so all the time voh online games mei busy ya pir koi cartoon or youtube mei funny videos dekhta rahta hain and he is just 12 yrs old, MashaAllah zaheen hain and he knows much about how to use net lekin sub vaise kaam hain jho baad mei unka koi help nahin hoga jub k mai apnay father se baar baar kah chuke k school mei enke laptop and net use kerna band kare exams mei padhaye nai karega mere father baar baar unhe pyar se samjhate hain ya kabhi gussa bhi kerte but unhe serf us time yaad rahta hain baad mei bhol jata hain and mujhay afsoos hota hain k kio yeh en cheeso mei involved hain, unhe dekh ker mera chota bhai bhi en sub ka khwahish kerne laga hain and he comes to me and asks me sis can I use your computer for a while just wanna play some games!!
OMG i just hate it jub voh yeh sub kahne lagta hain but choote bhai ko mai yeh sub facility nai deti so MashaAllah voh ab padhaye and Quran k reciting mei masroof hota hain and today he started praying Salah just because he is not involved with that and yeh sub mere bade bhai nai kerta so khud soche ab....ab pirse na kahye k yeh parents ka ghaflat hain haa yahi mistake hue k unhe chote age mei bhai ko itne facility de hain watching TV and using net and mere father k intentions bhi yahi tha k chote age mei voh computer seekhe and electronic media ko ache se samajh sake and sharp ho, he is sharp but studies ko jho ignore kerta hain here its a negetive point...
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Assalam-o-Alikum

Mujhay Jis Topic pe apnay Khyalaat K Izhar ka moqa mila hay woh hay " Kia ElectrOnic Media Humray Bachon Ki taleem-o-tarbiat pe bura aser dalta hay yah nahi..?

Tu Janab mEra Jawab hay Bilkul bOhat bura aser dalta hay..! Laken humari mukhalif team k dost is baat se mutfiq nahi..! Jaisay k mEray aak muazaz Bhae nay kaha k aaj kal 25% Larkay SchOol sirf Teachers se affair k chakr main Jatay hain..! tu maafi Chahti hon mujhay yah baat aak lateefy se zyda nahi Lagi, aray Janab zara Zehan pe zor day k sochiye, K ab Computer yah TV k samnay Beith k Koi Doctor, Engineer, Pilot, Banker yah Business Man tu banany se raha, Kyun K Computer yah TV Information tu detay hain Laken Degree nahi..! Electronic Media k buray asraat humari pori society ko apni Lapait main liye huye hain, Jis se zyda mutasir Nojawan Nasl aur Bachay hain..! Is nay Jahan Bachon se un ka masOom Bachpan dor kia hay tu wahan unhain zahaini aur Jismani tor pe bhi maflooj ker dia hay, aur haal yah hay k aaj k bachay "Kunwain Ka maindak" Ban k reh gaye hain, Jin ki pori duniya us kamray tak mehdod hay Jis main un ka computer yah TV rakha hay. Bachon ki Outdoor Activties na honay k baraber hain, unhain social values se awareness nahi ho Pati, aak hi area main rehtay huye Jab wOh apny hi humsaye k bachon se miltay hain tu un k dermain bohat ajnabiat se hote hay. Jab Bachay Computer yah TV pe Movies, CartOons yah aise programs dekhtay hain Jin ka haqeeqat se koi link nahi hota tu un k liye haqeeqat main hOnay walay waqiyat aur Changes ko accept kerna mushkil ho Jata hay. un ka mind issi baat pe main uljh Jata hay k such kia hay aur JhOot kia.

Media bachon ko un ki age se pahlay mature ker deta hay..! Jis k society pe negtive asraat ho rahay hain. Bohat afsos hota hay k yah hain humaray Mustqil k maimaar Jinhain Finger tips pe movies k name, actors k name aur Gaanay tu yaad hotay hain Laken unhain baray ho ker mulk k liye kia kerna hay yah swal unhain hyrat aur preshani main daal deta hay. Yah hain Iqbal k Shaheen o par Bachay Jin ki uraan sirf TV yah Computer screen tak mahdod hay.

Ager Mukhalif team k dost yah kehtay hain k Electronic media ReligiOus values ko promote ker raha hay, Logo ko Deen se agahi day raha hay tu bataiye kitnay aisay bachay hain Jinhain Islam se agahi hote hay? Jin ko yah pata ho k un k asal Heros Kaun se hain..? laken afsos der afsos un k hero tu woh movies yah daramay main dekhiye janay walay Jhotay Kirdar hotay hain..! Jin se woh itna inspire hotya hain k apna hair style, dressing, even life style bhi un k Jaisa banany ki koshish kertay hain..! aur apni Cultural n religiOus values ko bhool Jatay hain..! Maghirb aur Ghair Musalimo ka Culture Media k through humray gharon main araha hay..! un Ki tahzeeb humari tahzeeb banti Ja rahe hay aur Is main media ka Major role hay..! Tu kia aap samjhtay hain k Humray Bachay Kal ka mustaqbil Jin shakhon pe ashianay bana rahay hain woh paydar bhi hain yah nahi..! Iqbal ka shair Jo unhon nay aise hi moqa k liye likha ho ga share kerna Chahon ge..!

Tumhari Tahzeeb apnay Khanjer se aap hi Khudkushi Keray gi
Jo shaakh-e-Nazuk pay Banay ga Aashiana, Na Paidar ho ga

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
hmmm saba sis ne kafi acha jawab diya hy with example:)
aatey hain phr apni raye per...
agr aap esko khud se zimedar theraogye to zahir hy ye ghalat sabit hoga...magr eske oppsote aap jhankogey to dosra rukh milega ..wese to aise hazaron batein hain js ka asar bura aur acha hota hy
magr her baat ka zimedar sirf media nahi hota....
agr kcuh bachon ne ese negetively liya hy to possitively b liya hy jesa k mere apne bhai ne net k throgh bht kuch seekha hy ...js me adopephotoshop aur msword k courses aatey hain ....
ye dour english dour b kelata hy aajkal bht se courses me english ka istemal hota hy ..bachen chaehn ghar bethe english seekh skte hain....
parents ki rok tok se hi ye sirf bat nahi banti kayi baar bache khud es me intersted rehte hain....
her wqt study ka pressure sirf bachon per laad dena b theek nahi hota es se hatker b unke liye kuch entertainments and activities hoti hain jo net se mil pati hain....
tv per bht se channal aise hain jahan per bachon ka khas programme aatye hain jesa k poggo aisa channal hy jahan bachon k liye different different cheezen banaker unklie entertainment ka bandobast kiya gya hya..js se bachon ki zahanat me izafa hota hy aaur parents b bachon ki aisi zahanat se khush hote hain:)
 
SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Assalamo Alaikum

Aaaj mujhe jis eham mozo pe lab kushae ka mooqa mila hai woh hai Electronic Media ke bachon ki taleem o terbaeat pe nuqsan deh asraat .... Me apni baat ka aaghaz me Electronic Media pe roshneee dalnaa chahoun ga keh electroni media hai kya?

