a question need answer

  • Work-from-home

Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
Assalam o alikum every one

mera ik question hy k boht se logon ko kehty huey suna hy k Waliyon k samne apni hajjat rakhna ya unke zariye se Allah se mangna ya unki qabron per jana ye sab ghalat hy or unhon ne isey mushrikon se tashbeeh di hy k jesy wo apne mandiron mai chadren charhaty hyn bhajan gaaty hyn humary yaha qawaliyan hyn or bhi pta nahi kia kia plz ap log bataiya kia ye kehna sahi hy ya nahi boht boht shukriya

BEST ANSWER BY THE_DARK_KNIGHT

Wa Alaikum Asalam,

Islam Forum ka Moderator hone ke natay say mera farz banta hai ke app ko jo baat sach aur sahi hai woh bataon laikin I am so sorry ke ajj taqreeban 1 Month ke baad reply kar raha hon Actually mein Online hee nahi howa tha kuch pareshanion ka samna tha iss wajha say.
Sabhi ne apni apni baat kahi laikin hum aik dosray ki sunn'ne ki bajai Quran-o-Hadith ki Sunn'ni cahiye so meine kuch arsa pehly aik thread post kia tha Waeeela Zarora hai... jiss per kuch members ne aitraaz kiya tha beharhal app uss ko read karain aur jo kehty hain ke Allah ke Naik Bandon ko Allah ke Huzoor Waseela banana Ghalat hai woh Quran ke Munkir hain kyon ki Allah ne Quran mein saf saf farma Diya '' AUR ALLAH KI RAH MEIN WASEELA TALASH KARO '' tu jab hum Allah ke Nabiyon, Waliyon ko Waseela nahi banai gai tu phir inn Hastiyon say behtar aur kon hai ?
For more Info please read this thread.

Waseela Zarori Hai!!! *Must Read Topic of the Week*
 
Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
hmmm kasey ki kabar per janay iss per DUA mangna koi galat baat nahi hai

aghar app mazar per jatai hai waha fatia deytai hai to yeh teek hai haan yeh

cheaz galat hai k aksar log mazar per jakar sajda kartai hai and etc

aur rahee baat waliyoo ki nisbaat say mangna to iss barey main atnay

kahoo ga k deynai walay ki zaat oper walay ki hai aghar direct iss say

mangoo to zada bhatar hai ba nisbaat kasey k refrence k mangnai say
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
they think that they understand the words of god....it is like one small bucket has confidence that it knows about the sea.....they r interpreting the words..but their interpretation are of the size of bucket....it has nothing to do with sea..
"".No body can fulfill our desires but ALLAH""" it is true..god is there to fulfill ur desires...it is his full time job...he has to do this job bcoz in the bargain of that we too r loving him and worshipping him....he doesnt like u to worship anyother person other than him....he feels jealous...oh i m supreme power how dare one can worship any other person other than me...
sorry to say harsh words...
god is not there to fulfill ur wishes but to make u understand the futility of ur desires and wishes...ur desires and wishes are coming from ur diseased mind and body...
love and worship everybody..everybody is divine in their deep core..god is manifesting himself through them...
 
MorgenStern

Newbie
Sep 19, 2008
133
12
0
Germany

kya hogaya hai what r u talking about????

anyways mere khayal se yeh ghalat to nahi hai lekin ajj kal to logo ne isko itna ziada bana liya hai k woh khuda se directly mangna hi bhul gai hain...n if I talk about myself I ask my Allah directly...jaisey sab kehte hain Allah app k dil mein hai to I guess appko kya zarurat hai kisi or k zariye mangne ki?
 
