*** Islamic QUIZ ***

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
koi ji nahi jis per ae nahi ak nigahban"

is ka matlb?
At-Tariq (86) Ayat (verse) No.: 4

إِن كُلُّ نَفْسٍ لَّمَّا عَلَيْهَا حَافِظٌ http://quran.al-islam.com/Recite/CRecite_g2.asp?s=86&f=4&Reciter=1

No human soul but hath a guardian over it .

koi aisa nahi jispar nigehbaan farishta na ho

yane har nafs par Allah ki taraf se farishte moqarrar hain jo iske ache ya bure sare amal likhte hain, baaz kehte hain ye insano ki hifazat karne wale farishte hain, jaise k sure raad ki ayat no 11 se maloom hota hai k insan ki hifazat k liye bhi insan k aage piche farishte hote hain jis tarah qaul o fail likhne wale hote hain
 
*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan

ji yahi lagta h k koi hifazet karta h insan ki allah ki taref s:)
 
*lucky*

Newbie
Aug 9, 2010
4,386
1,581
0
sweet home
Aslamoalikumfriends :)

here is question and i need its answer...

Q: Ghazwa Khandak me musalmaano ka muhasra kitne dino tuk jaari raha?
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Aslamoalikumfriends :)

here is question and i need its answer...

Q: Ghazwa Khandak me musalmaano ka muhasra kitne dino tuk jaari raha?
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

Ghazwa e khandaq k mutalliq kayi ahadees aayi hain jinko ibn katheer ne apni tafseer me naqal kiye hain aur wo batate hain ki Gazwa e khandaq me musalmano ka muhasra ek mahina chala

wo aisa Gazwa tha jisme bina hamle k bina kisi nuqsan k Allah ki madad se fateh mili thi jisme kadaq khodne me kaafi mashaqat karni padhi khud Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam khandaq khodne me shareeq the aur ye salman farsi r.a k mashware se aur Allah k hukm se shuru hua tha

mazeed isk liye hamne ek thread banaya hai aap uspar nazar dalen :)
http://www.tafrehmela.com/islamic-waqiat/136489-ghazwa-e-khandaq.html#post741964
 
thanx saviou :)
 
Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
mera yeh question hai ke larkiyan itekaf mei kaise beith sakti hein?...ghar mei beithna theek hai?..
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
mera yeh question hai ke larkiyan itekaf mei kaise beith sakti hein?...ghar mei beithna theek hai?..
Jazakallah khair bro

bohot hi ahem sawal kiya hai apne

iss mamle me bohot si khatayen aur gair shari kaam hote hain jisse ham gaur nahi karte

halanke har cheez wazeh hai

ayiye Quran se puchte hain Itekaf k bare me

Al-Baqara (2) Ayat (verse) No.: 187

وَلاَ تُبَاشِرُوهُنَّ وَأَنتُمْ عَاكِفُونَ فِي الْمَسَاجِدِ تِلْكَ حُدُودُ اللّهِ فَلاَ تَقْرَبُوهَا كَذَلِكَ يُبَيِّنُ اللّهُ آيَاتِهِ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمْ يَتَّقُونَ http://quran.al-islam.com/Recite/CRecite_g2.asp?s=2&f=187&Reciter=1

and touch them not , but be at your devotions in the masjids . These are the limits imposed by Allah , so approach them not . Thus Allah expoundeth His revelations to mankind that they may ward off ( evil ) .

aur aurton se is waqt mubashirat na karo jabke tum masjidon me itekaf me ho ye Allah tala k hudood hain tum inke qareeb bhi na jao is tarah Allah tala apni ayaton ko logon k liye bayan farmata hai take wo bachen

عَاكِفُونَ فِي الْمَسَاجِدِ

isse istedlal kiya gaya hai k itekaf k liye Masjid zaroori hai chahe mard ho ya aurat
Azwaaj mutaharat ne bhi Masjid me Itekaf kiya hai
isliye aurton ka apne ghar me itekaf par baithna sahi nahi
albatta Masjid me inke liye har cheez ka mardon se alag intezam karna zaroori hai taake mardon se kisi tarah ka ikhtelat naho jab tak masjid me maqool, mahfooz aur mardon se bilkul alag intezam na ho aurton ko masjid me itekaf baithne ki ijazat nahi deni chahiye aur aurton ko bhi is par israr nahi karna chahiye..
fiqh ka asool hai masaleh k hasool k muqable mafasid se bachna aur inko talna zyada zaroori hai

umeed hai sari baat wazahat k sath aagayi hogi

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
JazkAllah bro..Allah apko hamesha khush rakhein..AMEEN
 
MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...

JazakAllah Nasir
bht important sawal kiya PF ne...
actually mei bhi es bare mei janna chahte thi
everything is clear now
just wana know k above app ne kaha k agar intezam mardo se alag na ho to aurto ko masjid mei jane ka ijazat nhi dena chaiye
matlab itekaf bhi nhi karna chaiye aurto ko??
plz explain.....
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

JazakAllah Nasir
bht important sawal kiya PF ne...
actually mei bhi es bare mei janna chahte thi
everything is clear now
just wana know k above app ne kaha k agar intezam mardo se alag na ho to aurto ko masjid mei jane ka ijazat nhi dena chaiye
matlab itekaf bhi nhi karna chaiye aurto ko??
plz explain.....
Allahi barik feek sana :)

jaise k hamne kaha itekaf ek nafil ibadat hai
lekin aurat ka tahaffuz mushre k liye farz hai agar masjid me alag se intezam na ho to phir iqtelat hoga aur ibadat ki jageh waswasais dil me paida hongi almuhim alag intezam hona zaroori hai agar na ho to aurton ko bhi samajhna chahiye haan ye baat hai agar intezam ho alag se aur mard roken to ye theek nahi Allah ki bandion ko masjid jaane se nahi rokna chahiye jab unke liye mehfooz alag sa intezam ho

nafil ibadat kabhi farz par galib nahi aasakti ye baat dhyan me honi chahiye

umeed hai baat samajhme agayi hogi

Top