Electroni media aik aisa information system jo sari dunya me phela howa hai jo khabar rasaani ka aik aisa zareeya hai jis ne logon ko aik doosre ke qareeb ker dea hai, dunya ki her qaum ki saqafat, rehan sehan aur zindagi ke aslooob ko hum bakhoobi jaan sakte hain her kisim ki maloomat aur tafreeh hasil ker sakte hain lakin sawal yeah peda hota hai keh kya hum in aloom se is saqafat ki shanasae se kuch seekh rahe hain ya faqat khud ko dhoooka de rahe hain..... kya hamari aane wali nasala yani hamare bachee is electronic media se kitne barey aalim ban rahe hain..... to jab hum yeah sawal khud se poochte hain to jawab bohat afsoosnaak hai..... Nahi balkeh hum sub kuch janne ke chaker me khud ko bhoooltey jaa rahe hain...

hamari Qaum ke meymar hamare aaj ke masooom bache is Electronic Media TV computer Internet ka sub se bara shikaar hain kyon ke un ke kache zehan bohat jald her baat ko maan lete hain.... Aaj ka bacha ki zindagi ka sub se eham maqsad hai aik Imaginary Hero banna jo sub kuch ker sakta hai.... hawa me urr sakta hai ... buron ko maar sakta hai... us ki shaksiat banne ke eham dinoo me woh khaboon khaylooon ki dunya me khoya howa hai aur is ka zimedaaaar koun hai....? Kya yeah Cartoon aur Movies dekhne se bachoun ki theek terbeat ho rahi hai.... kya Pogo aur Cartoon Network ko tafreeh kehne wale hum log apne he bachon ko haqeeqat ki dunya se door rakhe howe hain.... kya hum aaj ke bache ko aisi tafreeh fraham ker ke aane wale kal me us ko kamyaab insaan ki khawish ker sakte hain....??? bilkul nahi to fir akhir kyon hum sub kuch dekhte hoye bhi undeekha kea hoye hain? Sirf is lea keh hamare pass apne he bachon ke lea time nahi un ke sath baat kerne ko un ko tafreeh fraham kerne ko unhe sabaq aamooz kahaniyan sunnane ko unhe apne he rasmooo riwaj sikhane ko hamare pass time nahi hai...

Hum ne apne bachon ko us Media ke hawale ker dea jo inhe apni saqafat apni pehchan se door bohat dooor le jaa raha hai ... Aaj hamare muslim gharon me quran pak perhne ki sadaa buland ho naaaaa hooo per her ghar me tv se uthteee hoi bhajan aur pooja ki ooounchi aawazz zaroor sunae deti hai.... aur hamare bachon ki zubaan pe koi Kalmaaaa ya Aayat ke wird ke bajae Filmi gaane sunne ko miltey hain... is ki wajah sirf aur sirf yeah hai keh ek Bache ki misaal saaf shifaaf pani ki hai aap usey jis qism ke bertan me daaloooo woh aap ko waisaa he dikheee ga.... To jab hamare gharon me Hinduism culture ko dekhaaa jaye ga un ke rehan sehan ko pasand kea jaye ga to hamare bache bhi to yeah he seekhen ge keh jo hamare parents ko itna pasand hai woh he sub se acha hai.... per haqeeqat to yeah hai keh hum tafreeh ke naam pe Electronic media ke hathon tubaho berbaad ho rahe hain.....

hum apne bachon ko computer le ke dete hain taleeem ke naam pe keh hamara bacha zamane ke sath chalnaaa seekh sakheeey lakin kitne Parents hain jo palat ke dekhte hain keh humara bacha kitna faida uthaaa raha hai aur yeah to nahi keh woh zamane ke un logon ke sath chal rahe hai jo pastioun me girey hoye hain. shayd bohat he kum hon ge aise waldain ... Internet pe Chatting, video games aur Ikhlaaq se giri hoyee web sites betahaaasha milen gi aap ko aur kachi aur naa baligh umer aisi umer hai jis khudser ghoree se mushabah kea gaya hai keh ager aik baar ghoora bidak jaye to us ko sanbhalna naaa mumkin ho jata hai to hum kis tarah is umer me apne bachon ko us media ke hawale ker dete hain jo in ki ragon me zehar bhar de in ke dimagon ko aashiq mizaj bana ke naaa kaara ker de... Hum sub jaante hain keh Neeki aur achaee kaa raaaste pe chalnaaa bohat mushkil ha ba nisbaat buraee ki janib marghoob hone ke to kis tarah hum apne bachon se yeah umeed ker sakte hain keh woh keechar me reh ke apne kaproon pe dagh naa lagne den.... hum aub sochnaa ho ga hamare bachon ki taleemo terbeat ki zimedari hum pe farz hai aur hum un ko Aazaadi ke naam pe tubah ker ke apne aane wale kal ko tareek kerte jaa rahe hain....