  • Like
Reactions: Smile Shah

atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
allah dil me hai to apne dil se mangiye...apne capability...apne true character se mangiye not from that god which we assume seperate from us..ur capability,character,true heart brings the result and not any god ...
they r busy in their own worlds...they are not here to listen ur petty issues and solve them...
allah dil me hai to why do u listen to those alims?listen to ur heart.... this love affair is between u and god...why these aalim come in between taking sacred book in their hands..with so many commandments...
in ur deep heart u too know that there is something fundamentally wrong somewhere...but u dont accept it due to ur fear,conditioning,socity etc..
 
let me tell u this is totally wrong...I have no regret in my heart...I love my ALLAH and his holy Prophet s.a.w
dekhein agar app ko interest nahi Islam mein then y do u come here? Our belief is so strong that u cant change it seriously! Islam is the right way u just need to realize it and the Alims r just people like us who have studied Islam
like if u have problems related to health u go to a docter who has studied Medicine this is as simple as that and never compare a normal Alim with the extremists like u know what I mean!!!
In other words I would say Islam means Peace and Harmony that's y so many people are converting to Islam...that's y itz growing so fast!
 
  • Like
Reactions: Smile Shah

MorgenStern

Newbie
Sep 19, 2008
133
12
0
Germany
Mahira mene apni mama se phucha yeh question woh kehrahi theen
hum log itne gunahgar hain...hume to mangna ka tareeka bhi nahi ata isliye hum agar kisi ka sahara leke maangege like kisi bare Wali ka ya koi naik bande ka to Allah unki ziada sunne ga she gave me the example ke agar appko apne school mein koi application deni hoti hai to the headmaster to app pehle teacher ko dete hain q k teacher ki ziada sunni jaigi u know
mene mama se kaha ke Allah to har bande ki sunta hai she said of course Allah har aik ki sunta hai uske liye har banda bht ahem hai or woh har aik se pyar karta hai lekin itz like a little bit of sifarish u know
mama ne mujhe bht acha explain kia tha jissey mein kafi impressed hogai thi lekin mere khayal se mein yahan itna acha nahi likh pai lekin i hope app ko yeh samajh agaya hoga mein kehna kya chahrahi hun
 
RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
yah totally agree wid morgenstern..mairay dimagh may bhi is ka yehi conecpt paya jata hai..or yeh baat main nay bhi apnay gher walon say pochi thi to unhon nay isi type ka reply dia jaisa k abhi ap ki mama nay sab koch explain kia hai
 
Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
mera bhi yehi manna hy k jo amaal humary hyn or jo un naik logon k hyn un mai zameen aasmaan ka farq hy to esy mai unki madad lena koi ghalat baat nahi thanx all to reply or atul plz aap islam ko atudy karo or phr baat karo or others ap mujhy ye bataen k jo url mai ne apni post mai dia hy mai un sahb ka kia karun????
 
  • Like
Reactions: Smile Shah

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Assalam o alikum every one

mera ik question hy k boht se logon ko kehty huey suna hy k Waliyon k samne apni hajjat rakhna ya unke zariye se Allah se mangna ya unki qabron per jana ye sab ghalat hy or unhon ne isey mushrikon se tashbeeh di hy k jesy wo apne mandiron mai chadren charhaty hyn bhajan gaaty hyn humary yaha qawaliyan hyn or bhi pta nahi kia kia plz ap log bataiya kia ye kehna sahi hy ya nahi boht boht shukriya

Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barakatahu Mahira.

Assalam O Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatahu every one.

Sawal bohat zabardast hai. Main nain sir aik ka jawab parha hai. Is question kay hawalay say sirf main itna kahna chahoon gi jo meri apni samajh k mutabiq hai.

Pehlay hum bhi yayhi samjhtay thay is liaay k hamaray parents nain bhi hamain yayhi samjhaya tha aur hum bhi buchpun main mazaron pay jaya kartay thay aur unsay aur unkay zariaay say manga karta thay. Her huftay hazri dia kartay thay.

Phir hamara bhai thora hi bara huwa to aik molvi nain masjid main bataya kay yay saub bidaat hai aur is tarha mazar pay sajda (jo doosron ko kartay daikha) karna, buzrgon ya unkay hawalay say mangna mana hai aur aurton ka mazar pay jana bhi mana hai. So us kay baad hum nain aisa karna tark kar dia.

