*** Islamic QUIZ ***

  • Work-from-home

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
nasir bhia FASIQ kis insan ko kehtay hay?
kia jo jhot bolta hay,wo fasiq kehlata hay?
 
Anokhi

Active Member
Sep 13, 2010
176
42
728
khawabon sa bhary Naina
Aslamoalikum wrwb........
humhy aik sawal pouchna hai
insan ki mout ka wqt aur jisy insan ki mout honi hai us ka bary mai Allah na tah ker rakha hota hai. per jo khud kushi kerty hai un ka bary mai kiya kaha ja sakta hai.
hamary haan jo khud kush dhamaky hoty hai us mai jo shaks khud kush hamla awar hota hai us ki mout ka bary mai kiya kaha ja skta hai.
aur jo log us dhamaky mai shahid hoty hai un ki mout ka wqt aur tareqy ka bary mai kiya kaha ja skta hai.
 
*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan
is ayet ka log galet matleb nikalte hen .ager apne kissi ka guest mardiyya to wo apka guest mar dete hen kehte hen y islam m h gulam k badle gulam to guest k badle guest
jabke saza us ko milni chahiyye jis n qusoor kiyya
 
Oct 18, 2009
18,710
9,640
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT
hmm.. choti yeh to sab ko pata hay k pani kharay ho kr nhi pina chahiye.. but wazeh daleel to savoiu bro hi daingay...

pani beth kr bismillah prh kr teen saanso m peena chahiye. pehlay aik ghoont phir dosray saans k baad dosra ghoont phir tesray saans m jitna p sktay hain..

or kharay ho kr or Qibla ro mun kr kray sirf Aab-e-Zam Zam peena chahiye.. or vo b aik hi saans may.

saviou bro.. plz thora explain kr dain :s
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
aslamoalikum wrwb........
humhy aik sawal pouchna hai
insan ki mout ka wqt aur jisy insan ki mout honi hai us ka bary mai allah na tah ker rakha hota hai. Per jo khud kushi kerty hai un ka bary mai kiya kaha ja sakta hai.
السلام علیکم ورحمتہ اللہ
محترمہ آپ اپنے سوالات کے جوابات سمجھنے کے لئے ایک تو یہ بات ذہن نشین کرلیجیے کہ موت کا وقت اٹل ہے .... کوئی اپنی موت سے ایک سیکنڈ نہ تو پیچھے جاسکتا ہے اور نہ آگے جاسکتا ہے ....
صحیح حدیث پاک میں آتا ہے :
حضور اکرم صلیٰ اللہ علیہ وسلم فرماتے ہیں کہ تم میں سے ہر ایک کی پیدائش چالیس دن تک ماں کے پیٹ میں جمع ہوتی ہے ...پھر وہ چالیس دن تک خون بستہ کی شکل میں رہتا ہے پھر وہ چالیس دن تک گوشت کے لوتھڑے کی صورت میں رہتا ہے پھر اللہ تعالیٰ فرشتے کو بھیجتا ہے جو اس میں روح پھونکتا ہے اور بحکم تعالیٰ چار باتیں لکھ لی جاتیں ہیں ،روزی ، اجل ، عمل ،نیک یا بد ،بھلا یا برا ہونا .
صحیح بخاری ح : 3208 (صحیح مسلم ح : 2673)

یعنی ہر انسان کی پیدائش سے قبل ہی اُس کی روزی ، موت اور نیک یا بد ہونا لکھ دیا جاتا ہے ...یہی تقدیر ہے

غزوہ احد کے موقعہ پر جب منافقین میدان احد سے قبل ہی لوٹ گئے اورغزوہ احد میں جب ستر سے زائد صحابہ کرام کی شہادت ہوئی تو منافقین کہنے لگے کہ دیکھا ہماری بات مان لیتے تو یہ لوگ نہ مارے جاتے