Electronic Media ke wajood ki wajah se hamari aane wali nasloon ki pehchan khatam hoti jaa rahi hai, hume is baat ko tasleem kerna ho ga keh Electronic Media Elm ka samunder nahi aur naaa he hamare bachon ki taleemo terbeat ka zariya balkeh Electronic Media aik Khoobsurat Saanp hai jise hume jaaan naaa hooga…. Aur apne bachon ko is se bachan hogaa

Aur akhir me Allam Iqbal ka mashoor shair arz kerna chahoun ga

KHUDA ne aaj tak is qoam ki halat nahi badli
na ho jis ko khayal aap apni halat k badalne ka
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK

Wa'alaikum assalam Shoaib bhai aapka post dekh kar khushi huwi:)

ji bilkul electronic media ko humare bachon ke kache zehen jaldi maan lete hain
to same baat mene ki hai ke bachon ko electronic media se jore rakhna chahiye
per uske saath sath eik guide karne wala bhi jo har jageh aur har jiski har kaam
mein har bache ko need hoti hai kyunke achhe bure ki pehchaan usme nahin
hoti aur na hi nanha sa uska dimagh har baat samajh paata hai tabhi
electronic media se door nahin bhaagna humein electronic sahi dhang se bachon
tak pohnchaana hai ji agar hum bachon ko pogo aur cartoon network ke saath
saath khud se achi tarbiyat dein aur cartoon network tafreeh ki shey hai bachon
ke zehen ko aisa banaen ke woh use tagreeh tak hi rakhein to woh tasawuraat
mein nahin khowengein aur agar hum aisi cheezon se tarbiyat per biru asar
parne ka gila karein to bohot se aisi storiez books hain jinhein parh ke loug
aise bhatke hain ke apne ghar walon ka qatl kar beithe hain ab kya us kitab ka
qasoor hai.???

electronic media ke naam se sirf wohi kyun mention kiya jaa raha hai jo humare culture
se milta julta nahin??? youn to humein apne politicians ko bhi dekhna hi nahi nchahiye
unke bhi suits unka bhi pehnawa baaton ka andaaz humare culture se alag hai aur naa
hi oxford ki kitaabein parhni chahiyen woh bhi to humare liye nahin hum URDU books parhengein
aur Arabic laayengein PAKISTAN mein taake PAKISTAN achha bane agar INDIAN rasoomaat
ko sirf T.V pe dekhne se hum itne gumraah ho jayengein to un hone wale qurbaanion ka kya.???
jo us waqt PAKISTAN banane ke liye kate jab woh un rasoomaat ke andar hi reh rahe the
aur kabhi kisi ko us waqt bhi unke rasoomaat ko dekhne se koi shikwa na tha.?? so aaj agar
30 mins ke episode se aap 10-18 saal ke darmyan ke bache ko eik achhi naseehat dein
aur unke pooja paat na seekhne ki hidayat iske saath saath woh episode se entertain bhi
ho jaayega to kya bura hone wala hai.???

bhai jan bilkul yeh nuqta aapka sahi hai gharon se gaanon ki sadayen buland hotin hain
ispe aapko shikwa jab ke Qur'an e pak ki ayaat ka hona chahiye bilkul sahi ab yahan ghalti
parents ki hai ke bache ko nahin samjhaya ke kab kya aur kaise karte hain

to hum yahan yeh bhi kahein ke yehi hathiyar zimmewaar hain ke 14 saala larka qatal kar aaya
naa ke koi deeni kaam ji nahin agar woh yeh qatal 9mm se na karta to kisi aur shey se kar leta
agar use karna hi hota agar electronic media na bhi ho to bhatakne ke raste aur bhi bohot saare
hain per electronic media se fawaiyd bohot se milte hain jaise ke mein bhi 16 ka tha jab
pehli dafa mera kisi site pe account bana tha aur wahan ke har odst ki har achhi baat mujhe
aaj bhi yaad hai aur insha'ALLAH sada yaad rahengeen

Eelctronic media nahin humare naslon ki pehchaan us paanch waqti musalmaan ke wajeh se khatam ho rahi
hai jo khud to paanch waqt ka namaz parh bhi leta hai parhwa bhi leta hai aur paas wali masjid mein jaane
se rouk kar kehta hai ke woh loug to mushriq hain yaa phir kaafir hain koi kehta hai Rasool ko nahin maante
koi kehta hai mazaron ko poojte hain sirf firqe ke sabab ab is tarah sacha musalmaan banengein to bigrengein hi

baat agar aaye internet ki to internet ne itni asaani to kar hi di hai ke saare Karachi ke exam results
eik hi site mein de diye aur kahin nahin daalne ki jagah mili sub se achhi jagah yehi mili aur un lougon ka kehna
hai ke humare results barbaad ho jaate aur hum inhein shaayad na dekh paate agar teachers loug inhein upload na
karwate ab agar kisi shey ke zyada istemaal se koi bigre to isme cheez ki ghalti nahin jaisa ke zyada mirchi se
bohot si bimaariyan milti hain to mirchi ki ghalti nahin khaane wale ki hai

@end mein kahoonga ke

Electronic media eik bejaan shey hai jo sirf maloomaat aur har tarah ke maloomaat se bhari hai
isse caroron lougon ko rizq milta aur kaiin ka bhala hone ke saath saath bohot hi asaan tareeqe
se bachon ko entertain karta hai jiske sabab aap kisi bhi bure mahol mein rehte huwe apne bachon
ko ghar hi mein apne saamne deikh sakte samjha sakte rouk sakte aur apni marzi se guide kar sakte hain

thats it

  • Like
Reactions: *SHB*

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Asslam o alaikum
Attention please mujhe kal aik contestan ki shikayat mili wo keh rahe the k un ko tm mein ye bari bari post ka system pasand nahi is se members ko chance bhi nahi milta aur maza bhi nahi her kisi ko allow kerna chahiye k wo apni merzi k hisab se post kare to meine aur zeeleo ne sochne k baad ye faisla kiya k hum members ko allow kerte hein k wo apni k saath posts karein koi bari se posting ki pabandi nahi, you are free for your comments. so go on contestens, wese bhi aisa koi rule hum ne banaya bhi nahi.
you mean beside team contestants , bi member comment kar sakty han right ????
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi

Wa'alaikum assalam Shoaib bhai aapka post dekh kar khushi huwi:)

ji bilkul electronic media ko humare bachon ke kache zehen jaldi maan lete hain
to same baat mene ki hai ke bachon ko electronic media se jore rakhna chahiye
per uske saath sath eik guide karne wala bhi jo har jageh aur har jiski har kaam
mein har bache ko need hoti hai kyunke achhe bure ki pehchaan usme nahin
hoti aur na hi nanha sa uska dimagh har baat samajh paata hai tabhi
electronic media se door nahin bhaagna humein electronic sahi dhang se bachon
tak pohnchaana hai ji agar hum bachon ko pogo aur cartoon network ke saath
saath khud se achi tarbiyat dein aur cartoon network tafreeh ki shey hai bachon
ke zehen ko aisa banaen ke woh use tagreeh tak hi rakhein to woh tasawuraat
mein nahin khowengein aur agar hum aisi cheezon se tarbiyat per biru asar
parne ka gila karein to bohot se aisi storiez books hain jinhein parh ke loug
aise bhatke hain ke apne ghar walon ka qatl kar beithe hain ab kya us kitab ka
qasoor hai.???