Ub jub k main kafi bari ho gaeen hoon deen ki kuch thori bohat samjh aa gai hai per hunooz tifl e maktub e Islam hoon.

Meri zaati samajh k mutabiq Mahira kay question ka jawab.

Pehlay yay batadon jitnon k mama ya parents nain buzurgan e deen k zariaay mangay k sahi kaha hai sub ussi biddat aur purni soch ka nateeja hai jo k unkay parents nain unhain samjhaya hai jis per na kisi nain unki islah ki hai aur na khud unhon nain samajhnay ki koshish ki hai aur na hi aql ko use kia hai. Sorry agar kisi ko bura lagay per suchchi baat yayhi hai.

Jub Allah nain hamain khud mangnay ka kah dia hai to waseelay ki zaroorat kahan say aa gai khuwah hum kitnay bhi gunahgar hon. Allah hum say itni mohabbat karta hai jis ka hum soch bhi naheen saktay to wo maaf kioon naheen kar sakta. Is ko main is misaal say wazahat karoon gi.

Jaisa k Allah nain kaha hai k wo 70 maon jitna hum say pyar karta hai. To jub hamari aik maan jitna pyar karnay wali aurat hamaray barai say bari ghalti ko froun maaf kar deti hai aur hamari baat sunti hai to Allah kioon naheen karay ga to phir waseelay ki kia zaroorat wo bhi murday say jo marnay kay baad Allah k marhoon e minnat hotay hain.

Aur aapko kia pata dunia jinko bohat naik samajh rahi hai waqai naik bhi thay Allah ki nazar main kay naheen. Jaisa kay quran aur hadithon main hain kay baray baray alimon aur naikoo karon k unkay karnamay munh pay mara jaay ga kay tum yay dunia hasil karnay kay liaay kartay thay so dunia main tumko is ka sila yoon mila k dunia nain tumko achcha jaana. Kitna shaheedon ko k saath bhi aisa hi ho ga k tumnain bahadur ka khitab kay liaay shahadat hasil ki so us ko dauzakh main phaink dia jaay ga.

Chalo zinda buzurgan e deen say to kah kar apnay liaay dua karwana to phir bhi sahi lugta hai mujhay laikin maray huway to kuch naheen kar saktay to un say ya un k zariaay mangna to intehai ahmaqana lugta hai.

Shayad aap logon nain kaheen parha ho ga k murday sirf sun saktay hain jawab naheen day saktay. Us kay liaay bhi wo farishton k marhoon e minnat hotay hain. Farishtay bhi Allah k hukm kay mutabiq hi murdon tuk khabrain lay jatay aur laay atay hain Allah tuk. Kisi bunday tuk to hargiz naheen.

Aik aur baat jo meri naqis ul aql kahti hai k jitnay garia o zari aur dil ki gahraion aur apni buraion pay buri tarha shirminda ho kar hum khud Allah say dua maan saktay hain is liaay k sari haqeeqat hum khud bahtar tor par jantay hain utna to hamaray parents bhi hamaray liaay naheen kar saktay to buzrgan e deen kaisay.

Jahan tuk baat shifarish ki hai to Allah k yahan sifarish sirf Muhammad Sallah o Alaihi Wasallim ki chalay gi wo bhi qayamat kay din kisi aur ki naheen. Kisi buzurgan e deen ki naheen. To phir buzurgan e deen kay bajaay hum Muhammad Sallah o Alaihi Wasallim ki kioon na use karain jin ki shifarish sirf roz e qayamat k din chalay gi yani durood ka use kar k duaon main.

Aqal use karain to Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallim ki shifarish to abhi bhi hamaray liaay Allah k agay naheen chalay gi to kisi buzurgan e deen ki kaisay chal sakti hai. Haan Durood ka istamal karnay say duaon main to choon k Muhammad Sallaho Alaihi Wasallim Allah k mahboob bunday hain is liaay faida ho ga. Allah Khush ho ga.