اس پر آیت مبارکہ کا نزول ہوا
:
الَّذِينَ قَالُوا لِإِخْوَانِهِمْ وَقَعَدُوا لَوْ أَطَاعُونَا مَا قُتِلُوا ۗ قُلْ فَادْرَءُوا عَنْ أَنفُسِكُمُ الْمَوْتَ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ
الخ اٰل عمران 168 پارہ 4
ترجمہ :یہ وہ لوگ ہیں جو اپنے بھائیوں سے کہتے ہیں حالانکہ خود بیٹھ رہے تھے اگر وہ ہماری بات مانتے تو قتل نہ کیے جاتے کہہ دو اگر تم سچے ہو تو اپنی جانوں سے موت کو ہٹا دو
اس آیت کی تفسیر میں ابن کثیر رحمتہ اللہ علیہ لکھتے ہیں کہ اللہ تعالیٰ فرماتا ہے کہ منافقین کی چھپی ہوئی باتوں کا مجھے علم ہے ،یہ وہ لوگ ہیں جو اپنے بھائیوں کو کہتے ہیں کہ اگر یہ ہمارا مشورہ مانتے اور جنگ میں شرکت نہ کرتے تو ہرگز نہ مارے جاتے ... اس کے جواب میں اللہ رب العزت کا ارشاد ہوا کہ اگر یہ ٹھیک ہے اورتم اپنی بات میں سچے ہو کہ بیٹھ کے رہنے اور جنگ میں نہ نکلنے سے انسان قتل و موت سے بچ جاتا تو چاہیے کہ تم مرو ہی نہیں اس لئے تم تو گھروں میں بیٹھے ہو لیکن ظاہر ہے کہ ایک دن تم بھی چل بسو گے چاہے تم مضبوط برجو میں پناہ گذین ہوجاو، پس ہم تو تمہیں تب سچا مانیں گے کہ تم موت کو اپنی جانوں سے ٹال دو

یہاں یہ بات بالکل واضح ہوجاتی ہے کہ موت کا ایک وقت مقرر ہے اور جب موت کا وقت آتا ہے تو کوئی بھی اپنی موت کو ایک لمحہ اور ایک سیکنڈ بھی نہیں ٹال سکتا

اس طرح آپ کی پہلی بات کا جواب یہ ہے کہ انسان کی اجل اس کی پیدائش سے قبل ہی لکھ دی جاتی ہے اور ہرشخص کی موت کا حتمی طور پر بغیر کسی تردد کے علم الٰہی میں ایک وقت مقرر ہے جس سے کسی حال میں ایک گھڑی نہ دیر ہوسکتی ہے نہ ہی وقت سے ایک سیکنڈ جلدی ہوسکتی ہے ... تو اس لحاظ سے خود کشی کرنے والے کی موت کا وقت پورا ہوچکا ہوتا ہے.

hamary haan jo khud kush dhamaky hoty hai us mai jo shaks khud kush hamla awar hota hai us ki mout ka bary mai kiya kaha ja skta hai.

اوپر والی تفصیل کے بعد امید ہے کہ آپ کو یہ نقطہ بھی کلئیر ہوگیا ہوگا

aur jo log us dhamaky mai shahid hoty hai un ki mout ka wqt aur tareqy ka bary mai kiya kaha ja skta hai.

مندرجہ ذیل بیماریوں میں انتقال کرنے والوں کو احادیث مبارکہ میں شہید کہا گیا ہے: طاعون سے مرنے والا، پیٹ کی بیماری میں مرنے والا، ذات الجنب (نمونیہ) میں مرنے والا، بخار میں مرنے والا، سل (دق) میں مرنے والا، مرگی میں مرنے والا، دبلاہٹ کی بیماری میں مرنے والا، ان لوگوں کو حدیث میں شہید کہا گیا ہے۔
(مرقاة، ومظاہر حق جدید، بحوالہ ابواب السعادة فی اسباب الشہادة للسیوطی)
یہ لوگ حکماً شہید ہیں یعنی ان کا درجہ تو وہ نہیں جو حقیقی شہید کا ہوتا ہے تاہم اللہ اپنے فضل و کرم سے شہید کا سا ثواب ان کو دیتا ہے۔
اسی طرح احادیث پاک میں حادثات میں انتقال کرنے والوں کو بھہ شہید کہا گیا ہے، وہ بھی آخرت کے اجر و ثواب کے اعتبار سے ہے۔ شہید کے دنیوی احکام (یعنی غسل و کفن نہ دیا جانا) ان پر جاری نہیں ہوں گے۔