electronic media ke naam se sirf wohi kyun mention kiya jaa raha hai jo humare culture
se milta julta nahin??? youn to humein apne politicians ko bhi dekhna hi nahi nchahiye
unke bhi suits unka bhi pehnawa baaton ka andaaz humare culture se alag hai aur naa
hi oxford ki kitaabein parhni chahiyen woh bhi to humare liye nahin hum URDU books parhengein
aur Arabic laayengein PAKISTAN mein taake PAKISTAN achha bane agar INDIAN rasoomaat
ko sirf T.V pe dekhne se hum itne gumraah ho jayengein to un hone wale qurbaanion ka kya.???
jo us waqt PAKISTAN banane ke liye kate jab woh un rasoomaat ke andar hi reh rahe the
aur kabhi kisi ko us waqt bhi unke rasoomaat ko dekhne se koi shikwa na tha.?? so aaj agar
30 mins ke episode se aap 10-18 saal ke darmyan ke bache ko eik achhi naseehat dein
aur unke pooja paat na seekhne ki hidayat iske saath saath woh episode se entertain bhi
ho jaayega to kya bura hone wala hai.???

bhai jan bilkul yeh nuqta aapka sahi hai gharon se gaanon ki sadayen buland hotin hain
ispe aapko shikwa jab ke Qur'an e pak ki ayaat ka hona chahiye bilkul sahi ab yahan ghalti
parents ki hai ke bache ko nahin samjhaya ke kab kya aur kaise karte hain

to hum yahan yeh bhi kahein ke yehi hathiyar zimmewaar hain ke 14 saala larka qatal kar aaya
naa ke koi deeni kaam ji nahin agar woh yeh qatal 9mm se na karta to kisi aur shey se kar leta
agar use karna hi hota agar electronic media na bhi ho to bhatakne ke raste aur bhi bohot saare
hain per electronic media se fawaiyd bohot se milte hain jaise ke mein bhi 16 ka tha jab
pehli dafa mera kisi site pe account bana tha aur wahan ke har odst ki har achhi baat mujhe
aaj bhi yaad hai aur insha'ALLAH sada yaad rahengeen

Eelctronic media nahin humare naslon ki pehchaan us paanch waqti musalmaan ke wajeh se khatam ho rahi
hai jo khud to paanch waqt ka namaz parh bhi leta hai parhwa bhi leta hai aur paas wali masjid mein jaane
se rouk kar kehta hai ke woh loug to mushriq hain yaa phir kaafir hain koi kehta hai Rasool ko nahin maante
koi kehta hai mazaron ko poojte hain sirf firqe ke sabab ab is tarah sacha musalmaan banengein to bigrengein hi

baat agar aaye internet ki to internet ne itni asaani to kar hi di hai ke saare Karachi ke exam results
eik hi site mein de diye aur kahin nahin daalne ki jagah mili sub se achhi jagah yehi mili aur un lougon ka kehna
hai ke humare results barbaad ho jaate aur hum inhein shaayad na dekh paate agar teachers loug inhein upload na
karwate ab agar kisi shey ke zyada istemaal se koi bigre to isme cheez ki ghalti nahin jaisa ke zyada mirchi se
bohot si bimaariyan milti hain to mirchi ki ghalti nahin khaane wale ki hai

@end mein kahoonga ke

Electronic media eik bejaan shey hai jo sirf maloomaat aur har tarah ke maloomaat se bhari hai
isse caroron lougon ko rizq milta aur kaiin ka bhala hone ke saath saath bohot hi asaan tareeqe
se bachon ko entertain karta hai jiske sabab aap kisi bhi bure mahol mein rehte huwe apne bachon
ko ghar hi mein apne saamne deikh sakte samjha sakte rouk sakte aur apni marzi se guide kar sakte hain

thats it

Mere mohteram Sathi aur Dost Chiragh ke khyalat aur azam qabil e tareef hai....

aap ki sari baat is ke gird ghoomti hai keh Parents ko bachon ki terbeat kerni chahiye un ko Electronic Media ke burey asraat se bacha ke rakhna chahiye... aur Sirf electronic media ke ache pehloo dekhne ke lea aamada kerna chahiye aur aap kehte ho keh hamare bachon ko her saqafat ka knowledge hona zaroori hai woh kuch seekhna chahiye jo hamari saqafat me nahi hai.... aur aap kehte ho Electronic media ne nahi hamari pehchan ko nuqsan howa hai hamare paanch waqti muslimaan ki wajah se...

Mujhe aap ki baat se ikhtilaaf hai...

pehli baat aap kehte ho hum apne bachon ko guide kerna chahiye to kitne parents hon ge jo apne bachon pe 24 ghante nigraani rakh sakte hai yeah Electronic Media TV aur Internet se hum ne her burae apne ghar me laa khari ki hai aur yeah bilkul aisa hai jaise aik doodh ka bowl laa ke billi ke saamne rakh dea jaye aur usey kaha jaye isey mut peena... aur us pe nigrani bhi rakh di jaye.... to aap kya samjhte ho aap ke kehne se usey nafrat ho jae gi us se.... bilkul nahi balke aap ka bacha us tuk pohanchne ke raaste dhoonde ga... Jis se us ki shaksiat per burey asraat parey ge... Beshak burae se rookna chahiye bilkul rookna chahiye per Burae ke aaala kaar se apne bachon ko door bhi rakhna chahiye...