Shifarish Allah ko bilkul naheen pasand ho gi jo hum duniawi log use kartay hain. Hum dunia main shifarish us waqt kartay hain jub hamain yaqeen hota hai k hamari baat naheen suni jaay gi to agar hum Allah k liaay yay yaqeen kar lain to yay hamaray liaay bohat bura hai.

Doosray duniawi shifarish hum hamaish na ahal honay k bais us jagah ko hasil karnay k liaay kartay hain jub hum samjhtain hain kay hum is kay ahl naheen to chalo 2 number tareeqay say rasta nikal lo jo Allah ko hargiz pasand naheen hoga.

To jis insaan k dil main yay baat jagah kar lay k Allah uski naheen sunay ga aur maaf naheen karay ga to wo goya Allah say aur uski rahmat say mayoos ho gaya. Hum sub jantay hain k mayoosi kufr hai.

Jub hum kisi bhi maamlay main apnay her harbay use kar kay mayoos ho jatay hain tub hi kisi aur ka sahara letay hain.

Aik meri kisi bahan ya bhai nain kaha k hum teacher ko arzi detay hain k headmaster unki ziada sunay ga to main itna kahoon gi k headmaster aap ki arzi parh kar faisla karay ga na k teacher ki baat sun kar agar wo headmaster khushamad pasand hai aur wo teacher bahtareen khushamdi hai aur aap nain us teacher say guzarish ki hai k aap ki is tarha sifarish kar day to kaam aap k mutabiq hoga.

Laikin agar headmaster sirf such aur fact daikhta hai aur bilkul bhi khushamad pasand naheen to aap ki arzi par kaam karday ga jaisa wo munasib samjhay ga.

Mera yaqeen hai Allah apnay her aik banday ki khushamad pasand karay ga direct jo uski khushamad karay ga na kay kisi aur k liaay kisi aur ki.

Kabhi aap nain kisi murday ya kum uz kum bayhosh honay walay say batain ki hain kia wo kabhi aap k liaay kuch kar paya hai?

Koi murda ya bayhosh bunda hutta k apnay liaay kuch naheen kar sakta to dunia k logon k liaay kia kar sakta hai?

Murday to khud Allah k marhoon e minnat hain phir wo waseela kaisay bun saktay hain jub tuk Allah hi na chahaay. To jub Allah ki marzi ho gi to hamari bat us tak ponhchay gi to phir waseelay ki kia zaroorat jub uski marzi ho gi to hamari dua qabool karay ga naheen marzi ho gi Allah ki to naheen qabool karay ga. Khuwah khud mangay ya kisi buzurg k zariaay.

Aik aur bohat aham baat is zamn main samjhana chahoon gi wo yay k. Hum pata naheen aisa kioon samjhtain hain k hamari dua qubool naheen hoti jub k quran aur hadees say yay baat achchi tarha wazah hai k hamari her dua Bargah e ilahi main qubool hoti hai farq itna hai k ya to wo jama kar li jati hai akhirat main milnay ko with multiplication of lots of naikiyaan ya phir dunia main poori kar di jaati hain.

Yay sochna intehai ghalat hai kay hamari dua qubool naheen hoti Allah hamari her dua ko qubool karta hai aur kabhi wo poora kar deta hai (agar wo hamaray huq main bahtar ho to) aur jub wo hamaray huq main bahtar na ho to naikion main shumar kar kay us pay % laga deta hai jo qiyamat tuk naikion k munafay ka sabab hoti hain.

Ub aik aur wazahat meri naqish ul aql k mutabiq. Jub hamari kisi dua ko Allah nain qubool hi naheen karna hota hai (jo hamaray huq main bahtar na ho tub hi wo aisa karta hai jo hamari naqis aql samajh naheen pati) to khuwah hum Buzurgan e deen ya Muhammad Sallalaho Alaihi Wassallim ka waseela use kar lain Allah ussay qubool naheen karay ga.