واللہ و اعلم بالصواب
 
Anokhi

Active Member
Sep 13, 2010
176
42
728
khawabon sa bhary Naina
app ka bht bht shukriya hamary sawal ki wajhat kerny ka liya:)
aik jo ka khas point tha usy hum sumjhe nhi paye aur wo ya ka khud kushi tu hamary mazhab mai haram hai.
jo shaks khud kushi kerta hai us ka tareeq a mout aur waqt e mout bhi muqarar hota hai per khud ksuhi tu haram hai aur is ka gunnah hota hai.
umeed hai app hamary sawal ko sumjhe gaye hon ga.
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
app ka bht bht shukriya hamary sawal ki wajhat kerny ka liya:)
aik jo ka khas point tha usy hum sumjhe nhi paye aur wo ya ka khud kushi tu hamary mazhab mai haram hai.
jo shaks khud kushi kerta hai us ka tareeq a mout aur waqt e mout bhi muqarar hota hai per khud ksuhi tu haram hai aur is ka gunnah hota hai.
umeed hai app hamary sawal ko sumjhe gaye hon ga.
السلام علیکم ورحمتہ اللہ !
آپ یہ بات سمجھنے کے لئے چند باتیں ذہن نشین کرتی چلیں تاکہ آپ کو اپنے سوال کا جواب سمجھنے میں آسانی رہے

اللہ تعالیٰ کا علم ازلی ہے اور جمیع ماکان و مایکون سے متعلق ہے اس لیے جو کچھ ہوچکا یا ہورہا ہے یا ہونے والا ہے، سب چیزوں کا اللہ تعالیٰ کو علم ہے اور اسی کے مطابق اللہ تعالیٰ نے بندوں کی تقدیریں لکھ دی ہیں، ارشاد ہے: جف القلم بما أنت لاق (مشکوٰة) جو کچھ تم کو پیش آنے والا ہے تقدیر کا قلم اس کو لکھ کر خشک ہوچکا ہے۔

بندہ کو اللہ تعالیٰ نے صحیح اورغلط کی تمیز کرنے کے لیے عقل سلیم عطا فرمائی ہے ، ارشاد ہے: کل مولود یولد علی الفطرة (مشکوٰة) ہرپیدا ہونے والا بچہ فطرت سلیمہ پر پیدا ہوتا ہے اس کو عقل سلیم عطا ہوتی ہے پھر ماحول و تربیت کے اثرات سے متأثر ہوکر آدمی کی عقل میں کجی پیدا ہوتی ہے۔

اللہ تعالیٰ نے ہدایت و ضلالت کا راستہ سجھانے کے لیے حضرات انبیائے کرام علیہم السلام کو مبعوث فرمایا،
ارشاد ہے : وَہَدَیْنَاہُ النَّجْدَیْنِ۔ الخ (البلد آیت 10 پارہ 30) ہم نے انسان کو بواسطہ انبیاء ہدایت و ضلالت کے دونوں راستے بتلادیئے..
.اوراللہ رب العزت نے اچھے کام کے کرنے پر اجر و ثواب کا وعدہ فرمایا اور برے کاموں کے کرنے پر عذاب و سزا مقرر کی ہے۔