aap ki dosri baat hamare bachon ko doosron ki saqafat aur culture bhi seekhna chahiye who book bhi perhni chahiye jo hamare culture ka hissa nahi lakin kya aap aik aisi building khari kerne ja rahe ho jis ki basement kamzoor hai to who building ka kya injaam ho gaa… Insaan ki basement us kaa deen aur us ki saqafat hai aur bache ko mere khayal se sirf apna deen aur saqafat seekhani chahiye aur jab who mature ho jayen aur apne Deen aur saqafat pe un ko ubooor hasil ho jaye to un ko is baat ki ijazat honi chahiye keh who dosre deen aur culture ke barey me jaan is se un ka dimaghi soch muntashir nahi hoga aur who sari zindagi just mawazana kerne me surf nahi Karen ge un ki shaksiat mazboot hogi aur who apne deen aur mulk ki saheeh se pehchan bhi ban saken ge aur jab us ko apni saqafat ka complete knowledge ho ga to us ke mutaliq logon ki peda ki gae ghalat baton ko point out ker sake ga aur un ka tasali bakhsh jawab bhi de sake ga… so characted development ki age me bachoo aur naujawanoo ko zaroorat se zyada knowledge ki frahmi aur gumarah kun zaraye se hasil hone wala elm just soch ko diversify kerta hai aur zehni kashmakash berhata naa ke un ko koi aalim banata hai… so Electronic Media woh dikhata hai jo keh hamare bachon ko dikha ke gumrah kea jaa raha hai jis ki koi haqeeqat nahi lakin aik jhoooti baat ko bhi ager aik bache ke saamne aap baar baar bolo to woh us ko such maan nee me dair nahi lagaye ga to akhir kab tuk apne bache ko tv ke saamne bitha ke her jhooti baat ko point out Karen ge hum us ki kachi umer me us ko TV se door rakh ke un mashaghil me kyon nahi laga sakte jo us ki zehni nashoo numa me madad karey… missal ke toor pe us ko tafreeh ke lea physical game me lagana zyada acha hai keh tv ke saamne bith ke cartoon dikhana ya computer ke saamne bitha ke us ko video game khilana… Electronice Media ka sub se bara tohfa hamare bachon ke lea chooti umer me nazer ki kumzoori hai … to hum kyon aisi muzer tafreeh ko select Karen apne bachon ke lea jab ke dosrey zaraye bhi maujoood hain…

Aur aap ki third baat panch waqti musalmaan aur firqon me bati hoi baat se mutaliq me itna he kehna chahoun ga keh yeah sub miscommunication he hai Electronic media ke phelaya howa zehar he hai aap jis ko knowledge ka zareya sabit kerne pe tulle hoye hai actually who gumrah kun khyalat ko phelane ka aur aapis me nafraten berhane ka sub se bara zareya hai…. Aaj ke news channel news kum aur afraah tafreeh zyada phelate nazar aate hai aaj ke dramas aur movies bina kisi sabaq aamooz story ke just romance aur fashion ka perchaar kerte nazar aate hain aur aaj ke Islamic Channal ko aap kya samajhte ho Islam ki baat batane tuk to theek hail lakin firqa wariat ki baaten phailane me bhi in ka sub se bara haath hai…. Choote bachon aur khasoosan naujawanoo ko ager hum Is Electronic media ke zehar se door rakh ke just Islam ki basic baton pe tawajah dilayen aur un ko Anbia Karam ki sabaq aamooz Quranice qise aur kahaniya perh ke sunayen aur un ko deen pe chalne wala banayen aur yeah baat sikhaen keh muslim se nafrat kerna ghalat hai us ki buri baat ko bura kaho lakin is tareeke se us ko zalalat feel naa ho balkeh us ko sochne ka mooqa do us ko tanza ka nishana naa banao balkeh ho sakta hai keh Allah ke nazdeek us ke derjaat tum se zyada buland ho… Firqa wariat ke mutaliq me itna he kehna chahoun ga keh kisi firqe pe ghalat baat ker ke ya kisi ko kafir thehra ke usey ghussa dila ke hum us ki islaaah to nahi ker sakte balkeh us ke dil me apne lea nafrat zaroor bhar sakte hain… so jahan ghalat dikhe usey islah ki nazar se dekho… nafrat ki nazar se nahi…. Aur jab hamare bachee yeah baat seekh jaen ge keh muslim se nafrat nahi kerni Muslims aapis me bhai bhai hain aur ager koi ghalat kaam ker raha hai to usey us ki baat ka ehsas itne naram alfaz me dilaoo ke woh apni islah ka soche aur ager nahi sochta to usko zaleel naa kero keh ho sakta hai yeah fayal Allah ke nazdeek na pasand ho jae aur hum jo poori umat ka theeka apne ser samajh ke logon ko theek kerne nikle the apne he eeeman se hath dhoo bethe….

Khuda raaa tanz ki zuban deen ke maamle me use kerne se bohat perhaiz kea kero aur naram lehje ko ikhtiyar kero aur ager nahi ker sakte to chup rehna seekh lo kyon ke aap ki aik chup shayd aaap ki akhrit me nijat ka zariya ban jae…. Aur yeah baat hume apne aane wali kal ke maymaar apne bachon ko samjhani chahiye…
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia

mere kehne ka matlab ye hei k sirf 12 contestans allow hein k wo doosri team ka intezar na karein k jab tak wo post nahi kerta tab aap intezar karein balke allow hein k apni merzi se kisi bhi waqt shairing karein mager haa albatta apne caiptain ki guidence ka ahteram karein.
main samajhta hon ye sahih nahi rahega.lazmi taur par against group ka answer aana chahiye uske baad hi hum apna post kar sakte hain.isse hi debate kahte hain.aur aisa hi rahna chahiye.agar aisa na hua to har koi apni marzi se post karta rahega aur debate nahi balke ye type ki baat cheet hojayegi.aap ek baar ghaur karen.
 
mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI

main samajhta hon ye sahih nahi rahega.lazmi taur par against group ka answer aana chahiye uske baad hi hum apna post kar sakte hain.isse hi debate kahte hain.aur aisa hi rahna chahiye.agar aisa na hua to har koi apni marzi se post karta rahega aur debate nahi balke ye type ki baat cheet hojayegi.aap ek baar ghaur karen.
exactly iam of the same view , aesay to nukta-e-nazer wazia ho raha hai , lakin jab aik hi team commenting karti rahi to kichri pak jaye gi ..:)
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK

Mere mohteram Sathi aur Dost Chiragh ke khyalat aur azam qabil e tareef hai....

aap ki sari baat is ke gird ghoomti hai keh Parents ko bachon ki terbeat kerni chahiye un ko Electronic Media ke burey asraat se bacha ke rakhna chahiye... aur Sirf electronic media ke ache pehloo dekhne ke lea aamada kerna chahiye aur aap kehte ho keh hamare bachon ko her saqafat ka knowledge hona zaroori hai woh kuch seekhna chahiye jo hamari saqafat me nahi hai.... aur aap kehte ho Electronic media ne nahi hamari pehchan ko nuqsan howa hai hamare paanch waqti muslimaan ki wajah se...

