Orto ka mazaar pay jana..

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Assalam o Alykum

Waisay to sab he jantay hain k Ortoo ka mazaar or qabristaan pay jana Islam may mana ha, lakin in sab info k baad b is daur main b bohat ziyada ortein mazaro pay nazar ayein.. Last koch dayz pehle b aik aunty gher pay ayein and wo ami k sath kisi mazaar pay janay ka discuss karne lagin, halnkay wo kafi educated thein jab main ne unhe kaha k mazaar pay jana mana ha to wo aik dum se aisa react karne lagin jaisay may ne koi bohat baray gunnah ki baat kar de ho, and she said aisa koch nai, ap just jao and duwa mango qabar ko chomo nai etc etc...

ab jaisa k hamari base itni strong nai sirf ik 2 hadith he hamay maloom hain jo Islam may hain orto k mazaar pay janay se related.. so main chahti hoon k yahan details main answer dia jay and ziyada se ziyada information de jay takay ham apnay ird gird k logo ko atleast ye baat samjha sakain..

Thankz
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

bohot hi acha sawal kiya hai apne aur ye aaj sab ko samajhne ki bhi zaroorat hai
sab se pehle loog mazar pat jate kyun hain ya to unse mannat mangne apni bigdi banane apni murad poori karwane ya unki tazeem k liye to ye saare raste shirk ki taraf lejate hain mazaron par jakar aisi harkaten karna na Quran se sabit hai na Hadees se

Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne Qabron ki ziyarat k liye zaroor kaha hai jaise
Rasul sallellahu alayhi wasallam ne farmaya maine tumhe qabron ki ziyarat se mana kiya tha lekin ab ziyarat kiya karo ( Muslim )

abu huraira ra se marvi hai k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne kasrat se qabron ki ziyarat karne wali aurton par lanat farmai hai ( tirmidi )

qabrastan insaan ka akhri makaan hai aur akhirat ki awwaleen manzil, murdon ki ye basti 'qabrastan' zindon k liye ibrat gaah hai, Rasul sallellahu alayhi wasallam ne qabron ki ziyarat ka hukm farmaya kyun k qabren duniya se beragbati paida karti hain aur akhirat ko yaad dilati hain, qabar ki ziyarat ki aam ijazat hai aur wahin aurton par iski pabandi bhi hai.

duniya me shirk ki ibteda qabr se hi huyi aur aaj bhi sab se zyada shirk qabron k hi zariye hota hai qabrastan aur mazar ya dargah isme fark hai loog qabrastan me aam murdon ko dafnate hain aur mazar ya dargah me kisi naami shaqs ko aur uske sath apna dhanda shuru kardete hain Allah hame inse mehfooz rakhe Aameen

to agar maan bhi len aurten kabhi kabhar qabrastan jaasakti hai jo ke haqeeqat me mana hai to bhi uski wajhe kya honi chahiye ibrat hasil karna maut ko yaad karna aur qabar walon k liye dua karna lekin aap dekhte hain aaj mazaron par mela lagta hai aur duniya bhar k gande kaam yahin hote hain aur ibrat ki jageh ham aish karte hain aur qabar walon ko dua nahi ham khud un murdon se mangte hain jo k sara sar shirk hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Oct 18, 2009
18,710
9,640
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT

well answered Nasir bhai.....
but mujko aap is hadith ki detail batain.... coz aik din aap nay hi kaha k ziyarat sirf Allah k gher ki hay.... or kisi cheez ki nahi..
but yahan as hadith ziyarat to qabar ki bhi hoti hay....
kuch clear nahi huaa
 
Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Well said Nasir bhai

Jazak Allha Khair

Allah Tlah say Dua'a hay k hamy deen ku sahe meanaing may samjhany aur jannay ki toufeeq atta fermaye (Ameen)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
well answered Nasir bhai.....
but mujko aap is hadith ki detail batain.... coz aik din aap nay hi kaha k ziyarat sirf Allah k gher ki hay.... or kisi cheez ki nahi..
but yahan as hadith ziyarat to qabar ki bhi hoti hay....
kuch clear nahi huaa
shukran bro :)
bilkul hamne kaha hoga aur usko shayad apne theek se nahi samjha hoga
ziyarat ki niyyat aur sawab ki umeed se safar karna jayaz nahi hai sivaye teen jagahon k aur wo hain Makkah jahan Baitullah ki ziyart hoti hai aur Madeena jahan Masjid e Nabwi ki ziyarat aur teesra Palstine jahan Masjid e Aqsa hai inke ilawa kisi bhi jagah ziyarat k liye safar karna haram hai ( Bukhari )

ab rahi baat kabrastan ki to jahan bhi apke kareeb me ho wahan ibrat k liye ziyarat karen maut ko yaad karne k liye nake unse sawal karne k liye kyun k ye haq sirf Allah ka hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Oct 18, 2009
18,710
9,640
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT
yep.... agai samjh.....
other thing....

kaber ya mazar per ja ker dua kerna..... ?
kiyn k bahot say log hamaray smait.... jo kehtay hyn k Fateh parh lo... is k baray m kuch batain..

dekhiye dua kahin bhi kisi k liye bhi ki jasakti hai uske liye maqsoos jageh pe jana zaroori nahi hai haan Allah hamse sajde me sabse kareeb hota hai to Allah k liye sajda karen aur usse dua karen ya kisi k liye dua karsakte hain

qabrastan se agar hamara guzar hua ya kabhi ham ibrat k liye wahan chale gaye to Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne hame bataya hai k ham kya karen kayi sahi ahadees se ye dua sabit hai aur aap to masha Allah Saudi Arab me rehte hain kabhi qabrastan pe se guzren honge to dekhe honge wahan board likha hota hai dua k sath

lekin fateh padhna ya quran padhna mana hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
nasir bro sorry but mge ap k answer ki samj nai ai. Koch jaga ap ne kaha k qabristan jana chaie ibrat k lie n dosri tarf kaha k lannat ha orto py. Ap kindly apna detailed answer sirf orto c related dain. Is lannat k ilawa b Quran or Sunnah may koch irshadad hain to share karain. Thx
 
  • Like
Reactions: Sabah

New Wolf

TM Star
Jul 17, 2010
9,253
3,441
113

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

bohot hi acha sawal kiya hai apne aur ye aaj sab ko samajhne ki bhi zaroorat hai
sab se pehle loog mazar pat jate kyun hain ya to unse mannat mangne apni bigdi banane apni murad poori karwane ya unki tazeem k liye to ye saare raste shirk ki taraf lejate hain mazaron par jakar aisi harkaten karna na Quran se sabit hai na Hadees se

Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne Qabron ki ziyarat k liye zaroor kaha hai jaise
Rasul sallellahu alayhi wasallam ne farmaya maine tumhe qabron ki ziyarat se mana kiya tha lekin ab ziyarat kiya karo ( Muslim )

abu huraira ra se marvi hai k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne kasrat se qabron ki ziyarat karne wali aurton par lanat farmai hai ( tirmidi )

qabrastan insaan ka akhri makaan hai aur akhirat ki awwaleen manzil, murdon ki ye basti 'qabrastan' zindon k liye ibrat gaah hai, Rasul sallellahu alayhi wasallam ne qabron ki ziyarat ka hukm farmaya kyun k qabren duniya se beragbati paida karti hain aur akhirat ko yaad dilati hain, qabar ki ziyarat ki aam ijazat hai aur wahin aurton par iski pabandi bhi hai.