پھر انسان کو نہ تو نہ پورے طور پر خود مختار کیا اور نہ مجبور محض پیدا کیا ہے ... بلکہ اس کو اختیار دیا ہے کہ عقل کے فیصلہ اور نبی کی بتلائی ہوئی ہدایت سے جس اچھے کام کو کرنا چاہے وہ اپنے اختیار سے کرسکتا ہے۔ اجر و ثواب یا سزا و عذاب اسی اختیارسے جڑا ہوا ہے، یعنی بندہ جب اپنے ارادہ و اختیار سے اچھا کام کرتا ہے تو ثواب کا مستحق ہوتا ہے اور جب برے کام اپنے ارادہ و اختیار سے کرتا ہے تو سزا کا مستحق ٹھہرتا ہے تو بندہ جو کچھ اپنے ارادہ و اختیار سے کرتا ہے اللہ تعالیٰ کو اپنے علم ازلی کی بنا پر اس کا علم ہے اور تقدیر میں لکھا ہوا ہے۔ اور جزا و سزا کا تعلق بندہ کے ارادہ و اختیار کے ساتھ ہے۔ یعنی بندہ اپنے ارادہ و اختیار سے کوئی کام کرتا ہے تو اس کے پیدا ہونے والے نتائج کا ذمہ دار قرار دیا جاتا ہے۔
اب جبکہ انسان کو اچھے برے دونوں راستے بتادئیے گئے... اور پھر اس کو دونوں راستوں میں سے کسی بھی راستے کا انتخاب کرنے کا اختیار دیا گیا ....اس کے بعد اگر کوئی انسان بھلائی کا راستہ چھوڑ کر برائی کا راستہ اختیار کرتا ہے تو یہ انسان کی غلطی ہے ..... اور یہ اللہ رب العزت کا علم ہے کہ وہ جانتا ہے کہ کون سا انسان کون سا راستہ منتخب کرے گا.....

اس کی آسان مثال یوں بھی سمجھ سکتی ہیں کہ آپ یہ تحریر پڑھتے ہوئے ایک دفعہ کلمہ پڑھیں .....
اب اگر آپ نے کلمہ پڑھ لیا یا آپ نے کلمہ نہیں پڑھا ..... تو یہ اختیار آپ کے پاس تھا کہ آپ کون سا عمل کرتیں ہیں .....
اور جو بھی عمل آپ نے اختیار کیا وہ آپ کی تقدیر کا حصہ تھا....جو ازل سے ہی اللہ رب العزت کے علم میں ہے.
لیکن اختیار آپ کے پاس تھا کہ آپ جو چاہیں عمل کرسکتیں تھیں

اور آخری بات یہ کہ اللہ تعالیٰ نے جنت کے عوض میں ہمارے جسم کو خرید لیا ہے۔ ہم اپنے جسم کے خود مالک نہ رہے کہ جس طرح چاہیں تصرف کریں۔ اسی حالت میں اپنے جسم کو خود کشی کرکے ہلاک کرنا، یہ بیجا تصرف ہے جو بلاشبہ حرام ہے۔

اور ایک اور آخری گذارش یہ کہ تقدیر کے مسئلہ میں بحث ومباحثہ جھگڑا ونزاع ممنوع ہے، یہ مضمون احادیث مبارکہ سے ثابت ہے... آپ کے ذہن میں جب بھی ایسے خیالات آئیں تو فورا ’’اعوذ باللہ من الشیطن الرجیم‘‘ پڑھ لیا کریں.

اللہ تعالیٰ ہم سب کو دین کی صحیح سمجھ اور عمل کی توفیق عطاء فرمائے آمین

  • Like
Reactions: Anokhi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Aslamoalikum wrwb........
humhy aik sawal pouchna hai
insan ki mout ka wqt aur jisy insan ki mout honi hai us ka bary mai Allah na tah ker rakha hota hai. per jo khud kushi kerty hai un ka bary mai kiya kaha ja sakta hai.
hamary haan jo khud kush dhamaky hoty hai us mai jo shaks khud kush hamla awar hota hai us ki mout ka bary mai kiya kaha ja skta hai.
aur jo log us dhamaky mai shahid hoty hai un ki mout ka wqt aur tareqy ka bary mai kiya kaha ja skta hai.
app ka bht bht shukriya hamary sawal ki wajhat kerny ka liya:)
aik jo ka khas point tha usy hum sumjhe nhi paye aur wo ya ka khud kushi tu hamary mazhab mai haram hai.
jo shaks khud kushi kerta hai us ka tareeq a mout aur waqt e mout bhi muqarar hota hai per khud ksuhi tu haram hai aur is ka gunnah hota hai.
umeed hai app hamary sawal ko sumjhe gaye hon ga.
Wa Alaykum Assalam Wrwb

bohot hi acha sawal kiya apne anokhi apke iss sawal se bohot se logon ko faida hua hoga aur khas kar hame har sawal se kaafi kuch sikhne ko milta hai kyun k ham sawal k baad uski tahqeeq me lagjate hain aur phir uska jawab dete hain

