a question need answer

  • Work-from-home

atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
accha janab pehli baat to ye k Allah ne khud kaha hy k mujh se maango.....great allah...that means he knows he has not given human what they deserved...so mang mang ke poori karo...aur mangne wala hamesha dene wale se chota hota hai...so his ego gets satisfied...oh i m superpower...i m the giver.....this human beings are petty...these all concepts are male chaunistics...
no....god is not like male...god is like feminine...like mother...she loves/gives without ur demand...she doesnt calculate u whether u r wrong or right...she does so much for u...but if u ask her..she will say ..i could not do much for my child..i wanted to do so much for him... for her whaever she does for u is not enough....she loves u hence she cannot see wrong in u...seen through the eyes of love all beings are beautiful,all deeds are sacred....all universe is one vast kin....
 
Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan

pehli baat jo aap ne kahi k Allah ne insaan ko wo sab nahi dia jo wo deserve kerta ye baat ghalat hy balke her cheez ko dene ka ik zaria hy aap ko roti chahiye to wo apko ghr bethy paki pakai to nahi milegi naa aap kamaen ge baazar se aata khareeden ge phr ghar la ker pakaenge right .... isi trh kuch cheezon ka waseela Allah ne dua ko rakha hy k jo hmari qismat mai esy nahi likheen lekin haan agr hum dua karen to humey mil jaen gi or jahan aap ne ego ki baat ki to ye bhi ghalat hy humey is dunia mai bhejne ka maqsad sirf Allah ki ibadat hy uski di hui zindagi ko uske hukum k mutaabiq guzarna q k ye zindagi hmesha k liye nahi qayamat k waqt jab doobara tmam insaano ko zinda kiya jayega ye sirf us waqt ki tayyari hy us zindagi ki tayyari hy jo hmesha ki hy or waha sab insaan ki marzi ka hoga or jo baat ego ki hy to uski bhi wazahat kerti chaloon k Allah ne dua ko is liye bhi rakkha k log Allah se ghaafil na hon seedhi raah pe rahen bhatken nahi ta' ke akhrat mai Allah k azaab se mumkin had tak bach saken agr aap ne Khuda k naam parhen hon to us mai REHMAN hy RAHEEM hy jin ka matlab hi rehem kerne wala hy or Allah intehaai rehm farmane wala hy lehaza jo zaat raheem hy wo kabhi apne bande k liye kuch ghalat nahi ker sakti or Allah her trh k aeb se paak hy yaha aap ne jo male or female use kia ye concept ghalat hy Khuda ki zaat in sab cheezon se bala ter hy or yaha jo aap ne kaha k maan apne bacchy ki her ghalti ko bhula ker usey her cheez deti hy to aesy bacchy boht jaldi bigr jaaty hyn aaney waly waqton mai usi maan ki nahi sunty to janab bejaa laad pyaar bhi bigaar deta hy isi liye jahan Allah ne jannat rakhi hy jahan us ne intihaayi rehm dikhaya hy insan per wohi uske bury amaal per usey dozakh k baary mai bhi bta dia hy ta' ke insan saza k khof se naik kaamon ki tarf rahy per us may Allah ka koi mafaad nahi usey kisi ki ibadat ki zarurat nahi per insan ko hy uski ibadat kerne ki zarurat q k jo acchi or sincere maaen hoti hyn wo jahan apne bachon ko pyaar kerti hyn waheen unki ghalti per unhen saza bhi deti hyn over to you atul ji
 
Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
beshaak iss main koi shaak nahi mere behan nay balkaal teek kaha .... aur yeh mere mnay hai k iss ALALH say mang kar dekhoo woh dai ga ... bass mangnai walay dil hona chaiyaa
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
"""pehli baat jo aap ne kahi k Allah ne insaan ko wo sab nahi dia jo wo deserve kerta ye baat ghalat hai"""when did i say this....this is what u r saying...not directly but indirectly....and i m just commenting in humorous way...think again ...deeply...about sentence''Allah ne khud kaha hy k mujh se maango.""and then find the relevance of my comment...do not react immediately...sit idle...repeat the sentences again and again. in ur heart ..and think/feel all interpretation possible...
other sentences can not be dealt with in one stroke....each sentence will require long discussion....
 
Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
janab lagta hy ap ne bhi meri baat ko ghor se nahi parha mai ne pehli hi line mai apki baat ka jawab de dia hy k her cheez kisi na kisi zriye se haasil hoti hy or kuch cheezen jo aapki qismat mai hoti hi nahi hyn wo bhi apko aksr DUA k zariye se mil jaati hyn Allah ko humary maangne na mangne se koi farq nahi parta ye insaan hi hy jo khwahishaat mai ghira hy or apni khwahish hum musalmaan apne Allah hi k aagy rakhty hyn k wohi jaanta hy humey is cheez ki zarurat hy k nahi or wohi hy jo apne bande k ik baar kehne per usey her cheez se nawazta shart itni hy k banda usey dil se pukary i hope apko meri baat bhi samjh agyi hogi
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
""wohi jaanta hy humey is cheez ki zarurat hy k nahi or wohi hy jo apne bande k ik baar kehne per usey her cheez se nawazta shart itni hy k banda usey dil se pukary""
wo janta hai ki hame kisi cheez ki jaroorat hai ya nahin..but wait karta hai..aap pukare to wo de...aapki maa ko pata hai aapko bhook lagi hai...par wo wait karti hai..aap mange..yadi dil se nahin mangenge to wo nahi degi...
yadi wo aapke mangne ka intezar karti hai...to use pata nahi ki aapko bhookh lagee hai...aapke mangne se oose pata chalta hai...
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
life me bahot chote chote maqsad ho sakte hai...par life ka koi maqsad nahi life ke siva.....to live fully..to learn to live...to know what does it mean by life..and through intense living reach to that point who is source of all life...
but to live is not so easy..to live means to be utter sensitive ..to be vulnerable...to be very delicate ...one who has abundant life energy are children...innocence brings life.(not ignorance please).knowledge and experience move man to death...that is why with age person become more and more experienced and knowlegeable..but becomes dry..his body and mind stiffens..he has all answers but still he lacks something fundamental...and children doesnt have any answers but still he is very beautiful and full of life....very near to allah..his heart is full of joy...dancing..
the aged person who has no ego becomes like a child again as if reborn again...and they become so beautiful...
 
Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
haar kaam main ALLAH ki koi na koi masliyaat hote hai aur aghar ALLAH nay insaan ko woh sab kuch nahi deyaa jiss ki is ko zarorat nahi hote ... aghar yeh saab hum ko bagair mahnaat k mill jataa too duniyaa ka saab nizaam hee ult pult hota
 
Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
life me bahot chote chote maqsad ho sakte hai...par life ka koi maqsad nahi life ke siva.....to live fully..to learn to live...to know what does it mean by life..and through intense living reach to that point who is source of all life...
but to live is not so easy..to live means to be utter sensitive ..to be vulnerable...to be very delicate ...one who has abundant life energy are children...innocence brings life.(not ignorance please).knowledge and experience move man to death...that is why with age person become more and more experienced and knowlegeable..but becomes dry..his body and mind stiffens..he has all answers but still he lacks something fundamental...and children doesnt have any answers but still he is very beautiful and full of life....very near to allah..his heart is full of joy...dancing..
the aged person who has no ego becomes like a child again as if reborn again...and they become so beautiful...