duniya me shirk ki ibteda qabr se hi huyi aur aaj bhi sab se zyada shirk qabron k hi zariye hota hai qabrastan aur mazar ya dargah isme fark hai loog qabrastan me aam murdon ko dafnate hain aur mazar ya dargah me kisi naami shaqs ko aur uske sath apna dhanda shuru kardete hain Allah hame inse mehfooz rakhe Aameen

to agar maan bhi len aurten kabhi kabhar qabrastan jaasakti hai jo ke haqeeqat me mana hai to bhi uski wajhe kya honi chahiye ibrat hasil karna maut ko yaad karna aur qabar walon k liye dua karna lekin aap dekhte hain aaj mazaron par mela lagta hai aur duniya bhar k gande kaam yahin hote hain aur ibrat ki jageh ham aish karte hain aur qabar walon ko dua nahi ham khud un murdon se mangte hain jo k sara sar shirk hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
very nice & beautiful answer...{(ok)}
 
MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...

Summa Ameen @Nasir
JazakALLAH khair....

actually mein bhi es sawal ka jawab janna chahte thi
es topic k mutaliq kafi mukhtalif jawabat milay hai hamesha.....
still clear nahi hua hai....

above hadess mei aap ne bayan kiya hai...:

(Rasul sallellahu alayhi wasallam ne farmaya maine tumhe qabron ki ziyarat se mana kiya tha lekin ab ziyarat kiya karo ( Muslim )...)

yaha pe ziyarat jane ka ijazat diya hai....matlab sirf mardo ko ya generally both...???
plz zara clear kare....

waiting for ur reply....
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
nasir bro sorry but mge ap k answer ki samj nai ai. Koch jaga ap ne kaha k qabristan jana chaie ibrat k lie n dosri tarf kaha k lannat ha orto py. Ap kindly apna detailed answer sirf orto c related dain. Is lannat k ilawa b Quran or Sunnah may koch irshadad hain to share karain. Thx

jee apko samjhate hain pehle khabron par jana aam tha to Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne isko mana kardiya phir jab ijazat di to isme sirf mard shamil the aurten nahi aur ye baat in ahadees se wazeh hoti hai

Abdullah bin abbas (ra) se riwayat hai-"Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne qabron ki ziyarat ke liye aane waali aurton, qabron par sajdagaah banane walon par aur unpar chiraag jalaane walon par laanat farmayi hai" ( abu dawood, tirmizi, nisai )

ek aur Hadis Mai hai "ALLAH ki Lanat un Auraton par jo Qabaron ki Ziyarat ko jayen_"

Quran me saaf hai k Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ki itaat karo to hamare samne Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ki hadees hai to bas hame isko bina chu charan manna chahiye

Summa Ameen @Nasir
JazakALLAH khair....

actually mein bhi es sawal ka jawab janna chahte thi
es topic k mutaliq kafi mukhtalif jawabat milay hai hamesha.....
still clear nahi hua hai....

above hadess mei aap ne bayan kiya hai...:

(Rasul sallellahu alayhi wasallam ne farmaya maine tumhe qabron ki ziyarat se mana kiya tha lekin ab ziyarat kiya karo ( Muslim )...)

yaha pe ziyarat jane ka ijazat diya hai....matlab sirf mardo ko ya generally both...???
plz zara clear kare....

waiting for ur reply....
Allahi barik feek :)

yahan par sirf mard murad hai agar ye hukm aam hota dono k liye hota to phir aurton par lanat wali hadees nahi hoti isse saaf zaher hai k sirf mardon k liye hai aur wo bhi ibrat k liye na k kisi khaas waqt k liye

aur ek baat zahen me rahe k mazar aur qabrastan do alag cheezen hain ibrat k liye qabrastan jaya jata hai mazar to ek shirk ka adda hai wo to ek dhanda hai jo islam k dakuon ne banaya hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: hoorain

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
JazakAllah Khair Saviou buhut he ache tareeke se aapne answer diya and thanks to Redrose as well k unhone Aurton k bare mei phirse wazahat se info mange jess se topic aur bhi clear taur pe explain hue and we All have to forward this msg to all those who belives in mazaar and All that...
 
  • Like
Reactions: RedRose64
Status
Not open for further replies.
Top