Alhamdulillah hamare bhai Nasirnoman ne kaafi wazahat k sath Quran aur Hadees k dalail ki roshni me apko jawab diye hain

mazeed to isme kuch izafe ki zaroorat nahi hai phir ham apko mote mote alfazon me samjhane ki koshish karte hain dalail to apse samne maujood hain jo nasirnoman ne diye hain

Allah rabbul izzat har cheez par qudarat rakhta hai aur insaan ki paidaish se hazaron saal pehle se Allah ko har insaan har maqlooq ka ilm hai

jaise k nasirnoman ne akhir me kaha taqdeer k masle me bahes mubahasa mana hai kyun k isme insan ko bahekne k kaafi imkanat hai isme hame ulajhna nahi chahiye

Allah rabbul izzat ne hame paida kiya aur phir hamari rehnumai k liye ambia bheje aur unsab ki akhri kadi Janab e Mohammad ibn Abdullah sallellahu alayhiwasallam hain ab unke baad koi nabi nahi aane wale issi liye hamari rehnumai k liye qayamat ki subah tak k liye hidayat falah kamiyabi rehnumai k liye akhir kitab Quran aur Allah k rasul sallellahu alayhiwasallam k farmanat ahadees ki shakal me muajood hain jinse ham jab tak chimte rahenge kabhi gumrah nahi honge

Al muhim insan ki paidaish uski maut uska rizq aur uske maut ki jageh Allah ne muqarrar kardi hai jinke dalail apne upar dekhe honge

apke zahen me ye baat aayi hogi k khudkush dhamake aur khud kushi se jo marte hain unka kya
kya Allah ne un ki kismat me khudkushi karna likha hai phir to unki kya galti

Allah ne likha k wo khudkushi karega isliye usne khudkushi nahi ki balke Allah ko ye ilm tha k wo khud kushi karega aur wo ilm ki bina par Allah ne uski taqdeer me ye likha

bhala ap hi sochen kayi loog zina karte hain sharab pite hain shirk karte hain to kya Allah aise likhega aur insan ko majboor karenge ye sab haram kam karne aur phir unko saza dega har giss nahi Allah to raheem hai kareem hai gafoor hai

usne insaan ko paida kiya aur ambia aur kitabon k zariye bata diya k ye sahi rasta hai aur ye galat jo sahi rasta ikhtiar karega usk liye kamiyabi aur jannat hai jo galath rasta ikhtiar karega uske liye barbadi hai jahannum hai

ye raste dikhane k baad Allah tala ne insaan ko ikhtiar dediya ko tum jaise amal karoge waise tumhe jaza ya saza milegi ab agar insaan galat kaam kare badkari kare shirk kare to phir ye usne khud kiye hain Allah ne nahi karwaye isliye wo khud apne aamal ka zimmedar hai

chunke Allah aleemul gaib hai usko har cheez ka ilm hai usko pata hai k wo aisa karega isliye unse aise likha haan paidaish aur maut ka waqt Allah ne khud tai kiya hai usme insaan ka koi dakhal nahi

ab jo khud kushi ki maut marta hai to uske liye to wo waqt muqarrar tha agar wo khud kushi na karta phir bhi marta lekin usne galat rasat ikhtiar kiya aur jahannum ka mustahiq bana

khud kushi karne walon ki janaze ki namaz Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam nahi padhate the
Allah hame aise amal se mehfooz rakhe Aameen