Aik aur baat jo meray naqis ul aql main ati hai wo yay k kia kabhi Muhammd Sallalah o Alaihi wasallim nain jinka naam rehti dunia tuk sub say uncha hai aur rahay ga kabhi kaha k mera waseela use karna dua k liaay to qubool ho gi khud direct Allah say karo gay to naheen ho gi.

To jub itni bari hasti nain aisay daway naheen kiaay to buzrgaan e deen nain bhi naheen kiaay hon gay k meray marnay k baad mujhay waseela aay dua banana. Mera naheen khiaal kisi qurani ayat ya hadees is baat ki daleel deti hai k kis bhi buzurg e deen nain yay dawa kia ho k Allah meray marnay k baad meri ziada sunay ga aur bundon ki sunna chor day ga ya hamaray waseelay say dua karnay walay ki Allah sirf sunay ga.

Kia kisi buzurg naheen kabhi aisa kaha?

Phir yay baat musalmanon main kahan say aiiii?

Mera khiaal hai yaqeenun hinduon k saath reh kar bhajan waghaira daikh kar kuch kum aql ya Islam say baybahra musalmanon nain yay tareeqa nikala ho ga.

Ya mera khiaal hai kafiron ya mushrikon nain Musalmanon ko rah e hidayat say hatanay k liaay ya gunahgar karnay ya Allah par say direct yaqeen hatanay k liaay aisi shazish ki ho gi.

Agar aap maloom karain to yay mazron pay ya kaheen bhi jo qawwal hazrat hain wo 5 waqt namaz bhi ada naheen kartay hon gay.

Aik aur aham baat qawwal hazrat music use kartay hain mazaron pay music k liaay quran o hadees main mana farmaya gia hai. Jub waisay hi mana farmaya gia hai music say to mazar pay use karna kitni buri baat hai.

Sochain Un buzurgan e deen ko kitni takleef ponhachti ho gi jin k mazaron pay qawwal hazrat na sirf music baja rahay hotain hain balkay cheekh cheekh kay qawwali ga rahay hotain hain. Ub sub hi is baat saay ittefaq karain gay k cheekhna mazar pay balkay aam dinon main bhi aik na shaista undaaz e guftugu hai.

Agar hulia daikhain Qawwalon ko to wo bhi achcha naheen hota. Paan kha k munh laal ki hota hai. Mazaron pay say muft ki kha kha kay tondlu huway huway hotay hain.

Qawwal wo bhi buntay hain jo ziadatar jahil hotay hain. Mashray main aik achchi job hasil naheen kar patay aur aik na kaam insaan hotay hain to qawwal bun jatay hain.

Wo qawwal intehai ahmaq aur buray hotay hain jo mazaron pay bara jaman ho kar kamai ka dhandha nikaltay hain. Mazar pay music aur cheekh cheekh kar mazar aur murday balkay buzurgan e deen ko sakht azeeat ponhchatay hain.

Becharay buzurgan e deen apnay liaay Allah say dua naheen kar patay k in jahil qawwallon ko unkay mazar say hataya jaay k music baja kar unkay mazar ki bahurmati kartay hain aur unko kitni takleef ponhachti ho gi. Wo becharay jub apnay liaay Allah say rukwa naheen saktay to aap k liaay kia kar saktay hain.

Mera khiaal hai jin jin ki mama ya parents nain aap logon ko waseelay ki himayat main daleelain deen hain unko mera post poora ka poora parhwa dain ya parh kar suna dain.

I tried my best to explain each & everything to clear your mind from not only biddat but gunah. Yay meri aap say aik humble request hai. Allah bahtar janta hai. Main apnay naqis ul aql say itni hi daleelain day sakti thi aur wazahat kar sakti thi.

Aik aur aham baat qawwali aur bohat say naat main ziadatar shirk aur bidaat k alfaaz istaamaal hotay hain unko sunnay say parhaiz karna chahyay.

Quran ya hadees main kaheen naheen aya k qawwali aur naat suno ya parho. Aap nain agar praise hi karna hai to tilawat karain hadees parhain na k qawwali aur naat sunain.