Mujhe aap ki baat se ikhtilaaf hai...

pehli baat aap kehte ho hum apne bachon ko guide kerna chahiye to kitne parents hon ge jo apne bachon pe 24 ghante nigraani rakh sakte hai yeah Electronic Media TV aur Internet se hum ne her burae apne ghar me laa khari ki hai aur yeah bilkul aisa hai jaise aik doodh ka bowl laa ke billi ke saamne rakh dea jaye aur usey kaha jaye isey mut peena... aur us pe nigrani bhi rakh di jaye.... to aap kya samjhte ho aap ke kehne se usey nafrat ho jae gi us se.... bilkul nahi balke aap ka bacha us tuk pohanchne ke raaste dhoonde ga... Jis se us ki shaksiat per burey asraat parey ge... Beshak burae se rookna chahiye bilkul rookna chahiye per Burae ke aaala kaar se apne bachon ko door bhi rakhna chahiye...

aap ki dosri baat hamare bachon ko doosron ki saqafat aur culture bhi seekhna chahiye who book bhi perhni chahiye jo hamare culture ka hissa nahi lakin kya aap aik aisi building khari kerne ja rahe ho jis ki basement kamzoor hai to who building ka kya injaam ho gaa… Insaan ki basement us kaa deen aur us ki saqafat hai aur bache ko mere khayal se sirf apna deen aur saqafat seekhani chahiye aur jab who mature ho jayen aur apne Deen aur saqafat pe un ko ubooor hasil ho jaye to un ko is baat ki ijazat honi chahiye keh who dosre deen aur culture ke barey me jaan is se un ka dimaghi soch muntashir nahi hoga aur who sari zindagi just mawazana kerne me surf nahi Karen ge un ki shaksiat mazboot hogi aur who apne deen aur mulk ki saheeh se pehchan bhi ban saken ge aur jab us ko apni saqafat ka complete knowledge ho ga to us ke mutaliq logon ki peda ki gae ghalat baton ko point out ker sake ga aur un ka tasali bakhsh jawab bhi de sake ga… so characted development ki age me bachoo aur naujawanoo ko zaroorat se zyada knowledge ki frahmi aur gumarah kun zaraye se hasil hone wala elm just soch ko diversify kerta hai aur zehni kashmakash berhata naa ke un ko koi aalim banata hai… so Electronic Media woh dikhata hai jo keh hamare bachon ko dikha ke gumrah kea jaa raha hai jis ki koi haqeeqat nahi lakin aik jhoooti baat ko bhi ager aik bache ke saamne aap baar baar bolo to woh us ko such maan nee me dair nahi lagaye ga to akhir kab tuk apne bache ko tv ke saamne bitha ke her jhooti baat ko point out Karen ge hum us ki kachi umer me us ko TV se door rakh ke un mashaghil me kyon nahi laga sakte jo us ki zehni nashoo numa me madad karey… missal ke toor pe us ko tafreeh ke lea physical game me lagana zyada acha hai keh tv ke saamne bith ke cartoon dikhana ya computer ke saamne bitha ke us ko video game khilana… Electronice Media ka sub se bara tohfa hamare bachon ke lea chooti umer me nazer ki kumzoori hai … to hum kyon aisi muzer tafreeh ko select Karen apne bachon ke lea jab ke dosrey zaraye bhi maujoood hain…

Aur aap ki third baat panch waqti musalmaan aur firqon me bati hoi baat se mutaliq me itna he kehna chahoun ga keh yeah sub miscommunication he hai Electronic media ke phelaya howa zehar he hai aap jis ko knowledge ka zareya sabit kerne pe tulle hoye hai actually who gumrah kun khyalat ko phelane ka aur aapis me nafraten berhane ka sub se bara zareya hai…. Aaj ke news channel news kum aur afraah tafreeh zyada phelate nazar aate hai aaj ke dramas aur movies bina kisi sabaq aamooz story ke just romance aur fashion ka perchaar kerte nazar aate hain aur aaj ke Islamic Channal ko aap kya samajhte ho Islam ki baat batane tuk to theek hail lakin firqa wariat ki baaten phailane me bhi in ka sub se bara haath hai…. Choote bachon aur khasoosan naujawanoo ko ager hum Is Electronic media ke zehar se door rakh ke just Islam ki basic baton pe tawajah dilayen aur un ko Anbia Karam ki sabaq aamooz Quranice qise aur kahaniya perh ke sunayen aur un ko deen pe chalne wala banayen aur yeah baat sikhaen keh muslim se nafrat kerna ghalat hai us ki buri baat ko bura kaho lakin is tareeke se us ko zalalat feel naa ho balkeh us ko sochne ka mooqa do us ko tanza ka nishana naa banao balkeh ho sakta hai keh Allah ke nazdeek us ke derjaat tum se zyada buland ho… Firqa wariat ke mutaliq me itna he kehna chahoun ga keh kisi firqe pe ghalat baat ker ke ya kisi ko kafir thehra ke usey ghussa dila ke hum us ki islaaah to nahi ker sakte balkeh us ke dil me apne lea nafrat zaroor bhar sakte hain… so jahan ghalat dikhe usey islah ki nazar se dekho… nafrat ki nazar se nahi…. Aur jab hamare bachee yeah baat seekh jaen ge keh muslim se nafrat nahi kerni Muslims aapis me bhai bhai hain aur ager koi ghalat kaam ker raha hai to usey us ki baat ka ehsas itne naram alfaz me dilaoo ke woh apni islah ka soche aur ager nahi sochta to usko zaleel naa kero keh ho sakta hai yeah fayal Allah ke nazdeek na pasand ho jae aur hum jo poori umat ka theeka apne ser samajh ke logon ko theek kerne nikle the apne he eeeman se hath dhoo bethe….