ek do misaal apke samne rakhte hain

jaise class ka teacher hota hai aur wo ye nadazatan kehta hai falan student awwal no me paas hoga aur falan fail hoga ab result bhi takreeban aise hi aata hai wo teacher ne kaha ye paas hoga ye fail isliye wo paas fail nahi huye balke teacher ne unko padhaya tha aur teacher ko ye pata tha k ye ladka acha padhta hai to ye paas hoga aur ye ladka theek se nahi padhta isliye wo fail hoga ab iska zimmedar kaun hai khud wo ladka issi tarah Allah ko pata tha k ye insaan iase amal karega isilye usne likha

aur ek misaal sahi hadees me aata hai k umar r.a ne apne ek gulaam k azad kiya aur socha k usko ziraa jo ghar me hai wo dedete hain uske kuch kaam ajaye jab wo lene jate hain to uno wo nahi milti phir jab apne ek sahabi k paas dekhte hain to dariaft karte hain to pata chalta hia k wo gulam ne hi churai thi aur inko bech di to umar r.a kehte hain subhan Allah kitna besabra hai insaan Allah ne uski taqdeer me ye zira likhi thi wo sabr karta to usko halal zariye se milti sabr nahi kiya aur haram me mubtila hogaya ( hadees k alfaz ek dam aise nahi agar koi kami hai to ilm wale isko pura kar sakte hain)

to insaan ne wo cheez jo uski taqdeer me hai wo milni hi hai agar wo sabr karta aur sahi raste par rehta to wo cheez uko milni thi miljati halal zariye se lekin usne wo apni khudi se galat tareeqe se hasil ki

Quran me ki ye do ayaton par kuch tabsira karte hain

Maryam (19) Ayat (verse) No.: 56-57

وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِدْرِيسَ إِنَّهُ كَانَ صِدِّيقاً نَّبِيّاً http://quran.al-islam.com/Recite/CRecite_g2.asp?s=19&f=56&Reciter=1

And make mention in the Scripture of Idris . Lo! he was a saint , a Prophet ;

Aur is kitab me Idris a.s ka bhi zikr kar wo bhi neik kirdar paingambar tha

وَرَفَعْنَاهُ مَكَاناً عَلِيّاً http://quran.al-islam.com/Recite/CRecite_g2.asp?s=19&f=57&Reciter=1

And We raised him to high station .

hamne usse buland maqam par utha liya

kuch mufassareen is aayat ko israili riwayat se milate hain jisme hai ki Idris a.s ki maut asmani duniya me huyi aur wo kis tarah asman par jate hain phir wahan unki ruh kabz hoti hai wallahu aalam

isse ham ye batana chahte hain ki insaan ki maut aur jaghe tai hai ab insan ne khud wahan jane ka tareeqa ihtiar karna hai agar wo sahi se jayega to bhi marna hai galat se bhi to marna hai bas sahi se jayega to baad ki zindagi kamiab hai

umeed hai ki abhi apko sab wazeh hogaya hoga
agar abhi bhi kuch baki hai to aap zaroor puchen :)
insha Allah ham koshish karenge apko aur wazahat k sath batayen aur aap apna jo bhi dout hai khule alfazon me puchen taake jawab dene me aasani ho

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
nasir bhia FASIQ kis insan ko kehtay hay?
kia jo jhot bolta hay,wo fasiq kehlata hay?
fusq itaat ilahi se khuruj ko kehte hain yane Allah ki itaat se bahar aana Allah ki itaat na karna aur fasiq wo hai jo Allah ki nafarmani kare kabira gunah kare jaise zina, sharab etc aur ye aise hi apni zindagi me barkarar rakhe to phir wo kufr k kareeb pahunch jata hai aur islam se kharij agar sath hi tauba karle to gunehgar to rehta hai lekin islam se kharij nahi hota ab yom e qayamat Allah par hai ki usse chahe to maaf kare ya saza de

kuch Qurani aayat apke samne rakhte hain jisko padh kar aapko samajh me aajayega waise to kayi ayaten hian Quran me par ham thore apke samne pehs karte hain insha Allah