Kisi ko bhi agar meri koi baat buri lagi ho to main tah e dil say maazrat chahti hoon. Mera maqsad hargiz kisi ki dil azari naheen balkay ahsan tareeqay say baat samjhanay ki koshish thi.

Aik aur aham baat jub hum kisi mamlay main khud ko ahal samajhtain hain aur hamaray pass koi sifarish naheen hoti aur koi sifarshi aur na ahal hamari jagah lay leta hai to hamain yay baat hargiz pasand naheen ati. Na shifarshi pasand atay hain.

Jub koi teaching k liaay darkhuwaast deta hai to direct headmaster ko deta hai teacher ko naheen kioon k agar wo budneat huwa to wo kisi teaching k liaay apply karnay walay ki application hi ghayab kar sakta hai. Principal ko denay k bajaay raddi ki tokri ki nazar kar sakta hai.

Agar koi student koi arzi agar teacher k zariaay headmater tuk ponhchahta hai to us main koi baat naheen wo chahay teacher k zariay day ya khud day principal ya headmaster wo arzi lay lay ga laynay say inkaar naheen karay ga.

Main nain bhi school, college main parha hai. Arzi headmaster ko direct dain ya teacher k zariaay headmaster ya principal nain hamaysha lay liaa hai.

Aik waqia zikr karoon agar aap achchay student hon to teacher bhi aap ki khud shifarish karay ga aur principal ya headmaster bhi khushi say aap ki arzi lay ga aur baat sunay ga.

Agar aap khushamdi hain teacher ki khushamad kartay hain to wo aap k huq main headmaster say sifarish kar sakta hai agar wo khushamdi pasand huwa to. Naheen to agar na teacher khushamdi hain aur na hi aap to teacher aik soorat main aap ki shifarish kar sakta hai agar aap achchay studen hain aur wo aap ko pasand karta hai ya aap say mohabbat karta hai to.

Is baat say phir yay baat ati hai k jub aik teacher hum say khush ho kar hamari shifarish kar sakta hai to 70 maon jaisi mohabbat karnay wala kia hamari kisi baat kisi adat ya kisi kaam say khush naheen ho sakta.

Sub say aham baat yay k ZINDA TEACHER hi ZINDA HEADMASTER say sifarish kar sakta haik koi MURDA TEACHER kisi bhi ZINDA HEADMASTER say sifarish naheen kar sakta. Agar aisa ho to headmaster bhoot kah kar bhagay ga ya khauf say mar jaay ga ya khauf zada ho jaay ga.

Murday can't do anything. Aap k paas koi aap ka apna murda rishtaydar aay kisi ki shifarish karnay to aap ussay bhoot kahain, gay dar jain gay ya uski shifarish sunain gay aur qubool karain gay.

Murday becharay to majboor hotay hain balkay wo to hamari duaon k muhtaaj hotay hain apnay liaay. To waseela kaisay bun saktay hain.

Sorry for 1st & longets post.
 
shahid1

Newbie
Sep 20, 2008
66
43
0
Allah ke siwa kisi se bhi mangna shirk hai,
Ye aisa gunnah hai, jo Allah kabi muaf nahi karta
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
but all over the world the thousand of christian have started following buddhism...surprisingly buddhist donot even try to convince someone ...most of the great scinetists/scholars/painters/musicians/philosophers etc of western world ..are after buddha...and are either writing books on him or praising publiquely...their famous sect theosophy(originated by blatsky) is lineage from buddha... and it has so wide impact on western population...i m hindu but many high dignatories/powerful hindus i know are after buddha...the most popular man in the western world is dalai lama...even not theuir bishop..
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
mera bhi yehi manna hy k jo amaal humary hyn or jo un naik logon k hyn un mai zameen aasmaan ka farq hy to esy mai unki madad lena koi ghalat baat nahi thanx all to reply or atul plz aap islam ko atudy karo or phr baat karo or others ap mujhy ye bataen k jo url mai ne apni post mai dia hy mai un sahb ka kia karun????