Khuda raaa tanz ki zuban deen ke maamle me use kerne se bohat perhaiz kea kero aur naram lehje ko ikhtiyar kero aur ager nahi ker sakte to chup rehna seekh lo kyon ke aap ki aik chup shayd aaap ki akhrit me nijat ka zariya ban jae…. Aur yeah baat hume apne aane wali kal ke maymaar apne bachon ko samjhani chahiye…
Ji bhai jan mene zaroor kaha ke paanch ka namazi per woh paanch ka namazi jo kisi aur paanch waqt ke
namazi ko kaafir kehta hai sirf firqe ke sabab aap meri baat ko adhoora samjhe the
aur uske baad agar parents ke paas waqt nahin ke bachon ko 24 hours guide hi karte rahein
to bachon ko T.V dekh kar woh training nahin milti jo galion mein awaara gardi se mil jaati hai
so woh agar bachon se poochh bhi lein ke bachon aaj kya kya kiya to us hisaab se bhi bachon
ko sab kuch samjha sakte hain electronic media mein masrufiyat laakh gunna behetter hain
aur kaamon se misilan awaara gardi se chori dakeiti se jhoot bolne se

aur mohtaram mene jinpe tanz kiya woh islam nahin tha woh firqa wariyat nahin thi firqa wariyat
yeh hai dar haqeeqat ke apne firqe ke usoolon ko nahin chhorna

yeh qat'an matlab nahin ke auron ko ehl e kuffaar kaha jaye

to eik 12 saal ke bache ko romance ke film dekhne se entertain nahin hona chahiye bhai
agar woh hota hai to woh film dekhne se pehle hi bigra huwa tha film dekh kar nahin
bigra eik 12 saal ke bache ko cartoon type ki aur action moviez pasand honi chahiyen
aur unme eik naseehat zaroor nikal aata hai

aur jo aap ne humein imaan aur humare zaati raaye pe tanz diya ghalat kiya
mera lehja naram hi hai aur islam ka to mere khayal se mene ab tak zikr hi nahin
kiya kyunke dar haqeeqat ke islam walon ko bhatkane ke liye koi namaz parhe
to woh namaz islam ka hissa hi nahin banti

agar T.V dekhna films dekhna is qadar ghalat hai bachon per itna hi ba asar woh
bure raah se daalta hai to ghar se baahir kya milta hai bache ko??? aap us mutaliq
bhi yehi kahengein ke 10 se saal ke bache ko ghar se baahir nikalne ke liye
uska koi bada saath hona hcahiye??? is hi tarah theek is hi tarah electronic media
se bhi connect rehne ke liye eik guide karne wale ki need hogi aur bina kisi samjhane
wale ki bacha bina baahri gaye aur electronic media se door reh kar bhi bigdega hi

aur mein aakhir mein phir wahi kahoonga jisse koi munh mor nahin sakta aur jo haqeeqat
ki baat hai ke E media eik be jaan cheez hi hai ise jaise istemaal karoge waisa hi asar paoge

Assalam o alaikum Wrwb :)

mere qaabil e ehteraam dost main aapki baat samajhta hon k baccha agar pahle se hi bigra hua hai to wo film dekhne ya na dekhne se bhi bigre ga hi.laikin main aapko ani hi ek misal deta chalun k maine facebook me apna account create kia chund hi din istemal kia baad me ek facebook hi ka member blue videos share karne laga dil chaha k aaqir kia hai ek baar dekhlun laikin mujhe pata tha k ye kaam ghalat hai isliye maine isse chor diya aur facebook par jaana hi band kardiya jab kabhi mujhe koi dawat ya koi khaas kaam hota hai tabhi main facebook istemal karta hon aur fir close kardeta hon.laikin aap batayen ek baccha jo abhi kum umr ho usko itni samajh kahan hoti hai k wo acchi ya buri cheezon me tameez kare.wo to yahi chahega k jaldi se jaldi aisi cheezein collect karun aur uska rujhaan aisi cheezon me aur ziada hojata hai.aur ek baat bacche ki taleem ki sahih jagah uski darsgaah/school hoti hai.aur ussi school k satndard par depend karta hai k wo bacche ko kitna qaabil banate hain.

main aur ek misal k zarye aapko ye baat waazeh karta chalun k kayi ek websites ya forums kum umr bacchon ka koi account create hi nahi karte.agar eitebaar na ho to ek account facebook ya ksi aur website/forum me create karke dekhne aur apni age below adult den.wo accept nahi karenge to hum kaise apne bacchon ko aisi cheezein istemal karne ki aazaadi deden.

main ek aur misal apne dost k larkon ki deta chalun k wo kum educated hain laikin wo chahte hian k wo apne bacchon ko acchi taaleem o tarbiyat den.isiliye unho ne apne ghar labtop aur net connection lagwaya.shru me unke bacchaon par wo net use karne ki ek hadd lagadi.k main rahunga to hi net istemal karna warna tumhe abhi nahi maloom isliye tum akele me isteml nahi karna.bacchon ko bhi kuch ziada iske taaluq se nahi maloom tha.laikin jab dheere dheere waqt guzarta gaya.aur wo ane doston se new games k sites waghera lekar ghar aate aur usse download karke bus ussi me mashgool rahne lage.mere dost bhi kabtak unki nigraani karte jab bhi wo bahar rahte unke bacche study kum aur net par games khelne me masroof ziada rahte.

to marks bhi kum aaye.jab teacher se unho ne shikayat ki k pahle bacche k marks acche aate thei kyunk ab ki baar unke marks bahot kum hoagye to techer ne unse sawal kia k kia aap apne bacchon ko ghar par taleem dete hain.to mere dost ne kaha k han dete hain balke pahle se kahin ziada aur acche andaz se hum apne bacchon ko guide kar rahe hain maine apne ghar laptop aur net connection bhi lagaya hai.

to jhat se teacher ne kaha k aapne yahin ghalti ki.k aap apne bacchon ko wo ghiza nahi derahe jo unhe is umr me darkaar hai.main bhi teacher ki is baat se muttafiq hon bacchon ko unki umr k hisab se ghiza deni chahiye agar hum 1 ya 2 saal k bacchon ko mutton ya aur koi dosre foods denge to wo badhazmi ka shikar hojayega.aur uski sahat par farq parega.