Verily, Allah is not ashamed to set forth a parable even of a mosquito or so much more when it is bigger (or less when it is smaller) than it. And as for those who believe, they know that it is the Truth from their Lord, but as for those who disbelieve, they say: "What did Allah intend by this parable?" By it He misleads many, and many He guides thereby. And He misleads thereby only those who are Al-fasiqun (the rebellious, disobedient to Allah ).
( سورة البقرة , Al-Baqara, Chapter #2, Verse #26)

And indeed We have sent down to you manifest Ayat (these Verses of the Qur'an which inform in detail about the news of the Jews and their secret intentions, etc.), and none disbelieve in them but fasiqun (those who rebel against Allah's Command).
( سورة البقرة , Al-Baqara, Chapter #2, Verse #99)

Then whoever turns away after this, they are the fasiqun (rebellious: those who turn away from Allah's Obedience).
( سورة آل عمران , Aal-e-Imran, Chapter #3, Verse #82)

jhoot bolne wala agar apni aadat aise hi rakhe tauba na kare us pa qaim rahe yane jhoot par to phir wo Allah ka nafarman aur fasiq hojayega agar kabhi kabhar bolle aur tauba karle to phir wo fasiq nahi wallahu aalam

Allah hame deen ki sahi samajh aat farmaye Aameen
 
jazak Allah nasir bhai,bht bht shukriya apka,yes ab samaj agiya hay k fasiq ki tashreeh kia hay,Allah hamay kamil iman naseeb karay,ameen
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
is ayet ka log galet matleb nikalte hen .ager apne kissi ka guest mardiyya to wo apka guest mar dete hen kehte hen y islam m h gulam k badle gulam to guest k badle guest
jabke saza us ko milni chahiyye jis n qusoor kiyya
jaise k piche hamne jawab diye the

Al-Maidah (5) Ayat (verse) No.: 45

وَكَتَبْنَا عَلَيْهِمْ فِيهَا أَنَّ النَّفْسَ بِالنَّفْسِ وَالْعَيْنَ بِالْعَيْنِ وَالأَنفَ بِالأَنفِ وَالأُذُنَ بِالأُذُنِ وَالسِّنَّ بِالسِّنِّ وَالْجُرُوحَ قِصَاصٌ فَمَن تَصَدَّقَ بِهِ فَهُوَ كَفَّارَةٌ لَّهُ وَمَن لَّمْ يَحْكُم بِمَا أنزَلَ اللّهُ فَأُوْلَـئِكَ هُمُ الظَّالِمُونَ

And We prescribed for them therein : The life for the life , and the eye for the eye , and the nose for the nose , and the ear for the ear , and the tooth for the tooth , and for wounds retaliation . But whoso forgoeth it ( in the way of charity ) it shall be expiation for him . Whoso judgeth not by that which Allah hath revealed : such are wrong doers .

Aur hamne yahudion k zimme taurat me ye baat muqarrar kar di thi k jaan k badle jaan aur aankh k badle aankh aur naak k badle naak aur kaan k badle kaan aur dant k badle daant aur khaas zakhmo ka bhi badla hai phir jo shaqs isko maaf karde to wo iske liye kuffara hai aur jo loog Allah k nazil kiye huye k mutabik hukm na karen wohi loog zalim hain.

isme kaafi wazeh taur par Allah keh raha hai ki jo jispar zulm karega uske sath waisi hi saza do
lekin jo aap bata rahe hain aurata k badle aurat aur mehman k badle mehman ye galat hai aur kahin Quran me ya hadees me nahi hai aur ye sazayen bhi hakim e waqt dega koi khud se aisi saza muqarrar nahi karsakta agar apko kahin aisi hadees ya aayat mille to batayen

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
q /pani khare ho k pi sakte h ?kahte hen sab k khare ho k na piyyo .
hmm.. choti yeh to sab ko pata hay k pani kharay ho kr nhi pina chahiye.. but wazeh daleel to savoiu bro hi daingay...

pani beth kr bismillah prh kr teen saanso m peena chahiye. pehlay aik ghoont phir dosray saans k baad dosra ghoont phir tesray saans m jitna p sktay hain..

or kharay ho kr or Qibla ro mun kr kray sirf Aab-e-Zam Zam peena chahiye.. or vo b aik hi saans may.