teach me islam....but ready to face my questions...if u dont know the answers ask ur aalims to reply...u should be able to convince me what u say...mere repeating the scriptures will not work with me...bcouse even my religion also i have thoroughly enquired and investigated...i cant believe anything ...and now i understand the depth of it...that is why i m not quoting any scripture...my words are mine ....and also u should be ready to accept fully if u feel i m right without being afraid..of god ..or society...
 
unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
well meine ap sab k replies bhi perhe or 1s ov all to mein sab se kehna chahongi k hum may say koi bhi yaahn Islam k hawalay say itna perfect nahe hai so koi bhi yahan per ksi ko Islam teach nahe ker sakta coz hum say koi Khata ho gai Islam k baray may to phir ye alehda Gunnah hai

@Mahira ap ka question buhat acha tha or meine akser logo ko dekha hai is may confuse hotey howey

well mangtay to hum ALLAH say he hein her chez per koch buzurg hotay hein jo ALLAH kay ziada kareeb hotey hein or ALLAH un ki bat ko phir Talta nahe hai..or ye aik waseeley k tore per hotey hein
Jahan tuk directly ALLAH se mangnay ki bat hai to bayshuk mangtay to hum ALLAH he say hein but sirf in waseelon k zariye say hum ALLAH se mangtay hein or koch log hotay hein jo maazaro'n waghera per ja ker aisi duwa kerte hein k HUM AP SE DUWA KERTE HEIN K HUMARA YE KAM HO JAY...aisa kerna bilkul ghalat hai but ye kehna chahiyay k hum ap k pas ayay hein ap ALLAH say duwa karain k wo humari ye murad pori karey to aisa kehna jaiz hota hai werna to ye zahir hai shirk kerna ban jayga k ap ne ALLAH k siwa ksi or say manga

Hum log itnay gunahgar ho gay hein k baaz oqat ALLAH directly humri bat nahe sunta or us may bhi koi na koi maslihat zaroor hoti hai so aisa kehna k buzurgo say duwa kerna ghalat hai ye \bat sai nahe hai
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
first of all why demand from god?u r not happy with whatever he has given....u want health he is giving disease..u want money..he is giving poverty...u want love..he gives u pain....
to demand from god is being unfaithful to god...u say i dont agree with what u give....
true faith knows whatever is happening in life is god's desire...he will not put forth his desires but accept fully in his heart the circumstances...
but our prayers are nothing but demands...doesnt matter whether they r spiritual or material...
real prayer is to be grateful in ur heart for whaever has been given.....not mere verbally but in ur heart...
 
Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
teach me islam....but ready to face my questions...if u dont know the answers ask ur aalims to reply...u should be able to convince me what u say...mere repeating the scriptures will not work with me...bcouse even my religion also i have thoroughly enquired and investigated...i cant believe anything ...and now i understand the depth of it...that is why i m not quoting any scripture...my words are mine ....and also u should be ready to accept fully if u feel i m right without being afraid..of god ..or society...
janab meri poori koshish hogi k apko mutmain karoon or i hope k baqi forum member bhi mera sath den is sab mai per ye koi larai nahi hy mai aapke believe ko kisi tor per kuch nahi keh rahi to meri bh iaap se bas itni request thi k aap mery beleive ko kuch na kaho or insha Allah meri poori koshish hogi k aap k tamam sawalon k jawab doon
 
Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
well meine ap sab k replies bhi perhe or 1s ov all to mein sab se kehna chahongi k hum may say koi bhi yaahn Islam k hawalay say itna perfect nahe hai so koi bhi yahan per ksi ko Islam teach nahe ker sakta coz hum say koi Khata ho gai Islam k baray may to phir ye alehda Gunnah hai