main nahi kahta k electronic media sarasar ghalat hai.laikin uska sahih umr me hi istemal sahih rahta hai.warna usse faayede kum nuqsanaat ziada hojayenge.
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam Aara'af bhai masha'a'ALLAH se aap ne mere hi baaton per jaise roshni daali
ho:) matlab ke jab tak aapke dost ki nigraani mein net sitemaal huwa koi masla nahin tha
to jaate jaate net band karna aana chahiye tha dost ko phir jab moujood hote tabhi net chalane
dete

is tarah bachon ki tafreeh bhi hoti rehti aur parhaiy bhi achhi chalti

aur jis tarah aap ne Face book wali baat kahi hai to uspe mein kehna chaahunga
ke FB mein sirf woh to nahin naa available jiske baare mein aap mazkoor hain
Face book to itna pheil gaya hai ke face book mein hi aise aise friendz ne group
banaye hain maano ke Face book ke against hi banayen hain to itne bade meidaan
mein agar 10 phool milengein to khaar bhi laazmi hone hain ab eik khaar ke
khatre mein bachon ka gulistan tabah nahin karna

aur jis 18 ka aap zikr kar rahe hain woh sirf eik formality hai mein khud forums
ke members aur adminz ko keh chuka ke mein 18 ka nahin jab ke unke rulez mein
sakhti se likha below 18 not allowed aur masha'a'ALLAH waise site ka s.mod reh
chuka jab ke us waqt mein 18 ka nahin tha

aur phir aakhir mein aap ne meri wali hi baat ki hum bache ko agar woh ghiza de dengein
jo bache ke liye achhi nahin to qasoor ghiza huwa.???

koi curropt minded fard net mein buraiy pheilata yaa usse buraiy hasool karta hai to uski
misaiyl usse di jaaye ke bukhaar mein roti zeher barabar

per khata roti ki nahin hoti

is hi tarah E.media ki ghalti nahin woh corrupt minded banda maghfirat ki duayen
bhi is hi net se le sakta hai aur woh janaab jiske bache net use karke parhaiy mein
week huwe hain use chahiye tha ke apne bachon ko net se pehle limit sikhaaye
mera apna chhota bhai Net bhi use karta hai games bhi kheilta hai apne mob
mein games masha'a'ALLAH khud hi daal leta hai games bhi install kar leta hai
aur 1st se 4th ke darmyan hi har baar uska result aata hai jiski wajah
yeh ke mein aur family ke baaqi loug bhale hi 24 hours uspe nazar nahin rakhte
per uske zehen mein bitha diya hai ke kya ghalat kya sahi

kya karna hai kya nahin karna aapke liye kounsi site hai kounsi badon ke liye aur
kounsi bad kaaron ke liye hai aaj tak use Gmail tak mein mene khud account
banane nahin diya per usne kabhi aetraaz nahin kiya aur naa hi mujh se jhoot kaha
kyunke mene uske zehen mein bina kahe samjha ke ehsaas dila ke sikha diya hai
ke hum jo chaahengein aap ki bhalaiy ke liye hoga aapko rokengein to aapki
achhaiy ke liye warna kyun rokengein.??? is hi tarah agar kisi bache ko

net diya jaaye T.V di jaaye iske saath saath eik tarbiyat dene wala bhi jo sahi
ghalat ka faraq aise bataye ke uske zehen mein baat beithe tabhi
eik bacha genious banne ki ibtidah kar sakega aur khaaskar
to bacha tab bigrega agar hum khud NET use karein aur use kahein yeh
bachon ke liye achhi cheez nahin to woh ghar se baahir nikal ke yahan wahan
kahin naa kahin se net ki biraiyon se jurh kar dekhna chaahega ke how
is it bad.??? aur uski is harkat ka aapko bhanak bhi nahin lagega

ji aap ne sahi kaha sahi umr mein sahi istemaal jaise har kahani har waqiya
2-14 saal ke bachon ke aage nahin sunaate isse unke zehen pe bura
asar par sakta hai to kami uske imr mein hai khaami kahani mein nahin

yunhi E.media se games gine chune sites T.V ke sum channels
allow kiye jaayen to kal barh kar woh bacha hum se bhi achha ban sakta hai
achhi soch wala ban sakta hai

mere ilaqe mein eik 12 saal ki bachi gungunati
rehti hai munni badnaam gaana aur aise bohot se gaane jaante hain
isme heirat ki baat kya hai us uske ghar mein T.V nahin
hai naa hi MP3 wagheira bas uske ghar walon
ne apne bachon ko ghar se nikalne ki azaadi di hai
kyunke bachon ko baahir
nikalne ki bhi need to
hogi hai aur is hi
ke mad e muqabil mein 12 saal ke
larke ko jaanta hoon jo Q'ranhifz karne
wala hai uske ghar mein net bhi hai
uske paas phone bhi hai
sms package bhi aur woh khoob
t.V shows bhi dekhta hai
per itni awaaz mei n gungunana be adabi samajhta hai

aur ALLAH sub ko achhi samajh wala banaye Ameen

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Super Stars ki Team ke S_ChiragH ki lagai gai thread aur Islam jaise hasas mozo ko beech main lane ki waja se Super Stars ki team ka 1 point minus kya ja raha hai aur sath main un ki Team ko Warning di jati hai next time aisi thread ya koi bhi baat open thread pe samne aai toe Super Stars ki team ke 5 points bhi minus kye ja sakte hain ya koi dosra step bhi lya ja sakta hai. so ainda ke lye ehtiat karen aur ye same baat Bright Stars se bhi kahi ja rahi hai ke jo himakat Super Stars ke team member ne kari woh aap main se koi na karey . aur Super Stars ke jis team member ko mere point katne pe aitraaz hai woh mujhe PM karey is Thread pe kuch na boley

Thanks Regards

Zee
 
  • Like
Reactions: waqas naseer

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
aur haan aik baat aur Bright Stars ki kuch out of topic post nazar arahi hain maine pehle bhi kaha ke clarification ke lye pm kara jaye thread pe na bola jaye magar bright stars waley is baat ko easily le rahe hain next time agar aisa phr se kuch huwa toe main un ke points bhi minus karon ga. Thanks

carryone Bright Stars aap ki turn hai ub
 
Status
Not open for further replies.
Top