saviou bro.. plz thora explain kr dain :s
bohot hi acha sawal choti aur masha Allah bohot hi achi tarah apne samjhaya hai Tariq :)

jaise k tariq ne kaha sahi hai

pani baith kar pina chahiye
pani peene se pehle usko dekhlen phir Bismillah keh kar teen sanson me kamse kam piye aur pine k baad Alhamdulillah kahen ye sunnat hai (abu dawood )

rahi baat khade hokar pani pine ki to khade hokar pina sahi nahi hai lekin zaroorat par wallahu aalam

Chapter# 12, Book 23, Number 5017: Muslim

Anas reported Allah’s Apostle (may peace be upon him) disapproved the drinking of water while standing.

Book 23, Number 5020: Muslim

Abu Sa’id Khudri reported that Allah’s Messenger (may peace be upon him) warned against drinking while standing.

Book 23, Number 5022:

Abu Huraira reported Allah’s Messenger (may peace be upon him) as saying: None of you should drink while standing; and if anyone forgets, he must vomit.

lekin hame bukhari me ek hadees milti hai jab Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ko pani diya gaya to wo tehre hi piliye
yahan ye baat samajhne ki hai k ye hamare liye asani k liye aise hua agar zaroorat pade to kabhi taher ki bhi pisakte hain lekin afzal aur behtar hai k baith kar piye

umeed hai baat wazeh hogayi hogi

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: *shehzadi*

*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan
q: hamari 1 parosen hume quran khawan m bulaty hen apne gher to hume jo dety h parhne k liye akser wo sipara nahi hota balke order p bnwaya huwa 1 chota sa book hota h us m kae ayat hoty hen akhir m durood sharif sab s last m jo hota h wo arbi asi hoty h jo dekh k lagta h k quran nahi h muje yad nahi kuch is terhan s h
""almaded ya sheikh abdul qadir jilni ""age yad nahi

*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan
issi tarhan k 1 kalme ko meri anuty laee thi or kaha k is ko khajur p parh k dum karen shafa hogi
us m bhi sheikh abdul qarir jilani (rahmatualllah)ka nam tha
meri baji n kaha k y jaez nahi :-/hum nahi parhen g
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
q: log kahte he k ager koi dua mangni ho to alah k wali k dergah ja k mange wahan jaldi qabool hogi
q:
hame logon ki baton par nahi Allah aur uske Rasul sallellahu alayhiwasallam ki bataon par yakeen karna chahiye yane Quran aur Hadees

aayiye dekhte hain hame Quran kya kehta hai

Al-Baqara (2) Ayat (verse) No.: 186

وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِي عَنِّي فَإِنِّي قَرِيبٌ أُجِيبُ دَعْوَةَ الدَّاعِ إِذَا دَعَانِ فَلْيَسْتَجِيبُواْ لِي وَلْيُؤْمِنُواْ بِي لَعَلَّهُمْ يَرْشُدُونَ
And when My servant question thee concerning Me , then surely I am nigh . I answer the prayer of the suppliant when he crieth unto Me . So let them bear My call and let them trust in Me , in order that they may be led aright .

Jab mere bande mere bare me apse sawal karen to aap keh den ke main bohot hi kareeb hun har pukarne wale ki pukar ko jab kabhi wo mujhe pukare qabool karta hun isliye logon ko bhi chahiye k wo meri baat maan liye karen aur mujh par imaan rakhen yehi inki bhalayi ka ba'as hai

yahan baat khul kar hamare samne aarahi hai k Allah tala ilm k aitebar se hamare bilkul kareeb hai balke ek jagah hai k hamari sabse kareebi nafs se bhi kareeb aur wo hamari pukar ko sunta bhi hai aur qabool bhi karta hai to hame bhi chahiye k usse hi pukaren

na kisi buzurg ko nahi kisi wali ko balke ham to Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ko nahi pukasakte to ab bhala bacha kaun

Allah hame Quran aur Hadees padhen samajhne aur us par amal karne ki taufeeq aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: *shehzadi*
Top