@Mahira ap ka question buhat acha tha or meine akser logo ko dekha hai is may confuse hotey howey

well mangtay to hum ALLAH say he hein her chez per koch buzurg hotay hein jo ALLAH kay ziada kareeb hotey hein or ALLAH un ki bat ko phir Talta nahe hai..or ye aik waseeley k tore per hotey hein
Jahan tuk directly ALLAH se mangnay ki bat hai to bayshuk mangtay to hum ALLAH he say hein but sirf in waseelon k zariye say hum ALLAH se mangtay hein or koch log hotay hein jo maazaro'n waghera per ja ker aisi duwa kerte hein k HUM AP SE DUWA KERTE HEIN K HUMARA YE KAM HO JAY...aisa kerna bilkul ghalat hai but ye kehna chahiyay k hum ap k pas ayay hein ap ALLAH say duwa karain k wo humari ye murad pori karey to aisa kehna jaiz hota hai werna to ye zahir hai shirk kerna ban jayga k ap ne ALLAH k siwa ksi or say manga

Hum log itnay gunahgar ho gay hein k baaz oqat ALLAH directly humri bat nahe sunta or us may bhi koi na koi maslihat zaroor hoti hai so aisa kehna k buzurgo say duwa kerna ghalat hai ye \bat sai nahe hai

bilkul janab hum bhi isi trh waseely se mangty hyn naa k khuda na khwasta shirk kerty hyn per kia aap ne us url ko dekha hy jo mai ne apni post mai di hy kia esa sab kehna sahi hy plzz ye bhi bataiye thanx fo rreplying
 
Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
first of all why demand from god?u r not happy with whatever he has given....u want health he is giving disease..u want money..he is giving poverty...u want love..he gives u pain....
to demand from god is being unfaithful to god...u say i dont agree with what u give....
true faith knows whatever is happening in life is god's desire...he will not put forth his desires but accept fully in his heart the circumstances...
but our prayers are nothing but demands...doesnt matter whether they r spiritual or material...
real prayer is to be grateful in ur heart for whaever has been given.....not mere verbally but in ur heart...
accha janab pehli baat to ye k Allah ne khud kaha hy k mujh se maango q k Khuda ki zaat ko kisi cheez ki zaroorat nahi or insaan or Khuda mai khaas yehi farq hy k barai sirf us Khuda ki hy us waahid Khuda ki jis ne humey paida kia hy or dua yaani maangna apki kamzori ko zaahir kerta hy yaani aap mangty ho us Khuda se to uske aagy jhukty ho uski barai ka aitraaf kerty ho zaruri nahi k aapki her dua sirf qubuliat k liye hi maangi jaye dua Khuda se qurb barhati hy hum jab bhi mangty hy to usi se maangty hyn jis se umeed ho k wo dega to is se hmara Allah per yaqeen barhta hy k wo zaat humey hmesha sunti hy or sunegi Khuda k shukr bhi dua mai hi aata hy q k jab hum uska shukur adaa kerty hyn tab bhi apni inkisaari dikhaty hyn k hum is qabil nahi thy phr bhi humey dia or Allah ne khud farmaya hy k dua wo waahid cheez hy jo apki taqdeer bhi badl sakti hy dua insaan or Allah k darmayan ik esa ta'luq hy k agr hum dunyavi cheez mangen or wo na bhi miley to uska ajr sirf us dua ko maangne ka sawab hy humary liye q ??? q k hum ne wo dua kholoos e dil se maangi thi hum jaanty thy humara Khuda usey pora kery ga to dua basically Allah per humara yaqeen show kerti hy k hum us Khuda per kitna yaqeen rakhty hyn humey uski qudrat per yaqeen hy k nahi or her musalman is baat ko maanta hy k Allah her cheez per qaadir hy wo jo chahy kre sakta hy usey kisi ki ijazat kisi k mashwary ki qatai zarurat nahi isi liye wo Khuda hy hum insaano jesa nahi jisey her kaam k liye mashwary ki zaurat pare i hope aap ko is baat ka jawab mil gya hoga agr kuch or baaqi reh gya to plzz tell me
 
Top