janaaab dunia mai aanay ka asal maqsad us zaat ko pehchanna hy jab k hum dunia mai aaty hi khuda jaane kon kon se masaail mai uljh jaty hynjanaaab dunia mai aanay ka asal maqsad us zaat ko pehchanna hy jab k hum dunia mai aaty hi khuda jaane kon kon se kaamon mai mshghool hojaty hyn aap ne kabhi apni life ka matlab dhonndne ki koshish hi nahi ki sirey se..... q k jab tk aap Khuda ko nahi jaano ge apni life ka asal maqsad haasil nahi ker paoge ye to hum ne apne maqasid set ker liye hyn doctor banna parhna likhna etc etc per jis maqsad k liye us Allah ne paida kia hy wo hy usko talash kerna usey janna usko janna usey manna or uskey honay ka iqraar kerna k wo hy or aik hi hy q k agr aik se ziada khuda hoty to dunia kesy chalti janab accha agr aik project ko 3 log handle ker rahy hon to bataiye kia hoga ...?????? aik kahy ga ye sahi hy doosra kahy ga nahi ye ziada sahi hy teesra kuch or kahy ga ya kisi na kisi mamley mai koi ikhtilaaf fitri amal hy to aap mujhy baato k ye kaynaat jo itne munazzam andaaz mai chal rahi hy to esa kesy mumkin hy k itny khudaon k honay k baad bhi ye dunia esy hi chal rahi hy haqeeqat to ye hy k Allah aik hy wo her aib se paak hy uskey sath koi nahi hy usey kisi ki mdad kisi k mashwary ki zarurat nahi hy us ne insaan ko banaya ta 'ke insaan usey pehchany uski ibadat kary humara dunia mai aany ka main main reason hi yehi hy isi liye janab aap pehle is baat ko samjhiye k zindagi deney wale ne isi liye zindagi di k hum us aik Allah ki farman bardari karen bina kisi sawal k , q k dunia sawal k liye nahi uski ataa'at k liye hy jis ka phal akhirat mai milega jis trh exams se pehl ehum poora saal acchy se parhty hyn ta' ke exmas mai pass hojaen hum ye nahi poochty k exams q hoty hyn bal ke uski tayyari kerty hyn to isi trh wo zaat jis ne paida kia uska is dunia mai bhejne ka maqsad uski zaat k aik honay ka dil se iqraar kerna hy or uskey aagy sir jhukana hy q k ye zindagi amal k liye hy ibaadat k liye hy wo hum hi hyn jo is dunia mai uljh gye hyn ye to khatam hojae gi per baqi rahe ga hmara imaan us Khuda per or is imaan k zer e saaya kiye gye naik amal or phr us dunia mai humay yaha kiye gye naik kamon ki jaza milegi is liye aap bilkul relax ho ker neutral ho ker socho k kia esa possible hy k 2 se 3 log ik ghar ko chala saken????? jahan 2,3 logon mai sirf 1 ghr ko leker phoot par sakti hy waha poori dunia ka nizaam jo ke itney munazzam tareeqy se chal raha hy na ik lamha agy na peechy suraj ghuroob hota hy raat tulu hoti hy phool apne waqt per khilty or murjhaty hyn to esa kesy hy..... hum mai or us Khuda mai yehi farq hy k humey kaam k liye logon k sahary ki zarurat hoti hy per usey kisi k sahary ki zarurat nahi usay ksi ki mdad ki zarurat nahi wo sirf chahta hy k uske bandey uski jaanib mutawajja hon or samjhen k khuda unsey kia chahta hy over to you atul jie kaamon mai mshghool hojaty hyn aap ne kabhi apni life ka matlab dhonndne ki koshish hi nahi ki sirey se..... q k jab tk aap Khuda ko nahi jaano ge apni life ka asal maqsad haasil nahi ker paoge ye to hum ne apne maqasid set ker liye hyn doctor banna parhna likhna etc etc per jis maqsad k liye us Allah ne paida kia hy wo hy usko talash kerna usey janna usko janna usey manna or uskey honay ka iqraar kerna k wo hy or aik hi hy q k agr aik se ziada khuda hoty to dunia kesy chalti janab accha agr aik project ko 3 log handle ker rahy hon to bataiye kia hoga ...?????? aik kahy ga ye sahi hy doosra kahy ga nahi ye ziada sahi hy teesra kuch or kahy ga ya kisi na kisi mamley mai koi ikhtilaaf fitri amal hy to aap mujhy baato k ye kaynaat jo itne munazzam andaaz mai chal rahi hy to esa kesy mumkin hy k itny khudaon k honay k baad bhi ye dunia esy hi chal rahi hy haqeeqat to ye hy k Allah aik hy wo her aib se paak hy uskey sath koi nahi hy usey kisi ki mdad kisi k mashwary ki zarurat nahi hy us ne insaan ko banaya ta 'ke insaan usey pehchany uski ibadat kary humara dunia mai aany ka main main reason hi yehi hy isi liye janab aap pehle is baat ko samjhiye k zindagi deney wale ne isi liye zindagi di k hum us aik Allah ki farman bardari karen bina kisi sawal k , q k dunia sawal k liye nahi uski ataa'at k liye hy jis ka phal akhirat mai milega jis trh exams se pehl ehum poora saal acchy se parhty hyn ta' ke exmas mai pah hojaen hum ye nahi poochty k exams q hoty hyn bal ke uski tayyari kerty hyn to isi trh wo zaat jis ne paida kia uska is dunia mai bhejne ka maqsad uski zaat k aik honay ka dil se iqraar kerna hy or uskey aagy sir jhukana hy q k ye zindagi amal k liye hy ibaadat k liye hy wo hum hi hyn jo is dunia mai uljh gye hyn ye to khatam hojae gi per baqi rahe ga hmara imaan us Khuda per or is imaan k zer e saaya kiye gye naik amal or phr us dunia mai humay yaha kiye gye naik kamon ki jaza milegi is liye aap bilkul relax ho ker neutral ho ker socho k kia esa possible hy k 2 se 3 log ik ghar ko chala saken????? jahan 2,3 logon mai sirf 1 ghr ko leker phoot par sakti hy waha poori dunia ka nizaam jo ke itney munazzam tareeqy se chal raha hy na ik lamha agy na peechy suraj ghuroob hota hy raat tulu hoti hy phool apne waqt per khilty or murjhaty hyn to esa kesy hy..... hum mai or us Khuda mai yehi farq hy k humey kaam k liye logon k sahary ki zarurat hoti hy per usey kisi k sahary ki zarurat nahi usay ksi ki mdad ki zarurat nahi wo sirf chahta hy k uske bandey uski jaanib mutawajja hon or samjhen k khuda unsey kia chahta hy over to you atul ji
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
khuda ko janna ?? who told u this...khuda is manifesting himself in life....and through intense living reach to that point who is source of all life....
khuda ko study kar karke or scriptures se nahi jana ja sakta...jaise prem ke bare me study karna aur prem ko jeena alag alag baat hai...prem ke bare me jankarian collect karna prem ko janna nahi hai...
 
Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
khuda ko janna ?? who told u this...khuda is manifesting himself in life....and through intense living reach to that point who is source of all life....
khuda ko study kar karke or scriptures se nahi jana ja sakta...jaise prem ke bare me study karna aur prem ko jeena alag alag baat hai...prem ke bare me jankarian collect karna prem ko janna nahi hai...

Khuda ko janna or Khuda se prem karna bhi boht alag alag baaten pr phr bhi juri hui hyn aap jab tk Khuda ko jaan nahi lety us se prem nahi ker sakty or prem us waqt tk nahi ho skta jab tk aap Khuda ko naa jan lo mai kisi scripture se nahi bata rahi apko jo kuch Allah k rasool Hazrat Mohammad (s.a.w) ne bataya wohi bata rahi hoon sirf alfaaz mery apne hyn aap batao kia aap k dil ko nahi lagta k itny saary khudaaon ko pojna ghalt hy Khuda k alag alag roopon se alag alag waqt mai pyyar kerna theek hy ya jo aik hi waqt mai apne saaey roopon k sath aapke samne hy aap usey accept kero uskey agy jhuko
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
pehle prem aata hai baad me janna hota hai...jise prem karte ho uske liye dekhne ki nighahen,tumhara heart,mind open hota hai...aur open heart and mind can onlu understand that person in deep...prem ke pehle janna superficial hota hai..
sare khudao ko koi nahi poojta...dil to ek se hi judta hai...par prem aate hi sab roopon me wohi nazar aata hai...jaise kisise aap gehra prem karte ho to koi shaqs aapke samne se jayega aapko lagega kahi ye wo to nahi..
mahira jee..for me it doesnot matter in front of whom aap sajda karte hai...aapka dil se true sajda karna brings the result...that is why it happens all over the world...diseases are cured...problems are solved...by their respective gods...
in thailand one girl was deaf and dumb..she used to go to buddha temple daily...worshipping him and asking for grace...and then one day villagers saw miracle...some divine light touched her ...and she was recovered...this was in the newspapers .....but these things are hasppening with jesus too..muhammad too....
 
lekin jis se saccha prem hota hy hum usey dil ki aankh se dekhty hyn phr chahy wo qareeb ho ya door or Allah to hmari sheh rag se bhi qareeb hy to jis se prem hy usey dekhne k liye uski moorti ki q zarurat hy kia uske honay ka yaqeen nahi hy ya jo nazr nahi aata wo hota nhi hy mery khyaal mai agr kisi se prem saccha ho to uski moorti uski tsveer ki bhi zarurat na parey q k wo dil mai basta hy or usey dil ki aankh se dekha jaata hy na k berooni aankh se or agr usey berooni aankh se dekhne ki zaroorat pesh aaye to phr aapka yaqeen nahi hy us zaat per jis se aap prem kerty ho
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
u r right...moortio ki jarurat tab tak hai jab tak aankh andar na dekhne lage...ek baar andar ke bhagwan ka darshan hua ki mortion ki jaroorat nahi...but this is possible for 1% people only...what about for 99%...
tumhari aankh benoori.....oh god...band karlo sada ke liye phir...kun benoori aankh se dekhna...aankhon pe patti bandh lo...benoori aankhen sab kuch benoor bana dengi..
 
Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
mai ne benoori nahi berooni kaha hy dear it means outer or janab moortiyon ki to koi zarurat hi nahi aap ik baar sachy dil se us Khuda ko pukariye usky aik honay ka iqrar kijiye or phr dekhiye aap ... aap ka dil khud gawahi de ga k yehi sacha rab hy or koi nahi na ye patthar na shiva na gauri koi nahi
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
tum shiva ko kahan janti ho..na to tumhe gauri ka pata hai...
andar ki aankh bhi tumhe pata nahi...wo lakhon persons me se kisi ek ki khulti hai...
unhe janne ke liye meri aankhen aur dil chahiye...kash wo aake meri jaan mang le...
 
Top